Taish- humara hai magar fir bhi HUMARA ho nahi pata...!!

by ghayal_shayar on March 10, 2013, 02:12:50 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2677 times)
ghayal_shayar
Guest
«Reply #15 on: March 11, 2013, 01:09:29 AM »
Reply with quote
  icon_salut   icon_salut

hausla afzaayi ka shukriya bhai.... Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wada Hai Humara, by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
humara hai tu by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
!!__-Humara Ristha-__!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
unse koi rista nahi he humara... by monamithiya in Other Languages
humara hua ---!!!! by sarfira in Shayri-E-Dard
1tarun
Guest
«Reply #16 on: March 11, 2013, 02:44:26 AM »
Reply with quote
janab.....taishji..bahut hi khoob ghazhal hai.......wah....subhanallah........zajakallah... .
Logged
Aarish
Guest
«Reply #17 on: March 11, 2013, 08:58:03 AM »
Reply with quote
Beh'r- 1222 1222 1222 1222


jo tujhse dil laga, ab dil lagana ho nahi pata,
ke vo jaisa bhi kehti hai maiN waisa ho nahi pata..

badi tareef sun kar maiN huN is dar par chala aaya,
fakat itna bata kyuN maiN tumhara ho nahi pata..

tumhara naam likhne ki ijazat chin gayi jab se,
jo koi sher likhta hooN to poora ho nahi pata..

mohabbat dono ko hai par na ik dooje ke ho paye
humara hai magar fir bhi humara ho nahi pata..

talaatum to hazaaroN ishq ki raahoN meN milte haiN,
yahaaN doobe bina koi kinara ho nahi pata..

use mujhse shikayat hai ke chaahat kuch adhoori hai,
main kyun toota hua sa ek sitaara ho nahi pata..

main ro kar bhool jata huN judaayi ke jo hain lamhe,
mohabbat dard hai aisa bhulaana ho nahi pata..

mere maathe pe likh di daastaaneN waqt ne saari,
ke maiN jiska bhi hota hun vo mera ho nahi pata.

kadam aaNkhoN pe padte haiN to aaNkheN bheeg jaati haiN,
meri aankhon ko ulfat ka sahaara ho nahiN pata..

kisi se baat hoti hai to teri baat karta hooN,
jo mujhse jhoothi koi baat karna ho nahi pata..

ye aansu jo ibadat ki nishaani haiN mere humdum,
main chaahuN bhi jo kaafir ban.na aisa ho nahi pata..

gale jab tumse milta huN bada hi chain milta hai,
teri julfoN ke pehlu meN saweraa ho nahi pata..


taish bhai , wah wah wah wah wah wah wah aur sirf wah kya baat hai behrmeN likhi gayee is ghazal ke liye meri dili mubarakbaad qubool kareN. aur kya ashaar kaheN haiN har shair ek nagine ki manind jada hai aapne , khas taur se in ash'aar ke liye dil ki gehraiyoN se daaaad qubool kareN.


tumhara naam likhne ki ijazat chin gayi jab se,

jo koi sher likhta hooN to poora ho nahi pata..





dheron daaad aur rau qubool kareN




 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


ye aansu jo ibadat ki nishaani haiN mere humdum,

main chaahuN bhi jo kaafir ban.na aisa ho nahi pata.

kya baat hai wah wah wah.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



 
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #18 on: March 11, 2013, 12:39:12 PM »
Reply with quote
so nice.....

sagar saaheb thanks for the compliments.... Usual Smile
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #19 on: March 11, 2013, 11:21:41 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
wah wah wah bahut khubsurat ghazal kahi hai aapne.Dili mubarakbaad kabool kareiyn.

sudhir saaheb aapki tareef sar aanhon pe, bas yuNhi aage v hausla afzaayi karte raheN...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #20 on: March 11, 2013, 11:29:13 PM »
Reply with quote
Beh'r- 1222 1222 1222 1222


jo tujhse dil laga, ab dil lagana ho nahi pata,
ke vo jaisa bhi kehti hai maiN waisa ho nahi pata..

badi tareef sun kar maiN huN is dar par chala aaya,
fakat itna bata kyuN maiN tumhara ho nahi pata..

tumhara naam likhne ki ijazat chin gayi jab se,
jo koi sher likhta hooN to poora ho nahi pata..

mohabbat dono ko hai par na ik dooje ke ho paye
humara hai magar fir bhi humara ho nahi pata..

talaatum to hazaaroN ishq ki raahoN meN milte haiN,
yahaaN doobe bina koi kinara ho nahi pata..

use mujhse shikayat hai ke chaahat kuch adhoori hai,
main kyun toota hua sa ek sitaara ho nahi pata..

main ro kar bhool jata huN judaayi ke jo hain lamhe,
mohabbat dard hai aisa bhulaana ho nahi pata..

mere maathe pe likh di daastaaneN waqt ne saari,
ke maiN jiska bhi hota hun vo mera ho nahi pata.

kadam aaNkhoN pe padte haiN to aaNkheN bheeg jaati haiN,
meri aankhon ko ulfat ka sahaara ho nahiN pata..

kisi se baat hoti hai to teri baat karta hooN,
jo mujhse jhoothi koi baat karna ho nahi pata..

ye aansu jo ibadat ki nishaani haiN mere humdum,
main chaahuN bhi jo kaafir ban.na aisa ho nahi pata..

gale jab tumse milta huN bada hi chain milta hai,
teri julfoN ke pehlu meN saweraa ho nahi pata..



Lajawaab!!!!

Bahut Bahut Khoooooooob Taish ji...

Kya Khayaalat, kya Andaaz-e-bayaan..

Bahut Ache...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #21 on: March 12, 2013, 08:48:59 PM »
Reply with quote
bohut khub taish ji bohut umda bohut hi acha likha hai aapne

bahut bahut shukriya sahil saaheb, umeed karta hun ki aapka saath aage v yuNhi milta rahegaa...
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #22 on: March 13, 2013, 10:03:12 AM »
Reply with quote

bahut dino baad ek duubi hui ghazal mili padhne ko, mazaa aa gaya, very good, keep it up, bahut shandaar
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #23 on: March 13, 2013, 11:21:16 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause





Waaaaaaaaaaaaaah WAaaaaaaaaaaaaaaaah buht khoob buht hi umda,

farhan saaheb shukraguzaar hun aaka is tareef aur izzat afzaayi ke liye, umeed karta huN ki aapka saath aage v yuNhi milta rahegaa...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #24 on: March 14, 2013, 02:06:06 PM »
Reply with quote
umda ghazal. bahut c daad

suman ji aapka bahut bahut shukraguzaar huN is hauslaa afzaayi ke liye....
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #25 on: March 14, 2013, 11:13:30 PM »
Reply with quote
wah wah dhero dad

shukriya bahukhandi saaheb, aapke saath se bahut bal milta hai, yuNhi saath nibhaate raheN...
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #26 on: March 14, 2013, 11:23:00 PM »
Reply with quote
 सुंदर अति सुंदर अति सुंदर,
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #27 on: March 14, 2013, 11:34:06 PM »
Reply with quote
Beh'r- 1222 1222 1222 1222


jo tujhse dil laga, ab dil lagana ho nahi pata,
ke vo jaisa bhi kehti hai maiN waisa ho nahi pata..

badi tareef sun kar maiN huN is dar par chala aaya,
fakat itna bata kyuN maiN tumhara ho nahi pata..

tumhara naam likhne ki ijazat chin gayi jab se,
jo koi sher likhta hooN to poora ho nahi pata..

mohabbat dono ko hai par na ik dooje ke ho paye
humara hai magar fir bhi humara ho nahi pata..

talaatum to hazaaroN ishq ki raahoN meN milte haiN,
yahaaN doobe bina koi kinara ho nahi pata..

use mujhse shikayat hai ke chaahat kuch adhoori hai,
main kyun toota hua sa ek sitaara ho nahi pata..

main ro kar bhool jata huN judaayi ke jo hain lamhe,
mohabbat dard hai aisa bhulaana ho nahi pata..

mere maathe pe likh di daastaaneN waqt ne saari,
ke maiN jiska bhi hota hun vo mera ho nahi pata.

kadam aaNkhoN pe padte haiN to aaNkheN bheeg jaati haiN,
meri aankhon ko ulfat ka sahaara ho nahiN pata..

kisi se baat hoti hai to teri baat karta hooN,
jo mujhse jhoothi koi baat karna ho nahi pata..

ye aansu jo ibadat ki nishaani haiN mere humdum,
main chaahuN bhi jo kaafir ban.na aisa ho nahi pata..

gale jab tumse milta huN bada hi chain milta hai,
teri julfoN ke pehlu meN saweraa ho nahi pata..


sir, with a rau i do aapreicate this ghazal
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #28 on: March 15, 2013, 06:30:17 PM »
Reply with quote
Taish Jee Aadaab!


WaaH waaH waaH janab kia kahne waaH, bahut khoob bahut umdaa gazal kahi
hai janab bahut khoob... bade hi gazab ke sher rahe janab.. aapne kalaam
ko bher meiN toH adaa kiya hai par khususan ashaaroN meiN behad achchi gehrai
bhi dii hai.. yeH aapki kalaam ab tak ki sabse khoob kalaam rahi janab..

humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... bazm ko roshan karte rahiye...

Aate rhaiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
                   


bhai ye to bas aapka pyar hai jo kheeNch lata hai, waise mujhe v lagta hai ki shayad ab thoda bahut likhna seekh raha huN, kaash jo kisi ki sun ke pehle hi beh'r meN likhne ki kosish shuru kar di hoti... bas yuNhi hausla afzaayi karte raheN saaheb...
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #29 on: March 16, 2013, 01:44:02 PM »
Reply with quote
janab.....taishji..bahut hi khoob ghazhal hai.......wah....subhanallah........zajakallah... .

tarun ji tareef aur hausla afzaayi ka shukriya, bas aage bhi yuNhi saath nibhaate raheN....
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 04:00:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer