zik.r phir kuch wahaN nahiN kartey,.......

by laaiba on March 30, 2014, 08:45:59 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1336 times)
laaiba
Guest
Reply with quote

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey
 
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey
 
 laaiba shah
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #1 on: March 30, 2014, 08:58:29 PM »
Reply with quote

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey
 
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey
 
 laaiba shah

Waah Waah Waah Waah Waah......

Kya Kehne Laaiba Jee...Bahut Hi Khoooooob... Bahut Hi Gehre Jazbaat...Har Sher Apne Hisse Ki Baat kehta hua...Bahut Acche..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2014, 09:08:59 PM »
Reply with quote

Laaibaa Saahibaa Aadaab... !

Bahut khoob jee bahut hi umdaa Gazal kahi hai aapne... Sabhi sher pur asar aur khoob rahe...
Badi hi naseehat baqsh aur khoob kalaam rahi jee...
Is khoob kalaam par humari hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Lkhte rahiye... Bazm ko roshan karte rahiye...
Khuda Hafez...

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey
 
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey
 
 laaiba shah

Logged
Akash Basudev
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 14 hours and 21 minutes.

Posts: 353
Member Since: Jan 2014

View Profile
«Reply #3 on: March 30, 2014, 09:48:27 PM »
Reply with quote
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP :thumbup:Laaiba ji aap hamesha bahut accha likhti hain ..Kudos 2 u  
Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2014, 11:09:15 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012

View Profile WWW
«Reply #5 on: March 30, 2014, 11:21:47 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
wah wah bohut hi umda waaaaaaaaaaahhhhhhhhhhh
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #6 on: March 31, 2014, 12:27:20 AM »
Reply with quote
Bahut hi Umdah Laaiba Sahiba. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Surindar.N  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #7 on: March 31, 2014, 07:39:05 AM »
Reply with quote
just excellent ek rau
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: March 31, 2014, 02:52:52 PM »
Reply with quote

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey
 
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey
 
 laaiba shah

Mohtarma laaiba shah sahiba! salam masnoon

aap bhi kahen ge k hum aap he k kalaam par tabsira karnay ku chalay aatay hen.. hamara khayal hay hamen wazeh taur par bayaan kar dena chahiyay....

is ki koi khaas waja nahi hay... jub kisi beher main likhay behter kalaam ko parhen or kahin par apny naa-qas ilm kay hisaab say koi kami beshi mehsoos ho tu ji chahta hay k isay behter kiya jayay... ya apni si raayay day di jayay baaqi likhnay wala behter samajhta hay... aap ki jaanib say choon-kay hamen abhi tak manaa nahi kiya gaya, is liyay ye jasaarat kar letay hen... agar aap ko hamaray tabsira par aetraz ho to bay-fikr ho kar mana farma dejay. baaki ehbaab ka hamen ilm nahi k bura he mana jaain, is liyay abhi tak kahin aur nahi likh rahay..

ake baat or k hum khud shagird hen is liyay jo kehtay hen apnay ilm k hisab say kehtay hen.. hum ghalat bhe ho saktay hen... maqsad sirf sikhaana nahi hay balkay seekhna bhi hay... so jahan aap say ho sakay hamaari bhi tas-heeh kr dia kijay...

aap ki ye ghazal parhi... buhat khoob hay... sar-e-dast hum say bharpoor daad qabool kijay..
kuch ash-aar say mutaliq hamari kuch rayay hay... umeed hay giraaN na guzray gi...

================================================

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

buhat khoob matla hay... daad

----------------

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey

buhat khoob... hamaaray khayal main pehlay misray men :hein: ki jaga :hon: behtar rahay ga

.....................
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
buhat khoob. lekin :arzey zuban: achi tarteeb nahi hay... hamaray khayal say isay :nok-e-zubaaN: kar den to nisbatan behter tarteeb hay

.....................
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

ye sher apnay meaning sahi say bayan nahi kar pa raha hay.. koi behtri ki soorat aap he nikaal sakti hen

.....................
hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

buhat khoob... daad

.....................
tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

yahaan aap nay lafz :tarteebey: sahi nahi bandha hay... :ee: ka sound jahan bhi kisi word kay darmian men ho usay gira nahi saktay... "faa-i-laa-tun" yaani "2 1 2 2" taqtee aisay ho ge :tar (2), tee (2), bey (2): aap is ki jaga :haasiley: baandh kar check karen jis ki taqteeh aisay hay :haa (2), si (1), ley (2): ya phir 212 wazan ka koi bhe lafz..

doosray misray men :KhwaN: sahi nahi bandha hay... taqtee main isay :KhaaN: bandha jata hay.. aap nay isay :KhwaN: likha hay jis say hamen mehsoos ho raha hay k aap urdu script likh/parh jaanti hen... ghalib ka misra hay :Aur Agar Mar Jaiyay To Noha KhaaN Koi Na Ho:, is men "noha khaaN" theek bandha gaya hay...

hamara mashwara hay k :nohaa khwaaN: k bajayay aap :noha kanaaN: likhen jis kay meaning same hen... or wazan bhe poora ho jayay ga...

......................
khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

buhat khoob...

......................
yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey

buhat khoob... maqtaa buhat jaan daar hay... hamara mashwara hay k pehlay misra men :toh: ki jaga :hum:  likhen to aur acha ho jayay ga...

================================

ye sub hamaray naa-qas ilm kay mutabiq hay... umeed hay k kuch bura na mehsoos hua ho ga... aur jahan kahin hum ghalat hen hamari bhi rah-numaai farmaai jayay gi...

wasSalaam

ahqar, vb jee

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #9 on: March 31, 2014, 03:22:45 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009

View Profile
«Reply #10 on: March 31, 2014, 05:14:56 PM »
Reply with quote

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey
 
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey
 
 laaiba shah

waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah rau is ghazal ko nazr karta hoon qabul karein Applause Applause Applause Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #11 on: April 01, 2014, 09:23:05 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Laaiba ji kamaaaaaaaaaal ki peshkash rahi... tareef ke liye alfaaz nahin mil rahe...hazaron dili daaaaad qubool kare...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #12 on: April 02, 2014, 05:37:54 PM »
Reply with quote
Aap sabhee kaa bohat  bohat shuqria , esp sir saini g  rau ke liye Advil aapka b shuqria......
Logged
laaiba
Guest
«Reply #13 on: April 02, 2014, 05:46:59 PM »
Reply with quote

Mohtarma laaiba shah sahiba! salam masnoon

aap bhi kahen ge k hum aap he k kalaam par tabsira karnay ku chalay aatay hen.. hamara khayal hay hamen wazeh taur par bayaan kar dena chahiyay....

is ki koi khaas waja nahi hay... jub kisi beher main likhay behter kalaam ko parhen or kahin par apny naa-qas ilm kay hisaab say koi kami beshi mehsoos ho tu ji chahta hay k isay behter kiya jayay... ya apni si raayay day di jayay baaqi likhnay wala behter samajhta hay... aap ki jaanib say choon-kay hamen abhi tak manaa nahi kiya gaya, is liyay ye jasaarat kar letay hen... agar aap ko hamaray tabsira par aetraz ho to bay-fikr ho kar mana farma dejay. baaki ehbaab ka hamen ilm nahi k bura he mana jaain, is liyay abhi tak kahin aur nahi likh rahay..

ake baat or k hum khud shagird hen is liyay jo kehtay hen apnay ilm k hisab say kehtay hen.. hum ghalat bhe ho saktay hen... maqsad sirf sikhaana nahi hay balkay seekhna bhi hay... so jahan aap say ho sakay hamaari bhi tas-heeh kr dia kijay...

aap ki ye ghazal parhi... buhat khoob hay... sar-e-dast hum say bharpoor daad qabool kijay..
kuch ash-aar say mutaliq hamari kuch rayay hay... umeed hay giraaN na guzray gi...

================================================

dar.d sab per AyaN nahin kartey
ham to aaho FughaN nahin kartey

buhat khoob matla hay... daad

----------------

bheid gehre hein dil ke jab saahib
baa.t her ik BayaN nahin kertey

buhat khoob... hamaaray khayal main pehlay misray men :hein: ki jaga :hon: behtar rahay ga

.....................
jaanney  waale jaa.n leite hein
haa.l arzey zubaN nahin kartey
 
buhat khoob. lekin :arzey zuban: achi tarteeb nahi hay... hamaray khayal say isay :nok-e-zubaaN: kar den to nisbatan behter tarteeb hay

.....................
jo rahe naa shanaa.s lafzon se
guftagu ka GumaN nahin kartey

ye sher apnay meaning sahi say bayan nahi kar pa raha hay.. koi behtri ki soorat aap he nikaal sakti hen

.....................
hai bharosaa khudaa pe jub humko
waq.t  kaa phir ZayaN nahin kartey

buhat khoob... daad

.....................
tarteebey zindagee ye hi hai jub
dil ko nohaa KhwaN nahin kartey

yahaan aap nay lafz :tarteebey: sahi nahi bandha hay... :ee: ka sound jahan bhi kisi word kay darmian men ho usay gira nahi saktay... "faa-i-laa-tun" yaani "2 1 2 2" taqtee aisay ho ge :tar (2), tee (2), bey (2): aap is ki jaga :haasiley: baandh kar check karen jis ki taqteeh aisay hay :haa (2), si (1), ley (2): ya phir 212 wazan ka koi bhe lafz..

doosray misray men :KhwaN: sahi nahi bandha hay... taqtee main isay :KhaaN: bandha jata hay.. aap nay isay :KhwaN: likha hay jis say hamen mehsoos ho raha hay k aap urdu script likh/parh jaanti hen... ghalib ka misra hay :Aur Agar Mar Jaiyay To Noha KhaaN Koi Na Ho:, is men "noha khaaN" theek bandha gaya hay...

hamara mashwara hay k :nohaa khwaaN: k bajayay aap :noha kanaaN: likhen jis kay meaning same hen... or wazan bhe poora ho jayay ga...

......................
khamshee jab bhi baa.t kertee hai
zik.r phir kuch wahaN nahin kartey

buhat khoob...

......................
yun hi toh ish.q ke samandar main
dil ki kashtee rawaN nahin kartey

buhat khoob... maqtaa buhat jaan daar hay... hamara mashwara hay k pehlay misra men :toh: ki jaga :hum:  likhen to aur acha ho jayay ga...

================================

ye sub hamaray naa-qas ilm kay mutabiq hay... umeed hay k kuch bura na mehsoos hua ho ga... aur jahan kahin hum ghalat hen hamari bhi rah-numaai farmaai jayay gi...

wasSalaam

ahqar, vb jee

.

.    Salam mother am Vb g                    Ap ka bohat shuqria , Jo aap tym  nikal ker ghazal pe apne comments dete hein, our iski nok palak sanwarne men help krte hain.....apko tafseeli reply se kafi maloomat mil tee hain , samjhne men b ,isle liye tah e dil se shuqria,                                     Ap ne Jin Assaar ki nishandahi ki hai  use achi tarah se samjhne lia hai , koshish ho gee ke agli ghazal men behrer ka Jahan  khyal rakhti Hun  wahin mo 'ouzon alfaz our  rawani ka b khyal rakhun,    Aik bar phr bohat nawazish our shuqria,
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: April 07, 2014, 03:16:30 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khooooooooooob laaiba ji

hum bhi taareef yun hi nahin karte
bahut khoob kehne se nahin hat -te
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:42:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer