ZER -E- LAB JAB WOH MUKURAANE LAGE ...... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on April 20, 2012, 08:15:29 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 3344 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #30 on: April 22, 2012, 03:41:52 PM »
Reply with quote
hasan saheb
  bahut khoob

ghaaairana khoob dhoond ke layee hain dad qubool ho

javed

JAVED  SAHEB , ADAAB . AAP  SE  BAAT  KAR  KE  BAHUT  
MUSARRAT  HUI .  UMMEED  KARTA   HOON   AAP  IS  BAZM  
KO  NAWAAZTE  RAHEINGE . HASAN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Asaa lage by Anushka in Shayri for Dard -e- Judai
**lage hai** by dead heart in Miscellaneous Shayri
^^lage hai^^ by dead heart in Miscellaneous Shayri
DAAGH DIKHNE LAGE MUJHKO MAHTAAB MEIN ..........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MANAANE MEIN JINKO ZAMAANE LAGE HAIN.......HASAN by F.H.SIDDIQUI in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
Qais
Guest
«Reply #31 on: April 22, 2012, 06:17:57 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #32 on: April 23, 2012, 04:41:57 AM »
Reply with quote
bahut bahut Khoob Saheb!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

KHWAISH  JI ,  HAUSLA  AFZAI  KE LIYE  BAHUT  MAMNOON  HOON . HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #33 on: April 23, 2012, 10:13:41 AM »
Reply with quote
Bahut khub Hasan sahab bahut behtrien Gazal Apki. dheroN mubaarak baad qabool kareiN meri taraf se. Aur haan Qadeer sahab ke saath ki hui taqreer bhi khub intresting rahi hai. Is baat pe maiN bhi aapke saath hun. Jahan tak ilm aur tehzeeb ki baat hai wo ek taraf hai ye cheejeN to waqt ke saath badal jati haiN. Par Sukhan ya koi creation wahi hoti hai jo samaj aur samay ki bandishon se upar ho ke likhi kahoi aur sochi jaati hai.
Ek baar phir apki is peskash par meri dheroN daad o mubarakbad

PANKAJ  JI , HAUSLA  AFZAI  AUR  HAM - KHAYAAL  HONE  KE  LIYE  BAHUT  SHUKRIYA .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #34 on: April 23, 2012, 03:25:13 PM »
Reply with quote
Hasan Sahab,

Waah waah bahut khoob...

Dili mubaarakbaad kubool farmaayen.

Mujhe Aqeel Nomani Sahab ka ek she'r
yaad aa raha hai

"lahza badal na paao to kaamosh ho raho
 jab jab gumaan guzre ke jaahil/qabil hai saamne"
 
Satish Shukla 'Raqeeb'

SATISH  JI ,BAHUT  SHUKRIYA , MEHRBAANI . BAHUT  NASEEHAT  AMOZ  AUR  
 QAABIL E TAQLEED  SHER  HAI .  BAHUT   KAAM  AAYA .
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #35 on: April 23, 2012, 05:59:48 PM »
Reply with quote
Hasan Sb Aur Qadeer Sb  
Adaab

main waise hasan  sb se isi ghazal (kah sakte hain) ke tawasut se aashna hun aur Qadeer sb.se  kuch arse se alik salaik hai. Haqqiqatan mudda kuch nahin hai. qadeer sb . apni purani rawayaat ,rawish aur islami dasture wa nukaat ko leker maindani vigha mein shamsheer zani ferma rahje hain . aur aziz hasan sb waqt ke taqazoon ke tahat apna parcham ooncha kiye huye hain . jo khalisan durust hai aur waqt ke taqazoon wa ahmiyat ka alamberdaar hai . achcha raha aap logon ne is bahas ko yahan hi dafn ker diya , werna mujh jaise jahil aur kutah nazr insaan ko iske anjaam ki qatayee koi ummed na thee aur is waqt main ne yeh soch ker hi site kholi thee ke aap dono ko hi is masale per wazeh taur per gosh guzaar ker don anjaam tain tain fish hai , woh apna aalaap gate rahaingay aur doosra apni dhapli , nazariyat mukhtalif mager sahi. aap dono ko meri janib se dili mubarak bad
hasan sb aap apni kawish jari rakhain aur qadeer sb aap mujh se moorcha lete rahain usmein koi muzaiqa nahin hai
khair andesh
khadim

javed
JAVED  SAHEB , MOUZU  KE  TAQAAZON  KE  PESH E NAZAR  KHULE  DIL SE AUR  PURKHULOOS  MASHVIRE  KE  LIYE  AAP KA  MAMNOON  HAOON . DUAGO , HASAN
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #36 on: April 24, 2012, 03:15:35 AM »
Reply with quote
Wow kya kahne hasan bhai.
Dil ko cho gayi ye to.
Aese hi likhte rahe.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #37 on: April 24, 2012, 04:58:55 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
QAIS  SAHEB , SHUKRIYA . KHUSH  RAHIYE . HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #38 on: April 25, 2012, 08:53:19 AM »
Reply with quote
Wah Kya Kehne Bahut Bahut Khub Janab Hasan Saheb Applause Applause Applause

Shad o Aabaad Rahiye...

Shihab
AZIZI  SHIHAB  MIAN . HAUSLA  AFZAI  KE  LIYE  SHUKRIYA  , 
KHUSH  RAHIYE . HASAN
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #39 on: April 25, 2012, 12:16:18 PM »
Reply with quote
Wow kya kahne hasan bhai.
Dil ko cho gayi ye to.
Aese hi likhte rahe.
BAHUT  SHUKRIYA , MASOOM  SHAHZADA  SAHEB . KHUSH  RAHIYE. HASAN
Logged
haqq
Guest
«Reply #40 on: April 26, 2012, 12:01:21 AM »
Reply with quote
janaab sidiqqui saheb;
                aadaab o tasleemaat,

          aapki Ghazal pe jo tajziya janaab muhataram Qadeer saheb ne kiya hai usse Qadeer saheb ki ilmi o adabi qabliyat ka pata chalta hai aur sath hi saath taarikh e insaani o islaami pe bhi unka mutal'a bahut hi wasee lagta hai,Qadeer saheb 'aap ke ek sher ko chhord kar'saare ashaar ko pasaand kiya,iss se yeh zaahir hota hai woh aap ko ek buland paa'e ka 'shayer' maante hain jiska izhaar unho ne apne post main kiya bhi hai,lekin yeh kitni ajeeb baat hai aap ghair jaanibdaari se kaam lene ke bajae apne nazriye  pe ade hoe hain,aap ne ghazal 'baher 'main hi likhi hai,aur qadeer saheb se aapki jo guftagu hai woh badi hi fasih o baleegh urdu main hai,dauraan e guftagu aap yeh kehte hoe nazar aate hain ke aap ki urdu se utni achhi shanasaai nahi hai,.......waghaira..mohtaram 'beshak beti ka istemaal kamaane k sath karahiyat se khali nahi hai.aapka har jawaab ghair mutmain hai,taleem agar zariye maash tak hi mehdood reh jaae to khidmat e khalq ka tassavvur hi khatm hojeega,aur insaniyat khud ba khud dum tood degi,aap ne ana ke jazbe main kya kuch nahi kaha,tang nazar ...waghaira..iska jawaab to Qadeer saheb to dena chahiye tha lekin mei "guest" hone ke naate aapki tehreer padh kar khud ko rok na paaya aur aap ki hardharmi aur ananiyat ko jhinjhodne k liye kuch likhna zarori samjha,lekin aap ki tehreer se pata chalta hai ke aap unlogaon main shumar hote hain,jo aapne kiye pe nadim o sharminda hone ke bajaae ulti hujjat karne main aapne aap ko aqal mand samajhte hain.aap ka nazria aap ko mubarak ...mei yahan par qaribaan 4 saal se aata hoon,Qadeer saheb ki kai ghazlen padhi hain ,aur yahan par kaunsa guest aur shayer nahi jo Qadeer saheb se aur unke fann e shayeri se waqif nahi...mera mashwara hai aap qadeer saheb ki ghazlein padhen khd ba khud aap ko samajh main aajaega ke kis maharati se aap ulajh baithe,mujhe to aap tang nazar aate hain ek jhooti wha wah ke liye maash re main fitna phelaane waali baat kar ke..taleem khidmat e qalq ke liye ho to behatar hai,,kamaane ki baat hai to mere  khud ke complex main  seventh class pass mechanic rehta hai jo mera kiraae daar hai half steald flor kiraae peliya hai 50 thousand mahawari kiraya ada karta hai,bina taleem ke woh kitna kamaraha aap uska andaza lagaiye agar mathematics main aap perfect hon to .apni galti maan lein , aur ek achhe shayer hone ka suboot dein,warna kaheen log nida faazli na samajh lein aap ko bhi,nida faazli ka ek sher unhein arsh se farsh  pe phenk diya tha,sher mulaheza ho..
ghar se masjid hai bahot dooor ,chalo yun karlein..
kisi roote hoe bachhe ko hansaya jaae...
..kya yeh jaayez hai?
jis tarha aap ke nazdeek beti ka kamaana jaayez hai ...shayed nida saheb ke nazdeek masjid jaane ke bajaae bachhe ko hsaana jaaez hoga..

ek sher ke saath mein iss kalaam ko khatam karta hoon

khuda humko aisi khudai na de...
ke apne siwaa kuch dikhai na de...     

aapka khair khwah                   
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #41 on: April 26, 2012, 10:46:46 AM »

 Mohtaram  Haqq   saheb  ,  Main ne  ye mudda  close  kar  diya  thha  kyunki iska  koi  anjaam  nahi  mikalna  thha . Lekin  huzoor  aapne  phir  khol  diya aur  kuchh  kahne  per  majboor  kar  rahe  hain . Main  nahi  jaanta  aap  aisa kyun  kar  rahe  hain , apni  taraf  se , qadeer  sb  ke  maaddah  hone  ki  wajah  se  ya  kisi  ki  eema  per .  aap  ne  mujh  per  aitraz  kiya  ki  main ne  'tang nazri'  ki  baat  kahi  aur  khud  mujhe  bahut  kuchh  usi  tareeqe  se  kah  gaye  jis  per  aap  ne  aitraaz  kiya  hai  (e.g. "aap  un  logon  mein shumar  hote  hain ........) . Qadeer  saheb  ki  tahreer  ko  usi  tafseel  ke saath  analyse   nahi  kiya .  Qadeer  sb  ki  taareef   mein  aur  unki  ilmi qabliyat  ke  baare  mein  bhi  kafi  kuch  kaha  aur   Nida  Fazli  sb. ko  bhi ghaseet  laaye . Main  is  silsile  mein  mazeed  bahas  mein  nahi  padna  chahta  , sirf  chand  baatein  kah  kar  baat  khatm  kar  dunga  aur  ye  bhi request  karunga  ki  ise  yahin  khatm  kar  diya  jaaye  aur Yoindia Shayariadab  per  kisi  unpleasant  precedent  ki  nazeer  laane se  gurez  kiya jaaye:

  1. Qadeer  saheb  ki  ilmi  qabliyat  per  koi  bahas  nahi  hai . Main bhi unka  qadrdaan  hoon . Lekin  Qadeer  sb  ki  qaabliyat  ya  4 saal  se  aap  ka unki  ghazlon  ka  maddah  hone  ka  ye  matlab  to  nahi  hai  ki  YO  ke baaqi ahbaab  ya  jinlogon  ne  baad  mein  join  kiya  hai   koi  ilmi  haisyat nahi rakhte .  Yoindia  Shayariadab  ke  ahbaab  ko  Qadeer  sb  ki  qabliyat  ko  unhi  ki  ghazlon  aur  tahreeron  se   samajhne  dijiye  na  ki  sifaarishi alfaaz  istemaal  kar  ke  ya  doosre  ko  ghalat  saabit  kar  ke.

 2. Yoindia  Shayariadab  eik  khubsurat  platform  hai  jismein  har  tarah  ke ahbaab  hain  jinmein  har  taleemi  satah  aur  samajh  ke  log  hain  ;  mere jaise  naaqisul  aql  bhi  hain .  Urdu  jaanne  waale  bhi  hain  Hindi  waale bhi  aur  doosri  zubaan  mein  likhne  waale  bhi . Har  eik  apne  khayalat  ka izhaar  apne  tareeqe  se  karta  hai . Baher  mein  bhi , bina  bahar  ke  bhi nasr  mein  bhi . Sab  ko  apne  tareeqe  se  likhne  ki  aazaadi  hai  apne khayalaat  ke  izhaar  ki  aazadi  hai . Is  silsile  mein  Yoindia  Shayariadab ki  taraf  se  presribed  norms  agar  toot te   hain  to  monitors  use  dekh lete  hain . Lekin  khayaali  aazaadi  sab  ko  hai . Sab  log  unhein  share karte  hain  aur  eik  doosre  ki  hausla  afzai  karte  hain . Kisi  ko  Urdu Academy  award  ki  tamanna  nahi  hai . Main  bhi  mahaz  isi  khayaal  se ismein  shaamil  hua  thha  aur  doston  se  baat cheet , hansi  mazaaq  mein waqt  guzaar  raha  thha .

 3.Mera  she'r  parhye : " Ilm  phaila  to  phaili  khush  haali  /  Bete - beti sabhi  kamaane  lage ".  is  mein  sirf  ilm  ke  fawaaid  ki  baat  hai  jis  se sabhi  ki  earning  power  barhi - baghair gender bias ke - aur  jo  economic prosperity  ke  liye  zuroori  hoti  hai . Sher  ka  out  of  context  matlab nikaal  kar  use  isi  tarah  condemn  kiya  jaa  raha  hai  jis  tarah  Nida Fazli  sb.  jaise  azeem  shair  ke  eik  intahaai  maqbool  sher  ko  ghalat matlab  mein  samajh  kar  aur  badnam  kar  ke . Sahi  ya  ghalat  ye  faisla Yoindia  Shayariadab  ke  readers  khud  kar  sakte  hain.
 
  Main  kisi  ki  qabliyat  per  koi  comment  karne  ke  bajaai  sirf  itna kahunga  ki  kisi  per  koi  nazariya  thhopna  ghalat  hai  aur  kam az kum  main  to  is  ke  liye  tayyaar  nahin  hoon . Yeh  bhi  kahna  chaahunga  ki is qism  ki  lobbying  Yoindia  Shayariadab  ke  liye  khush  aayend  nahi  hai . Aur  main  iska  hissa  bun  kar  is  website  ki  ifaadiyat  ko  majrooh  nahi karna  chaahta .

  Isliye  aapka  shukriya  ada  karte  huay  baat  khatm  karta  hoon , aur  is Bazm  ke  sabhi  doston  , ( jinki  mohabbat  ki  wajah  se  main  is  Bazm  mein shaamil  thha  ) ka  shukriya  ada  karte  huay  aur , agar  meri  kisi  baat  se unhein  takleef  pahunchi  hai  unse  muazrat  talab  karte  huay  Is Bazm ko ALVIDA  kahta  hoon .

                     Khuda  Hafiz , HASAN
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #42 on: April 26, 2012, 12:48:59 PM »
Reply with quote
janaab sidiqqui saheb;
                aadaab o tasleemaat,

          aapki Ghazal pe jo tajziya janaab muhataram Qadeer saheb ne kiya hai usse Qadeer saheb ki ilmi o adabi qabliyat ka pata chalta hai aur sath hi saath taarikh e insaani o islaami pe bhi unka mutal'a bahut hi wasee lagta hai,Qadeer saheb 'aap ke ek sher ko chhord kar'saare ashaar ko pasaand kiya,iss se yeh zaahir hota hai woh aap ko ek buland paa'e ka 'shayer' maante hain jiska izhaar unho ne apne post main kiya bhi hai,lekin yeh kitni ajeeb baat hai aap ghair jaanibdaari se kaam lene ke bajae apne nazriye  pe ade hoe hain,aap ne ghazal 'baher 'main hi likhi hai,aur qadeer saheb se aapki jo guftagu hai woh badi hi fasih o baleegh urdu main hai,dauraan e guftagu aap yeh kehte hoe nazar aate hain ke aap ki urdu se utni achhi shanasaai nahi hai,.......waghaira..mohtaram 'beshak beti ka istemaal kamaane k sath karahiyat se khali nahi hai.aapka har jawaab ghair mutmain hai,taleem agar zariye maash tak hi mehdood reh jaae to khidmat e khalq ka tassavvur hi khatm hojeega,aur insaniyat khud ba khud dum tood degi,aap ne ana ke jazbe main kya kuch nahi kaha,tang nazar ...waghaira..iska jawaab to Qadeer saheb to dena chahiye tha lekin mei "guest" hone ke naate aapki tehreer padh kar khud ko rok na paaya aur aap ki hardharmi aur ananiyat ko jhinjhodne k liye kuch likhna zarori samjha,lekin aap ki tehreer se pata chalta hai ke aap unlogaon main shumar hote hain,jo aapne kiye pe nadim o sharminda hone ke bajaae ulti hujjat karne main aapne aap ko aqal mand samajhte hain.aap ka nazria aap ko mubarak ...mei yahan par qaribaan 4 saal se aata hoon,Qadeer saheb ki kai ghazlen padhi hain ,aur yahan par kaunsa guest aur shayer nahi jo Qadeer saheb se aur unke fann e shayeri se waqif nahi...mera mashwara hai aap qadeer saheb ki ghazlein padhen khd ba khud aap ko samajh main aajaega ke kis maharati se aap ulajh baithe,mujhe to aap tang nazar aate hain ek jhooti wha wah ke liye maash re main fitna phelaane waali baat kar ke..taleem khidmat e qalq ke liye ho to behatar hai,,kamaane ki baat hai to mere  khud ke complex main  seventh class pass mechanic rehta hai jo mera kiraae daar hai half steald flor kiraae peliya hai 50 thousand mahawari kiraya ada karta hai,bina taleem ke woh kitna kamaraha aap uska andaza lagaiye agar mathematics main aap perfect hon to .apni galti maan lein , aur ek achhe shayer hone ka suboot dein,warna kaheen log nida faazli na samajh lein aap ko bhi,nida faazli ka ek sher unhein arsh se farsh  pe phenk diya tha,sher mulaheza ho..
ghar se masjid hai bahot dooor ,chalo yun karlein..
kisi roote hoe bachhe ko hansaya jaae...
..kya yeh jaayez hai?
jis tarha aap ke nazdeek beti ka kamaana jaayez hai ...shayed nida saheb ke nazdeek masjid jaane ke bajaae bachhe ko hsaana jaaez hoga..

ek sher ke saath mein iss kalaam ko khatam karta hoon

khuda humko aisi khudai na de...
ke apne siwaa kuch dikhai na de...     

aapka khair khwah                   

Janab Haqq Sahab,

Aapki post padh kar ye samajh mein nahin aa raha hai ki aap Quadeer sahab ka taarruff karwa rahe hain ya Hasan Sahab se ghalti manwaana chahte hain. Qadeer sahab achche shayar hain ya nahin iski certificate unko to kisi se nahin chahiye. Maine aapki post par Hasan sahab ka bhi jawab padha aur mere jawaab ko uske maddenazar na dekhein. Wo ab kya karte hain ye unka failsa hai. Main jawab dene per majboor hua hoon kyun ke jis behas ko dono shayron ne chhod diya hai use aap ne phir ubhaar diya. Jiski koi zaroorat nahin.

Khair ye sab chhodiye. Mudde par aate hain. kyun ke wo kahin chhup gaya hai.

Mudda khayal ka hai.. beta aur beti ke kamane ka. Aur agar aap apne sheher ya gaaon mein ass pass dekhenge to na jaane kitni auratein kaam karti hui dikhayee dengi. Kya unki kamayee kharab hai? Beti kamayegi to waldeyn ko giran kyun guzre? Beti apne pairon mein khadi hogi, to isme bura kya hai. Aur agar padh likh kar nahin kamayegi to kya gharon mein bartan maaj kar, kapde dho kar kamaye? Agar padh likh kar teacher ya nurse ya officer bankar izzat ki naukri ya kaam karti hai to isme giraani ki kya baat hai. Aur agar nahin to isko sher mein kyun na kaha jaaye? Isliye ki pehle kisi ne nshin kaha?

Maashra bhi to laya gaya hai beech main. Ek shayar ko mili jhoothi wah wah se maashre kharab nahin hota, use kharab aur pichada rakhti hai usme rehne walon ki soch. ye wo soch hai jo pehle aurton ko padhne se rokti thi, unke ghar se nikalne se rokti thi, Aur ab beti ko kamaane se rokti thi.

Aaj ladkiyan ladkon se behter padhti hain! Aisa shayad isliye hai kyun kyunke unko kuch karne ki chaah hai.

Aur agar is sachchai ko koi shayar seedhe seedhe kehna chahe to usse daleel kyun mangi jaaye? ye kya baat hai. Aisa to koi nahin likhta na hi ye do shayar jinka yahan zikr hai. Aapne jo bhi zaati aur itni mukhtalif baatein Qadeer sahab aur Hasan sahab ke baare mein kahin uspar kuch nahin kahunga. mujh isse koi sarokar nahin ki aapka matlab kya hai.

Sacchai ke tarazu mein, samaj ke haalat ke tarazu mein, Qadeer Sahab ka kehna ki beti ki kamayee ka zikr ghalat hai, Ghalat hai.

Jo achche shayar guzre hain unse agar koi seekh mili hai to uska ehteraam karna chahiye, paththar ki lakeer na bana lein.

Quateel
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #43 on: April 28, 2012, 06:07:18 AM »
Reply with quote
Mahutram FH Siddiuee Sahab , Janab , HAQ sahab , Qauteel Sahab ,, salam ,,

Mai Apna Aitraz Wapas leta hun Aur FH Siddiquee Sahab se maufi Ka talabgaar hun ,, Chunke Bahut dhoondne per Ek sher mil giya jo mere aitraz ko kaat sakta hai ,, Sher mujhe thik se yaad nahi ,,Jigar Muradabi kahete hain ke Ilm Bhi ek zariya hai maaush ke liye ,, Aur ye muyassar nahi to Muflisi o faqa kashi ki imkanat ziyada hain ,,

Aur ek Hadis me aata hai ke Allah ke rasool SAW ne Farmaya ke taleem hasil karne ke liye chinu arab jaana parhe to gurez na kare.N ,, Apne Yahan Mard o aurat nahi kaha ..Tu isse bhi ye baat zahir hoti hai ke Ilm Ek ba waqar zindagi ke liye bahut zarori hai ,,

Meri kam ilmi o muqtasar mutaala ke wajh se ye galti mujh se sarzad ho gaai ,, Mahutram hasan sahab se adban guzarish hai dar guzar kar den ,,,,,Mai Apni galti is liye bhi qubool kar raha hun chunke shairi mazhab ki tarhan hain jisme maslihat nahi chalti na meri na kissi aur ki ,, Mahutram Hassan Sahab sare kham tasleem ,, Apka sher khabile khubool hai ,,

Mahutram Haq Sahab ,, Ap agar char saal se Yoindia ke member hain to huzoor Apka ID bhi zaroor hoga ,, To guest ban ke comments karne ki koi khas wajh ,, Apse adban guzarish hai ke Laheja humwaar kar le.N ,, Chunke ye adbi bhs hai Yahan laheje kis turshi munasib nahi ,, Umid hai Ap meri kissi baat ko otheriwse nahi lenge ,,

Shukriyah ,,

Dua go

Qadeertoopchi
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010

View Profile
«Reply #44 on: April 28, 2012, 06:23:56 AM »
Reply with quote
Janab Haqq Sahab,

Aapki post padh kar ye samajh mein nahin aa raha hai ki aap Quadeer sahab ka taarruff karwa rahe hain ya Hasan Sahab se ghalti manwaana chahte hain. Qadeer sahab achche shayar hain ya nahin iski certificate unko to kisi se nahin chahiye. Maine aapki post par Hasan sahab ka bhi jawab padha aur mere jawaab ko uske maddenazar na dekhein. Wo ab kya karte hain ye unka failsa hai. Main jawab dene per majboor hua hoon kyun ke jis behas ko dono shayron ne chhod diya hai use aap ne phir ubhaar diya. Jiski koi zaroorat nahin.

Khair ye sab chhodiye. Mudde par aate hain. kyun ke wo kahin chhup gaya hai.

Mudda khayal ka hai.. beta aur beti ke kamane ka. Aur agar aap apne sheher ya gaaon mein ass pass dekhenge to na jaane kitni auratein kaam karti hui dikhayee dengi. Kya unki kamayee kharab hai? Beti kamayegi to waldeyn ko giran kyun guzre? Beti apne pairon mein khadi hogi, to isme bura kya hai. Aur agar padh likh kar nahin kamayegi to kya gharon mein bartan maaj kar, kapde dho kar kamaye? Agar padh likh kar teacher ya nurse ya officer bankar izzat ki naukri ya kaam karti hai to isme giraani ki kya baat hai. Aur agar nahin to isko sher mein kyun na kaha jaaye? Isliye ki pehle kisi ne nshin kaha?

Maashra bhi to laya gaya hai beech main. Ek shayar ko mili jhoothi wah wah se maashre kharab nahin hota, use kharab aur pichada rakhti hai usme rehne walon ki soch. ye wo soch hai jo pehle aurton ko padhne se rokti thi, unke ghar se nikalne se rokti thi, Aur ab beti ko kamaane se rokti thi.

Aaj ladkiyan ladkon se behter padhti hain! Aisa shayad isliye hai kyun kyunke unko kuch karne ki chaah hai.

Aur agar is sachchai ko koi shayar seedhe seedhe kehna chahe to usse daleel kyun mangi jaaye? ye kya baat hai. Aisa to koi nahin likhta na hi ye do shayar jinka yahan zikr hai. Aapne jo bhi zaati aur itni mukhtalif baatein Qadeer sahab aur Hasan sahab ke baare mein kahin uspar kuch nahin kahunga. mujh isse koi sarokar nahin ki aapka matlab kya hai.

Sacchai ke tarazu mein, samaj ke haalat ke tarazu mein, Qadeer Sahab ka kehna ki beti ki kamayee ka zikr ghalat hai, Ghalat hai.

Jo achche shayar guzre hain unse agar koi seekh mili hai to uska ehteraam karna chahiye, paththar ki lakeer na bana lein.

Quateel

Quateel Sahab Salam ,,

Apke Ek ek lafz se mau muttafiq hun ,, Ap sahi kahe rahe hain ,, Maine Apni galti maan li hai ,, Allah apko khush rakhe ..

Khadim

Qadeertoopchi
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:31:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer