SAAMNE BUT HAI.N , MERE PIACHE KHUDA KA GHAR HE

by khalidrawat on March 22, 2008, 10:12:28 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1115 times)
khalidrawat
Guest
Reply with quote
DIL HE KAABA HE MUJHE DIL HE KHUDA KA GHER HE
TOOT JAYE NA KAHI.N MUJH SE YE GHAR ,YE  DAR HE

BHAAG NIKLA HE MERA SAYA MERE QADMOO.N SE
AB MUJHE KHOOF KISI KA, NA KISI KA DAR HE

MUJH KO MAALOOM NAHI.n HE KE MERE SHANOO.n PER
YE MERA SIR HE TIKA , YA KE KOI PATHER HE?

hAM NE PAYE HE TERE ISHQ MAI.n JO RUSWAI
US KI QEEMAT NA YE MATTI HE NA SEM-O-ZER HE

AASMAANOO.N PE KAMAND DAAL SAKOO.N GA KAISE
NA KOI BAAL BADAN PER HE MERE NA PER HE

CHAAK DAAMAN HE MERA ,CHAAK JIGAR BHI HE MERA
AA.NSUOO.N SE HE MERE AANKH, LAHOO SE TER HE

KIYA MUSIBAT HE, NIKALNA HE JAHA.N SE MUJH KO
WAA.N KOI DARZ HE ROOZAN HE KOI NA DER HE

MERI BE RAH RAVI SE HE MUQADDAR KO GILA
IS KI HALAT MERI GARDISH  SE BOHUT ABTER HE

KHALID JAMIL RAWAT
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum Mere Saamne Aur hee Kuch by anjaan dharkan in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
MEIN SAAMNE UNKE RAHOON,WOH MERE RUBARU HOJAAE by nazar ghouri in Ghazals
Mere Saamne Aakar Dekho by Asha2089 in Share:Love Poetry
Tu Mere Saamne... by majid in Share Video
Roja
Guest
«Reply #1 on: May 22, 2008, 11:19:14 PM »
Reply with quote
Quote
CHAAK-E-DAAMAN YE NAHI.N CHAAK-E-JIGAR HE PIYAARE
AA.NSUOO.N SE HE KHAHA.N AANKH LAHOO SE TER HE

KIS QADAR BAND MAKAA.N MUJH KO MILA HE JIS MAI.N
NA KOI DARZ , NA ROOZAN HE KOI, NA DER HE

APNI QISMAT KE SITARE SE GILA HE MUJH KO
IS KI GARDISH SE MERA HAAL BOHUT ABTER HE

Nice lines Khalid Jamil Rawat ji
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2008, 05:05:46 AM »
Reply with quote
BOHUT SHUKRIYA
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: August 27, 2008, 08:33:18 AM »
Reply with quote
TERI TAREEF ME ISKE ALAWA KAHU KYA KHALID
KE TU SHAYER GHAYEL SE BHI BEHTAR HAIN.

                       -SG-
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: August 27, 2008, 10:09:43 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Khalid Jamil Rawat Ji...  Applause
Bahut khoobsurat kalaam likha hai aapne..
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: August 30, 2008, 10:06:48 PM »
Reply with quote
Bohot hi khoobsurat ghazal pesh ki hai Rawat Ji Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 06:59:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer