NAFRAT ~~~~ SAAHIL

by salil2002 on July 31, 2009, 01:59:25 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2097 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
lehron k saath beh kar badi door nikal aaya hoon
dekhta hoon ,meri yaad main ab kaun palkein bichhata hai

kaahin aaye kinaara , toh kucch der main thehroon
dekhta hoon, kiska sang mere dil ko lubhata hai

nazar bhar gayi mujhse toh tasveer badal di
dekhta hoon , kaun tumhe dil main basata hai

yeh panchhi chala aaya hai badi door saath main
dekhta hoon, kaun isko ab daana chugaata hai

tanhaayi jab bikhregi ,toh alam bhi toh tarsega
dekhta hoon, ab kaun yahan mehfil sajata hai

saaqee ne bhi tha keh diya, aakhiri jaam pesh karoon
dekhta hoon , kaun uske labon se ab peeta pilaata hai

sheeshe k sehar main reh kar patthar se kii dushmani
dekhta hoon , ab kaun tumhe mujhse bachata hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
NAFRAT by srikant in Shayri-E-Dard
nafrat by Singh is king in Shairi - E - Zindagi
nafrat by salil2002 in Shayri-E-Dard
nafrat aur mohabbat ~~ saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
Nafrat-- Dard Mohabbat Ka~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2009, 02:16:28 PM »
Reply with quote
lehron k saath beh kar badi door nikal aaya hoon
dekhta hoon ,meri yaad main ab kaun palkein bichhata hai

kaahin aaye kinaara , toh kucch der main thehroon
dekhta hoon, kiska sang mere dil ko lubhata hai

nazar bhar gayi mujhse toh tasveer badal di
dekhta hoon , kaun tumhe dil main basata hai

yeh panchhi chala aaya hai badi door saath main
dekhta hoon, kaun isko ab daana chugaata hai

tanhaayi jab bikhregi ,toh alam bhi toh tarsega
dekhta hoon, ab kaun yahan mehfil sajata hai

saaqee ne bhi tha keh diya, aakhiri jaam pesh karoon
dekhta hoon , kaun uske labon se ab peeta pilaata hai

sheeshe k sehar main reh kar patthar se kii dushmani
dekhta hoon , ab kaun tumhe mujhse bachata hai

 Applause Applause Applause

Wah wah bahut accha likha hai aapne dear saahil. her alfaz mein dard hai, shikayat hai....bebasi bi hai... wah  bahut khoob dear
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2009, 02:52:57 PM »
Reply with quote
Waah waaah Kya Khoob likha hai Saahil Tumne .. Superb! Bahoot Khoob!
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2009, 02:56:00 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Salil  Applause Applause Applause Is shayari main ek dard ke saath ek zid si bhi nazar ayai hai.....Bohot achche !
Logged
Dastbardaar
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
1 days, 9 hours and 59 minutes.
Posts: 69
Member Since: Jul 2009


View Profile
«Reply #4 on: July 31, 2009, 04:01:43 PM »
Reply with quote
Yu to har chehra ek muskan liye hain

Badi mushkil se yaha lekin koi dost nazar aata hain...


Auro ko zaleel karna jiska maqsad hain yaha yaro

Rehbari ka zimma woh shaks hi uthata hain...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: July 31, 2009, 07:09:49 PM »
Reply with quote
Wonderful gazal Saahil ji ,very nice and beautiful creation icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: August 02, 2009, 03:38:27 PM »
Reply with quote
bahut achha likha hai aapne saahil ji....aapke in alfaazo me dard to hai hi
aur sath hi kahi na kahi bahut gussa bhi hai....khuch lines yaad aayi aapki iss peshkash par...ummid hai pasand aayegi


Paani mein utarna aur lehron me beh jaana
Beh kar pahuch gaye jha,shayad wahi hai asli thikana

Gila-shikwa to ek din khud-b-khud mit jayenga
Tum khud ko kabhi na patthar banaana

Khuda ki khudai par yakeen karo dost,
Wo kisi ko tanha nahi rakhta
Panchhi ko kisi na kisi ne to hai daana chugaana
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: August 02, 2009, 04:32:51 PM »
Reply with quote
Bahut Khoooooooooob Salil Bhai.. Lajawab Alfaazon se Saji Gazal Pesh ki hai aapne.. Bahut Hi Behtreen Peshkash hai.. Applause Applause


Pooja Aapne Bhi Bahut Hi Umda Likha hai.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #8 on: August 03, 2009, 11:20:06 AM »
Reply with quote
shukriya Mann ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: August 03, 2009, 11:22:21 AM »
Reply with quote
Very nice reply, Pooja
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: August 03, 2009, 11:25:38 AM »
Reply with quote
khushi hui aapko pasand aaya Celmira ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #11 on: August 04, 2009, 07:14:11 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Khoob Salil, Bade Katilana sawal hai...very good Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: August 04, 2009, 07:24:04 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Wah wah bahut accha likha hai aapne dear saahil. her alfaz mein dard hai, shikayat hai....bebasi bi hai... wah  bahut khoob dear
Waah waaah Kya Khoob likha hai Saahil Tumne .. Superb! Bahoot Khoob!
Bohot khoob Salil  Applause Applause Applause Is shayari main ek dard ke saath ek zid si bhi nazar ayai hai.....Bohot achche !
Wonderful gazal Saahil ji ,very nice and beautiful creation icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:excellent
Wah Wah Bahut Khoob Salil, Bade Katilana sawal hai...very good Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.

BAHUT BAHUT SHUKRIYA SOPHI DEAR,ROJA DEAR,SHALLY TALAT DI, LAILA DEAR,
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: August 04, 2009, 07:27:10 AM »
Reply with quote
Yu to har chehra ek muskan liye hain

Badi mushkil se yaha lekin koi dost nazar aata hain...


Auro ko zaleel karna jiska maqsad hain yaha yaro

Rehbari ka zimma woh shaks hi uthata hain...
Bahut Khoooooooooob Salil Bhai.. Lajawab Alfaazon se Saji Gazal Pesh ki hai aapne.. Bahut Hi Behtree Peshkas hai.. Applause Applause


Pooja Aapne Bhi Bahut Hi Umda Likha hai.. Bahut Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


**~** Mann **~**
bahut achha likha hai aapne saahil ji....aapke in alfaazo me dard to hai hi
aur sath hi kahi na kahi bahut gussa bhi hai....khuch lines yaad aayi aapki iss peshkash par...ummid hai pasand aayegi


Paani mein utarna aur lehron me beh jaana
Beh kar pahuch gaye jha,shayad wahi hai asli thikana

Gila-shikwa to ek din khud-b-khud mit jayenga
Tum khud ko kabhi na patthar banaana

Khuda ki khudai par yakeen karo dost,
Wo kisi ko tanha nahi rakhta
Panchhi ko kisi na kisi ne to hai daana chugaana

DASTARBARDAR SAAHEB ,POOJA DEAR AAP DONO NE BAHUT HI KHOOB LIKHA HAI DAAD KABOOL KARE MERI AUR SE..VICKY BHAI AAPKA BHI SHUKRIYA

BEKHAYALI MAIN JAB HAATH APNA DEKHA MAINE
TOH LAHOO DEKH KAR BAHUT GHABRAAYA
JEHAN PAR JO DALA KUCCH ZOR
TOH TERE HAATHON MAIN KHANJAR YAAD AAYA
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #14 on: August 04, 2009, 06:05:08 PM »
Reply with quote
DASTARBARDAR SAAHEB ,POOJA DEAR AAP DONO NE BAHUT HI KHOOB LIKHA HAI DAAD KABOOL KARE MERI AUR SE..VICKY BHAI AAPKA BHI SHUKRIYA

BEKHAYALI MAIN JAB HAATH APNA DEKHA MAINE
TOH LAHOO DEKH KAR BAHUT GHABRAAYA
JEHAN PAR JO DALA KUCCH ZOR
TOH TERE HAATHON MAIN KHANJAR YAAD AAYA
bahut dard bhare alfaaz kahe hai aapne saahil ji....
Gar wo khanjar mere haatho me aaya na hota
To tune bhi mujh par ye ilzaam lagaaya na hota
Aankho k saamne jo hota hai wo sach nahi hota aksar
Kaash ye khyaal bhi tere jehan me aaya hota
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 06:16:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.199 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer