'Sadiq'tere jazbaat ko samjha na kisi ne by Sadiq Rizvi

by Sadiq Rizvi on November 23, 2011, 12:20:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1276 times)
Sadiq Rizvi
Guest
Reply with quote
 Sheba ji aap ki farmaish per Roman Engish mein bhi Ghazal haazir hai

 Kuch gham bhi chupa rakkhey hain Ifratey khushi ne
 Ehsas dilaya hamein palkon ki nami ne

 Lalchayee tabiyat ko sanbhala nahin jee ne
 Uss shokh se nazrein jo milien hum lagey peene

 Allah ke Ehsaan ko main bhool gaya tha
 Ehsas dilaya mujhe daulat ki kami ne

 Peetey hain Zamee'ndaar kisano'n ka lahoo you'n
 Daheqa'n ki kamar todi hai khatey ne bahi ne

 Tauba ke liye rind to tayyaar thay lekin
 Dekha ki yahan shaikh bhi aane lagey peene

 Maiy peeni thi jannat ki magar pee lee jaha'n mein
 Zahid ko jo paimana diya Ramkali ne

 Aaina dikhatey rahe dilsoz nazarey  
 'Sadiq'tere jazbaat ko samjha na kisi ne

 Sadiq Rizvi
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #1 on: November 23, 2011, 12:20:17 PM »

mkv
Guest
«Reply #2 on: November 23, 2011, 04:09:31 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob Sadiq Sahab

Bas itna kahoonga ki aapki tareef sooraj ko diya dikhane ke barabar hai..

DAAD to de hi sakte hai apko...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #3 on: November 23, 2011, 05:24:12 PM »
Reply with quote
'Allah ke ehsaan ko main bhool gaya thha
Ehsaas  dilaya  mujhe daulat ki kami ne '
  Sadiq saheb,khoobsurat ghazal hai.Khaas taur se haqiqat per mabni mundarja baala she'r ka jawaab nahin.
                                     Hasan
Logged
Imran.ansari
Guest
«Reply #4 on: November 24, 2011, 08:53:48 AM »
Reply with quote

Bahut Khooob……
Umadh……….
Daad hazir hay……….
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #5 on: November 27, 2011, 06:13:51 AM »
Reply with quote
Sheba ji aap ki farmaish per Roman Engish mein bhi Ghazal haazir hai

 Kuch gham bhi chupa rakkhey hain Ifratey khushi ne
 Ehsas dilaya hamein palkon ki nami ne

 Lalchayee tabiyat ko sanbhala nahin jee ne
 Uss shokh se nazrein jo milien hum lagey peene

 Allah ke Ehsaan ko main bhool gaya tha
 Ehsas dilaya mujhe daulat ki kami ne

 Peetey hain Zamee'ndaar kisano'n ka lahoo you'n
 Daheqa'n ki kamar todi hai khatey ne bahi ne

 Tauba ke liye rind to tayyaar thay lekin
 Dekha ki yahan shaikh bhi aane lagey peene

 Maiy peeni thi jannat ki magar pee lee jaha'n mein
 Zahid ko jo paimana diya Ramkali ne

 Aaina dikhatey rahe dilsoz nazarey 
 'Sadiq'tere jazbaat ko samjha na kisi ne

 Sadiq Rizvi

matla-e ghazal ne mayaar-e-ghazal ka rutba bahut bada bana diya rizvi ji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2011, 02:31:46 PM »
Reply with quote
Sheba ji aap ki farmaish per Roman Engish mein bhi Ghazal haazir hai

 Kuch gham bhi chupa rakkhey hain Ifratey khushi ne
 Ehsas dilaya hamein palkon ki nami ne

 Lalchayee tabiyat ko sanbhala nahin jee ne
 Uss shokh se nazrein jo milien hum lagey peene

 Allah ke Ehsaan ko main bhool gaya tha
 Ehsas dilaya mujhe daulat ki kami ne

 Peetey hain Zamee'ndaar kisano'n ka lahoo you'n
 Daheqa'n ki kamar todi hai khatey ne bahi ne

 Tauba ke liye rind to tayyaar thay lekin
 Dekha ki yahan shaikh bhi aane lagey peene

 Maiy peeni thi jannat ki magar pee lee jaha'n mein
 Zahid ko jo paimana diya Ramkali ne

 Aaina dikhatey rahe dilsoz nazarey  
 'Sadiq'tere jazbaat ko samjha na kisi ne

 Sadiq Rizvi

bahut khoob aur shukriya meri guzarish ko izzat bakhshne ke liye sadiq sahab
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #7 on: December 13, 2011, 09:31:31 AM »
Reply with quote
Sheba ji aap ki farmaish per Roman Engish mein bhi Ghazal haazir hai

 Kuch gham bhi chupa rakkhey hain Ifratey khushi ne
 Ehsas dilaya hamein palkon ki nami ne
 waah waah Thumbs UP Thumbs UP

 Lalchayee tabiyat ko sanbhala nahin jee ne
 Uss shokh se nazrein jo milien hum lagey peene
 bahut khoob drunken_smilie drunken_smilie

 Allah ke Ehsaan ko main bhool gaya tha
 Ehsas dilaya mujhe daulat ki kami ne
  SUBHAN ALLAH Clapping Smiley Clapping Smiley

 Peetey hain Zamee'ndaar kisano'n ka lahoo you'n
 Daheqa'n ki kamar todi hai khatey ne bahi ne

   sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 sad5 SAHI HAI

 Tauba ke liye rind to tayyaar thay lekin
 Dekha ki yahan shaikh bhi aane lagey peene
  Applause Applause Applause Applause Applause Applause

 Maiy peeni thi jannat ki magar pee lee jaha'n mein
 Zahid ko jo paimana diya Ramkali ne
 Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard sahi mein mazboot taqwe ki zarurat hai

 Aaina dikhatey rahe dilsoz nazarey  
 'Sadiq'tere jazbaat ko samjha na kisi ne
 
 Sadiq Rizvi

VERIIIIIIIIIIIIIIII NAAAAAAAAAAAAAAAAAAICE
Logged
ratinvirgo
Guest
«Reply #8 on: January 19, 2012, 10:53:07 PM »
Reply with quote
Sadiq sahab....Daad Kubul kijeyaga...apna ghulam bana liya aapne....umdaaa Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 01:19:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer