mohabbat na samjah hai

by aaina on February 12, 2009, 08:48:45 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2655 times)
aaina
Guest
Reply with quote
mohabbat na samajh hoti hai samajhna zaroori hai
jo dil mai hai, usse aankho se kehlaana zaroori hai

usoolon par jahan aanch aaye, takrana zaroori hai
jo zinda ho, to phir zindaa  nazar  aana zaroori hai

nayi  umron  ki   khuddariyon   ko  kon   samjahye
kahan se bach ke chalna hai, kahan jana zaroori hai

thakey haare parindey jab basere ke liyan lotyen
saleeqe mand shakhon ka lachak jana zaroori hai

bhut  bebaak  aankho  mai  ta'aluq  tik  nahi pata
mohabbat mai kashish rakhne ko sharmana zaroori hai

saleeqa hi nhi shayad usse mehsoos karne ka
jo kehta hia khuda hai, to nazr aana zaroori hai

mere honton pe apni piyaas rakh do aur phir socho
ke iske baad bhi duniya mai kuch pana zaroori hai(waseem barailvy)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum hi Mohabbat ho...!!! by sharmaarunkumar in Ghazals
Mohabbat by amit_is_always_cool in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 9 10 »
Mohabbat by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
salil2002
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2009, 09:00:14 AM »
Reply with quote
mohabbat na samajh hoti hai samajhna zaroori hai
jo dil mai hai, usse aankho se kehlaana zaroori hai

usoolon par jahan aanch aaye, takrana zaroori hai
jo zinda ho, to phir zindaa  nazar  aana zaroori hai

nayi  umron  ki   khuddariyon   ko  kon   samjahye
kahan se bach ke chalna hai, kahan jana zaroori hai

thakey haare parindey jab basere ke liyan lotyen
saleeqe mand shakhon ka lachak jana zaroori hai

bhut  bebaak  aankho  mai  ta'aluq  tik  nahi pata
mohabbat mai kashish rakhne ko sharmana zaroori hai

saleeqa hi nhi shayad usse mehsoos karne ka
jo kehta hia khuda hai, to nazr aana zaroori hai

mere honton pe apni piyaas rakh do aur phir socho
ke iske baad bhi duniya mai kuch pana zaroori hai(waseem barailvy)

bahut achche janab daad qabool kijiyega........
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: February 12, 2009, 09:09:26 AM »
Reply with quote
Welcome to Yoindia....

Very good creation. keep writing....
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2009, 09:12:46 AM »
Reply with quote
Bahoth nayab ghazal hai ye Janab Wasim barelwi Sahab ki !!

aur bahoth shukriya sahab isko yoindia tak pahonchane ke liye !! Haustan (USA ) ko apne yoindia tak laya Wah Wah !!

"Usse saliqa Hi nahi Mahesoos karne ka !!
Jo kaheta hai Khuda hai to nazar ana zarori hai !!

Ye ashar to nagina hai sahab is ghazal ka !!

Qadeer Toopchi
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2009, 11:44:37 AM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Thanks for sharing this wonderful ghazal with us on Yoindia !
Logged
aaina
Guest
«Reply #5 on: February 12, 2009, 02:13:03 PM »
Reply with quote
thnx so much abdul qadeer sahab shi kaha aapne ke ye shair nageena hai,

sure salil aapki daad sar aankho par asl haqdaar to waseen sahab  hain

thnxx sophi nd celmira..................

Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: February 12, 2009, 02:26:11 PM »
Reply with quote
mohabbat na samajh hoti hai samajhna zaroori hai
jo dil mai hai, usse aankho se kehlaana zaroori hai

usoolon par jahan aanch aaye, takrana zaroori hai
jo zinda ho, to phir zindaa  nazar  aana zaroori hai

nayi  umron  ki   khuddariyon   ko  kon   samjahye
kahan se bach ke chalna hai, kahan jana zaroori hai

thakey haare parindey jab basere ke liyan lotyen
saleeqe mand shakhon ka lachak jana zaroori hai

bhut  bebaak  aankho  mai  ta'aluq  tik  nahi pata
mohabbat mai kashish rakhne ko sharmana zaroori hai

saleeqa hi nhi shayad usse mehsoos karne ka
jo kehta hia khuda hai, to nazr aana zaroori hai

mere honton pe apni piyaas rakh do aur phir socho
ke iske baad bhi duniya mai kuch pana zaroori hai(
waseem barailvy)

Very nice sharing Aaina ji....
Logged
aaina
Guest
«Reply #7 on: February 12, 2009, 11:42:29 PM »
Reply with quote
thnxxxx salma...........

aankho.n mein bas ke dil mein samaa kar chale gaye
Khvaabidaa   zindagii  thii jagaa kar chale   gaye

chehare  tak  aastiin   vo  laakar   chale  gaye
kyaa raaz thaa ki jis ko  chhipaakar  chale gaye

rag rag me.n is tarah vo samaa  kar chale gaye
jaise mujh hii ko mujhase churaakar chale gaye

aaye the dil  kii  pyaas  bujhaane ke vaaste
ik aag sii  vo  aur  lagaa  kar  chale  gaye
 
lab thar-tharaa ke rah gaye lekin vo ai "Jigar"
jaate  huye   nigaah  milaakar  chale    gaye...........(jigar muradabadi)
Logged
salma786
Guest
«Reply #8 on: February 13, 2009, 05:47:46 AM »
Reply with quote
Waah very nice creation:clapping: Clapping Smiley
Again a very good sharing...bt i would love to read ur own creation soon Usual Smile
Logged
aaina
Guest
«Reply #9 on: February 14, 2009, 06:55:39 AM »
Reply with quote
thnxx salma ji.......

zulmat ke haath insaaf ki  ruswaaii ho gayi
ey mere moula  kaisi ye,  masihaaii ho gayi

gham  ne  bade  adab  se sir  ko  jhuka lia
kuch dair ko khushi se, shanasaaii ho gayi

zaaro qataar keh dai  mere dil ka haal tujhse
in aansuo.n ki mujh pe, karmfarmaaii ho gayi

jo kuch chupa hai "aslam" usse zahir to keejiye
dil mai bhi samndaro.n si,  kia gehraaii  ho gayi
Logged
salma786
Guest
«Reply #10 on: February 14, 2009, 12:54:32 PM »
Reply with quote
Bahoot ache aaina ji Applause
kip writing!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: February 14, 2009, 02:30:30 PM »
Reply with quote
Beautiful Aslam tum bohat achcha likhte i am really impressed thanks for joining Yo bohat kuch seekhne ko milega tumse.  Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: February 14, 2009, 02:45:04 PM »
Reply with quote
mohabbat na samajh hoti hai samajhna zaroori hai
jo dil mai hai, usse aankho se kehlaana zaroori hai

usoolon par jahan aanch aaye, takrana zaroori hai
jo zinda ho, to phir zindaa  nazar  aana zaroori hai

nayi  umron  ki   khuddariyon   ko  kon   samjahye
kahan se bach ke chalna hai, kahan jana zaroori hai

thakey haare parindey jab basere ke liyan lotyen
saleeqe mand shakhon ka lachak jana zaroori hai

bhut  bebaak  aankho  mai  ta'aluq  tik  nahi pata
mohabbat mai kashish rakhne ko sharmana zaroori hai

saleeqa hi nhi shayad usse mehsoos karne ka
jo kehta hia khuda hai, to nazr aana zaroori hai

mere honton pe apni piyaas rakh do aur phir socho
ke iske baad bhi duniya mai kuch pana zaroori hai(waseem barailvy)

Bahut hi khoobsurat sharing hai ye...

Mohabbat nasamajh hai, ke nahi samajhti sachhaiyon ko,
Samet leti hia waqt ki aagosh mein khwaabon ke gharondon ko,

Leta hai khuda bhi hamare imtehaan iski raahon mein,
aakhri qadam jab ho baaqi chheen leta hia manzilon ko...
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: February 14, 2009, 09:59:19 PM »
Reply with quote
thnx so much salma ji....................

thnx sajid sahab bas aise hi keh laita hun kuch khaas nhi jo zehen mai aa gaya unko kuch lafzon ka jama pehna kar tarteeb dai dia sab uska karm hai........thnxxxxx so much for appriciation

thnxxx angle.........achi soch

dard  kaisa  bhi ho  seene mai  dabaye rakhna
ghamo  ki  mehfilo  se ye  rabt nibhaye rakhna

maayene  kheiz  hua karti  hain tareekiyan bhi
tum takhyyul  mai  charagon ko jalaye  rakhna

khushbuain  bebaak hua karti  hain mohabbat ki
hawa kis simt ki hai ye andesha lagaye rakhna

aiyene pehchan liya karte hain mathe ki shikan
dil  ke jazbaat  ko chehre  se  chupaye rakhna

mosam-e-gul ho to andesha-e-khizan bhi rakhana
dard  ki  shaakh pe zakhmo.n ko sajaye rakhan...(poetry by aslam )
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: February 15, 2009, 08:30:54 AM »

Bahut badhiya sharing aslam sahab...

Dil Kuch Bhi Nahi Bas Yaadon Ka Kaarwaan Hai,
Iski Chehelpehel Ko Yunhi Banaye Rakhna,

Tu hi Tha Tu Hi Hai Tu Hi Rahega Ta-umr Zindagi ka Maalik,
Ye Ek Aansu Hai Teri Amanat Ise Aankhon Mein Yunhi Sajaye Rakhna...
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:43:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer