Mausam Abhi Itna To Suhana Bhi Nahi Hai

by Syed Mohd Mahzar on July 07, 2013, 08:52:47 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 1917 times)
Syed Mohd Mahzar
Guest
Reply with quote
WAPAS WO ZAMANA KABHI AANA BHI NAHI HAI
GUZRI JO JAWANI USEY PANA BHI NAHI HAI

MAZBOOT BAHUT APNA THA RISHTA E ULFAT PER
AB TUJH SE MERA DOOR KA NAATA BHI NAHI HAI

HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI

BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI

RUSWAI KA PHIR TERI BAYES NA YE HO JAYE
WO GEET SAR E MAHFIL GAANA BHI NAHI HAI

MAUSAMI PHOOLO'N SE GULSHAN KO SAJAYA HAI
KHUSHBOO TO NAHI INME KAANTA BHI NAHI HAI

NAALE KE KINARE KI BASTI ME JO RAHTE HAIN
MUFLIS HAIN KOI INKA THIKAANA BHI NAHI HAI

EK MOUR HAI JANGAL ME JO NAACH RAHA HAI
MAUSAM ABHI ITNA TO SUHANA BHI NAHI HAI

                 ...........S.M.MAHZAR

********************************************
Rishta e ulfat : Pyaar ka rishta    Peeri : burhapa  
Ruswai : Badnaami                   Bayes: Wajah  
[/color]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Suhana Mausam by afrozpasha in SMS , mobile & JOKES
May Itna Khushnaseeb Nahi by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Koi nahi abhi ... bas muskurahat by Bambi in Shairi - E - Zindagi
Wo Itna Bhi Badnaam Nahi Hai,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
bas itna chahta hun- Sharing best of Abhi's designs by AbhiTamrakar in Shayri for Khumar -e- Ishq
CIC
Guest
«Reply #1 on: July 07, 2013, 09:39:58 PM »
Reply with quote
Very nice Mazhar sahab aur jo apne mayne bhi likhe, aaur acha laga.

Kuch sher bohot acche lage.. jaise :
Quote
HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI

Aur..
Quote
NAALE KE KINARE KI BASTI ME JO RAHTE HAIN
MUFLIS HAIN KOI INKA THIKAANA BHI NAHI HAI

EK MOUR HAI JANGAL ME JO NAACH RAHA HAI
MAUSAM ABHI ITNA TO SUHANA BHI NAHI HAI

It ghuzarish hai ki "All caps" na use kare, badhne mein thodi mushkil hoti hai.
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 1 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #2 on: July 07, 2013, 10:06:31 PM »
Reply with quote
HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI

BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Mahzar sahab,
Bahut umdaa.Dili mubarakbaad qabool farmaayiye.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 16 minutes.

Posts: 2381
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #3 on: July 07, 2013, 10:44:30 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Bahot khoooooob... waaaaaah...
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #4 on: July 07, 2013, 10:56:23 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #5 on: July 08, 2013, 12:31:19 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Nice  Applause Applause
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: July 08, 2013, 01:19:09 AM »
Reply with quote
loved it...... too good syed ji..... keep improvising ..
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2013, 02:45:43 AM »
Reply with quote
WAPAS WO ZAMANA KABHI AANA BHI NAHI HAI
GUZRI JO JAWANI USEY PANA BHI NAHI HAI

MAZBOOT BAHUT APNA THA RISHTA E ULFAT PER
AB TUJH SE MERA DOOR KA NAATA BHI NAHI HAI

HER RAAT MAIN DARWAZA KYON KHOL KE SOTA HOON
MALOOM HAI MUJHKO TUMHE AANA BHI NAHI HAI

BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI

RUSWAI KA PHIR TERI BAYES NA YE HO JAYE
WO GEET SAR E MAHFIL GAANA BHI NAHI HAI

MAUSAMI PHOOLO'N SE GULSHAN KO SAJAYA HAI
KHUSHBOO TO NAHI INME KAANTA BHI NAHI HAI

NAALE KE KINARE KI BASTI ME JO RAHTE HAIN
MUFLIS HAIN KOI INKA THIKAANA BHI NAHI HAI

EK MOUR HAI JANGAL ME JO NAACH RAHA HAI
MAUSAM ABHI ITNA TO SUHANA BHI NAHI HAI

                 ...........S.M.MAHZAR

********************************************
Rishta e ulfat : Pyaar ka rishta    Peeri : burhapa  
Ruswai : Badnaami                   Bayes: Wajah  
[/color]

wah wah wah.............! aap font ko small letter mein likhein to aur bhi acha hoga icon_flower icon_flower
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: July 08, 2013, 04:00:53 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
AreK Rurkavi
Guest
«Reply #9 on: July 08, 2013, 04:09:56 AM »
Reply with quote
beautiful lines.
Logged
Farhan Sohail
Guest
«Reply #10 on: July 08, 2013, 04:43:39 AM »
Reply with quote
waaaah waaaaaah buht hi umda, dheeron daad qabool kijeye


Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: July 08, 2013, 08:50:18 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob dheron daad
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: July 08, 2013, 12:55:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut hi khoobsurat ghazal se nawaaz hai aapne. sabhi ashaar khoob hai. dil ko choo gayi aapki yeh kalaam. is khoobsurat kalaam par hazaron dili daad qubool kare..
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: July 08, 2013, 04:41:11 PM »
Reply with quote

Mazhar Sahaab Aadaab.... !


Wallaah janab kia bakamaal bemisaal aur umdaa kalaam ko anjaam diyaa hai... behad khoob ashaar rahe... kafi umdaa ahsaas O khayaal ko aapne apne lafzoN meiN dhalaa hai...

Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...
Aise hi umdaa kalaamoN ke saath bazm meiN aate rahiye...

Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...


WAPAS WO ZAMANA KABHI AANA BHI NAHI HAI
GUZRI JO JAWANI USEY PANA BHI NAHI HAI

Umdaa matlaa huaa hai janab behad khoob daad...


BACHPAN GAYA SHABAAB GAYA PEERI HAI LEKIN
DUNIYA KO ABHI THEEK SE JAANA BHI NAHI HAI

Wallaah laajawaab sher hua hai daad daad ...

RUSWAI KA PHIR TERI BAYES NA YE HO JAYE
WO GEET SAR E MAHFIL GAANA BHI NAHI HAI

Bahut khoob janab daad ...

MAUSAMI PHOOLO'N SE GULSHAN KO SAJAYA HAI
KHUSHBOO TO NAHI INME KAANTA BHI NAHI HAI

Kia kahne janab bahut khoob...


                 ...........S.M.MAHZAR

********************************************
Rishta e ulfat : Pyaar ka rishta    Peeri : burhapa   
Ruswai : Badnaami                   Bayes: Wajah   
[/color]
Logged
Syed Mohd Mahzar
Guest
«Reply #14 on: July 08, 2013, 07:20:42 PM »
Reply with quote
Very nice Mazhar sahab aur jo apne mayne bhi likhe, aaur acha laga.

Kuch sher bohot acche lage.. jaise :
Aur..
It ghuzarish hai ki "All caps" na use kare, badhne mein thodi mushkil hoti hai.
CIC saheb,
          aapko sher pasand aaye bahut bahut shukriya.......
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:47:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.423 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer