PARDES MEIN SAAJAN KAMAANE MEINLAGE HON GE...........HASAN

by F.H.SIDDIQUI on December 03, 2012, 05:55:51 AM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 2481 times)
vimmi singh
Guest
«Reply #15 on: December 03, 2012, 06:18:15 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob......
 Applause Applause Applause Applause
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Pardes mein yaad jab teri... by Dev_ajnabee in Shayri for Dard -e- Judai
....~~Pardes Mein~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
umra lagi jise KAMAANE main… by sacccha_pyar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pardes mein........ by chanda in Shairy-E-Watan
DES PARDES. PARDES DES by surindarn in Miscellaneous Shayri
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #16 on: December 04, 2012, 06:04:29 AM »
Reply with quote
Bahot khubsurat ghazal kahi hai Hasan Sahab. 2nd sher ke mutalliq kahna chahunga ke KUN-FAYAKUN Khuda ki ek shift hai.
Beshak  !  Beshakk  !!  Lekin   Husn  ki   ta'reef  mein  
gunaah sarzad  ho  hi  jaate  hain .  Allah  muaaf  kare.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #17 on: December 04, 2012, 06:30:36 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Thanks,Qalb ji
Thankyou !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #18 on: December 04, 2012, 06:52:27 AM »
Reply with quote
wah wah wah wah wah kya baat hai, khas taur se ye shair to kamaal hai


Siyahh gesoo , Lab - o - Rukhsaar , aur yeh til dahaane ka

Khuda ko , din bahut , tum ko banaane meiN lage hoN ge,

dherroon daad qubool kareN.....
   Applause Applause Applause Applause Applause Applause




AARISH  , AAP KA   BAHUT  SHUKRIYA , DUAAEIN .
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #19 on: December 04, 2012, 10:50:24 AM »
Reply with quote
Mahutram FH Siddiuee Sahib ....Aadab

Kya Tilism Angez ghazal kahi hai wah wah wah ....ik ik sher ne teer ba hadaf ka kaam kiya hai .......Aaj yahan se guzra to aapki ghazal ne ruk liya ,riyaz Sahib aur waquif Sahib ke tabsere bhi parhe aur mustafeed hua yaqeenan dusre sher ko aap ik nazar dekh le'n .....Chunke zameen o asmaan aur uske darmiyan ki tamam chizo'n ko Allah rub ul izzat ne sirf 6 din me banaya hai aur phir ye bhi arz kiya ke inhe banane me maine zara bhi thakkan mahesos nahi ki ..Subhan Allah ...

Jaise ke Aapne Waquif Ansari Sahib se pucha hai ke Lafz Siyah aur Lafz aur ka wazn thik hai ke nahi ......Mai aapni janib se Is baat ka jawab dena chahita hun Chunke Waquif Bhai Shayad masroof hun ...Aapne lafz siyah ko bataur qafiya istemaal nahi kiya hai issiliye Siyah ke HA ko girana jayez hai issi liye ye sahi hai .....Lafz aur ka to sawal hi nahi chunke lafz-e-aur ko qodama ne 2 yaani FAA 21 Yaani Faa-e- ( FAAL ) dono tarhan bandha hai ...Aur jahan tak mai jaanta hun Aapka misra bhr ke mutabiq bilkul rawan dawan hai ......

Al batta Maqte ke misra-e-oola me lafz na 2 harfi ho giya jabke ye ik harfi lena chahiye ...Ab baandhne wale 2 harfi bhi bandhte hain magar usool to 1 harfi ka hi hai ...........Ek baar aapki is shandaar wa jaandaar ghazal pe beshumaar dad o mubarak baad..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #20 on: December 04, 2012, 11:45:41 AM »
Reply with quote
Behad umda  ashaar kahe hai Sir
Maqta..kya kahne..jo pal me mahaul badal de
 Applause Applause Applause Applause Applause
DAAD qubool karen
MUKESH   JI  ,  PASAND   KARNE   AUR   HAUSLA  AZFZAI
KE   LIYE   BAHUT  SHUKRIYA .
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: December 04, 2012, 12:39:21 PM »
Reply with quote
Janab Hasan Sahab bade adab aur ehtram ke saath main arz karna chahta hun ke sha'iry mein ye itna aham nahi hai ke kya likha jaaye balke ke zyada aham hai ke kya na likha jaaye. Husn ki aisi tareef se shayad kuchh aarzi nafaa hasil ho jaaye lekin agar hamara Khaliq-o-Malik naraaz ho gaya to bahot badaa nuqsaan ho sakta hai. Aapne bhi aisi tareef ko gunaah maana hai, lihaza isse bachne ki zarurat hai. Meri guzarish hai is sher mein kuchh tarmeem kar dein taki iska mafhoom pahle se juda ho jaaye. Allah Hafiz.
Beshak  !  Beshakk  !!  Lekin   Husn  ki   ta'reef  mein  
gunaah sarzad  ho  hi  jaate  hain .  Allah  muaaf  kare.
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #22 on: December 04, 2012, 01:08:18 PM »
Reply with quote
bahut khoob, bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #23 on: December 04, 2012, 07:50:26 PM »
Reply with quote
Janab Hasan Sahab bade adab aur ehtram ke saath main arz karna chahta hun ke sha'iry mein ye itna aham nahi hai ke kya likha jaaye balke ke zyada aham hai ke kya na likha jaaye. Husn ki aisi tareef se shayad kuchh aarzi nafaa hasil ho jaaye lekin agar hamara Khaliq-o-Malik naraaz ho gaya to bahot badaa nuqsaan ho sakta hai. Aapne bhi aisi tareef ko gunaah maana hai, lihaza isse bachne ki zarurat hai. Meri guzarish hai is sher mein kuchh tarmeem kar dein taki iska mafhoom pahle se juda ho jaaye. Allah Hafiz.
Khuloos   ke   liye   bahut   shukriya  ,  Riyaz   saheb .  Agarche Sher  mein  koi  gunaah   ya  khuda i buzurg o bartar  ki   shaan  mein   koi  gustakhi  ki  niyat  na  thhi  sirf  eik  shokhi  ka ansar  moujood  thha  lekin  aap  doston  ke  mukhlisana  mashwiron ke  aage   sar e tasleem  kham  hai . Insha'allah  sher  mein munasib  tarmeem  kardoonga . Aayenda  is ghazal se yaksar mukhtalif  aur is she'r ke manaafi ashaar pe mabni kuch sanjeeda ghazlein bhi pesh karoonga jo shayed aap jaise baashaoor doston ko pasand aayein .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #24 on: December 05, 2012, 04:52:16 AM »
Reply with quote
masoom  shahzada  saheb , bahut  shukriya  aur  duaaein .
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #25 on: December 05, 2012, 09:36:34 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Thankyou ! Thankyou ! Thankyou !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #26 on: December 05, 2012, 09:57:44 AM »
Reply with quote
AARISH  BAHUT  SHUKRIYA  AUR  DHERON  DUAAEIN
wah wah wah wah wah kya baat hai, khas taur se ye shair to kamaal hai


Siyahh gesoo , Lab - o - Rukhsaar , aur yeh til dahaane ka

Khuda ko , din bahut , tum ko banaane meiN lage hoN ge,

dherroon daad qubool kareN.....
   Applause Applause Applause Applause Applause Applause




Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: December 05, 2012, 10:04:51 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Hasan sahab. Aapne is nacheez ki baat ko ahmeeyat di ye aapke badappan ka saboot hai. Isme koi shak nahi ke aap ek achhe insaan aur umdah sukhanwar hain.
Khuloos   ke   liye   bahut   shukriya  ,  Riyaz   saheb .  Agarche Sher  mein  koi  gunaah   ya  khuda i buzurg o bartar  ki   shaan  mein   koi  gustakhi  ki  niyat  na  thhi  sirf  eik  shokhi  ka ansar  moujood  thha  lekin  aap  doston  ke  mukhlisana  mashwiron ke  aage   sar e tasleem  kham  hai . Insha'allah  sher  mein munasib  tarmeem  kardoonga . Aayenda  is ghazal se yaksar mukhtalif  aur is she'r ke manaafi ashaar pe mabni kuch sanjeeda ghazlein bhi pesh karoonga jo shayed aap jaise baashaoor doston ko pasand aayein .
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #28 on: December 05, 2012, 10:20:24 AM »
Reply with quote
Siddiqui Sahaab Aadaab O As salaam!



Wallaah kia umdaa gazal kahi hai janab waaH dil ko jhaNkjhor jaate
hai is kalaam ke ahsaas O khayaal ... Usual Smile

Sabhi ashaar behad laa jawaab rahe janab... Usual Smile
Behad umdaa gazal rahi.... is khoobsurat aur dilkash gazal par hazaaroN
dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #29 on: December 06, 2012, 01:56:28 AM »
Reply with quote
Behad umda  ashaar kahe hai Sir
Maqta..kya kahne..jo pal me mahaul badal de
 Applause Applause Applause Applause Applause
DAAD qubool karen
MUKESH  JI , PUR  KHULOOS  DAAD  KE  LIYE  BAHUT  SHUKRIYA  AUR DUAAEIN . HASAN
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:52:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer