VEER ZARA...POETRY

by SADIQA JAWED on December 04, 2004, 10:37:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3629 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
Main Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Din, Mahiney, Saalon Ko Zat Main Badalte Dekhta Hoon

Is Mitti Se Mere Baboji K Khaito Ki Khusbu Ati Hai
Yeh Dhoop Mere Mathay Ki Thandi Chhaa Yaad DilaTi Hai

Yeh Baarish Mere Saavan Ki Jholoon K Sang Laati Hai
Yeh Sardi Mere Lodi Ki Dil Ki Aag Sulagti Jaati Hai

Woh Kehtay Hain Yeh Tera Des Nahi
Phir Kyo Mere Des Jaisa Lagta Hai

Woh Kehta Hai Mai Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Sapno Ke Gaaon Se Utri Ek Nanni Pari Ko Dekhta Hoon

Kehti Hai Khud Ko Saamiya Aur Mujhko ~Navi~ Bulaati Hai
Hai Bilkul Begani Par Apno Si Woh Lagti Hai

Uski Sachi Baaton Se Phir Jeenay Ko Mann Karta Hai
Uski Kasmo Waadon Se Kuch Karne Ka Mann Karta Hai

Woh Kehtay Hain Ke Woh Koi Nahi Hai
Phir Kyo Woh Mere Liye Dunaya Se Larti Hai

Woh Kehtey Hain Main Us Jaisa Nahi
Par Kyo Mujh Jaisa Woh Lagta Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Apne Gaoon K Rangon Main Lipti Ek Nayi Zaara Ko Dekhta Hoon

Mere Khwabon Ko Poora Karti Khud K Khwaab Bhool Chuki Hai Woh
Mere Logon Ki Saiwa Karte karte Apne Logo Ko Chor Chuki Hai Woh

Uska Daaman Ab Khushiyon Se Bharne Ko Dil Karta Hai
Uske Liye Ek Aur Zindagi Jeenay Ko Jee Karta Hai

Woh Kehtay Hain Mera Des Uska Nahi
Phir Kyo Mere Ghar Woh Rehti Hai

Woh Kehtay Hain Main Us Jaisa Nahi
Phir Kyo Mujh Jaisi Woh Lagti Hai

Mai Qaidi No.786 Jail Ki Salakhon Se Baahir Dekhta Hoon
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Veer-Zaara by raji in Movies, TV and Entertainment « 1 2  All »
Veer Zaara by VIKRANT in Shairy-E-Watan
SRK's speech in veer-zara by sachin_9810****** in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
AYE INSAN JAG ZARA TU JAG ZARA... by CoolGirl in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Veer Zara by Aliisking in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
myheart_ursonly
Guest
«Reply #1 on: December 04, 2004, 09:37:42 PM »
Reply with quote
hehehehe


itni lambi post!!! baap re!! thaki nahi like ke kya?

anyways it was nice but veer zara naam kyun rakha  Shocked


billa no. 786 is better

 :idea:
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #2 on: December 05, 2004, 12:01:35 PM »
Reply with quote
hahaha...
NO ... THAKNY KI KYA BAT HA... SHOKE MAIN TO INSAAN SAB KUCH KARTA HAI NA , JUST INTREST HONA CHAIYH KIUN??
 :?:
WELL...VEER ZARA NAM IS LIYH RAKHA K THIS POETRY I HAVE TAKEN FROM VEER ZARA FILIM....GOT IT OR NOT??
 glasses2
CHALO KOI BAT NAHI. IS POST KA NAM BILLA NAHI RAKAH BUT NEXT I CALLED U MR.BILLA ... HAHAHA THEEK HA... :wink: COZ I THINK YH NAM AP KO KAFI PASAND HA IS IT?Huh?Huh? :twisted:
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #3 on: December 05, 2004, 12:13:26 PM »
Reply with quote
shakal to dekhne pe tumhaari billi jaisi lagti hai... tumhein kabhi kisi ne ghar se nikal jaane ko to nahi kaha naa?

bas waise hi pooch raha hun!!!


maybe ur cage door left open thts y ur here

 :hurray:
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #4 on: December 06, 2004, 10:40:18 AM »
Reply with quote
UF HO AP KO BOHAT PARYSHANI HA WAISY???WELL  MAIN GHAR MAIN REHTI HON MR.BILLA ! AP KI TARHAN CAGE MAIN NAHI... AP SAB KO APNY JAISA KIUN SAMJHTY HAIN Huh? :twisted:

HUMTY DUMTY MOOTA THA
HEIGHT MA BILKUL CHOTA THA
IK DIN MIRROR JO US NY DEKHA
PHIR PATA CHALA K WO BILLA THA...
 :lol:
 :twisted:  :evil:  :twisted:
Logged
Soheb_Khan
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2004, 11:42:58 AM »
Reply with quote
Nice Sadiqa ... well isko agar thoda sa change kar diya jaaye...  for s/w engineers its almost the same  :wink:

Main ID number    21007  
cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
apni hi tarah
khaali baithe ek colleague ko dekhta hoon
kabhi mail karta
kabhi coffee peeta
kabhi MSN pe baat karta

woh kehte hain woh PL hai
woh kehte hain woh senior hai
fir kyon mere jaisa lagta hai
kyon din bhar Fw: padhta hai

Main ID number  21007  
cubicle ki dewaron ke us paar dekhta hoon
cabin me baithe apne PM ko dekhta hoon
kabhi phone pe
kabhi con-call pe
gussa utarta jaane kis pe

who kehte hain project aane wala hai
training complete karo , kaam aane wala hai
fir kyon mujhe yeh jhootha sa lagta hai
fir kyon yeh sapna sa lagta hai

Main ID number  21007  
cubicle ke dewaron ke us paar dekhta hoon
Doosri companiyon ko join kar chuke
purane doston ko dekhta hoon

woh kehte hain bond ka kya hai, chale jao
woh kehte hain kahin aur kismat aazmao
fir kyon bond todne se dil darta hai
abhi ek saal aur intezaar
karne ko jee karta hai
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #6 on: December 07, 2004, 07:48:53 AM »
Reply with quote
haha... gr8 soheb.... good try

Usual Smile ab baqi ghazals ki perodies ap sy hi banwaiengy...ap k pass kafi khhazana mojde lagta ha  glasses2
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 04:07:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer