Mariiii Pssend---->>>>

by beeghi.palkain on September 10, 2006, 12:47:13 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1154 times)
beeghi.palkain
Guest
Reply with quote
Tuje ishq ho yah  khuda karay
tuje us sey koi juda karay
tu uss ki baatain kea karay
tu uss ki baatain suna karay
usse dekh kay tu rukk jaye
wo nazar jukha kar chala karay
tuje dosti bi na aayay raas
tu tanha tahna phirra karay
tuje hijar ki wo jarii lagay
tu milan ki har pal dua karay
tere khawab bickrein toot kar
tu kirchi kirchi chuna karay
tu gali gali sada karay
tu nagar nagar phira kare
tuje ishq pay ho yaqeen
usse tasbiun pe perha karay
phir main kahun ishq dhong hia
tu nahin nahin kare
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #1 on: September 10, 2006, 12:51:08 PM »
Reply with quote
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
mai buhaat der tak yonhen chalta raha
tum buhat der tak yaad atay rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
zeher milta raha zeher sayte rahay
roz jalte rahey roz marte rahay
zindagi bhi humain azmati rahee
or hum bhi osay azmate rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
zahkum jab bhi koi zehan per laga
zindagi ki teraf aik dareecha khula
hum bhi goya kisi saaz k taar hain
choot kahte rahay gungunate rahay
ajnabi shaher k ajnabi raste
mari tanhai per muskurate rahay
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #2 on: September 10, 2006, 01:00:51 PM »
Reply with quote
Barsoon badh dekha ik shaks
Barson Ke Baad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
Ab Zehen Men Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa

Alfaaz The Ke Jugnu Aawaaz Ke Safar Men
Ban Jaaye Jangalon Men Jis Tarah Raasta Sa

Khwabon Men Khwaab Uske Yadon Men Yaad Uski
Neendo Men Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratjaga Sa

Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Men
Wo Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa

Tewar The Berukhi Ke Andaaz Dosti Ka
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa

Kuchh Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye
Kuchh Zeher Men Bujha Tha Ahabaab Ka Dilasa

Phir Yun Hua Ki Sawan Akhon Men Aa Base The
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aablaa Sa

Ab Sach Kahen To Yaron Hum Ko Khabar Nahi Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqeya Zara Sa
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #3 on: September 10, 2006, 01:20:33 PM »
Reply with quote
Dil ki Chokat
Dil Ki Chaukhat Par Ek deep Jala Rakkha Hai
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakkha Hai

Sans Tak Bhi Nahi Lete Hain Tujhe Sochte Waqt
Humne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakkha Hai

Rooth Jate Ho To Kuchh Aur Haseen Lagte Ho
Humne Ye Soch Ke Hi Tumko Khafa Rakkha Hai

Tum Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din
Humne Us Shaam Ko Seene Se Laga Rakkha Hai

Chain Lene Nahi Deta Ye Kisi Taur Mujhe
Teri Yaadon Ne Jo Tufaan Utha Rakkha Hai

Akhiri Baar Jo Aaye The Mere Naam
Humne Us Khat Ko Kaleje Se Laga Rakkha Hai
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #4 on: September 10, 2006, 01:22:21 PM »
Reply with quote
Teri Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey,
Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

Tere Khat Aaj Main Darya Mein Bahaa Aayaa Hoon,
Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #5 on: September 10, 2006, 07:41:12 PM »
Reply with quote
ajnabi si rahain
ajnabi si rahon mein, dor tak nigahon mein
teergi ka mosam hai, berukhi ka mosam hai
aaj phir nigahon ko, bete kal ki pyas hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
rang pheeke pheeke hain, tary roothe roothe hain
badalon ka shor hai, khizan khizan ye shor hai
iss qadar akele mein, pyar ki talash hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
ajab hai dil ki weshaten, aur aas paas ahaten
jis ko dhoondna chaho, os ko dhoond kab pao
phir raha hon darbadar, mojze ki talash hai
aisa lagta hai jese, chand phir udas hai
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #6 on: September 10, 2006, 07:45:08 PM »
Reply with quote
JAB SEENA GHAM SE BHOJAL HO AUR YAAD KISSI KI ATTI HO
TAB KAMRE MEIN BAND HO JANA AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA

JAB ANKHEIN BAGI HO JAIN AUR YAAD MEIN MERI BHAR AAIN
PHIR KHUD KO DHOKA MAT DENA AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA

JAB PALKEIN KARAB SE MONDI HO AUR SAB SAMJHEIN TUM SOTE HO
TAB MOUN PAR TAKEYA RAKH LENA AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA

YAH DUNIYA ZALIM DUNIYA HAI, YAH BAAT BUHAT PHELAY GI
TUM SAB KE SAMNE CHUP REHNA AUR CHUPKE CHUPKE RO LENA

JAB BARISH CHERA DHO DALE AUR ASHK BHI BOONDEIN LAGTE HON
WHO LAMHA HARGIZ MAT KHONA AUR CHUPKE CHUPKE
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #7 on: September 10, 2006, 07:49:06 PM »
Reply with quote
KABHI YUN BHI TO HO
DERYA KA SAHIL HO
PURAY CHAND KI RAAT HO
AUR TUM AOO

KABHI YUN BHI TO HO
PERIYON KI MAHFIL HO
KOI TUMHARI BAAT HO
AUR TUM AOO

KABHI YUN BHI TO HO
YEH NERM MULAIM THADI HUWAIN
JAB GHAR SE TUMHARE GUZRAIN
TUMHARI KHUSBOO CHURAIN
MERE GHAR LE AIN

KABHI YUN BHI TO HO
SONI HER MANZIL HO
KOI NA MERE SAATH HO
AUR TUM AOO

KABHI YUN BHI TO HO
YEH BADAL AISA TOOT KER BARSE
MERE DIL KI TARAH TUMHARA DIL BHI TERSE
TUM NIKLO GHAR SE

KABHI YUN BHI TO HO
TANHAI HO, DIL HO
BONDAIN HONN, BERSAAT HO
AUR TUM AOO

KABHI YUN BHI TO HO...!!
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #8 on: September 10, 2006, 07:54:43 PM »
Reply with quote
TUMHE JAB KABHI MILAIN FURSATAIN MERE DIL SE BOJH UTAR DO
MAIN BOHAT DINNO SE UDDAS HOON MUJHE KOI SHAM UDHAR DO

MUJHE APNE ROPP KI DHOOP DO KE CHAMAK SAKAIN MERE KHAD-O-KHAL
MUJHE APNE RANG MAIN RANG DO MERE SARA ZANG UTAR DO

MERI WAHSHATOON KO BERHA DIAY JUDAYOON KE AZAB NE
MERE DIL PE HAATH RAKHO ZARA MERI DHARKANOO KO QARAAR DO

TUMHE SUBHA KAISI LAGI KAHO MERI KHUWAHISHOON KE HISSAR KI
JO BHALI LAGI TO YAHIN RAHO USSAY CHAHATOON SE NIKHAR DO
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #9 on: September 10, 2006, 07:56:40 PM »
Reply with quote
Dil-e-Nadaan Tujhe Huwaa Kya Hai
Aakhir Is Dard Ki Dawaa Kya Hai

Hum hain Mushtaaq Aur woh Bezaar
Yaa Ilaahi ye Maajaraa Kya Hai

Main Bhi Munh Mein Zabaan RAkhata Hoon
Kaash Pooucho Ki Muddaa Kyaa Hai

Jab Ki Tujh Bin Nahi Koi MauJood
Phir Ye Hangaama-e-Khudaa Kya Hai

Ye Pari Cheharaa Log Kaise Hain
Gamazaa-o-Ishvaa-o-Adaa Kya Hai

Shikaan-e-Zulf-eAmbarri Kyon Hai
Nigah-e-Chashm-e-Surmaa Sa Kya Hai

SAbazz-o-Gul Kahan Se Aaye hain
Abr Kya Cheez Hai Havaa Kya Hai

Humkao Unase Wafaa Ki Hai Umeed
Jo Nahi Jaanate Wafaa Kya Hai

Haan Bhalla Kar Tera Bhalaa Hogaa
Aur Darwesh Ki Sadaa Kya Hai

Jaan Tum Par Nisaar Karataa Hoon
Main Nahi Jaantaa duwa Kya Hai

Main Ne Maanaa Ki Kuch Nahi " Ghalib"
Muft Haath Aaye To Buraa Kya Hai

~Mirza Ghalib~
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #10 on: September 10, 2006, 07:58:57 PM »
Reply with quote
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay a
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #11 on: September 10, 2006, 08:00:39 PM »
Reply with quote
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay a
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
Logged
beeghi.palkain
Guest
«Reply #12 on: September 10, 2006, 08:03:42 PM »
Reply with quote
Ager Hum Dost Hotay Tu
To Karam Ki Inteha Kartay
Tumay Palkon Mein Basatay Hum
Ager Tum Rooth Jatay To
Tumhay Kitna Manatay Hum
Jo Milnay Tum Nahi Aatay To
Aa Kar Khud Tumhan Miltay
Tumhari Laghzishon Ko Bhi
Hansi Main Hum Ura Detay
Ager Apni Khata Hoti
To Khud Ko Bhi Saza Detay a
Magar Ye Sab Jabhi Hota
Ager Hum Dost Hotay To
Magar Itna Hi Jana Hai
K Tum Ney Aaj Tak Hum Ko
Paraya Keh Ker Jana Hai
Kabhi Hamdam Naa Mana hai
Ager Hum Dost Hotay To.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: September 11, 2006, 08:41:51 AM »
Reply with quote
Bahoot Acchi Pasand Hai Apki,..
Waise In Mein Se Kuch Meri Pasand  Ke Bhi Hain,.
Logged
harshit101
Guest
HI
«Reply #14 on: September 29, 2006, 03:47:08 PM »
Reply with quote
SUPERB WORK YAR
KEEP IT UP
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 05:38:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer