Taiyyar Hai Qaatil

by F.H.SIDDIQUI on December 23, 2010, 10:35:27 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1693 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
Taiyaar hai qaatil kase teer apni kamaa.n mei.n
Rakhna mere Allah mujhe apni amaa.n  mei.n

Dilchaspi hamein kum nahi.n Allah Mia.n  mei.n
Hai lutf hi kuch aur magar Ishq-e-butaa.n mei.n

WO jhoot bhi boley to sadaqat ka guma.n ho
Jaadu hai mere yaar ke andaa-e-Baya.n mei.n

Kyuu.n Waqt-e-ajal, Zaad-e-safar kuchh nahi.n bachta
Kat jaati hai.n Umrei.n Khalish-e-Sood-o-Ziyaa.n mei.n

Paai Hai tabi'at hi faqeerana 'Hasan' Ne
Jo Ahd-e-baharaa.n mei.n wo hi Daur-e-Khia.n mei.n
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
...~~Qaatil~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
qaatil by shyama in Shayri for Khumar -e- Ishq
AAP QAATIL HUYE,,,,,,,,,,,,,,, by salil2002 in Shayri-E-Dard
Dil ka qaatil dilbar ......... by ANAAM in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mera qaatil........MKV by mkv in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: December 23, 2010, 10:48:42 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Siddiqui Ji
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2010, 11:21:36 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Applause Applause Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 25, 2010, 08:30:56 PM »
Reply with quote
Good one
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2011, 07:30:06 PM »
Reply with quote
Taiyaar hai qaatil kase teer apni kamaa.n mei.n
Rakhna mere Allah mujhe apni amaa.n  mei.n

Dilchaspi hamein kum nahi.n Allah Mia.n  mei.n
Hai lutf hi kuch aur magar Ishq-e-butaa.n mei.n

WO jhoot bhi boley to sadaqat ka guma.n ho
Jaadu hai mere yaar ke andaa-e-Baya.n mei.n

Kyuu.n Waqt-e-ajal, Zaad-e-safar kuchh nahi.n bachta
Kat jaati hai.n Umrei.n Khalish-e-Sood-o-Ziyaa.n mei.n

Paai Hai tabi'at hi faqeerana 'Hasan' Ne
Jo Ahd-e-baharaa.n mei.n wo hi Daur-e-Khia.n mei.n


BAHUT KHOOB SIDDIQUI SAHAB  BEHTRIN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2011, 05:36:23 PM »
Reply with quote
Sabhi Dosto.n ko Hauslaafai ke liye bahut bahut Shukria.F.H.Siddiqui
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #6 on: June 11, 2011, 12:26:23 PM »
Reply with quote

    siddiqui sahab aapka likha hua 2-sher mujhe kufriya laga. kya aap iss sher ko mazed waazey kar sakte hain.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: June 12, 2011, 04:19:09 AM »
Reply with quote
Adil saheb,Yeh she'r kufriya nahee.n Ishqia hai .Aap khud shaair hai.n aur mera ye bataana theek to nahii.n lagta,lekin wazaahat ke taur per arz hai ki Ghazal mei.n musta'mil alfaaz aksar symbolic hote hai.n aur unnka 'purely literal' maani lena munasib nahi.n hai.Mere khayal se iss se zyaada wazaahat ki zaroorat nahi.n hai.Aap ka ek adabi tashweesh ke izhaar ke liye shukriya.
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #8 on: June 12, 2011, 04:28:41 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
siddiqui ji bahut khoob likha hai.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2011, 05:37:18 AM »
Reply with quote
Taiyaar hai qaatil kase teer apni kamaa.n mei.n
Rakhna mere Allah mujhe apni amaa.n  mei.n

Dilchaspi hamein kum nahi.n Allah Mia.n  mei.n
Hai lutf hi kuch aur magar Ishq-e-butaa.n mei.n

WO jhoot bhi boley to sadaqat ka guma.n ho
Jaadu hai mere yaar ke andaa-e-Baya.n mei.n

Kyuu.n Waqt-e-ajal, Zaad-e-safar kuchh nahi.n bachta
Kat jaati hai.n Umrei.n Khalish-e-Sood-o-Ziyaa.n mei.n

Paai Hai tabi'at hi faqeerana 'Hasan' Ne
Jo Ahd-e-baharaa.n mei.n wo hi Daur-e-Khia.n mei.n

Very Impressive ... !
Nice Creation .... !

dil se daad qubuul KareN ... Siddiqui Sahab !
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2011, 07:22:01 AM »
Reply with quote
 Suresh sdangwan ji,hausla afzai ke liye bahut bahut shukriya.Khush rahiye....Hasan




Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: June 12, 2011, 07:25:00 AM »
Reply with quote
Anshumali ji,Ghazal pasand farmaane aur hausla afzai ke liye bahut bahut shukriya. FHSiddiqui
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #12 on: June 17, 2011, 10:18:56 AM »
Reply with quote
wah wah wah F.H. Siddiqui Saheb wah. Kya ghazal hai janab maza aa gaya. Aapke ashaar meiN jo tarz-e-takallum hai uski geeraii aur gahraaii bahut zabardast hai jo sher ki sheriyat ko urooj par pahuNcha deti hai. Aik aisi naghmagi hai jo bheeni bheeni khusboo ki tarah qaari k zehn ko mo.attar kiye rahti hai. Aapki ghazal paRhte hi barjasta ye kahna paRa:

Allah kare aur bhi ho zor zubaN meiN
Andaaz niraala hai tire Tarze-bayaN meiN

Is munfarid, murassa, me.aari ghazal k liye mubarakbaad k saath saath hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

Taiyaar hai qaatil kase teer apni kamaa.n mei.n
Rakhna mere Allah mujhe apni amaa.n  mei.n

Dilchaspi hamein kum nahi.n Allah Mia.n  mei.n
Hai lutf hi kuch aur magar Ishq-e-butaa.n mei.n

WO jhoot bhi boley to sadaqat ka guma.n ho
Jaadu hai mere yaar ke andaa-e-Baya.n mei.n

Kyuu.n Waqt-e-ajal, Zaad-e-safar kuchh nahi.n bachta
Kat jaati hai.n Umrei.n Khalish-e-Sood-o-Ziyaa.n mei.n

Paai Hai tabi'at hi faqeerana 'Hasan' Ne
Jo Ahd-e-baharaa.n mei.n wo hi Daur-e-Khia.n mei.n
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: June 18, 2011, 05:03:24 AM »
Reply with quote
Janab Waquif Ansari saheb,Aap ki purkhuloos tahreer ke liye bahut mamnoon hoo.n. Aap jaise me'yaari shaair aur fun-shinaas qaari se daad paana apni khush-qismati samajhta hoo.n.Faraakh-dili aur khuloos ke paikar aap ke tabsire ke liye tah e dil se shukriya.FHSiddiqui     
Logged
mkv
Guest
«Reply #14 on: February 08, 2012, 04:52:56 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Hasan Sir
vaah  Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:39:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer