Shahr me hain bahut mautabar dar ba dar ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on September 20, 2012, 10:08:18 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1395 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Manzile’n bhi gaai’n aur safar dar ba dar
Ho gaye hum tumhe choorkar dar ba dar

Eak mai hi nahi hun idhar dar ba dar
Shahr me hain bahut mautabar dar ba dar

Ho gaai chandni kya khafa chand se
Chand phirta hai kyun raat bhar dar ba dar

Mil na paaye kabhi khud se khud hi miyan
Jab ke khud me rahe umr bhar dar ba dar

Ghar ke aangan ka budha shajar kya gira
Ho gaya pal me dekho ye ghar dar ba dar

Kya kahen ab ghazal hum yahan par qadeer
Fun ki nagri me hai ab hunar dar ba dar

Qadeertoopchi
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 20, 2012, 10:33:34 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley bahut umdaa peshkash dheron daad
Logged
gaytri gupta
Guest
«Reply #2 on: September 20, 2012, 10:37:06 AM »
Reply with quote
v nice...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: September 20, 2012, 11:59:39 AM »
Reply with quote
Qadeer Bhaijaan Aadaab!


bade dinoN baad aapko mehfil meiN dekhkar badi khushi
ho rahi hai... behad dilko lagne wali gazal kahi hai
sabhi ashaar behad dilfareb rahe... Usual Smile
Waise puri kalaam hi behad umda hai par hume
khususan chaNdni aur chaNd wala aur Shajar wala
Ashaar behad khoob laga... Usual Smile

IS dilfareb kalaam par humari hazaaron dili daad O
mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
 

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: September 20, 2012, 06:00:42 PM »
Reply with quote
Bahut  khoob , Qadeer  saheb . Bahut  intazaar  karaya.
Lekin  khubsurat  ghazal  ke  liye  dheron  daad.
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: September 20, 2012, 06:39:45 PM »
Reply with quote
Manzile’n bhi gaai’n aur safar dar ba dar
Ho gaye hum tumhe choorkar dar ba dar

Eak mai hi nahi hun idhar dar ba dar
Shahr me hain bahut mautabar dar ba dar

Ho gaai chandni kya khafa chand se
Chand phirta hai kyun raat bhar dar ba dar

Mil na paaye kabhi khud se khud hi miyan
Jab ke khud me rahe umr bhar dar ba dar

Ghar ke aangan ka budha shajar kya gira
Ho gaya pal me dekho ye ghar dar ba dar

Kya kahen ab ghazal hum yahan par qadeer
Fun ki nagri me hai ab hunar dar ba dar

Qadeertoopchi

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaa Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ek rau iss pe
Logged
Aarish
Guest
«Reply #6 on: September 21, 2012, 01:34:13 AM »
Reply with quote
bohut khoob Qadeer sahab, pehli baar aap ka kalaam padha, aur sach kahuN to is noiyyat ki shayri kam hi padhne ko milti hai yoindia par. lajwab ghazal kahi hai apne. har shair ghazal ka shair hai, dheeroon daaad qubool kijiye...
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #7 on: September 21, 2012, 10:17:10 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley bahut umdaa peshkash dheron daad

Dr.Saini Saheb ,,,Karam Farmai ke liye shukriyah .>Allah apko khuch rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: September 21, 2012, 10:18:31 AM »
Reply with quote
v nice...

Mahutrama Gaytri Gupta Sahibah ...Shukriyah >>khush rahe'n
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: September 21, 2012, 10:21:18 AM »
Reply with quote
Qadeer Bhaijaan Aadaab!


bade dinoN baad aapko mehfil meiN dekhkar badi khushi
ho rahi hai... behad dilko lagne wali gazal kahi hai
sabhi ashaar behad dilfareb rahe... Usual Smile
Waise puri kalaam hi behad umda hai par hume
khususan chaNdni aur chaNd wala aur Shajar wala
Ashaar behad khoob laga... Usual Smile

IS dilfareb kalaam par humari hazaaron dili daad O
mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile


Likhate rahiye... aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
 



Mere Dost mere Mohsin ,,bhai Parwaz Sahib ,,,Ghazal pe apka tabsera mahubbat ka pata deta hai ...apka huzne nazar hai ....aap mere karam farma hai'n ..Apke husne zaan ko salam ...Allah apko ek taweel umr se nawaze ...

APka bhai
Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: September 21, 2012, 10:24:07 AM »
Reply with quote
Bahut  khoob , Qadeer  saheb . Bahut  intazaar  karaya.
Lekin  khubsurat  ghazal  ke  liye  dheron  daad.

Mahutram Hassan Siddiuee Sahib ,,,Taakhir ke liye mazrat khaw bhi hun aur sharmindah bhi ,,,ghazal ki pazirai ke liye apke huzoor sarapa sipaas hun ..Allah apko umre nuh ata kare..

Khadim

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: September 21, 2012, 10:26:56 AM »
Reply with quote
waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaa Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ek rau iss pe

Bhai aadil saheb ..Salam Alaikum ,,,,Apki wahhhhh ne is faqeer-o-haqeer insaan ka dil loot liya ...Allah apko do jahan ki barkato'n se nawaze ....Ye RAU ka uqda mujhe pe nahi khula ?..rahenumai farmaye'n ...

Apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: September 21, 2012, 10:30:06 AM »
Reply with quote
bohut khoob Qadeer sahab, pehli baar aap ka kalaam padha, aur sach kahuN to is noiyyat ki shayri kam hi padhne ko milti hai yoindia par. lajwab ghazal kahi hai apne. har shair ghazal ka shair hai, dheeroon daaad qubool kijiye...

Mahutram Aarish Sahib ....Ghazal pe apka tabsera faqr ka baaic bana ..Ache sher o achi ghazal ke liye ache qari ka hona zarori hota hai ...Apse Ahle ilm o sukhan fahm hazraat ki dad mere liye aabe hayat hai ....Allah apko umre khizr ata kare'

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: September 21, 2012, 10:38:50 AM »
Reply with quote
Manzile’n bhi gaai’n aur safar dar ba dar
Ho gaye hum tumhe choorkar dar ba dar

Eak mai hi nahi hun idhar dar ba dar
Shahr me hain bahut mautabar dar ba dar

Ho gaai chandni kya khafa chand se
Chand phirta hai kyun raat bhar dar ba dar

Mil na paaye kabhi khud se khud hi miyan
Jab ke khud me rahe umr bhar dar ba dar

Ghar ke aangan ka budha shajar kya gira
Ho gaya pal me dekho ye ghar dar ba dar

Kya kahen ab ghazal hum yahan par qadeer
Fun ki nagri me hai ab hunar dar ba dar

Qadeertoopchi


veriiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii-naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice
Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
suman59
Guest
«Reply #14 on: September 21, 2012, 02:00:37 PM »
Reply with quote
Manzile’n bhi gaai’n aur safar dar ba dar
Ho gaye hum tumhe choorkar dar ba dar

Eak mai hi nahi hun idhar dar ba dar
Shahr me hain bahut mautabar dar ba dar

Ho gaai chandni kya khafa chand se
Chand phirta hai kyun raat bhar dar ba dar

Mil na paaye kabhi khud se khud hi miyan
Jab ke khud me rahe umr bhar dar ba dar

Ghar ke aangan ka budha shajar kya gira
Ho gaya pal me dekho ye ghar dar ba dar

Kya kahen ab ghazal hum yahan par qadeer
Fun ki nagri me hai ab hunar dar ba dar

Qadeertoopchi

bahut badiya qadeertoopchi sb  Thumbs UP
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 03:40:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer