Teri Firaooniyat ka Dar Nahi hai ( Qadeertoopchi)

by qadeer_junaid on April 29, 2014, 12:47:41 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1043 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Chupane sar ko garche Ghar nahi hai
Kissi ke dar pe mera sar nahi hai

Khuda ka ghar hai subko sub milega
ameer e shahr ka daftar nahi hai

Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

Qadeer ab kyun na hum ko daibetis ho
Paseene se labadah tar nahi hai

Qadeertoopchi
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #1 on: April 29, 2014, 01:09:30 PM »
Reply with quote
बहुत खूब....

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: April 29, 2014, 01:40:13 PM »
Reply with quote
waah waah waah waah waah waah waah
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #3 on: April 29, 2014, 02:31:58 PM »
Reply with quote
waah waah waah waah waah waah waah


Mahutram Saini Sahab ..aadab ..

Apka Khat mila , Faqr o massarat ka baais bana ...Matle ke misra-e-oola ke mutaliq aapki baat khabile qubool hai ....Wahan lafz KO ka Mahal hai ..misra yun parhen ..( Bhale Sar ko chupane Ghar nahi ) ........ya phir ( Agar sar ko chupane ghar nahi hai )

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: April 29, 2014, 02:34:34 PM »
Reply with quote
बहुत खूब....

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Amit Sahab Shukriyah
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #5 on: April 29, 2014, 02:44:29 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Khub Qadeer Ji!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
premdeep
Guest
«Reply #6 on: April 29, 2014, 03:22:27 PM »
Reply with quote
Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley excellent sir matla behad khoob raha
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2014, 04:49:16 PM »
Reply with quote
Bahut achhe ashaar kahe hain , Qadeer saheb . Lekin Saini saheb ko di gai  aapki wazahat durust nahi hai kyunki chhupane ki baat chhup nahi rahi hai.   
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: April 29, 2014, 05:27:00 PM »
Reply with quote
Bahut achhe ashaar kahe hain , Qadeer saheb . Lekin Saini saheb ko di gai  aapki wazahat durust nahi hai kyunki chhupane ki baat chhup nahi rahi hai.  

Mahutram Maujooda misre me Lafze KO maujood hai... Ab mujhe koi Aur chiz nazar nahi aati ..Kya hi acha ho ke Aap Kholkar kahen ke aapka aitraz kya hai ..Mai filhal Office me hun Abhi apka message Parha ....Aap kahna kya chahte hain ...Lafz chupaane ki baat agar aap kar rahe hain to mahutram Wo apni jagah bilkul durst hai ...Misre ko yun parhe'n aap ( Bhale sar ko chupane , ghar nahi hai ) Aap be takkaluf ho kar likhen jo likhna hai ..taake mai Aapki rahenumaee me misra thik kar sakon ....aur isme koi bura maane wali baat nahi chunke qadeer ka kalam bhi kalam-e-insaani hai kalam-e-ilahi nahi ke har ghalati se paak ho ..han magar jahan tak ilm aur fun ki barikiyun ki baat hai to mahutram usse seekhne me koi sharm nahi ..Aap batayen ke apka aitraz kya hai ...

Bahut Ghaur o fikr karne ke baad Aapke daqeeq aitraz tak rasaee ho paaee hai agarche ap ye kahna chahte hain ke lafze CHUPAANE  ke baad lafze KO ka segha zaroori hai to misre ko yun parhe'n ...( Chupane sar ko garche ghar nahi hai)


Khair Andesh
Qadeertoopchi
Logged
khujli
Guest
«Reply #9 on: April 29, 2014, 06:10:16 PM »
Reply with quote
Bhale sar ko chupane ghar nahi hai
Kissi ke dar pe mera sar nahi hai

Khuda ka ghar hai subko sub milega
ameer e shahr ka daftar nahi hai

Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

Qadeer ab kyun na hum ko daibetis ho
Paseene se labadah tar nahi hai

Qadeertoopchi



bhhale sar chhupaane ko ghar nahin hai.
kisee ke dar pe mera sar nahin hai.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: April 29, 2014, 06:13:28 PM »
Reply with quote


bhhale sar chhupaane ko ghar nahin hai.
kisee ke dar pe mera sar nahin hai.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mahutram Qalb sahab ...Apke andaze dad se fun per apki giraft ka andaza ho raha hai ...Shukriyah ke aapne is haqeer o faqeer ko taliyun se nawaze ...Allah apko khush rakhe ..

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: April 29, 2014, 06:14:20 PM »
Reply with quote
Bohat Bohat Khub Qadeer Ji!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Mahutrama Shireen Hakkani Sahibah ...Apko ghazal pasand aaee jaankar acha laga ..

Dua go
Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: April 29, 2014, 06:17:01 PM »
Reply with quote


bhhale sar chhupaane ko ghar nahin hai.
kisee ke dar pe mera sar nahin hai.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Lijiye Apki aara ke mutabiq misra badal diya hai ..
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #13 on: April 29, 2014, 06:17:38 PM »
Reply with quote
Abhi moosa sifat hai khaum apni
teri firaooniyat ka dar nahi hai

sabhi rishtun ko maine aazmaaya
Faqat ik maa’n ke dil me shar nahi hai

Diya hai zakhm Usne phir zubaan se
Agarche haat me khanjar nahi hai

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley excellent sir matla behad khoob raha


Mahutram Predeep Sahib ..Shukriyah
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2014, 07:13:07 PM »
Reply with quote
Mahutram Maujooda misre me Lafze KO maujood hai... Ab mujhe koi Aur chiz nazar nahi aati ..Kya hi acha ho ke Aap Kholkar kahen ke aapka aitraz kya hai ..Mai filhal Office me hun Abhi apka message Parha ....Aap kahna kya chahte hain ...Lafz chupaane ki baat agar aap kar rahe hain to mahutram Wo apni jagah bilkul durst hai ...Misre ko yun parhe'n aap ( Bhale sar ko chupane , ghar nahi hai ) Aap be takkaluf ho kar likhen jo likhna hai ..taake mai Aapki rahenumaee me misra thik kar sakon ....aur isme koi bura maane wali baat nahi chunke qadeer ka kalam bhi kalam-e-insaani hai kalam-e-ilahi nahi ke har ghalati se paak ho ..han magar jahan tak ilm aur fun ki barikiyun ki baat hai to mahutram usse seekhne me koi sharm nahi ..Aap batayen ke apka aitraz kya hai ...

Bahut Ghaur o fikr karne ke baad Aapke daqeeq aitraz tak rasaee ho paaee hai agarche ap ye kahna chahte hain ke lafze CHUPAANE  ke baad lafze KO ka segha zaroori hai to misre ko yun parhe'n ...( Chupane sar ko garche ghar nahi hai)


Khair Andesh
Qadeertoopchi
Qadeer saheb shukriya . aap sahi samjhe , mera aitraz KO ke seeghe ko lekar hi thha aur yahi shayed Saini sb ka raha hoga. Aap ne doosri tarmeem behtar ki hai . Lekin zubaan mein qabahat baherhaal moujood hai. Yeh baat zuroor hai ki Bahr ki majbooriyon ki wajah se yeh istemaal bhi ho sakta hai , kabhi kabhi hota hai ,aur ise ghalat nahi thahraya jasakta .....Yeh bhi waazeh kar doon ki aam taur se main tanqeed karne se gurez karta hoon ,aur sirf apni tanqeed ka, jahan zuroori samajhta hoon, jawab dene ki koshish karta hoon . Yahan bhi chunki   aapne Saini sb ko jawab dekar baat aage chalaai , maine bhi apni raai dedi.Ise hargiz ghalat na samjhein . Main muazrat khwah hoon.    
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:53:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer