Woh aa rahey hain baam pai; dil thaam key baitho!

by abdbundeli on January 10, 2009, 01:34:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1140 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Patrii hai rah-e-yaar ki; aaraam sey baithho!
Woh aa rahey hain baam pai; dil thaam key baitho!!

Aatey hain ley umeed: magar, naa-umeed ho,
Jaatey hain sabhi kaam sey; dil thaam key baithho!

Aankheyn hateyn na; chilqad-e-dar* khaas hateygaa,
Lamhoun key liye shaam sey; dil thaam key baithho!

Jut-tey hain log roz yaheen deed-e-yaar ko:
Nazareyn garhaaou baam pai; dil thaam key baithho!

Nazar-e-karam ko, aayegaa nazaroun mein noor-e-hoor;
Kuchh deir, eihitraam sey, dil thaam key baithho!

Shohrat hai un key naam ki; hai husn beymisaal!
Milnaa hai gulandaam** sey? Dil thaam key baithho!!

Gul bhi naheen hain? Khaak gul-afsaani*** karogey?
Aanaa thaa intizaam sey! Dil thaam key baithho!!

Aatey hain yahaan meer, musaahib, faqeer-o-shaikh;
Ulfat hai jin ko jaam sey! Dil thaam key baithho!!

Ab shaam dhhal rahee hai, bas, ho jaaou hoshiyaar!
Waaqif ho saranjaam sey? Dil thaam key baithho!!

Saaqee ki naheen, wo to, muezzin ki hai sadaa!
Ho roo-b-roo anjaam sey! Dil thaam key baithho!!
 
Ho khaamkhoo#! Aaye ho, to kuchh sabra bhi karo!!
Woh sar## hain khaas-o-aam sey: dil thaam key baitho!!

Hon aap mukhaatib! Shareek-e-bazm hai ‘abd’!!
Matlab hai bas salaam sey! Dil thaam key baitho!!


*  = Armour of the door;
** = Beloved, who is as soft as a flower
***= Showering of flowers
#  = Newbie
## = Superior

                                      - abd bundeli
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Utha rahey hain hijaab aksar by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
Gujar rahey hain qaafiloun pai qaafiley, dekho! by abdbundeli in Ghazals
Baam par hain, to, nigaaheyn bhi wahaan pahuncheyngeen! by abdbundeli in Ghazals
Wo to, wo hain wahee, par na ham, ham rahey! by abdbundeli in Ghazals
Naach rahey hain mor! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: January 10, 2009, 09:49:54 PM »
Reply with quote
Very nice Abd Ji
Logged
Deepati
Guest
«Reply #2 on: January 10, 2009, 10:42:07 PM »
Reply with quote
Very Beautiful Nazam, Abd Ji Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: January 11, 2009, 04:48:09 AM »
Reply with quote
Very nice Abd Ji
Very Beautiful Nazam, Abd Ji Applause Applause
Thanks Rajesh Harish ji / Deepati ji!
                       - abd bundeli
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: January 11, 2009, 04:52:27 AM »
Reply with quote
 Applause Applause

Bohat khoob Abd ji beautifull lines...
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #5 on: January 11, 2009, 04:55:02 AM »
Reply with quote
Applause Applause

Bohat khoob Abd ji beautifull lines...
Shukriyah honeyrose ji!
              - abd bundeli
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2009, 09:11:44 AM »
Reply with quote
Patrii hai rah-e-yaar ki; aaraam sey baithho!
Woh aa rahey hain baam pai; dil thaam key baitho!!

Aatey hain ley umeed: magar, naa-umeed ho,
Jaatey hain sabhi kaam sey; dil thaam key baithho!

Aankheyn hateyn na; chilqad-e-dar* khaas hateygaa,
Lamhoun key liye shaam sey; dil thaam key baithho!

Jut-tey hain log roz yaheen deed-e-yaar ko:
Nazareyn garhaaou baam pai; dil thaam key baithho!

Nazar-e-karam ko, aayegaa nazaroun mein noor-e-hoor;
Kuchh deir, eihitraam sey, dil thaam key baithho!

Shohrat hai un key naam ki; hai husn beymisaal!
Milnaa hai gulandaam** sey? Dil thaam key baithho!!

Gul bhi naheen hain? Khaak gul-afsaani*** karogey?
Aanaa thaa intizaam sey! Dil thaam key baithho!!

Aatey hain yahaan meer, musaahib, faqeer-o-shaikh;
Ulfat hai jin ko jaam sey! Dil thaam key baithho!!

Ab shaam dhhal rahee hai, bas, ho jaaou hoshiyaar!
Waaqif ho saranjaam sey? Dil thaam key baithho!!

Saaqee ki naheen, wo to, muezzin ki hai sadaa!
Ho roo-b-roo anjaam sey! Dil thaam key baithho!!
 
Ho khaamkhoo#! Aaye ho, to kuchh sabra bhi karo!!
Woh sar## hain khaas-o-aam sey: dil thaam key baitho!!

Hon aap mukhaatib! Shareek-e-bazm hai ‘abd’!!
Matlab hai bas salaam sey! Dil thaam key baitho!!


*  = Armour of the door;
** = Beloved, who is as soft as a flower
***= Showering of flowers
#  = Newbie
## = Superior

                                      - abd bundeli


Dil Khush Kar diya yaar Abd bhaijaan apne !1

Qadeer toopchi
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #7 on: January 11, 2009, 11:31:22 AM »
Reply with quote
Dil Khush Kar diya yaar Abd bhaijaan apne !1

Qadeer toopchi
Thanks you a lot, Qadeer toopchi ji!
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: July 22, 2009, 10:26:14 AM »
Reply with quote
Patrii hai rah-e-yaar ki; aaraam sey baithho!
Woh aa rahey hain baam pai; dil thaam key baitho!!

Aatey hain ley umeed: magar, naa-umeed ho,
Jaatey hain sabhi kaam sey; dil thaam key baithho!

Aankheyn hateyn na; chilqad-e-dar* khaas hateygaa,
Lamhoun key liye shaam sey; dil thaam key baithho!

Jut-tey hain log roz yaheen deed-e-yaar ko:
Nazareyn garhaaou baam pai; dil thaam key baithho!

Nazar-e-karam ko, aayegaa nazaroun mein noor-e-hoor;
Kuchh deir, eihitraam sey, dil thaam key baithho!

Shohrat hai un key naam ki; hai husn beymisaal!
Milnaa hai gulandaam** sey? Dil thaam key baithho!!

Gul bhi naheen hain? Khaak gul-afsaani*** karogey?
Aanaa thaa intizaam sey! Dil thaam key baithho!!

Aatey hain yahaan meer, musaahib, faqeer-o-shaikh;
Ulfat hai jin ko jaam sey! Dil thaam key baithho!!

Ab shaam dhhal rahee hai, bas, ho jaaou hoshiyaar!
Waaqif ho saranjaam sey? Dil thaam key baithho!!

Saaqee ki naheen, wo to, muezzin ki hai sadaa!
Ho roo-b-roo anjaam sey! Dil thaam key baithho!!
 
Ho khaamkhoo#! Aaye ho, to kuchh sabra bhi karo!!
Woh sar## hain khaas-o-aam sey: dil thaam key baitho!!

Hon aap mukhaatib! Shareek-e-bazm hai ‘abd’!!
Matlab hai bas salaam sey! Dil thaam key baitho!!


*  = Armour of the door;
** = Beloved, who is as soft as a flower
***= Showering of flowers
#  = Newbie
## = Superior

                                     - abd bundeli


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut umda likha hai aapne Uncle ji.. Bahut accha laga padkar. Thumbs UP Thumbs UP
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #9 on: July 22, 2009, 11:59:48 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut bahut umda likha hai aapne Uncle ji.. Bahut accha laga padkar. Thumbs UP Thumbs UP
Thanks a lot Roja!
          - abd bundeli
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 05:11:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer