A real incident

by lib80aks on March 07, 2005, 03:08:55 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 7512 times)
lib80aks
Guest
it`s about my neighbour

He is an old man...who can`t walk without anybody`s help.

Some days back..In the morning ....when he woke up, he asked for a glass of water to his daughter-in-law, and she said i can`t give ..i`m gett`in late..i have to go to the temple..and then she filled a metal pitcher with water and went outside to the temple......then somehow that old man called me and i gave him the glass of water.

Do u think that she can get the god`s wishes.

i think not at all......coz god is inside the humans,,,,not in the temples.
Logged
sanya310
Guest
«Reply #1 on: March 07, 2005, 04:51:06 PM »
true!! Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: March 07, 2005, 04:53:48 PM »
very true !!!
Logged
lib80aks
Guest
«Reply #3 on: March 08, 2005, 04:08:57 AM »
please write some real incidents of ur life which shows wut we are and wut we should be.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: March 08, 2005, 04:12:09 AM »
WHY?
Logged
lib80aks
Guest
«Reply #5 on: March 08, 2005, 09:24:05 AM »
it will motivate us to be good , wut we r not.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 08, 2005, 06:54:03 PM »
you are right lib80oaks.....
Logged
Meena
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2005, 04:51:30 PM »
true aks ji!
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #8 on: March 11, 2005, 11:13:41 PM »
OKEY AKS SAB
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #9 on: March 13, 2005, 07:11:40 PM »
good i think it would be better if she first gave water then went temple because its good to go to temple also  but it not means that u dont see  GOD in humans  but u cant ignore to GOD also  and in temple etc we many a times feel so much good n also get amazing feelings etc etc
so GOD n temples etc r also essential in day to day life i think  sorry if anyone not agree with this but i think so
Logged
lib80aks
Guest
«Reply #10 on: March 14, 2005, 09:00:11 AM »
hello sir
why we go to temple , in the search of peace....or to have some very amazing feelings....u just  give a food to a person who is just about to die for being hungery....after that u see wut u feel.....amazing u will feel...then for that person....rama,krishna doesn`t make any sense....u r the god for him.
Logged
lib80aks
Guest
«Reply #11 on: March 14, 2005, 09:03:58 AM »
ek quotation hai
padosi (chahe woh dost hai ya dushman) agar bhookh se mar raha hai...to mandir mein parsad chadana MAHAPAAP hai ..punya nahi
Logged
lib80aks
Guest
«Reply #12 on: March 14, 2005, 09:06:59 AM »
ek quotation hai
padosi (chahe woh dost hai ya dushman) agar bhookh se mar raha hai...to mandir mein parsad chadana MAHAPAAP hai ..punya nahi
Logged
main_aisa_hi_hoon
Guest
«Reply #13 on: March 15, 2005, 06:09:21 PM »
aks ji aap aisa hi kyo sochte hai ki BHAGWAAN KO PRASAD nahi chadau aur bhookho ko khana khilau?aap BHAGWAAN ko prasad bhi chada sakte aur bhookho ko khana bhi khila sakte dono kaam ek saath bhi to kiye ja sakte jaise ki aap jindagi mai kai kaam ek sath karte hi hai jaise job bhi karte/padhai bhi karte apne rojmarra ke kaam bhi karte apne family ka dhyan bhi rakhte etc etc wo sab kaam saath saath kar sakte to mandir jana BHAGWAAN KI POOJA karna prasad chadana kyo nahi kar sakte doosro ke seva ke saath saath  aap apne ghar walo ko khana khilate to kya aisa thore hai koi jarooratmand ko bahar aane par nahi khilayege waise hi BHAGWAAN KO PRASAD chadaye aur bhookho ko khana khilaye ya unki seva kare to kya galat hai?

aap paap aur punya ka nirdharan kaise karne lag gaye?aapka sirf karm karne mai adhikar hai uske aage ki aapki bas ki baat nahi
aapme aham ka bhav lagta hai ki aapne agar kisi ko khana khilaya to hi wo bhookha nahi raha agar aap nahi hote to us bechare ka kuch nahi hota mar jata par wo BHAGWAAN hi hai jinhone aapko nimitt banaya aur kaam karaya aap nahi hote to aur kuch nimitt  dhoondte BHAGWAAN par aap to khud hi sayd apne ko sarvo pari mane lag gaye sayd
isliye
maf kijiyega agar koi bat buri lagi to

doosro ke seva karna bahut accha kaam hai par BHAGWAAN ki bhi seva kare to usme kya harj hai?isse kya kuch ghat jayega hamara?aastik banne mai koi nuksaan nahi hai sayd

ham bahas karna pasand nahi karte fir bhi bas thoda sa likha hai aage aapki marji aap kya sochte hai kya karte hai


ek yah wastvik katha padhne ko mili to ham sabhi ke  sath share kar rahe aur sayd yah kai savalo ka hal bhi ho sakti hai agar theek se soche to





maluk chand naam ke ek seth the.unka janm ilahabad

jile ke kada naamak gram mai  sanvat 1631 ko hua

tha.
unke bangle ke najdik hi ek mandir tha.ek raatri ko

poojari ke kirtan ki dhwani ke karan unhe neend

theek se nahi aayi.subah unhone poojari ko khoob

data ki yah sab kya hai?
poojari bole ekadashi ka jagran keertan chal raha

tha.
unhone kaha are kya jagran keertan karte ho?hamari

neend haram kar di.acchi neend ke baad aadmi kaam

karne ke liye tayyar ho pata hai fir kamata hai tab

khata hai.
poojari ne kaha sethji khilata to wah khilane wala

hi hai.
seth;kon khilata hai?kya tumhara bhagwaan khilane

aayega?
wahi to khilata hai.
seth;kya bhagwaan khilata hai.ham kamate hai tab

khate hai.
pujari;nimitt hota hai tumhara kamana aur patni ka

roti banana baki sab khilane wala sabka palanhar to

wah jagnniyanta hi hai

seth;kya palanhar palanhar laga rakha hai?baba aadam

ke jmane ki bate karte ho,kya tumhara palne wala ek

ek ko aakar khilata hai?aakhira ham kamate hai tabhi

khate hai.
pujari;sabhi ko wahi khilata hai
seth;ham nahi khate uska diya
pujari;nahi khao to maar kar bhi khilata hai
seth;poojari agar tumhara bhagwaan muje 24 ghanto

mai nahi khila paya to fir tumhe apna yah bhajan

keertan sada ke liye band karna hoga nahi to mai

tumhara sir ooda doonga.
pujari;sethji mai janta hu ki tumhari bahut pahooch

hai lekin uske haath bade lambe hai jab tak wah nahi

chahta tab tak kisi ka baal bhi banka nahi ho sakta
theek hai aajma kar dekh lena
poojari satvik bhagwaan mai preeti wale bhakt rahe

honge
malookchand kisi ghor jangal mai chale gaye aur ek

vishaal tree ki oochi daal par chadkar beth gaye ki

ab dekhe idhar kon khilane aata hai?24 hr beet

jayenge aur poojari ki haar ho jayegi.sada ke liye

keertan ki jhanjhat khatm ho jayegi.
2-3 hr bad ek ajnabi aadmi waha aaya.usne usi tree

ke neeche aaram kiya fir apna saman ootha kar chal

diya lekin apna ek thaila wahi bhool gaya
bhool gaya kaho ya chod gaya kaho .bhagwaan ne kisi

aadmi ko prerna ki thi ya aadmi ke roop mai khud

bhagwaan aaye the woh to bhagwaan hi jane.
thodi der baad 5 dakait waha se gujre .unme se ek ne

apne sardar se kaha yaha koi thaila pada hai
kya hai jara dekho?
kholkar dekha to to usme khane se bhara box tha
ek daku ne kaha bhookh to bahut lagi hai lagta hai

yah bhojan bhagwaan ne hi bheja hai
are bhagwaan yaha kaise bhojan bhejega?hamko pakadne

ya fasane ke liye kisi shatru ne hi jahar wahar daal

kar yah box yaha rakha hoga ya raja/police ka koi

plan hoga idhar udhar dekho kon rakh kar gaya hai?
unhone idhar oodhar dekha lekin koi bhi nahi dikha

tab dakuo ke leader ne jor jor se aawaj lagayi;koi

ho to batao yah thaila kon chod kar gaya hai?..
maluk chand ooper bethe bethe sochne lage ki agar

mai kuch bolunga to yah mere gale hi padenge isliye

we chup hi rahe
lekin jo sabke heart ki dhadkane chalata hai,bhakta

vatsal hai wah apne bhakt ka vachan poora kiye bina

shant kaise rahta?usne oon dakaito ko prerit kiya ki

 ooper bhi dekho .unhone ooper dekha to tree ki ek

daal par ek aadmi betha dikha
dakait chillaye are neeche ootar
seth;mai nahi utarta
daku;kyo nahi utarta yah bhojan toone hi rakha hoga
seth;maine nahi rakha koi aadmi abhi yaha aaya tha

wohi ise bhool kar chala gaya
daku;neeche ootar toone hi rakha hoga jahar vahar

mila kar aur ab bachne ke liye bahane bana raha hai

tujge hi yah bhojan pahle khana padega
ab konsa kaam wah sarveshwar kiske dwara kis nimitta

se karwaye ya uske liye kya roop le yah uski marji

hai badi gajab ki arrangement hai us parmeshwar ki
malookchand bole mai nahi ootaroonga neeche aur

khana to katai nahi khaoonga
daku;pakka toone khane mai fir to jahar milaya hai

are neeche ootar ab to tujhe hi khana padega
seth;mai nahi khaoonga aur neeche bhi nahi ootroonga
are kaise nahi ootrega?
dakaito ke sardar ne apne ek aadmi ko hukam diya

isko jabardasti ootaro neeche
dakait ne moolchand ko pakad kar jabardasti neeche  

ootara
daku;le khana kha
seth;nahi khaoonga mai
leader ne dhdak se mooh par tamacha jad diya
malookchand ko poojari  ki baat yaad aayi ki nahi

khaoge to maar kar bhi khilayega...
seth;mai nahi khaoonga wo bole
daku;are kaise nahi khayega iska jabardasti mooh

kholo
dakaito ne jabardasti uska mooh khola aur khana mooh

mai thoos diya we nahi kha rahe the to dakaito unhe

peetne lage
ab maluchand ne socha ye 5 hai aur mai akela hu nahi

khaoonga to yah meri haddi pasli ek kar denge .

isliye choop chaap khane lage aur man hi man

kaha;maan gaye mere baap maar kar bhi khilata hai .

dakaito ke roop mai khila chahe bhakto ke roop mai

khila lekin khilane wala to too hi hai bhagwaan.apne

poojari ki baat  toone satya kar dikhayi.malookchand

mai bhakti ki dhara foot padi bachpan ki bhakti

unko mar peet kar khana khila kar dakait waha se

chale gaye to malookchand ji bhage aur poojari ke

paas aa kar bole;maan gaye aapki baat ki nahi khaye

to wah maar kar bhi khilata hai
poojari ji bole;waise to kuch din tak koi khana nahi

khaye to wah jaroor kisi na kisi roop mai aakar

khilata hai lekin maine prarthna ki thi ki kuch din

ki nahi ek din ki shart rakhi hai isliyetum kripa

karna
agar koi sacchi sraddha aur visvas se hriday poorvak

koi prarthna karta hai to wah avsya sunta hai.wah to

sarva vyapak ,sarva samarth hai uske liye kuch bhi

sambhav nahi hai
kartum shakyam akartum shakyam anyatha kartum

shakyam
malook chand ne poojari ko dhanya wad diya we sochne

lage jisne muje maarkar bhi khana khilaya us sarva

samarth ki mai khoj karoonga
we us khilane wale ko khoj mai ghane jungle mai

chale gaye waha bhajan keertan mai lag gaye aur seth

malookchand se saint malook das ho gaye
we 108y tak jiye kaiyo ke jeevan unke karan badle

kai log acchi rah par chale hajaro lakho logo ka

bhala hua
jab we sansar se ja rahe the unhone bhakto se kaha

ki BHAGWAAN JAGANNANATH ko snan karane par panali se

pani jaha neeche girta waha meri samadhi banana aur

JAGANNANATH JI ko bhog lagane ke liye roti banane

haitu jo aata ghootha jata usme se bache aate ka ek

moti roti bana kar is daas ko bhi bhog laga dena
bhakto ki himmat nahi hui ki JAGANNNANATHPURI  mai

aisi vyavstha karwa sake isliye unhone ek box mai

maharaj ka sarir rakh kar dariya mai jal devta ko

arpan kar diya
par wah box tairta hua kinare aa gaya aur kisi ko

prerna hui aur BHAGWAAN  ki kripa se jaisa malook

das ji chahte the waise hi vyavstha ho gayi
aaj malOOk das ji ki samadhi BHAGWAAN JAGANNANATH ji

ke mandir ke dakshin dwar par sthit hai aur BHAGWAAN

JAGANNATH JI ko bhog lagane ke liye jo aata ghoontha

jata hai unme se bache hue aate ki roti banti hai

aur usika malook das ji ko bhog lagaya jata hai

jeevatma  parmatma ka sanatan ansh hai wah agar us

parmatma ka aashrya lekar kuch thaan leta hai to  

prakati uski avasya madad karti hai .use poora kiye

bina nahi rahti fir chahe nimitta kise bhi banaye
Logged
nishita
Guest
«Reply #14 on: March 16, 2005, 11:02:34 AM »
nice all
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 12:01:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer