Weeraan tasawwur mein bachaa hai hi aur kyaa?

by abdbundeli on March 24, 2012, 12:17:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 769 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote

Tum bin habeeb, ghar mein bachaa hai hi aur kyaa?
Maykhaanah-e-jigar mein bachaa hai hi aur kyaa?

Kyaa dey dun tujhey dil key siwaa aur, hamnashin:
Muttahidah anaasir1 mein bachaa hai hi aur kyaa?

Paimaanah-e-firaaq labaalab hai azal sey;
Is aakhiree umar mein bachaa hai hi aur kyaa?

Tum boltey nahin ho nidaaoun2 key ba'ad bhi;
Faryaad-e-purasar3 mein bachaa hai hi aur kyaa?

Girtaa hai niguun4 har khayaal-e-deedahwaree5 aaj:
Afgaar6 is nazar mein bachaa hai hi aur kyaa?

Ay saaqiyah! Ho jaaye na, yeh rind7, namaazee?
Is qudratee kaafir mein bachaa hai hi aur kyaa?

Talchhat bachee hai sirf jaam-e-zindagee mein, Rab!
Durdee8 key is dahar9 mein bachaa hai hi aur kyaa?

Baaqee hain mahaz kuchh parhaaw dour-e-safar key;
Jaw tak kee rahguzar10 mein bachaa hai hi aur kyaa?

Kashtee hai: yaar bhi nahin, patwaar bhee naheen!
Ab beech samundar mein bachaa hai hi aur kyaa?

Jaree hai khizaan, gul khileyngey chand roz ba'ad;
Is dour-e-mukhtsar11 mein bachaa hai hi aur kyaa?

Yaadon key qaafilon mein aik tum hi ho sawaar;
Weeraan tasawwur mein bachaa hai hi aur kyaa?

Beyroktok tuuney pilaayi hai shab-o-roz;
Toufeeq-e-muqaddar12 mein bachaa hai hi aur kyaa?
 
Tinkaa hai mahaz aik, 'abd', tairtaa huaa;
Dariyah kee is lahar mein bachaa hai hi aur kyaa?

1 United basic elements (human body), Sanyukt panch-tatwa;
2 SOS calls; pukaareyn; 3 Effective request, Prabhaawshaalee aagrah 4 Upside down, Ultaa; 5 Thoughtful ability of defferentiating between good & evil, achchhey-burey mein bheyd kar paaney kee yogyataa; 6 Wounded, ghayal; 7 Habitual drinker of wines, peeneywaalaa;
8 Condition of a 'peg' with last few remaining drops, jaam mein bachee huyee thorhee-see sharaab ki sthiti; 9 Very long period of time, Yug-jaisaa deerghaawadhi-kaal; 10 Road that extends upto the horizon, Kshitij tak jaaney waalaa maarg; 11 Brief period of (life) time, (jeewan ki) parilaghu kaalaawadhi; 12 Felicitation or ability as granted by the Fate, Bhaagya sey praapt (aanandopubhog ki) paatrata!

            - abd bundeli

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: March 24, 2012, 12:21:45 PM »
Reply with quote
bahut sunder
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: March 24, 2012, 12:35:53 PM »
Reply with quote
bahut sunder

Shukriya, Saini ji!
Logged
Pramod singh
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 23 hours and 9 minutes.

main shayar badnaam

Posts: 460
Member Since: Feb 2012


View Profile
«Reply #3 on: March 24, 2012, 12:42:25 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Bhai abd ji bhut hi..Khubsoorat hai.  Applause Applause Applause Applause

par ek baat aap se kahunga ki aap urdu ke sabdo ki agar thodi meaning bhi bata diya karein to badi meherbani hogi....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: March 24, 2012, 12:54:51 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Bhai abd ji bhut hi..Khubsoorat hai.  Applause Applause Applause Applause

par ek baat aap se kahunga ki aap urdu ke sabdo ki agar thodi meaning bhi bata diya karein to badi meherbani hogi....

Dhanyawaad, Pramod ji! Shabdon kaa chayan karkey unhain ankaankit kar diyaa hai, baarah shabd hain, bahut deyr lageygee, kal post kar duungaa! Baar-baar aisaa karnaa kathin hogaa! Main bahut deyr tak 'monitor' ko 'face' nahin kar paataa huun! Mua'af keejiyegaa!
Logged
dolly
Guest
«Reply #5 on: March 24, 2012, 02:57:11 PM »
Reply with quote
awesome abdbundeli ji....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2012, 05:58:05 AM »
Reply with quote
awesome abdbundeli ji....

Shukriyah, Dolly ji! Bahut-bahut shukriyah!
Logged
Pramod singh
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 23 hours and 9 minutes.

main shayar badnaam

Posts: 460
Member Since: Feb 2012


View Profile
«Reply #7 on: March 26, 2012, 05:06:55 AM »
Reply with quote
shukriya abdji...samjhane ke liye . i love to read u'r ghazals ..
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: March 26, 2012, 05:27:07 AM »
Reply with quote
shukriya abdji...samjhane ke liye . i love to read u'r ghazals ..

Dhanyawaad! Aapkee sahrudaytaa key liye aabhaaree huun!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 07:36:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.386 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer