Tu Hi Makka Madina Hai..... MAA

by vipul kumar on May 08, 2011, 07:20:18 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3671 times)
vipul kumar
Guest
Reply with quote
For My Dearest Mom____

Meri Maqbooliyat Teri Duao.n Ka Silaa Hai Maa.....
Tere Naadaan Ki warna Yaha.n Auqaat Kya Hai Maa.....

Meri Doulat, Meri Shohrat, Bas ik teri Badolat hai,
Meri Izzat, Meri Hurmat, Ye sab Teri Ataa Hai Maa....
[Hurmat=Reputation]

Tale Pairo.n ke Jannat hai, Shara.n Sir pe Sajaaye Hai,
Tu hi Makka-Madiina Hai, Tu hi Shakl-e-Khuda Hai Maa....
[Shara.n= Islamic Religion]

Haraarat me Siro.n Par Koun Patti Rakhne Aayega,
Tu Hi Mera Masiiha Hai, Tu hi Meri Davaa Hai Maa....
[Hararat=Fever]

Wo ik Poudha jo tumne apne Haatho.n se lagaaya tha,
Kabhi dekho to Aakar Ped wo Ab Tak Haraa Hai Maa.....

Bhale Hi log Mere Fan ko Mera Maante ho.n Par,
Mera Ilm-o-Hunar Jo Hai Ye Sab Tuune Diya Hai Maa.....
[Ilm-o-hunar= Knowledge and Talent]

Tu Fir aanchal se aakar Ponchh de sir Tere Bete Ka,
Ye Baccha baarisho.n me aaj bhi yu.n bheegta hai Maa....

Khabar Hai Mujhko Teri Dhadkane Mujhme Dhadakti Hai,
Bhale hi Kahne ko Meelo.n Ka Ham me Faasila Hai Maa.....

Hamare Ghar Ki YaaRa Nii.nv Hai aur Qad Bhi Ammi Hai,
Mere Allah ki Nemat Mere Ghar Ka Falsafaa Hai Maa.....!!
[Niinv aur Qad= Foundation and Height]
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2011, 07:43:53 AM »
Reply with quote
wah wah wah vipul kumar saheb, bahut hi me.aari aur saharangez kalaam hai ye aapka. jazbaat o ehsaasaat ki achchhi tarjumaani hai aapke is kaawish meiN. Alfaaz ki nashisht o barkhwaast bhi mutaacir-kun hai. Is khoobsurat kaawish ke liye hazaroN daad qubul kijiye.

(waquif ansari)

For My Dearest Mom____

Meri Maqbooliyat Teri Duao.n Ka Silaa Hai Maa.....
Tere Naadaan Ki warna Yaha.n Auqaat Kya Hai Maa.....

Meri Doulat, Meri Shohrat, Bas ik teri Badolat hai,
Meri Izzat, Meri Hurmat, Ye sab Teri Ataa Hai Maa....
[Hurmat=Reputation]

Tale Pairo.n ke Jannat hai, Shara.n Sir pe Sajaaye Hai,
Tu hi Makka-Madiina Hai, Tu hi Shakl-e-Khuda Hai Maa....
[Shara.n= Islamic Religion]

Haraarat me Siro.n Par Koun Patti Rakhne Aayega,
Tu Hi Mera Masiiha Hai, Tu hi Meri Davaa Hai Maa....
[Hararat=Fever]

Wo ik Poudha jo tumne apne Haatho.n se lagaaya tha,
Kabhi dekho to Aakar Ped wo Ab Tak Haraa Hai Maa.....

Bhale Hi log Mere Fan ko Mera Maante ho.n Par,
Mera Ilm-o-Hunar Jo Hai Ye Sab Tuune Diya Hai Maa.....
[Ilm-o-hunar= Knowledge and Talent]

Tu Fir aanchal se aakar Ponchh de sir Tere Bete Ka,
Ye Baccha baarisho.n me aaj bhi yu.n bheegta hai Maa....

Khabar Hai Mujhko Teri Dhadkane Mujhme Dhadakti Hai,
Bhale hi Kahne ko Meelo.n Ka Ham me Faasila Hai Maa.....

Hamare Ghar Ki YaaRa Nii.nv Hai aur Qad Bhi Ammi Hai,
Mere Allah ki Nemat Mere Ghar Ka Falsafaa Hai Maa.....!!
[Niinv aur Qad= Foundation and Height]
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2011, 01:40:12 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya waquif sahab.. aap jaisi shakhsiyat se taarif sunna sach me hounsla duguna kar deta hai... hounslafzai ke liye shukriya. khush rahe.n.. aate rahe.n....
Logged
vipul kumar
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2011, 08:41:52 AM »
Reply with quote
 Thumbs UP tongue3
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 10:50:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer