Geraft - (Sequel to "Bedard", "Anjaan" and "Firaaq" (love crime thriller story)

by ASIF on March 23, 2024, 06:44:21 AM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 398 times)
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #15 on: March 23, 2024, 07:50:38 AM »
Paani ki ek tej bauchar jab Asif ko apne upar mehsus huyi toh wo bhauklaata khaasta uthne ki nakam koshish karne laga oose ahesass hua ki wo barf ki seelli par laita tha aur ek ke baad ek uspar balti bhar paani faika jaa raha tha kamre ka vatarvaran itna sard tha ki oose apna badan sunn hota mehsus ho raha tha, kuch dair tak yuhi uske sath hota raha,

Fhir oose uthaaye nidhaal haalat mein diwar se lataktti chain ko uske dono haatho mein latkaakar baand diya gaya, ab uska haath upar utha Bandha tha zanjeero mein aur wo oosi sahare latka khada tha oose ahesas hua ki uske badan par kapra nahi tha siwaay  taango ke beech ko chodhke, tabhi wo aadmi uske paas aaye Asif unhein ghurne laga, dono ke haath mein baas ki laathiya thi, torture ka silsila shuru ho chuka tha wo tabadtod laathiya uske badan par maarne lage, har maar par uski utni hi cheekhe pure hall mein gunz rahi thi,

Jab wo log thak kar haafne lage to unhone apni apni laathiya farsh pe faikh di jispar khoon laga tha asif ka pura badan cheel sa gaya tha jagah jagah nishaan kaale aur laal pad gaye they, kahi zakhmo se khoon katkar nikal raha tha, fhir unhe hukam mila toh unhone zanjeer khol daali Asif ko baazuyo se thaame ghassitte unhone oose wohi zameen pe gira diya, ooske haath piche se bandhe aur oose waisi haalat mein chodh waha se dafa ho gaye,

Oose fhir hosh tab aaya jab kuch aur aadmi waha pahuche they unhone zabran oose uthaya, Asif ne puri taqat jutaaye sar ka vaar unpar karna chaha lekin wo zakhmi hone se kuch kar na paaya aur wohi aaundhe munh gir pada uspar hasste un logo ne ek ke baad ek uspar pao ki thokhar maarni shuru kar di ek ke baad ek jute uske zakhm bhare jism par buri tarah padne Lage, fhir unhone oose uthaya aur sidha laitaakar haath pao paas rakhki rassiyo se baandh diya, wo log uske charo taraf khade ho gaye fhir shuru hua pichle baar se badtar torture unke haatho mein Asif ko belt lehraata dikha,

Uske baad wo uspar aise Tut pade jaise unki usse koi purani dushmani rahi ho, wo dahadh wo cheekh Anika ke kaan mein pad rahi thi jisse oose ek azib sa sukoon haasil ho raha tha apne dushmano ko wo isi tarah torture karti thi, aur wo toh uske shouhar ka qatil tha, tabhi uska aadmi uske paas aaya

"Jyada torture karenge to marr jayega aap kahe to uska kaam tamaam kar de ooske haath pao kaat de ya uski aankhe nikaalke pehle oose taqleef mein tadapne de ya fhir"

"Nahi aisa kuch nahi karna uske liye itna kaafi hai jabtak main na kahu koi aadmi oose dobara haath nahi lagayega paani maange pila dena lekin koi bhi harqat karta dikhe to tum jante ho tumhe kya karna hai par ahetiyat se marnna nahi chahiye na hi uske jism ka koi hissa kharab hona chahiye"

Itna kehte huye Anika waha se nikal gayi, bejaan Asif ko us band kamre mein dhakelte huye salaakho wala darwaja laga diya gaya, asif uthta dard se tadapte khoon se tarbatar un salaakho par haath peetne laga dard se tadapte huye belt ki chot se behte khoon ko apne badan se pochta dahadhne laga, kis baat ki saza mili thi oose? Kyu wo log oose sidha sidha maar nahi dena chahte they?

Tabhi ek aadmi aaya aur usne rod ka ek bharpur vaar salaakho pe kiya toh sihamta Asif piche jaa gira, usne oose aankh dikhaya aur agaah kiya ki dobara agar wo chillaya to bahut bura hoga, Asif us waqt maar aur torture se kamzor pad chuka tha, na jaane us band andhere kamre mein oose kitna waqt guzaarna tha? Waha uska dum ghut raha tha wo us patthar jaisi bani baithne ki jagah par ghutne mode lait gaya wo kal se bhooka tha aur uske jism mein dard ki tees uth rahi thi, oose apne aage andhera chata mehsus hua,

Lekin wo pehla din nahi tha har dusre din uske sath torture hota tha, aur is qadr torture ki uski himmat jawab dene lag jati thi, wo bedard Asif ab kamzor padh chuka tha lekin wo rehem ki bheek nahi maangta tha wo har dard ko bardasht kiye bas aansu bahata tha, wo gunde oose Arif ke qatl ke naam par maarte they, aur gusse mein aake is qadr maarte they ki bas jaan le li lenge, lekin tab hi aise ahetiyat se maarte they jisse wo marr na jaaye,

Panchve din ek doctor aaya uske kaaragha mein ghusa oose zameen se uthakar uski marham Patti ki aur dawaiya lagate huye Anika ke khaas aadmi ko bataya ki agar uske shareer ke sath aur torture kiya gaya to oose kuch bhi ho sakta tha sar pe gehri chot lagi thi agar wo bigadh jati to brain hammerage tak ho sakta tha, doctor ke jaane ke baad Asif ne paani maanga jispar uske aage paani rakhta Gunda salaakhe lagaye chala gaya, uske haath pao rassiyo ki Geraft mein they wo ghasitta munh glass mein lagaye jaise taise oos paani ko peene laga akhir mein glass zameen pe ludak gaya Pani beh Gaya, wo wohi girkar rone laga uska sunne wala waha koi nahi tha, na jaane kitne din aur wo oose yu bandi banake rakhne waale they,

Saatve din Anika waha aayi uske saamne chair par Asif waise hi haalat mein baitha hua tha uske sar par Patti bandhi thi haath pao mein bhi pattiya bandhi thi, kalai par rassiya wo aise pada zameen ki taraf dekh raha tha jaise kahi khoya hua ho, Anika oose gaur se dekhne lagi,

"Malum chal gaya hoga ki tumhare sath ye sab kiske hukam se hua hai?".....Asif ne Anika ki taraf dekha uske aankho mein aansu they

"Ye to kuch bhi nahi agar main inhe keh du tum soch bhi nahi sakte ye tumhare sath kya kuch kar sakte hai?"

"Nihatte pe vaar karna aasan hai"

"Shut up just shut up yaha main bolungi aur tum sunoge".....Anika ne kadakte huye ek ek shab dohraya uski khaa jaane wali nigaho se Asif daraa nahi par hadbadaya zarur

"Main apko nahi janta maine aapke husband ka khoon nahi kiya wo main nahi!'

"Sach hamare saamne aa chuka hai main janti hoo tum uski tarah hubahu dikhte koi aur ho, Arif adam ko dhundhne meri wajah se Dhaka gaya tha lekin badkismati se tumhari wajah se mere Arif ki jaan gayi"

"Aur mere dost ka kya? Us begunah ka kya? Jise aapke Arif ne maar diya, haan ye sach hai main gaya tha Arif se badla lene lekin oosi waqt Islam aur uske aadmi ne humpar attack kar diya tha unka target main tha lekin unhone aapke husband ko mujhe samjhakar goli maar diya mere saamne hi Arif ne dum toda tha"

"Toh zimmedar kaun hua? Iska jawab tum khud jante ho, tum ho zimmedar aur ab tumhe uski bharpayi karni hai, u have to pay for the deeds no matter what?"

"Maine jo kiya apne begunah dost ke liye kiya, kuch paaya nahi hai zindagi mein maine siway khone ke agar aapki saza ka main haqdar hoo to mujhe manzur hai maar dijiye mujhe yahi lekin fariyad hai kishto mein na maariyega"

Us baat ko sun Asif ke ghulte ansuyo ke dekh Anika ke un kathor nazaro mein jaise ek pal ke liye bechaini uthi, oose aisa laga ki saamne wo Asif nahi uska wohi Arif tha jise wo hamesha Dara sihma hua dekhti thi, aaj agar Arif badla tha toh sirf uski badaulat aaj Arif mara tha toh shayad kahi na kahi uski wajah se na wo Arif ko adam ka malumat karne bhejti aur na hi wo kisi fasaad mein padhkar apni jaan gawah baithta,

"Jo tumne kiya hai wo maanfi ke kaabil to nahi lekin tumhari wajah se Arif mere saath nahi maine tumhari pichli zindagi ki tamaam baaton ko suna hai kin mazburi mein tum is dhandhe mein utare? Sab jaan chuki hoo"

Anika ne wohi kahani dohraayi jo Sam ne usse kahi thi, Anika ne fhir Asif ki taraf dekha wo oose chupchaap dekh raha tha,

"Agar apna tumne khoya hai to usse badhkar maine bhi, chahu to jis wajah ke liye is desh aaye they us wajah ko main hamesha hamesha ke liye khatam kar du, tumhari wo Mohabbat arnisha yahi naam hai na us ladki ka kahan hogi is waqt? Kya oose malum hai ki tum kin haalato mein fase ho?"

Us baat ko sunkar Asif ghabrane laga wo sar na mein hilaane laga haath jodne laga, "shadi shuda hai na woh main chahu to oose dhundhkar uske pure parivar ko aag mein jhonk du tab mehsus karoge us apno ko khone ka dard"

"Hargiz nahi aap aisa hargiz nahi kar sakti"

"Ye same story nahi hai asif jaha tum oose bacha loge, tum shayad mujhe nahi jante main bahut buri hoo bahut buri main kya kar sakti hoo? Ye tumhe andaza bhi nahi mere aadmi chahe to oose yaha uthakar le aaye aur tum to jante ho ki wo kitna torture karte hai?"

"Aap jo kahengi main tayyar hoo lekin oose aur uske family ko kuch mat kariyega usne pehle hi bahut kuch jhela hai pls pls"

"Aise hi gidgidate mard mujhe pasand aate hai khair ab mudde ki baat bhi kar le"

Anika ne Asif ko bataya ki wo abtak isliye zinda tha kyunki wo hubahu Arif ki tarah oose dikhta tha, usne Asif ki khubiyo ko suna tha aur jo dhandha Anika ka karobar tha wo oosi dhandhe se kahi na kahi taluq rakhta tha, usne Asif ke aage ek aisa scheme rakha jise agar wo na maanta to wo to marrta hi usse pehle wo kayi apno ka mara munh dekhta jismein uski mohabbat arnisha shaamil thi, us baat ne Asif ko andar tak jhinjhodh diya,

Usne Arif ki puri kahani oose sunai aur fhir apne karobar aur apne Abba Shah Alam ke baarein mein bataya, shadi ke baad Arif ne business aur unke empire ka gair kanooni dhandha dono badastur zimmedari se sambhaala tha wo syndicate ka aaj ek ang tha lekin uski maut ke baad ab zimmedari ka bhoj Anika ke upar pad raha tha aur wo akele is gair kanooni dhandhe ko chala nahi sakti thi, wohi uske Abba mayor banne ke bawjud dhandhe se ekdum kinaara kar chuke they, syndicate jaise international crime lord ke organisation mein bhi wo unka hissa bane nahi reh paaye they, ab jabki Arif tha nahi to kisi ko wo tamaam zimmedari sambhaalni thi aur iske liye wo kisi aur ko nahi chun sakte they,

"Agar main tumhe mauka du sirf isliye ki tum mujhe Arif ki yaad dilate ho tumhe dekhkar aisa lagta hai ki Arif mera pyaar mere saamne baitha hai toh main tumhe mauka de sakti hoo uski Kami puri karne ka uski jagah lene ka"

"Main ye napak kaam nahi kar sakta Mera zameer mujhe hamesha jhinjhodta rahega".

Tabhi Anika ne table pe rakhka glass uthaya aur table pe de maara jiske sheeshe tutkar bikhar gaye kuch Asif ke chehre pe pade to wo jagah Kant gaye kuch hisse uske goad mein gire, Asif kaanpta bhaale barsati Anika ki nazaro ki taraf dekhne laga,

"Maine choice nahi tumhe bataya hai baaki mat Maan ke dekho aur anjaam khud tumhare saamne hoga yahi tumhari aankho ke saamne nangi tadapti tumhari arni!"

"Basss bass karo"

Asif kaan band kiye pagalo ki tarah chillata rone laga wo bhayanak tassavur bhar se wo kaanp utha tha,

"Jo faisla karna hai abhi isi waqt"

"M..main tayyar hu mujhe kya karna hoga?"

Anika tahaka lagaane lagi aise pagalo ki tarah hassne Lagi jaise kisi bacche ki zidd puri kar di gayi ho, Asif oose bhauklaaye dekhne laga wo uthi aur pao ki thokhar se apni kursi faikti waha se lambe dag bharti chali gayi,

                             ----------

Asif ko us kaaragah jaisi salakho Wale kamre se bahar nikaala gaya, uske haath khol diye gaye, uske saamne ek naai aaya jisne oose kursi par baith jaane kaha uske baad usne uske baalo ko kaanta fhir shaving ki fhir dressing ki pattiya khol di sukhte ghaav ko pocha uspe naya bandage chadhaya aur oose jaane kaha, uske baad ek darwaja khola gaya jaha shower area tha,

"Jao naha lo aur ye rahe kapde ise pehen lo"

Wo naye kapde they uske purane kapde toh oose laakar kaichi se kaat diye gaye they, wo oosi haalat mein langdaata kapre aur tauliye us aadmi se liye andar chala gaya, paani ke padte hi jism ke jagah jagah chot aur zakhmo par Jalan hone lagi, daant dabaye Asif shower ke niche bheegta khada ho gaya, usne sabun se apne badan ko ragada fhir paani se nahaya uske baad tauliye se pure zakhmi badan ko ponchte huye wo paas ke ek tute aayene ke saamne aake itne din baad usne apni Surat dekhi, usne kapre pehne aur fhir diye joote pehne uske baad wo jab bahar aaya to uska kaaya palat tha, oose bina thaame gunde sidiyo se bahar le aaye, bahar ki tej dhoop padte hi ek aadmi ne oose chashma diya jise pehenkar kayi hadtak uski aankhen sthir huyi,

Wo lambi sidiyo se niche utara usne piche mudkar dekha to wo ek band ujaad khandar jaisi jagah thi jo jungle ke beech mein thi, lekinn wo bhaagkar kis taraf jaata har taraf to oose anika ke aadmi ghumte dikh rahe they, wo log uske saath niche utare tabhi black Mercedes car unke saamne ruki,

Gaadi ka sheesha niche hua aur andar chashma pehni Anika dikhi, darwaja kholte huye Asif uske bagal mein aakar baith gaya, gaadi chal padi, Anika ne oose dekha fhir bahar ki taraf dekhne lagi, kuch dair mahoul mein khamoshi rahi, fhir Anika ne kehna shuru kiya

"Ye baat sirf main janti hoo aur mere father jante hai ki tum kaun ho? Lekin ab se tum sabki nazaro mein Arif ho mayor sahab ka daamad"

"Lekin main kisi ko kaise yakeen dila paunga ki main arif hoo?"

"Don't worry wo agar tumhe dekhenge toh ye faisla nahi kar payenge ki tum kaun ho? Unhe ye yakeen dilaya jayega ki kisi dushman ke haatho marrne se tum Bach Gaye, aur humne jis aadmi ko Arif samajhkar dafnaya tha wo jali laash kisi aur ki thi waise bhi Arif ki body is qadar jal chuki thi ki uske chehre se oose pehchan paana namumkin tha tumhe tamaam karobar ki cheeze malum honi chahiye tumhe kisi se zyada baat nahi karni yahi bataya jayega ki tumhari yaadasht gum ho gayi hai jis wajah se tum humhe itne dino baad bichade mile ho"

Asif sehmati mein anmane bhaav se sar hilaata chup raha, kaash is mushkil ghadi mein koi uska saath de paata, umeed oose khatam hoti nazar aa rahi thi, bas mann hi mann wo dua kar raha tha ki Anika arnisha ya uske parivarwalo ke sath kuch kar na baithe,

Anika Asif ko Dhaka se apne sheher laa chuki thi gaadi ruki fhir driver ne fatak khola dono utare toh Anika ka jaise rangat badla wo yu Asif se peshane lagi jaise wo Arif tha, Asif hakka Bakka oose dekhne laga to usne aankh tarerkar oose dekha ishara samajhte hi bhauklata Asif fiki muskurahat dete sab taraf dekhne laga sab janne wale businessman aur media ke log waha mauzud they, usse hairat se pucha jaane laga ki wo us durghatna mein bacha kaise tha? Aakhir kya hua tha? Asif se jawab dete nahi ban Raha tha camere ki flashing uske chehre pe pad rahi thi, to usne nazaro ke saamne haath rakh liye Anika oose kheechte huye apne saath le jaane lagi media waale oosse sawaal karne lage,

"Ji darasal unki abhi tabiyat theek nahi hai kaafi lambe coma se guzare hai pls aap interview baad mein lijiyega security"

Itna kehkar Anika oose bungalow ke andar le gayi, jabki compound mein security press waalo ko wohi rokne laga, andar aate hi anika ne Asif ki taraf saqti se kaha "dekha kya rutba hai hamara yaha? Aur tum unke aage ladkhadane lage? Yaad rakhna koi bhul nahi honi chahiye kisi ko malum nahi chalna chahiye ki tum Arif nahi ho"

"Jo main hoo nahi wo unhe kaise yakeen dilaau?"

"Jhoot kehna padega yakeen dilaana padega kyunki yaha tum isi wajah se abtak zinda ho".....Anika beech raaste mein khadi hokar oose ghurrte huye kehne lagi

Asif waise hi khamosh oose dekhta raha itne mein oose apne saamne Shah Alam dikha gambhir ektak oose ghurta, Asif ne uske baarein mein suna tha ki wo insaan ek zamane mein crime lord tha pure state par uska kabza tha aur ab to wo mayor tha, Anika uske paas gayi oosse kuch kahi fhir Asif ko dekhkar wo sidiya chadhti upar chali gayi, wo Asif ki taraf badhne laga aur asif uske kareeb, usne paas aakar Asif ka muana kiya,

"Waqayi jhoot nahi tha tum bilkul hubahu Arif ki tarah dikhte ho"

"Dekhiye!".....Shah Alam ne kathor nazaro se haath dikhaake oose chup rehne ko kaha

"Sidha sidiyo se upar chale jao aur jaisa meri beti kahe waisa karna warna anjaam jaante ho"

Unki baaton mein ek dara dene wali dhamki thi, Asif sehmati mein ghabrata sar hilaaye unke bagal se guzarta sidiyo se upar dheere dheere chala gaya aisa lag raha tha ki agar wo waha ek pal teherta toh shayad Shah Alam oose zinda nigal jata,

Present

Ek wo waqt tha aur ek aaj ka din tha jab Asif dheere dheere Arif ki tarah uski jagah liye uski zindagi jee raha tha, aisa lagta nahi tha ki ye kal ki baat ho, dheere dheere Shah Alam aur Anika ke trained kiye wo tamaam karobar ko sambhaalne laga tha us gair kanooni Dhande ko jismein wo chowdhury sahab ka mehez pyada tha, syndicate ki meeting mein bhi wo darrte sihamte Russia gaya tha lekin uspe kisi ko ratti bhar shaq nahi hua, har koi oose accident se ubharta apni yaadash khoya Arif hi samajh raha tha lekin asal mein sachai to kuch aur thi aisa lagne laga tha ki ab yahi uski duniya banne waali thi,

Har ghadi uske saath bodyguard hote they jo hathyarband rehte they, jaha wo kaidi ki tarah ek zindagi jee raha tha wohi ek aisho aaram aur shourhat ki zindagi wo jee raha tha, oose sirf ishara karna hota aur uske saamne aisi lazeez aur keemati cheeze paros di jaati jiska usne sapne mein bhi khyal nahi kiya tha, wo janta tha uske kamre mein rakhka phone uske paas diya mobile par tamam data aur call dekhi suni jaati thi, Anika uspar hamesha paini nazar rakhti thi chahe wo uske ird gird na bhi ho, jis tarah wo sabke saamne Arif banta tha wohi Shah Alam aur Anika ke samne unke ghar mein uski haisiyat kisi gulam jaisi thi, har cheez ki yaha tak kamre ya toilet mein jaane ke liye bhi oose izazat aur batakar jaana padta tha,

Anika ne uske dil mein apna khauff jaise baitha diya tha, mayor ki party se aane ke baad us raat Asif gumsum baitha us aalishan kamre ke bistar par bahar sliding window se khubsurat raat ke nazaare ko dekh raha tha tabhi Anika uske paas aayi, wo aajtak usse dur rehti thi lekin aaj wo nashe mein thi wo panjo ke bal bistar par chalti uske kareeb aakar baith gayi aur oose ghurrne lagi, uske shirt ke buttons kholti uske nange seene par haath phairne lagi,

"Y..ye kya kar rahi hai aap?"

"Sshhh tumhe kya laga? Arif kya sirf tum duniya jahan ke liye ho khambhkt ye chehra mujhe uske pyaar ki hawas ki yaad dilaata hai kitne khush they hum? Lekin tumne hamara sabkuch humse Cheen liya"

"D..dekhiye mam u r drunk aap nashe mein hai pls aisa mat kariye"

Asif oose khud se dur dhakelne laga, lekin usne kasskar oose kandhe se thaam liya, wo rone rone par ho gayi, "aaj mehsus hota hai ki main kitna akeli hoo? Tum jo bhi ho ab mere Arif ho aur mujhe kuch nahi chahiye kuch nahi"

Asif oose ekdum gusse se dhakelta bistar se uth khada hua, Anika kisi ghayal sherni ki tarah oose ghurr rahi thi,

"Aapne jo kaha maine kiya lekin iska matlab ye nahi ki main arif ki tarah aapke saamne pesh ho jaunga main janta hoo main kismat ka maara hu lekin iska ye matlab nahi ki maine oose bhula diya aur main chahke bhi oose chodhkar kisi aur ka nahi ho sakta"

Anika ne dahadhte huye paas rakhke daraaz se wo gun nikaala aur uske trigger pe ungli rakhke oose Asif ke chehre ki taraf taan diya, wo gusse mein tilmila rahi thi uski Maan ko chot pahuchi thi aur uski itni himmat jo usne itna kuch kehne ki zurrat ki,

"Tumhari ye aukwad ki ek do take ki ladki ke liye mujh jaisi aurat ko thukrao bhulo mat ki tumhari Jaan yaha girvi padi hai main nashe mein hoo par aapsi sauda bhuli nahi hoo tum yaha na kaho aur waha tumhari us mehbooba ka anjaam dekho fhir khud tum apna"

Asif dehshat mein pad gaya wo bhul chuka tha ek lamhe ke liye usne ghutno ke bal baithkar na chahte huye bhi Anika se minnat kiya ki wo aisa kuch na kare, Anika ne oose uthne kaha aur apne kareeb bulaaya Asif na chahte huye bhi apne kapre utaarne laga, Anika ye dekhkar hassne lagi wo badastur gun Asif par taani rahi jabtak usne apne tamam kapre khud ke jism se alag na kar diye, Anika ooske nange badan ko niharti uske kareeb badhte huye paas aayi aur uske kaan ke paas honth laakar usne ek ek shabd dohraya,

"Tumhari marzi ki yaha koi keemat nahi hai, beeta kal ek laash ki tarah hota hai jo ek baar dafan ho gaya so ho gaya, lekin agar tum mera aanewala kal na bankar beeta hua kal banna chahte ho toh mujhe tumhe dafnane mein koi aitraaz nahi"

Asif ke aankho se aansu chalak pade aur Anika ne shaitani muskurahat dete huye uske sar ke baalon ko haatho mein thaama aur kasskar uski gardan upar uthaayi wo sisak pada anika ne uske kaan ko apne daanto se wehshi taur par kaata aur aur oose apne saath bistar par dhakel diya,

To be continued
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #16 on: March 23, 2024, 07:52:15 AM »
Dhaka ke us anjan club mein baithi safa nashe mein churr thi, mahoul mein music baj raha tha aur Nasha Sarobaar tha, safa ko Dhaka aaye huye kaafi waqt ho chala tha lekin wo ab bhi yun hi bauhraaye fhir rahi thi, wo table par hi sar rakhkar Khali jaam ke glass ko nihaar rahi thi is beech kayi mard uske pehlu se guzare oose bhaav diye kisi ne to oose chuna chaha lekin safa ne jab bhi unhe aankh tarerkar dekha ya ishara kiya to wo samajh gaye ki nashe ke hawale hone ke bawjud wo hosh mein thi, wo khamoshi se bhaithi huyi thi usne bartender par chillaya aur oose ek peg aur banane kaha,

Jab uski nazar paas pade ek akhbaar par padi to usmein oose ek jaani pehchani Surat dikhi wo Bangladesh mein chalne wala Roz ka akhbar tha usne bartender se wo akhbar uske paas laane kaha, jise lekar wo oos front page ki tasveer ko gaur se dekhne lagi press ki bheedh ke saamne wo hubahu adam jaisa dikhta ladka tha aur uske theek bagal mein Anika thi, usne gaur se padha aur jo kuch uski samajh Aya to jaise uske pao tale zameen khisak gayi,

Jab usne nazar akhbar se upar uthaayi to aur wo zyada soch mein pad gayi, yaani Anika ka husband koi Arif hubahu adam jaisa dikhta hai lekin ye kaise ho sakta tha? Ye baat Anika ne usse chupaai kyu? Kya yahi wajah thi jo uske aadmi uski talash kar rahe they taaki wo pal pal ki khabar Anika ko uski de sake wo to waqt rehte usne Anika ko na sirf phone se block Kiya balki uske diye gaadi ka number plate bhi badalwa Liya tha, lekin Anika aisa kyu kar Rahi thi? Kahi uski mansha is baat ki taraf nahi thi ki safa agar uske shouhar ko dekh le to wo oose apna Adam samajh baithe?

Kuch samajh nahi aa raha tha oose, ek to uska Raaz Anika janti thi ki wo mental asylum aur kanoon ki nazaro se chupti chupati kahan fhir rahi thi? Agar ye baat wo aage police ke rakh de to khel khatam, lekin wo ladka Arif? Safa ko kuch gadbad lagi streamerboat haadse mein Arif maara gaya ye to usne padha lekin wo bacha kaise? Achanak oose us taxi driver ka khyal aaya woh bhi to adam ki tarah dikhta tha, kya ek hi shakal ke itne chehre ho sakte they? Kuch gadbad tha agar wo Arif nahi tha toh wohi ho sakta tha, lekin wo taxi driver Asif jiske sath usne ek raat bitaayi thi jiski taxi mein apne motel aayi thi wo toh oose dhundhe nahi mil raha tha aur wo Anika ke haatho kaise lag sakta tha? Kya waqayi wo Asif Arif hi tha? Kayi unsuljhe sawal liye safa uthkar waha se nikal gai,

Usne motel badal liya tha, kahi dino se uske piche Anika ke aadmi uski talash mein dhundhe fhir rahe they jo ab eka ek gayab ho gaye they, pichle motel se isliye oose chori chupe bhaagna pada tha, Dhaka mein bane rehne ki wajah us hubahu chehre waale Asif ko dhudhna tha lekin ab oose aisa lagne laga ki wo waha nahi tha, kuch to hua tha par kya? Wo janti thi oose ye information kahan se mil sakti thi khud Anika ke aadmiyo se?

Wo khud Anika ke aadmiyo ko dhundh nahi sakti thi, isliye usne sheher ke do jara badmash ko is kaam par lagaya jinhe moti rakam dekar unhe uske aadmiyo se malum karne kaha ki wo ladka Arif asal mein Arif hi hai ya koi aur? Aur Arif dikhta kaisa tha ye bhi oose anika ke aadmiyo se malum karna tha,

                                 ----------

Asif business meeting mein khamosh baitha hua tamaam chehro ko ghurr raha tha jabki Anika kaam ko leke discussion kar rahi thi, tamam office ke chehre sehmati mein hil rahe they, tabhi ek ne Asif se pucha ki unhe is baarein mein kya kehna tha? Asif ekdum se bhauklaake sidha hua uske zehan mein Anika ka uske sath bartav ghum raha tha Anika oose kadi nazaro se ghur rahi thi,

"I think umm I am agree with Anika we should consider about this project as per she said"

Tamam sar sehmati mein hile, "meeting is dismissed everyone go back to ur belong".....Anika ke kehte hi wo log uth uth kar jaane lage ek ne personally Asif se aakar pucha ki wo ab kaise they? Jispar Asif ne muskurakar oose bataya ki wo bilkul theek tha, tamam logo ke meeting hall se jaane ke baad Asif bhi waha na ruka wo uthkar jaane laga, usne Anika ki ghurti nazar ko dekha aur fhir bataya ki oose kuch acha nahi lag raha hai isliye wo chatt par se thoda walk karke aana chahta hai, Anika ne oose jaane kaha Asif chain ki saans leta waha se chala gaya,

Na jaane kyu? Asif ek azib si ghutan mehsus kar raha tha, wo chatt par tehel raha tha aur us ucchi imarat se sheher ke nazare ko dekh raha tha, tabhi Arif ka secretary uske pass aaya....."sir Anika mam ne kaha hai aap yaha akele na tehre fauran apne office cabin pahuche"....Asif ne sehmati mein sar hilaakar oose jaane ka ishara kiya,

Kaise wo is uljhan se nikal sakta tha? Pal pal ki nazar uspar gadi huyi rehti thi Anika ki, wohi Shah Alam usse is qadr rukha bartav karta tha jaise wo chahkar bhi oose apna daamad nahi maanta tha, wo to oose uska qatil hi samajhta tha,

Office se ruksat paakar Asif anika ke sath shaam ko jab bunaglow pahucha toh us waqt Shah Alam dining hall mein mauzud they, unhone dono ko wohi talab kiya Anika aur asif unke ird gird kursiya leke baith gaye,

"Daddy aapne bulaya?"

"Hmm"....usne ek udti nazar Asif par daali fhir beti ki taraf tawajjoh dene laga

"Aaj ise mere sath private party mein jaana hai kahi bade log waha mauzud honge unmein kuch khaas mehman bhi aane waale hai jo hamare dhandhe ke liye bahut zaruri hai wo party hamare ek naami hotel mein hai isliye tum tayyar rehna"

Usne khanjar jaisi ungli Asif ke upar uthate huye oose order diya Asif ne sehmati mein sar hilaaya, Anika ne bhi jaane ki iccha zahir ki toh is par Shah Alam ne oose aaram karne kaha waise bhi wo party ek tarah se kaale dhandhe karne waale logo ki private party thi aur Anika waise bhi Arif ke jaane ke baad kaafi zyada daud bhaag kar rahi thi, Anika ne sehmati mein sar hilaya to Asif ko mehsus hua ki kuch pal to oose anika se dur hone ka mila, lekin wohi Shah Alam ke sath hone se oose aur ghabrahat mehsus huyi jo oose saqt napasand karta tha aur jaankar gairo ke aage oose Arif ki tarah peshaata tha,

Party Zoro shoro se ho rahi thi, gaadi ek bare se aalishan hotel ke paas ruki aalishan hotel ke ucchi diwaro par ek bara signboard chamakta hua tanga tha jispar likha tha "matinee" Asif Shah Alam ke sath gaadi se bahar utara uske ird gird suit boot mein kayi aadmi mauzud they jo unse adab se pesha rahe they, Asif Shah Alam ke sath bheetar pahucha aise kayi hotel ki milkiyat Shah Alam ki thi, waqayi wo kaafi raees tha, waha bahar oose press reporter band fatak se bahar dikhe jinhe ghusne ki izazat nahi thi,

Wo private party ki asal mein kiski thi agar unhe malum hota to shayad wo khabar aag ki tarah pure desh mein failti, waha carpet par chalte ek jagah Shah Alam aur asif ruke to unki tasveer kheechi jaane lagi, Asif fhir banawati muskurahat deta Shah Alam se satkar khada ho gaya oose waisa hi karne shah Alam ne kaha tha kisi ko kaano kaan uske wajud par shaq nahi hone dena tha,

Fhir wo andar pahucha jaha Shah Alam ka bartav fhir usse badla aur wo sabse uske kandhe pe haath rakhkar milwane laga koi raees aadmi kamar se thaame adh nangi kapde pehni ladki ko liye usse Mila to koi oose Sharab aur cigar ke nashe mein, waha sab kaale dhandhe karne waale naami aise log they jo un keemati kapro mein bhi kisi badmash aur gunde jaise jaan padte they, waha kuch foreigners bhi aaye huye they jinse pehchan par pata chala ki wo log international mafia they, sabse haath milaata apne steamerboat waale haadsa ki jhooti kahani gadta Asif fhir Shah Alam ke sath aage badha,

Shah Alam ek aadmi se baaton mein lag gaya waha drink serve karne waale waiter kam aur khubsurat ladkiya zyada thi jo shayad mauj mele ke liye waha mauzud thi, par koi bhi ladki oose sirf drink serve karne se zyada kuch nahi kar Rahi thi, jabki waha wo tamam mehmano se lipata lipati saaf karti jaan pad rahi thi, shayad shah Alam ka saqt farman tha waisa, jab usne unhe ekdum baaton mein mashgool Paya to waha ki ghutan se alag hota bar par pahucha waha ek stool par baitha aur uske samne tatkal drink serve hua par usne saada paani maanga jise bartender leke lauta usne paani piya aur fhir mahoul ke charo taraf dekhne laga hall khacha khach logo se bhara pada tha,

Itne mein oose ek haath apne kandhe pe mehsus hua, usne hadbadakar saamne dekha to niha ko paaya, wo waha kaise pahuchi thi? Is baat se wo khud hairan tha niha oose dekh aise muskurayi jaise koi phool khilta ho,

Kuch bhi kehne se pehle Asif ko khyal aaya ki wo kahan tha? Aur duniya jahan ki nazar mein uski pehchan kya thi?

"Main janti hoo Asif yahi tumhara naam hai na adam?"

Asif oose hakka Bakka dekhne laga fhir niha ne fhir charo taraf ghura toh Asif ne banawati muskurahat dete batiyate Shah Alam ko udti nigah dekh fhir usse kaha

"Shayad aap galat samajh rahi hai main Asif nahi arif hoo"

"Main janti hoo ki tum jhoot keh rahe ho main ab samajh chuki hoo tumhare eka ek sheher se gayab hone ki wajah tum gayab nahi huye kidnap kiye inke paas laaye gaye"

Asif jaise aasman se gira itna kuch niha ko kaise malum tha? "Dekho niha tum yaha kaise aayi? Agar unhe malum chala ki tum Raaz se mere waqif ho toh tum soch bhi nahi sakti wo tumhare sath kya kar sakte hai?"

"Don't worry main yaha oosi dhandhe se judi aayi hoo jiske liye invited hoo shayad tumhe malum na ho par Shah Alam mere Abba ke janne wale hai aur kayi dafa mere Abba ne unke sath kaam kiya hai dealing ki hai"

"N..Iha main bahut buri tarah fass gaya hoo lekin tum mera asli naam kaise jaan paayi?"

"Mujhe sab Abba ke khaas aadmi ne bataya tha aur main ye bhi janti hoo tumhe inke paas laane wala kaun hai?"

Asif khamosh hokar nazare jhukaaye fhir charo taraf dekhne laga..."behtar hoga ki tum mujhse dur raho kayi ghurti nazare agar humpar shaq kar baithi to anjaam theek nahi hoga tum nahi jaanti Anika ke aadmi mere piche saaye ki tarah rehte hai"

"Daro mat unhe kuch pata nahi chalega"...tabhi uske aage drink serve hua aur usne aur asif ne banawati muskurahat dekar cheers ka glass takraya aur peene lage taaki kisi ko Shaq na ho ek baar Shah Alam ne uski taraf dekha bhi to oose yahi laga ki Asif yu hi ek ladki se baat kar raha tha,

"Main janti hoo wo Sam hi tha hai na?"

"Sam ko malum chala to tumpar aafat aa jayegi wo aastin ka saanp hai niha wo Islam se mila hua hai oosi ne meri tamam story jaankar Shah Alam aur Anika se deal ki aur mujhe unke haatho marrne ke liye bech diya"

"Lekin inhone tumhe maara kyu nahi?"

Asif ne dheere dheere oose sab bataya kya kuch uske sath hua tha? Fhir niha ne bataya ki chowdhury sahab ab bhi bedrest par hai lekin khatre se bahar hai par ab wo chahke bhi uske liye koshish nahi kar payenge, Shah Alam se waqayi takrana itna aasan nahi tha Asif ne oose samjhaya oose bataya ki wo kisi bhi tarah Sam ko karobar na sambhaalne de wo to hathyaane ke liye hi uski daulat aur karobar ko uske parivar ke saath itne waqt se hai,

"Main sab janti hoo darasal maine khud Sam aur Islam ki baatein oose phone par kehte sun li thi aur us ghadi se hi main mauka talash rahi hoo ki main oose kab khatam kar dalu"

"Lekin bina chowdhury sahab ke tum kya kar paogi? Sam bahut khatarnak hai oose malum chala to wo tumhe"...kehte kehte hi Asif teher gaya

"Don't worry about me lekin iske liye mujhe tumhari madad chahiye jis tarah usne tumhe raste se hataya hai is musibat mein fasaya hai waise hi tum yaha se azaad hokar oose khatam kar sakte ho"

"Main chahke bhi kuch ab nahi kar sakta ye log bahut khatarnak hai main inse bhaag nahi sakta"

"Inki kamzori dhundhkar inhe expose to kar sakte ho tum inke sath itne din se ho inke hissa ban chuke ho tum agar duniya walo ke samne tumne inhe expose kar diya tab kya ye teek payenge? Nahi Asif tum kar sakte ho bas mauka paakar mujhe wo sabut dena jo inke khilaaf ho uske baad jo karna hai main karungi"

"Par ismein khatra hai main tumse dobara milunga kaise? Aur agar inhe Zara si bhanak lag gayi toh ye tumhare sath sath chowdhury sahab tak ko jaan se maar sakte hai"

Uski baat ne waqayi niha ko sihma diya lekin wo to khud bhari musibat mein thi aur oose sam aur Islam se nijaat paana tha lekin bina Asif ke madad ke wo un logo ke khilaf akele kuch bhi karke khatra mol nahi sakti thi, isliye oose pehle Asif ko nijaat dilwana tha,

"Meri ek jannewali dost hai jo police mehekme ke uch adhikari afsar ki beti hai agar tum Shah Alam aur uski beti ke khilaf uske kaale dhandho aur karobar ka sabut mujhe saunp do to main ye oose de sakti hoo"

"Shah Alam ab ek mayor hai bare bare paise waale ucche rasukh waale usse mile huye hai"

"Wo aisa nahi hai uska adhikari baap bahut imaandar hai wo inke khilaaf sarkar ko sabut pesh kar sakte hai isse ye log kuch nahi kar payenge ulte kanoon ke shikanje mein fass jayenge maine to suna hai intelligence bureau ab bhi inke khilaf hai"

Ye baat Asif ko jachi lekin ismein bahut khatra tha wo tamam sabut Asif ko hi muhayya karaana tha niha ko, aur ismein niha ki jaan ko khatra bhi ho sakta tha wo itna bara risk Asif ke liye lene ko tayyar thi, Asif kafi sochne ke baad raazi ho gaya tha lekin wo janta nahi tha ki wo usmein kamyab ho bhi payega ya nahi, nakamyabi mein uske saath saath niha ki bhi jaan jaa sakti thi,

"Theek hai main tayyar hu lekin niha agar main nakamyab raha to mujhe maanf kar dena kyunki main tumhari zindagi daanv par nahi laga sakta"

"Aur agar tumne meri madad nahi ki to sam kamyab ho jayega wo to mere haatho marega hi lekin uske chalte mere abba ko bahut kuch ho jayega wo abhi aspatal mein hai lekin kise pata? Islam kab koi naya kadam hamare khilaf Sam se milkar uthaa le, isliye maine Sam ko apne saath rakhna Kam kar diya hai lekin wo mujhpar aise haq jatata hai jaise wo mera maalik hai main yaha apne Abba ke refernce par unke khaas aadmiyo ke sath karobar ke maamle mein hi yaha pahuchi hoo mere dhande mein shareeq hone se sam bahut chidh raha hai lekin hoo to main uski boss hi na"

"Agar tum oose yaha nahi laayi to oose malum to chala hoga ki tum mujhse mili ho"

"Main keh dungi ki main tumse mil nahi paayi tum toh Arif ho koi adam nahi jise main janti thi jhoot kehna kaun sa mushkil hai aur uski himmat nahi ho sakti mujhse jirah karne ki"

"Theek hai niha abhi humhe alag hona hoga lekin main tumse milunga kaise?"

"Mera number yaad to hai na?"

"Haan lekin main tumhe chahkar bhi contact nahi kar sakta mere phone bungalow ke tamaam phone tap hote hai mujhpe kadi nazar rakhi jati hai main bahar bhi izazat ke bina nahi nikal sakta"

"Main janti thi isliye main yaha tayyari ke sath tumse milane aayi thi mujhe malum tha tum Arif nahi ho sakte isliye main khud pehle tumhara muana karne ke liye tumhare kareeb aayi ab jab mujhe malum chal chuka hai ki tum Asif ho to main nischint hoo tehro"

Usne jaam halak se utara aur sabki nazaro se bachaate usmein ek sim giraaya dekhte hi dekhte Asif ne wo jaam uthaya aur apne labo se lagate huye wo sim apne labo par giraate huye munh ponchne ke zariye wo sim apne haath mein lete huye Zeb mein rakh liya,

"Ye sim tum nazare bachaaye istemal karna malum na chale Anika ko aur isi se mujhe tab contact karna jab tumhare paas saare sabut ikhatta ho jaye main tumse fhir yun hi milane kisi aisi bheedh bhari party ke bahane aaungi aur fhir tum wo sabut mujhe de Dena"

"Lekin sun lo niha ismein bahut khatra hai jaan bhi jaa sakti hai"

"Tumhi ne to kaha tha na ki tumhare paas jeene ki koi wajah ab nahi hai waise hi mera bhi jeene se jaise Mann bhar gaya sam ki bewafai ne mujhe andar se Tod diya hai main chalti hoo"

Tabhi waha Shah Alam pahucha uske sath uske aadmi they, niha uthkar unse muskuraye haath milaayi fhir usne bataya ki wo chowdhury sahab ki beti hai, pehle to Asif daraa ki kahi Shah Alam uspar shaq na kare lekin oose Shah Alam ko dekhkar aisa nahi laga ki usne khaas koi dhyaan diya ho wo uske baap ke baarein mein puchne laga fhir afsos zahir karta Asif ke rubaru hua Asif uthkar uske sath ho liya, fhir niha bhi party mein mashgool ho gayi lekin wo dobara Asif ke kareeb nahi fhatki is tarah party khatam hote hi Shah Alam Asif ke sath waha se chala Aya jabki Asif ko malum bhi na hua ki niha waha se apne aadmiyo ke sath kab chali gayi?

                                 -------

Dhaka mein us waqt wo ek ujaad padi bandargah ke paas waali imarat thi jaha taxi se utarte huye safa lambe dag bharti ek godown ki taraf pahuchi, usne charo taraf dekha fhir phone lagaya tatkal kisi ne shutter khola to safa andar pahuchi, waha kursi par Anika ke do aadmi rassiya bandhe ghabraye huye pade they Jin aadmiyo ko safa ne unhe kidnap kar tamaam sachai qabulwane bheja tha wo un dono ko uthaakar waapis Dhaka le aaye they, taaki kisi ko kaano kaan shaq na ho,

Un dono ke chehre kafi choto se bhare they aur munh par kapda bandha tha safa ke ishare par ek gunde ne kapra un aadmiyo ke munh se kholte huye faikha to wo log haafte dare sehme safa ko dekhne lage jo unhe ghurr rahi thi,

"K..kyu laaya gaya hai humhe yaha agar anika mam ya Shah Alam sahab ko malum chala to bahut bura hoga"

Itne mein safa ne ek ishara kiya jispar wo aadmi shaitan ki tarah unpar haavi ho gaye unhone un dono ke ghutno ko plaas se de maara, dard se karhaate wo dono wohi chatpatane lage, jab wo kuch shaant huye to safa ne nirday nazaro se unhe dekhkar kehna shuru kiya,

"Sach sach bataoge to jaan nahi jaayegi mujhe janna hai ki aakhir anika ke shouhar ki kya kahani hai? Aur jo ladka abhi Arif bankar uske saath mauzud hai wo asal mein kaun hai?"

"N..nahi hum kuch nahi bata sakte warna Anika ke aadmi humhe jaan se maar denge"

Safa ne us gunde ke aankho mein ekdum se apna nakhun ja dabaya to wo dard se bilbila utha uske aankho ke koro se khoon tapakne laga oose dekh dehshat mein dusra aadmi fariyad karne laga, itne mein wo tehri fhir usne oose ghura aur apne nakhun mein lage khoon ko jhaadhne lagi,

"B..batata hu sabkuch batata hoo asal mein wo ladka Arif Bhai nahi unka humshakal Asif hai jise hum yaha se agwa kiye leke Gaye they"

Wo tamaam Raaz safa ke aage rakhne laga, aur safa khamoshi se uski baat sunti rahi jaise jaise Asif ka Raaz khul raha tha waise waise uski nazare hairat se phat pad rahi thi

To be continued...

                                 
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #17 on: March 23, 2024, 07:56:11 AM »
Anika ke un dono aadmiyo ki laasho ko bori mein baandh diya gaya tha, safa ne sabkuch janne ke baad un dono ko marwa diya tha kyunki wo koi sabut nahin chodhna chahti thi aaj nahi to kal wo Anika ke aage munh fhaadh hi dete, un dono badmasho ko aur rupya dekar safa ne unhein laash samundra mein thikaane lagane kaha wo log laash liye chale gaye aur safa waha se nikal gayi, jab usne paya ki un badmasho ne boriyon ko samundra mein faikh diya tha to usne unhein bina piche mudne ka avsar diye goli maar di wo dono wohi dhair ho gaye, safa ne apna burkha pehna fhir paas aakar usne unki Jeb se apna rupya nikaala aur fhir unhein samundra ke paani mein de faikha, wo unhe bhi zinda chodhkar apne liye khatra nahi mol sakti thi,

Safa waha se niklte huye paas ke behte nal se apna khoon Sana haath dhokar tissue paper se ponchti aage badhi, fhir usne main road par aakar taxi pakdi,

"Iska matlab tha ki jo shaks mere saath us raat motel mein mauzud tha wo adam aur Arif ki tarah dikhta teesra hubahu chehra tha aur Arif bhi adam ki tarah dikhta tha yaani mere adam ki talash ke liye Anika ne oose bheja tha lekin asif ne oose maara kyu? Jo bhi ho adam ko to main paa nahi saki lekin uski hubahu nishani ab bhi is duniya mein mauzud hai"

Mann hi Mann khud se baat karti jaal bunti safa Asif ka tassavur apne adam ke taur par karne lagi, wo uske itne kareeb hoke usse dur ho gaya kaash wo oose apne Geraft se us raat jaane hi nahi deti? Lekin Anika oosse wo kaise Asif ko dur kar pati? Anika ne uska abhitak qatal shayad isliye nahi kiya tha kyunki mansuba bhi kuch kuch safa jaisa tha halaki wo uske shouhar ka hatyara tha lekin tab bhi wo oose apne Geraft mein liye huye duniya jahan ko sabit karne pe tuli thi ki wohi uska Arif tha,

Is jhoot se parda kaise uth sakta tha? Aur wo kaise Asif ko paa sakti thi? Wo taxi mein baithi pure raaste yahi sochte huye jaa rahi thi,

                               -------

Toilet mein baithkar bare ahetiyat se Asif ne wo sim apne mobile mein laga liya jo niha ne oose party mein diya tha, ganimat thi ki wo phone dual sim wala tha, sim on hua toh uski jaan mein jaan aayi, fhir usne tarqeeb ke mutabik sabut jutaane ka faisla kiya ye kaam jitna sunne mein aasan tha utna hi mushkil pure bungalow mein cameras lage they uski harqat fauran nazaro mein chadh sakti thi,

Lekin jitna wo Shah Alam aur Anika ke kareeb reh Raha tha saara din, usse unke khilaf sabut paida karna aasan tha, is kaam ko usne bare ahetiyat se shuru kiya pehle usne business meeting ke naam par tamam Shah Alam ke kaale dhandho ko janna shuru kiya jab bhi Anika oose illegal client ke babat batati wo jab bhi uske sath baithti thi unki tamaam baatein wo note karta tha unke naam ko yaad rakhta tha, Anika ke saath wo kayi dafa un thikaano par gaya jaha uske saamne dealing hoti thi maal rupyo se badla jata tha,

Shah Alam ke saath wo bandargah bhi ek aad baar gaya tha jaha se Shah Alam usko kaam sambhaale chala jata tha, lekin wo waha unke containers ko samajhne ki koshish karta tha ki usmein kya kya import hote they? Ek aad baar usne video tak chori chupe banaakar save kar liya tha, fhir tamaam baaton ko bare hi ahetiyat se wo sim daale niha ko message type karke bhej deta tha jab niha ki taraf se ok likha aata tha to wo fauran tamaam video aur whatsapp conversation, folder mein save huye tamaam data delete kar fhir deleted items mein jaakar unhe permanently remove kar deta tha, is tarah se usne dheere dheere kayi sabut jutaane shuru kar diye,

Syndicate ki meeting mein bhi oose ek baar fhir jab jaane ka mauka mila to bade ahetiyat se wo waha gaya aur sanjog se is baar wo Shah Alam ke saath tha, usne waha badi hoshiyari se apne mobile ko silent kar waha ki hoti harqato ko record kar liya tha lord kaun tha? Mayor jaisa prasidh Shah Alam us crime organisation ke meeting mein kya kar raha tha? Ye bahut sansanikhes khabar ban sakti thi, waha se ulte pao jaane par uski checking hoti thi lekin ab kyunki Arif ki chavi waha mukhye sadasya ke taur par thi to wo log oospe utna shaq kiye bina oose Checking se bari kar gaye,

Dheere dheere niha ke paas tamam wo sabut pesh ho chuke they, jise usne Sam ki nazaro se bachaaye apne phone par chupaya hua tha, Asif us din dopahar mein Shah Alam aur Anika ke sath dining hall mein baitha lunch kar raha tha us waqt bhi Jeb mein waha ki audio recording ho rahi thi, Anika is baat se bekhabar Shah Alam se baaton mein lagi huyi thi,

"Asif"....Shah Alam ne Asif ko toka Asif ne hadbadakar oose dekha ek pal ko wo ghabraya

"Ji sir"....fhir khud ke dhadhakte dil ko kaabu karta usne adab se kaha

"Tumne suna humne kya kaha? Foreign clients ko khaaskarke syndicate ke membran ko ye malum nahi chalna chahiye ki tum kaun ho? Samjhe!"

"Ji sir wai..se m..main k..eh raha tha ki office mein ek zaruri meeting hai Sunday ko toh kya dhandhe ki dealing jo oosi din hone waali hai aage badhayi nahi jaa sakti"

Shah Alam ne oose qeher bhari nazaro se dekha Asif chup ho gaya wo jaanbhujkar Shah Alam ko zabaan de raha tha taaki recording mein uske Raaz zyada se zyada khule,

"Galti se bhi aisa sochna mat Arif ki jagah di hai tumhe in dhando ka malik nahi bana diya gaya hai, tum wohi karoge jaisa Anika kahegi aur jaisa main yaad rahe hamara dhandha hamare front business se zyada zaruri hai wo log foreign se import drugs leke aa rahe hai agar unki muqammal waqt par dealing nahi huyi to wo log hatthe se ukhadh jayenge aur agar wo log aisa kiye to mujhse bura koi nahi hoga understand!"

Asif sihamta sar haan mein hilaata kisi chabi lage khilone ki tarah kayi dafa ladkharaye awaz mein Haan haan kehta raha, Anika uski har harqat ko khaate huye note kar rahi thi, Shah Alam waha se uthkar chala gaya, unke jaate hi anika Asif ki taraf bhale barsaati oose ghurte huye boli

"Mere Abba ke saamne Arif ne bhi kabhi unhe mana nahi Kiya bhulna mat yaha tumhari Jaan hamare rehmo karam par hai"

Asif ne fhir gardan hilaayi wo sihamta wohi baitha raha, uske baad Anika ke bhi chale jaane ke baad wo dining hall se utha aur toilet gaya waha jaakar usne pehle us recording ko check kiya fhir niha ko bheja wo apne phone ko apni jaan ki tarah apne paas rakhta tha, uske baad jab ok ka sign aaya to uski jaan mein jaan aayi tabhi darwaje pe dastak huyi,

Asif ghabrata aanan fanan WhatsApp se wo conversation delete Kiya deleted items mein bhi jaake oose waha se udaya, sim waapis apne sar ke baalo mein aise chupaaya ki wo na dikh paaye, wo toilet se ast vyast hoke nikla usne saamne Anika ko khada dekha

"Muj..jhe loosemotion sa ho raha tha pait mein dard hai sorry"

"Acha !".....fhir uski nazar Asif ke jeb par padi usne Asif ko gaur se dekha Asif bharsak apne ghabrahat ko chipane ki koshish karne laga

"Toilet mein phone leke jaana kabse sikha?"

Asif hadbadaya fhir thook ghontta Anika ke uske harqat ko note karne se pehle usne muskurakar phone oose de diya, Anika ne oose wohi teherne kaha fhir wo folders check karne lagi pehle call log fhir waha kuch nahi dekh gallery khola waha siwaay ek tasveer thi oose dekh Anika gusse se Asif ko dekhne lagi fhir usne wo phone oose dikhaya Asif ko laga ki shayad aaj uski chori pakdi gayi thi, tabhi us tasveer ko dekh oose Rahat mili wo arnisha ki tasveer thi,

"Ye tasveer tumhare phone mein kya kar rahi hai?"

"Bas aise hi"

"Aise bhi nahi rakhna bhulo mat hamare beech kya sauda hua tha? I don't want u to be in ur past remember".....Anika uske paas ghurti huyi aayi oose sard lavzo mein kaha aur fhir us tasveer ko delete kar chali gayi sath mein uska phone bhi liye, uski jaan mein jaan aayi ki usne fauran sabkuch uda Diya tha aur waqt rehte sim nikaal liya tha

Lekin afsos ki Wo iklauti arnisha ki tasveer thi jo usse Anika ne cheen li thi, wo mayus hokar apna munh dhoye waha se nikla, udhar niha wo recording apne headphone kaan se lagaye sun rahi thi tabhi waha Sam gusse mein aaya pehle to usne niha ko ghura fhir pehlu badla wo apne asliyat ko niha pe zaahir nahin karna chahta tha ki niha uska khel bigaad rahin thi fhir wo waise hi patthar bana khamosh khada raha, niha apne baap ki kursi par sidhi hokar baithi,

"Ye sab kya hai niha? Ab tum boss ka dhandha dekhogi don't u understand ismein kitna khatra hai?"

"Meri parwah itni hi karte ho toh fhir mujhe support kyu nahi karte?"

"Tum chowdhury Sahab ka export house dekho wo theek hai lekin ye sab kaala dhandha tumhare bas ki nahi sambhaalna tum nahi janti humhe kitne ache bure logo se guzarna padta hai kitna khatra mol lena padta hai?"

Niha jaanti thi sam oose beheka raha tha wo to tote ki tarah Islam ki ratayi boli hi bol raha tha taaki wo raste se hat jati to fhir uske baap ke dhandhe mein wo kaabiz ho pata uska to yahi plan tha dhandhe ko chaupat kar dena taaki fhir wo uski tamaam daulat aur baaki karobar ka malik ban baithta

"Maine faisla kar liya hai Sam ki mujhe kya karna hai? Lekin shayad tum mujhe is waqt pareshan nazar aa rahe ho?"

"P..pareshan?"

"Haan nahi toh aur kya? tum to aise pesha rahe ho jaise daddy ka kaam sambhaalne se maine tumhari koi mushkil khadi kar di kya tum waqayi nahi chahte ki main apne father ka karobaar sambhaalu?"......kehte huye niha natak karte uske paas aane lagi sam uski harqat ko ghurrne laga

Niha uske kareeb aakar uske kandho par apne baazuyo ko rakhte huye boli, Sam hadbadaya fhir wo niha ki harqat ko ghurrne laga, "kya kahu? Chowdhury sahab ke sath aisi tragedy ho gayi aur!"

"Main janti hoo tum hamari kitni parwah karte ho isliye toh main tumhe apne dil ke itna kareeb rakhti hoo"

"Yaani Tum mujhse naraz nahi ho"....sam ne chaukte huye pucha

"Nahi balki mujhe tumhara saath chahiye taaki tum mere sath raho meri dhaal bankar bytheway Asif ka kuch malum chala".....niha ne bholepan ka natak karte meethe lavzo mein fhir pucha

"N..nahi toh pata nahi oose zameen khaa gayi ya aasman ab to mujhe yahi lagta hai ki us haadse ka zimmedar bhi kahi na kahi wohi hai kya malum uske dil mein kya chal raha tha? jo wo yaha se gayab ho gaya waise bhi kaafi rahasmayi tha woh".....us baat ko sunkar niha Mann hi Mann ooske gala ghotne ko aamada thi wo saaf jhoot keh raha tha Asif ko uski nazaro mein gira Raha tha par niha waise hi bholi anjan shakal si banayi chup rahi

"Acha tum Shah Alam se milane gayi thi?"....Sam ne jaankar ye sawal pucha taaki wo malum kar sake ki kya waqayi Asif usse us party mein mila tha? Jispar niha pehle sakpakayi fhir Sam ki ghurti nazaro se bachkar usne masumiyat se kehna shuru kiya

"Haan ek karobar ke sisile mein main invited thi halaki daddy to jaa nahi sakte tum jaante ho? mere father chowdhury sahab ki to unse achi jaan pehchan thi waise khaas kuch baat nahi bani unhone haal pucha fhir afsos jataya mere aadmi ne ek client ko waha dealing ke liye approach kiya aur main bas waapis aa gayi"

"Kya tum waha kisi se nahi mili matlab unki beti ya damad wo bhi to unke sath honge?"

"Nahi toh mujhe to Shah Alam hi Mile haan ek kone mein unka daamad baitha to tha par usse meri baat nahi ho paai wo to sharab mein duba hua tha"......niha ne saaf yakeen dilate sam ko jhoot kaha jisse wo aur uljhan mein padh gaya

Sam ko Shaq hua ki Arif se wo mili hi nahi jabki wohi janta tha ki wo Asif tha, lekin oose aisa laga ki waqayi niha sach bol Rahi thi, niha baaton ka rukh modkar oose apne harqato mein manipulate karne lagi aur Sam manipulate hua bhi oose pata nahi tha ki niha uske kareeb sirf usse badla lene ke liye aa rahi thi, wo na chahte huye bhi sam ki baahon se lag gayi taaki Sam uske kaabu mein aa jaaye, haalaki dil hi dil mein niha ko uske asliyat jankar usse kitni nafrat ho rahi thi ye wohi janti thi usne Sam ko bhanak tak lagne nahi di ki wo Sam ke asliyat se kitni zyada waqif ho chuki thi, wo to mauke ke firaaq mein thi,

                              --------

Us raat barish tej ho rahi thi sheher se bahar unke khaas adde par Asif gaadi mein aadmiyo ke saath sawaar us jagah pahucha jaha deal honi thi, waha is qadr andhera tha ki dur dur tak kuch dikh nahi Raha tha, pehle ek aadmi bahar nikla usne chaata khola fhir Asif ko bahar aane ka ishara kiya Asif uske sang barsaati pehna tamaam charo taraf dekhne laga uske saath aur log bhi utare, wo janta tha Anika sath nahi aayi thi par baap beti dono ki nazar uspar thi,

Wo lambe dag bharta ek container ke paas pahucha us taraf ke andhere ki ot se do angrez barsati pehne chata pakde aadmiyo ke beech chalte uske paas aaye, unhone muskuraya aur fhir Asif se haath milaaya Asif ne paaya ki unke paas do bag tha,

"Nice to see u again Arif how r u?"

"I am fine how are u guys?"

"Same as well, hum direct Uzbekistan se is baar aaya"

Asif janta tha wo log Arif se parichit they oose samjha Diya Gaya tha ki unke kis kis sawal ka jawab dena tha? Unhe shaq na hone paaye is wajah se Asif soch sochkar jawab de raha tha unhe malum nahi tha ki wo Arif nahi tha unhe bas auro ki tarah itna malum tha ki uski ek haadse mein sar par gehri chot lagne se kuch maah tak yaadash chali gayi thi,

Suitcase khola gaya wo dono maal parakhne lage, safed drugs ka ek packet uthaye halka sa oose cheerkar ek ne oose ungli se chaata fhir Asif ki taraf dekhkar muskuraya, fhir suitcase band kiya aur dusra suitcase uske saamne khola usmein croro rupya tha asif ne aage badhkar unki tasdeeq ki fhir suitcase band kar apne aadmi ko pakdaya, fhir un logo ne Asif se haath milaaya hi tha ki tabhi waha ek aadmi ko ghasitte huye Anika ke aur aadmi kareeb aaye,

Wo dono angrez ghabraaye oose ghurne lage, Asif bhi ghabraya oose dekhne laga unhi mein se ek aadmi ne Asif ko bataya ki woh waha jasoosi karne pahucha tha oose peetne ke baad qabulwaya gaya ki wo intelligence ka khabri hai ise sun Asif dehshat mein pad gaya,

"My god isne to humhe dekh liya hai"....ek angrez ne kaha

"Don't worry sir iska phone se humne check kiya isne kuch record nahi kara tha"....oose thama hua collar se ek Gunda bola

"Fhir bhi itni badi gair zimmedari Arif we can't expect this from u and ur men"

Asif samajh nahi paa raha tha ki wo kya kahe? Tabhi oose call aaya usne phone uthaya to oose anika ki sard awaz sunne ko mili

"Asif ye tumhara imitihan hai hamare dhandhe ko expose karne waale ko maut ke ghaat tumhe utaarna hai shoot him"

"Ye kam tum apne aadmiyo se bhi Kara sakti ho main hi kyu?"

"Kya kaha?".......Anika ki sard awaz aur zyada daraane lagi thi oose na kehne ka anjaam Asif janta tha

Usne phone kaata saqti se tamam chehro ki taraf dekha fhir us aadmi ki taraf jiske naak se khoon beh raha tha aur jo behad daraa hua oose dekh raha tha,

Ek aadmi ne aage badhkar oose banduk thamaayi aur oose maarne ka ishara kiya wo aadmi minnate karne laga to un aadmiyo ne oose Asif ke pao padne se dur le jaakar gira diya oose fhir apne juto ki thokro se maara aur fhir sidha khada kiya, kaash Asif chahta to un sabko goli maar deta lekin wo kuch nahi kar sakta tha, aaj ek nirdosh ko oose jaan se maarna tha uski kaapte haatho ko nishaane saadhta dekh wo dono angrez aur oose azib nazaro se dekhne lage

Asif ne nazare fhair li aur na chahte huye bhi trigger dabaya us aadmi ke gale se haulnaak cheekh nikali aur uske ghutne mudne lage aur woh wohi pait pakde gir pada, ek ne uska jayeza liya

"Maraa nahi hai"

"Bas bahut ho gaya".....is baar Asif gusse mein aapa khota chilaaya wo log oose bhauchakke dekhne lage angrez bhi oose ghure jaa rahe they

"Ye tumhe kya ho gaya hai Arif? Shoot him dead isne humhe dekh liya hai iska Zinda rehna theek nahi"

"Yes I am agree with my partner Arif what the hell u just waiting for? Shoot him again and finish the job"

Kaash wo kuch kar sakta un muzrimo ke beech fasa wo mazbur tha, usne fhir goli uthaayi aur na chahte huye bhi uske zameen pe pade jism par goli ek ke baad ek chala di, kuch ghadi baad uski laash ko uthaaye kuch aadmi thikaane lagane chale gaye, wo angrez bhi waha se apna maal liye jaldi jaldi ruksat ho gaye, kaash Asif unke khilaf kuch kar paata? Us begunah ko marrne se rok paata? Aaj ek gunah aur uske sar par bandh gaya tha, wo waha se apne aadmiyo ke sath nikla ek jagah beech raste mein usne gaadi roki fhir bahar utarkar ultiya ki uski tamam harqate uske aadmi note kar rahe they aur hass rahe they wo fhir munh ponchta subakta apne zameer ko dikkharta ek begunah ke khoon se, gaadi mein fhir sawar hua aur fhir ghar lauta,

Anika aur Shah Alam ko uske tamam harqato ki khabar thi, aur asif us waqt chupchaap unke saamne nazare jhukaaye baitha hua tha, Anika ne aage aakar uske chehre ki taraf dekha fhir apne baap ki taraf jo uski aisi harqat se saqt gussa they,

"Tumne hamare dushman ko maara apne maa jaaye bhai ko nahi jo ye manhus udaas surat liye ghar laute ho".....Shah Alam ki baat se patthar bane Asif ki mutthiya bheechi

"Aisa aksar hota rehta hai kabhi hamara khoon behta to kabhi hum dusro ka khoon bahate hai lekin asif tumhari ye harqat humhe kis musibat mein daal deti iska ilam bhi hai tumhe"

"Tumhari harqat sabke nazaro mein aayi hai kya shaq nahi hoga unhe ki wo waqayi Arif ke rubaru huye ya kisi aur ke agar tumhari wajah se hum musibat mein aaye to jaante ho tumhare sath kya hoga? Jo abhi tak tumne socha bhi nahi"........Anika is baar Shah Alam se zyada zeher ugalti Asif par chillate huye boli

Asif sakdam unki baat sun raha tha, Shah Alam ne apni napasandgi Saaf Anika ke aage zaahir ki aur fikarmand huye malum karne kaha ki ye khabri waha pahucha kaise tha? Anika ne apni raay zahir ki

"Ho na ho intelligence ko bhanak lag gayi hogi'

"Ispe khaaskarke nazar rakhna main nahi chahta ki ye zazbat mein aakar kisi gair ke aage koi aur harqat kar baithe"......Shah Alam ne khanjar ghopti ungli se Asif par taante huye kaha

"Relax Abba ye kisi ke aage kuch nahi kahega agar aisi koi harqat karega to pachtayega"

Anika ke sard lavz aur khud ko khaa jaane wali nazaro ko ghurrte dekh Asif siham utha agar oose malum chal jaaye ki wo uski aur Shah Alam ke khilaf sabut juta raha tha aur unhe niha ko bhej raha tha to na jaane kya qeher uspar tutta?

Oosi dair raat usne fhir akant mein jaakar sabki nazaro se bachaate huye apna sim jeb se nikaala mobile par lagaya aur niha ko voice message kar zazbat aur aatam glani mein duba usne sabkuch byaan kiya ki kaise oose ek qatl karne par mazbur kiya gaya? Kya kya hua tha kya kya ghata tha? Jab message niha ke paas pahuch gaya toh usne aadat ke tehet tamam details ko delete kiya deleted files ki folder mein jaake ek baar check kiya sim nikaala aur phone ko badastur apni jeb mein rakhta hua waha se apne kamre mein lauta usne paaya ki anika karwat badle so rahi thi, wo na chahte huye bhi bistar par uske bagal mein aake lait gaya, uska dil dhaadh dhaadh pasliyon par baj raha tha oose aisa lagta tha ki kab Anika ekdum se uski taraf mude haatho mein chura uski taraf badhaaye aur oose wohi nirday aankho se dekhkar keh de ki oose sab malum chal chuka tha, Asif jo bhi kadam utha raha tha oose khud malum tha ki naakamyabi ki surat mein uske sath kitna bura ho sakta tha? Ab saara darmodaar niha ke upar tha ki wo kya karti hai? Kahi wo bhi sam ke nazaro mein na aa jaaye aur kahi uske sath bhi kuch bura na ghate lekin dil ke kisi kone se ye baat uthi ki niha zarur uske liye kuch karegi oose is fasaad se zarur nijaat dilayegi,

Bungalow ke theek bahar wo hood pehna saaya us bungalow ko chori nazaro se ghurta ek pal ke liye waha ke saamne sadak pe tehra aur fhir fatak ke saamnne khade pehra dete Shah Alam ke bungalow ke hathyarband guards ko tehelte oosne ghura wo isse pehle unke nazaro mein aata wo saaya aur teji se waha se aage guzar gaya Usne us maale ki taraf piche mudkar ek baar jhaaka aur muskuraya kyunki wo maala Anika ka tha aur oose malum tha ki us waqt Anika ke sath waha Asif bhi uske bedroom mein mauzud hoga, saaye ne muskuraya aur apna hood sar par se utaara wo safa thi jo unke sheher pahuch chuki thi,

To be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #18 on: March 23, 2024, 07:57:26 AM »
Niha ko tamaam sabut mil chuka tha wo bina waqt gawaye unhein apne laptop par ek khaali cd mein upload karti gayi fhir usne tamaam un files ko laptop se erase kiya, fhir us uploaded cd ko laptop se bahar nikaala aur ahetiyat se oose ek waterproof mote cover mein ghusaaya, wo laptop band kiye apne bungalow se bahar nikalne lagi toh chowdhury ke aadmi uske paas aaye,

"Main apni saheli se milane jaa rahi hoo shaam tak lautungi"

"P..par niha mam bahar khatra ho sakta hai Sam Bhai ne saqt mana kiya hai ki aap akele kahi bahar na jaaye"

"Sam mera husband hai?".....usne gusse kaha wo log hadbadaaye niha ne furati se usse chaabi li aur khud driving seat pe baithkar waha se nikal gayi,

Uske nikalte hi Sam ko jab ye baat malum chali to wo hadbadaya pehle to usne apne aadmiyo ko kosa fhir ek anisht ki ashanka mein usne islam ke aadmiyo ko niha ka piche karne kaha oose aisa lagta tha jaise niha kuch chupa Rahi hai, kahi waqayi niha Asif se mili to nahi thi? Wo aise kabhi akele drive karti kahi nahi jaati thi, Islam ke aadmiyo ko nirdesh dekar usne niha ke piche unhe lagaya, aadhe raaste mein hi unhe niha ki gaadi mil gayi jo sadak par teji se chal rahi thi, wo log niha ki gaadi ke paas aane lage, tatkal niha ko aisa lagne laga jaise koi uske piche tha usne us safed gaadi ko ghura, "damn u sam main janti thi tum apna kameenapan nahi chodhne waale"

Usne steering par mukka maarte huye gaadi ko thoda tej kiya lekin aise drive karti rahi taaki un logo ko malum na chalne paaye ki niha ne unhein apna picha karte note kar liya tha, usne gaadi daaye ghumaayi fhir baaye fhir sidhi raste mein gaadi kayi dafa ek hi taraf ghumaati rahi, isse pehle wo log shaq karte ki niha jaanbhujkar sadak par daaye baaye gadi ghuma Rahi thi, niha ne gaadi ko unke pehle kaafi kareeb kiya fhir ekdum se gaadi unse dugni aage kar li, tabhi ek truck ke aad mein Islam ke aadmiyo ki gaadi aa gayi jabki niha ki gaadi truck se aage thi, tabhi red signal ho gaya traffic mein gaadi aage thi niha ko rokni padi par usne gaadi ko band hi kar diya, piche Islam ke aadmi gaadi se nikal nikalkar ooski gaadi ko jhaankar dekh rahe they, niha ne furati se purse liya aur sadak paar kar dusri taraf daudi usne furati se paas aati ek bus pakad li, aur dekhte hi dekhte Islam ke aadmiyo ke saamne wo ulte raaste bus se mein savar guzar gayi, ye dekh wo log hadbadaaye horn bajane lage traffic khuli toh gaadi aage nahi badh nahi paa rahi thi,

Baad mein unhe malum chala ki waha ek lawaris gadi band padi khadi thi jiska traffic police chaalan kaat raha tha wo gaadi niha ki thi, kya oose waqayi shaq ho gaya tha ki uska picha kiya ja raha tha? Wo ekdum se gayi kahan? Unmein se ek aadmi ne gaadi se bagal se guzarte us gaadi ka jayeza liya, to malum chala ki tyre mein ched they, jis wajah se wo gaadi aage nahi badh sakti thi aur driver gayab tha, halaki niha ne tyre khud bhagne se pehle puncture kar diye they,

Wo log sadak ke dusre pehlu mein mudte huye us bus ke piche lag gaye, lekin wo bus kaafi aage nikal chuki thi tatkal bus ek stop par ruki to niha bahar utari usne furati se fhir sadak paar kiya ek taxi pakdi aur oose apni saheli ka pata bataya, tatkal taxi aage badhi, wo Sam ke aadmiyo ko dodge Dene mein kamyab ho gayi thi,

                                -----------

"main nahi janta ki ye mujhse aur kya kya karwayenge? Aaj ek begunaah ka qatl karwaya kal fhir ye mujhe zabran kisi aur ka khoon karwayenge ye log criminal hai sociopath hai apne fayde ke liye kisi ki bhi Bali Chadha dete hai kisi ki jaan ki keemat inke aage kuch bhi nahi hai, inhone mujhe agwa kar apne daamad ki jagah par sirf isliye rakhka kyunki hubahu uska chehra mujhse milata tha, na jaane aisa kabtak chalega? Anika ke father ne to apni chavi saaf suthri banake rakhi hai aur ab to wo state ke mayor hai to Zara soch sakte hai ki kitni bari galti logo ne unko kursi pe baithake ki hai main nahi chahta ki aur qabr khude isse pehle koi aur dair ho inhe rokna hoga"

Jaisa jaisa niha ko usne byaan diya tha us byaan ke saath tamaam pichle byanato ko aur thos sabuto se jodkar niha ne us tamaam cheezon ko ek cd mein transfer kar liya tha fhir oose woh cd apni jannewali police uch adhikari ki beti ko jab di to usne aage wo cd apne father ko saunpi uska baap un tamam aala afsaro ke saath us secret intelligence meeting ka hissa tha jo Shah Alam aur uske kaale karobaar ko expose karne mein kayi saal se uske piche pade they, lekin afsos ki uske mayor ban jaane ki wajah se uske khilaf koi bhi action le paana namumkin ho chuka tha, oose malum chalte hi wo ya to unhein zyadti taur par unke kisi apno ka dabaav dekar black mail kar sakta tha ya unhe haadse ke sahare qatl karwa sakta tha, jitne jasoos unhone abtak unke piche lagaye they ya to wo nakam rahe they ya fhir gumnaam ho gaye they, unka manna tha wo gum nahi maar diye gaye they aur unki laash ko bhi thikaane laga diya gaya tha ki taaki unka koi suraag kabhi na mil paaye,

Us ghadi wohi secret meeting dobara chal rahi thi aur asif ki tamaam baat projector par audio ke roop mein sunai de Rahi thi, fhir uske baad kayi tasveere aur video saamne aane lage dekhte hi dekhte tamaam waha chehre munh baaye un sabuto ko dekh rahe they jo Shah Alam ke khilaaf thos gawahi thi, Shah Alam ka khud ka kayi jagah voice recording tha jaha wo Asif ko dhamka raha tha apne dhandhe ko khud ujaagar kar raha tha, syndicate ki video bhi oosme shaamil thi jise dekhkar har koi saqte mein aa gaya desh ke naami crime lord ka wo sangathan jismein khud Shah Alam shaamil tha, aakhir mein wo information khatam huyi, to hall mein lights jali sabne ekdusre ko dekha

Joint commissioner aur superintendent ke chehre par jeet ki jaise muskurahat thi wo tamaam un aala afsaro ke chehre ki taraf dekhne laga jo hairat mein ab bhi pade huye they,

"Gentleman yahi sacchai hai hamare kaale karobaari aur corrupt filthy us mayor sahab Shah Alam ki ye thos sabut aajtak kisi ke bas mein juta paana nahi tha lekin ye kaam ek unhi ke victim ne kar dikhaya main apne ucch adhikari ka shukriyada karta hu jinhone ye cd humtak pahuchaayi aur barso ke sachaai se humhe waqif karaaya jise hum kayi waqt se dhundh rahe they, ab shaq ki koi gunzaish nahi bachi ki Shah Alam ke pair jurm ke daldal mein kitna dhase huye hai, yaani hamara shaq sahi tha ki unka dusra damad bhi kisi gangwar mein Dhaka mein maara gaya tha, aur jise media mein presswalo ne Arif ka darza diya tha wo koi pehrupiya hai koi uska humshakal hai jise uski jagah khadi ki gayi hai taaki unka daamad jo ye dhandha sambhaal raha tha wo sambhaal paaye aur tamaam unke dealer aur baaki logo ki nazaro mein ye sabit ho ki wo maraa tha hi nahi"

"Jab humhe itna kuch malum chal chuka hai to fhir hum intejar kiska kar rahe hai? Ye thos sabut aadalat mein unke khilaaf kaafi hogi"

"Ek mayor ko sidha geraftar karna itna aasan nahi hota lekin hum unhe hirasat mein le sakte hai taaki unpar bhi dabav banakar hum unse confess karaa sake lekin mujhe darr hai ki kahi waqt rehte wo apni beti ke sath palayan na kar baithe"

"Sir we can't wait waise bhi humne is din ke liye bahut lamba intejar kiya hai hum jante hai police headquarter mein rajneeti mein unse kayi log mile huye hai lekin ye sabut unki empire ko hila dene ke liye kafi hai"

Wo baat sabko jacchi khud superintendent aur joint commisioner ko bhi, tatkal unhone Shah Alam aur Anika aur unke aadmiyo ke khilaf geraftari ka warrant jaari karne ka hukam diya, aur us sabut ki ek copy internet par upload karne aur press media ko bhi bhej Dene ka order diya, isi ke saath tamaam officers apne kaamo mein jut Gaye aur meeting wohi barkhast ho gayi,

Udhar Asif mauka paakar toilet mein dakhil hua fhir usne apne ghadi ke bariq jagah se wo sim nikaala aur apne phone par lagaya, tatkal sim chaalu hua fhir usne WhatsApp pe niha ko online dekha to usne evidence ke babat sawaal kiya, udhar niha jaise oosi ke online hone ke intejar mein baithi huyi thi, usne Asif ka response dekhkar fauran oose ikhtila karte huye typing kiya,

"Evidence pahuch chuke hai wo log kabhi bhi tamaam jagaho aur Anika aur Shah Alam ke taraf bhi pahuch sakte hai unhe geraftar karne aur chaapa maarne tum unki nazaro mein aane se pehle faraar ho jao waqt rehte be quick Asif"

Asif wo reply padhkar hadbadaya usne chauknna hokar darwaje ki jhiri se bahar jhaaka fhir sim nikaala apne phone mein rakhka Anika ka sim nikaala oose Purja purja kar toda aur flush mein baha diya, wo toilet se bahar nikla aur cctv ki taraf dekta sidiyo se niche utara us waqt Anika apne office cabin mein mauzud thi ki tabhi ooske khaas Joseph ki jhalak mili, oospe nazar padte hi Asif thithak gaya, wo Asif ke paas pahucha

"Kahan jaa rahe ho?"

"Ghar par Shah Alam sahab ne bulaaya hai"

"Par wo to apne daftar mein pahuche huye hai"

"Unhone mujhe yahi hukam kiya hai ki main ghar pahuchu aur kuch janna hai?"

Itna kehkar Asif main gate ki taraf badhne laga to usne oose roka, Asif buri tarah andar se ghabraya hua tha kisi bhi waqt police waha aa sakti thi, aur agar anika ya Shah Alam ko malum chal jaata ki wohi un sabuto ka gawah tha to fhir uski kahani wohi khatam, Joseph ne apne aadmiyo ko uske saath jaane kaha, Asif ne bina uspar nazar daudaaye uske aadmiyo ke sang bahar kadam rakhka

Asif gaadi mein baitha to uske ird gird aakar wo gunde bhi gadi mein baithe, driver ko chalne ka hukam diya gaya tatkal gaadi sadak par daudi, beech raaste mein aate hi Asif ne driver fhir un gundo ki taraf dekha aur tatkal apni mutthiya beechta kohni ka vaar daaye baaye baithe gundo ke munh par diya wo dono wohi munh pakde jhuk gaye to Asif ne furati se banduk ka dasta samne baithe drive ke bagal waale aadmi ke sar par diya wo wohi behosh ho gaya, isse pehle driver kuch samajh paata banduk ki naal uski taraf thi, Asif ne teeno aadmiyo ko gaadi rokkar bahar faika, fhir driver ke bagal mein aake baitha usne banduk driver ke kanpatti pe rakhki aur gaadi aage badhane kaha kuch duri par chalne ke baad us driver ki ek cheekh gunzi aur darwaja kholkar Asif ne oose bhi bahar dhakelte huye faikh diya khud driving seat pe aaya aur fauran waha se aise gaadi bhagaayi jaise ye ja wo ja,

Ab oose malum tha ki oose kahan jaana tha? Isse pehle Anika ya Shah Alam ko sabkuch malum chale aur wo uske un apno tak pahuche, wo Dhaka sheher ki taraf rawana ho gaya, udhar anika ke office mein daudta bhaagta Joseph aaya uske aadmiyo se oose malum chala tha ki Asif bhaag Gaya tha,

"Bhaag Gaya kaise bhaag Gaya? Jaane kyu Diya oose?"

"Ma..ine apne aadmi bheje they wo unhe maarkar chakma deke bhaag Gaya"

Abhi Anika gusse mein koi saqt baat keh paati tabhi waha office ke kuch log pahuche unhone bataya ki police force waha pahuchi thi aur unke khilaaf raid maarne ka warrant bhi tha aur saath mein Anika ke khilaaf arrest warrant bhi ye sunkar Anika aasman se giri usne jaldi jaldi Shah Alam ko phone kiya lekin tabhi Joseph ne yahi kaha ki waha se unhe piche ke raste se nikal jana chahiye

"Agar aap aise bhaagengi to police ko Shaq ho jayega"

"Toh kya yaha baithi unke aane ka intejar Karu ki wo kab mujhe geraftar kar yaha se le jaaye aur mere izzat ka janaza nikaale bastard Joseph apne aadmiyo ko lo aur mujhe piche ke raste se le chalo Asif ye sab tumhara hi kiya dhara hai warna yu aanan fanan tum bhaagte nahi"

Daant peesti badbadati apmaan se jalti Anika Joseph ke sath office ke pichle darwaje se police force ke nazaro mein aane se pehle bhaag khadi huyi, wohi police force pure office ki chaanbin shuru karne laga, wohi dusri taraf Shah Alam ke ghar par bhi police ki ek tukdi pahuch chuki thi uske aadmi unhe rok na paaye wo ghar ki chanbin shuru karne lage press media is khabar ko uchaalne lagi ki mayor Sahab ke khilaaf arrest warrant jaari huya tha wo Tamaam sabut baar baar tv par dikha rahe they jinhe desh ke kayi log apne apne gharo se kahi dukaano mein jhaankar dekh rahe they, Shah Alam aur uski beti ka kaala chitta puri tarah se duniya waalo ke saamne khulne laga, unke adde unke tamaam thikaano par police narcotics bureau pahuch rahi thi aur raid maar rahi thi unke aadmiyo ko geraftar kar rahi thi, kayi aur sabut bhi unhe Shah Alam ke ghar se mile jaise dollar ke shakal mein note kahi nakli rupya, addo par drugs aur illegal arms, jaise jaise wo sabut milte jaa raha tha unke khilaf action lena aur aasan hota ja raha tha,

Shah Alam us ghadi apne political office mein mauzud tha jab ye khabar usne khud tv par dekhi ye dekhkar uske praan sukh gaye tamam neta aur unke jannewale unki shakal dekhne lage wo kis kis ko kya keh pata?, tabhi waha dal bal ke sath police pahuchi jinhone uske saamne hathkadi latka di

"Mayor sahab urf Shah Alam ji hum aapko thos sabut ke sath illegal arms trafficking, drug trafficking, extortion aur tamam logo ke qatal ke aarop mein geraftkar karte hai"

"Accha nahi hoga police officer mera wakil tum logo ke sazish ko pardafash kar dega judge jury bhi mere waqifkar hai wo bhi mere saath honge"

"Ye sab adalat mein jaake bataiyega filhal to aap khud ko hirasat mein samjhiye aur hamare baad income tax department fhir narcotics bureau ko aapko aur aapki beti ko  bhi kafi jawab dena hai inspector hathkadi lagao aur inhe baizzat yaha se le chalo"

Police officer unhe hathkadi lagaye daaye baaye unhe thaame tamam logo ke saamne se guzarte unhe bahar press waalo ki bheedh ke beech se rasta banakar fauran police van mein sawaar kar liya gaya, tamam press waale Shah Alam se guzarte waqt sawal puch rahe they jabki police unhe unse alag kar rahi thi, Shah Alam se kuch kehte nahi nahi ban Raha tha wo sar jhukaaye police ke Geraft mein kalaiyo mein hathkadi pehne khamosh van ki jaali se bahar jhank raha tha,

"Beti ka pata karo sheher mein nakabandi lagwao tamaam inke aadmiyo ko thaamo aur jaha kahi bhi wo dikhe fauran geraftkar karwao ho sakta hai wo faraar hone ki koshish karengi"

Isi ke saath badhawas safed chehra bana patthar ki Murat jaisa Shah Alam ke munh par police van ka darwaja lagaa diya gaya aur police waha se unhe leke ruksat ho gayi unke daftar par bhi chaapa pad gaya, kayi neta logo ne unki party se sambandhit iska virodh karna chaha lekin police ki lathi charge ne unhe Aisa karne nahi nahi diya, ye khabar home minister tak jab pahuchi to unhone fauran Shah Alam ka Naam mayor ke kursi se ye kehke terminate kar diya ki us jaisa mafia crime lord aur ek mujrim ko state ke mayorship ki kursi milna pure desh mein ek badnuma daag tha, behrehaal police uski beti Anika shah ki khoj mein lag chuki thi,

                                ---------

Anika ke bache kuche aadmi sheher mein Asif ko pagalo ki tarah dhundh rahe they, unhe Asif ka koi suraag nahi mil paa raha tha, tabhi unhe wo safed gadi dikhi jise dekhte hi wo chauknna huye aur fhir teji se us number plate ko pehchante us gaadi ke piche pad gaye, Asif ko ahesas hua ki uske piche shah Alam ke admi they, usne gaadi tej bhagaayi

Tabhi ek sath kayi banduk bahar nikli aur uspar firing huyi Asif steering ko sambhaalta teji se baayi taraf muda gaadi sheher se bahar highway par thi, wo janta tha Anika ko malum chal chuka tha shayad isliye ab wo log uske khoon ke pyaase ban chuke they, achank gaadi ka ek tyre phata aur gaadi behekti huyi sidha ek khambe se jaa takrayi, Asif gaadi ke takraane se pehle mauke par sadak pe kud gaya uske dekhte hi dekhte wo gunde bhi gaadi roke bahar utarne lage, Asif ne apni gadi ka jayeza liya aage se dhua nikal raha tha aur buri tarah aage ka hissa damage ho chuka tha,

Asif sarpat bhaaga wo gunde uspar goliya chalane lage asif goliyo se bachta bhaagta hua aage badha tabhi oose apne baazu mein garam cheez guzarti mehsus huyi wo chila utha uske baaye baazu ke kapde ko cheerta khoon bahaye waha se goli chuke nikal gayi thi, wo behte khoon ko thaamta bazu pakde daudta raha aur us basti mein ghus gaya wo Kasai pada tha waha har taraf khoon tha kahi kahi Kasai gosht kaant rahe they kahi bare bare sikcho mein ghosht latke huye they, wo bhagta rasta banaye ek gully mein ghusa aur un latki ghosht ki aad mein ek jagah chup gaya waha wo aadmi oose dhundhte huye bauhra rahe they,

                              ---------

Anika us waqt Joseph ke saath gaadi mein sawaar thi, wo bechaini se pehlu badal rahi thi oose khabar lag chuki thi ki uska Abba geraftar ho chuka tha aur ab police joro shoro se uski talash tamam unke thikhano par kar rahi thi, in sab ka zimmedar oose malum tha asif hi tha warna itni saari jankari hath lagna kisi ke bas ka kaam nahi tha, uske aadmi ab bhi Asif ki talash mein jute huye they jinhe Anika ne saaf keh dala tha ki wo oose kahi se bhi dhundh nikaale aur aisi badtar maut de ki usne socha bhi na ho,

Tabhi oose kahi police siren sunai diya toh Anika ne gaadi rokne kaha wo gaadi se utare aur paid ki ot mein ja chupe tabhi waha ek Kali gadi aakar ruki, driving seat se wo aurat bahar aayi usne burkha pehna tha oose dekh Anika hadbadayi to usne saamne ka parda utaarkar apna chehra dikhaya wo safa thi Anika oose dekh hairat mein padi, safa ne oose jaldi jaldi gadi mein apne sath baith jaane kaha wo dono gadi mein baithe aage Joseph drive karne baith gaya,

"Safa tum kahan thi?"

"Ye waqt ye sab puchne ka nahi police se bachne ka hai police tumhe aur tumhari aadmiyo ko har taraf dhundh rahin hai filhal ye burqah pehen lo mujhe sab malum chal chuka hai tumhare baare mein tum fikar mat Karo main tumhe aisi mehfuz jagah le jaungi jaha tumhe koi dhundh nahi payega"

Anika ne kuch na kaha wo to bas safa ke ekdum se waha pahuchne se hairan thi, par oose jaan mein jaan aayi ki safa waqt rehte waha uski madad ke liye pahuch chuki thi, lekin wo kya janti thi? Ki safa ke iraade toh kuch aur they!

Safa ne Joseph ko thikana bataya jise sunkar tatkal Joseph ne gaadi sheher ke dusre hisse ke port ki taraf mor di...

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #19 on: March 23, 2024, 08:06:44 AM »
Asif kasaipaada ki us basti mein us waqt chupa ye soch raha tha ki wo waha se kaise nikalkar bhaag sakta tha? Waha anika ke aadmi uske ghaat mein kahi bhi faile ho sakte they, usne socha ki abtak to shayad shah alam ya Anika tak police unhe geraftar karne pahuch chuki hogi, toh kya wo ab bhi unsafe tha? Oose Dhaka kisi bhi tarah pahuchna tha, arnisha aur digonto se kisi bhi tarah milna tha kaise bhi karke un tak kisi bhi musibat se pehle pahuchna tha? Inhi sab baaton ko sochte kab uski mutthiya bheechi aur kab uske nazaro ke saamne tamaam dushman dikhne lage oose pata na chala,

Wo dauda aahat paakar jo aadmi waha mauzud they uske piche bhaage tabhi ek goli sansanati uske daaye kanpatti se guzari to wo jhukkar ek galiyare mein ja chupa, paas aate ek gunde ne jaise waha kadam rakhka to wo wohi thithak gaya asif gun taane oosse ek haath faasle khada tha, us aadmi ki nazaro mein maut naachne lagi aur tabhi Asif ne trigger dabaya ek goli uske bheje ke paar ho gayi aur wo wohi dhair ho gaya, uske piche khada Gunda bhaagne ko hua toh Asif uspar jhapta aur uske munh ko dabaye gully mein laaya uski gardan madodi aur fhir Tod di, uske thande padhte hi Asif ne uska shareer dheela chodh diya jo wohi gir pada, usne dono ke banduk ko uthaya aur apni jeb mein rakhte huye waha se chupte chupaate nikla,

Gunde bahut saare they aur asif ke banduk mein goliya kam, wo chupte chupata gully aur diwar ke aad mein idhar udhar jhaankta bhaage ja raha tha ki tabhi uske saamne gunde aa khade huye wo bhaagta to wo goli chala dete tabhi Asif ne furati se banduk unpar taan di wo log hadbadaaye aur isse pehle ki wo goli chala paata ek saaya uske upar kuda aur oose apne kanpati par kisi bhari cheez ka vaar mehsus hua us hamle ki chot se wo sidha bagal ki diwar se takraya aur wohi gir pada, oose uthne ka mauka bhi na mila ki kayi pao ki thokar uspar padne Lage, Anika ke aadmiyo ne oose uthaya aur piche se thaama ek gunda uske saamne aaya aur usne wo rod uske pait aur chehre pe de maara dum saadta aankho ke aage andhera chaata dard ki leher mein Asif zameen pe aaundhe munh gir pada uske  munh se khoon behane laga,

Oose uthaakar ek gunde ne pairo par khada kiya tabhi Asif ne oose ek laat jamai jisse wo tamam gundo ke upar gira Asif furati se daayi taraf ki gully mein bhaaga, wo gunde uske piche they Asif apna coat faikta unpar us chote se galiyare se jaise taise guzarta diwaar faand dusri taraf pahucha wo tawela tha jaha kai janwar bandhe they oose dekh log hadbadaaye, wo bhaagta dusri taraf aaya, wo waha pahucha jaha har taraf khoon aur ghosht kat raha tha, waha se bahar nikalne ka koi rasta nahi tha, chot ki wajah se uska sar bhanna raha tha,

Asif dahadhta larkharata paas pade us dabiya aur chura ko utha chuka tha waha baithe kasaai oose dekhkar bhaag khade huye, tabhi usne apne badan se shirt ko utaar faika aur ek taraf latka diya waha wo gunde pahuche jo behad hinsak lag rahe they, Asif ne unhe lalkaara tabhi ek ne goli uspar chalayi Asif bachta sambhalta usne chura faikke uspar maara wo chura us aadmi ke kalai ko kanntta hua dur ja gira us aadmi ka haath aadha Kant gaya tha aur wo wohi farsh par chatpatate huye chilla raha tha, Asif ne paas drum mein rakhka khoon unpar faika to jaise wo cheetein uspar bhi pade khoon se fisalte wo log girkar uthne lage asif khoon se tarbatar kisi jaanwar ki tarah dahadhta unki taraf badha,

Usne dabiya sidha saamne ke gunde pe ghumaya aur uski gardan kaant oose ek laat maar dur faikha, gunde uspar haavi hone lage jinke hath mein jo Aya wo uspar maar Dene ko amada they, lekin unka vaasta us bedard insan se ab tha jise bahut pehle Asif bhula chuka tha, Asif un logo ko aise kaant raha tha jaise koi janwar ko Kasai, kisi ka haath to kisi ka pao wo is qadr gusse mein andha ho gaya ki waha kya ho raha tha oose hosh nahi? Jab tamam gundo ko marrte baaki aadmiyo ne dekha to wo bhaage,

Wo wohi aadmi they jinhone oose torture room mein maara tha Anika se ooski aankh haath pao kaatne ki baat kahi thi, apne saamne maut aata dekh wo ghabraye huye bhaage lekin asif ne unhe bhaagne nahin diya uska dabiya khoon se tar tha, un aadmiyo ke khoon se, usne baari baari piche daudte huye ek ke baad ek tamam un gundo ko maut ke ghat utar diya jo aakhri bacha oose ghaisstte huye usne uska sar diwar pe de maara aur fhir uske haath ko madodta uske gardan par dabiya rakhkar oose ghurrne laga wo aadmi rehem ki bheek maang raha tha,

"Phone laga apni Anika mam ko"

Usne subakte huye darre sihme Anika ke khaas aadmi Joseph ko phone lagaya, us taraf Joseph ne phone uthaya....Asif ne phone usse Cheena aur dabiya uske gardan par rakhke raha

"Hello kya hua?"

"Bahut bura hua tere aadmi mere haatho marr gaye bhadwe aur ab tu aur teri Malkin bache hai"

"Ayee"

"Zyada hul nahi pata bata main khud aata hoo na kahan chupa baitha hai apni Malkin ke sath ya aur suwar ka intejam karegi mujhe dhundhne ke liye"

"Janta nahi Tera kya hashr hoga kutte? Tune humhe dhoka diya tu bata tu kahan hai? main pahuchta hu waha"

"Tera aadmi mere kabze mein hai agar tu na bhi bataya to bhi main tujhe aur teri madam ko dhundhta hua khud aaunga police to jo so karegi par tum log mere haatho nahi bachoge"

Tabhi Anika ne Joseph se phone Cheena wo us waqt us chote se cabin bane bade ship par they, Anika ne saari baat sun li thi Joseph aise gussa raha tha jaise Asif uske saamne aaye aur wo ooska khoon kar de, Anika ne gulabi nazaro se sard lavz mein kaha

"Kutta chahe jitna bhi bhauke Sher ki barabari nahi kar sakta Asif tumhari asliyat khul chuki hai mere aadmi maar na paaye to kya? Main ab bhi zinda hoo aur apne baap ki kasam tumhe jaan se maare Bina meri rooh ko thandak nahi pahuchegi tumhari Jaan bakshke aaj maine kitni badi bhul ki main hi janti hu?, aastin ke saanp bastard tumhari wajah se Mera baap aaj salaakho ke piche hai"

"Aur tu bhi hogi? Tujhe kya laga? Apne husband ki tarah main bhi tera zindagi bhar gulaam bana reh jaunga kayi aafate dekhi hai Maine? Tu jagah bata main waha pahuchta hu, mere apno ko maarne chali thi na tu pehle apni jaan bacha kanoon se aur khud mujhse aa raha hoo main"

Anika ne oose lalkaara oose apna thikana batane lagi, to Joseph ne phone usse Cheena "ye aap kya kar rahi hai? Humhe kisi ko hint nahi dena hum kahan hai? Police humhe har naake pe dhundh rahi hai aur is aadmi ke sar par khoon sawaar hai phone mujhe dijiye"

Isi Cheena jhapti mein Anika ne Joseph ko dur dhakela aur wo phone boat ki farsh pe aise patka ki wo chaar tukde ho gaya, piche safa khamoshi se khadi sabkuch sunkar muskura rahi thi phone todkar usne uska kaam aur bhi aasan kar diya tha asif ke baare mein sunkar oose Mann hi Mann jaise usse milane ki betabi hone lagi, Anika ki saase dhaukni ki tarah chal rahi thi uske sar par khoon sawaar tha,

"Y..ye aapne kya Kiya, ab hum kisi ko contact nahi kar payenge hamare tamam phone to waise hi police ke radar mein hai".....Joseph Anika ko samjha raha tha

Ki tabhi dhach se ek goli chali aur Joseph ka chehra safed pad gaya, Anika ne oose dekha to wo munh se ugal raha tha uske pait ko chirti goli bahar nikal gayi thi uske ghutne mudne lage aur woh wohi railing par dohra hota ulatta paani mein jaa gira, is naumeed ghatna se Anika hadbadakar safa ki taraf dekhne lagi jiske banduk se dhua uth raha tha aur uske hontho par shaitani muskurahat thi,

"Y..ye tumne kya Kiya safa?''

"Malum chal jayega Anika sab malum chal jayega main batati hoo na bas, shaam dhalne do uske baad tum bhi azaad aur main bhi"

"Tum ye sab kyu kar Rahi ho? Dekho adam marr chuka hai"

"Haan marr chuka wo kho diya maine oose lekin tumne kya Kiya? Arif ke baare mein mujhse chupaya ki wo adam jaisa dikhta tha aur jab mujhe Asif ke baarein mein malum chala to main aur shocked ho gayi ki wo to hubahu Adam aur Arif jaisa dikhta tha, mujhe laga main oose paakar adam ki kami dur kar sakti hoo lekin wo to tumhare shikanje mein tha jab tumhara shouhar marr chuka tha toh tumne oose kyu Arif ki jagah di? Apne fayde ke liye aur mera kya? Main bhi toh adam ki bina tanha thi tumne sirf apna socha"

"Bhulo mat safa ki tum aaj aazad meri wajah se ho na main tumhari madad karti na tum bahar hoti aur na tumhari hi wajah se mera Arif maara gaya hota, tumhare hi Adam ko dhundhne wo Dhaka gaya tha"

"Lekin wo apni maut maraa mujhe pura yakeen hai asif ne oose nahi maara tha wo dhoke se kisi aur ki bhait Chadha lekin tum toh meri dost thi na, meri behan jaisi fhir kyu tumne mujhpe bhi Arif ke qatal ka shaq kiya? Lekin ab aur nahi main tumhe Asif ko maarne nahi dungi police tumhe talash rahi hai aur mera surag lagte hi wo mujhe bhi talash karne lagegi tumne yaha Asif ko bulaake acha kaam kiya ab wo mere rubaru hoga main uske kareeb hungi"

Safa pagalo ki tarah khushi se chillane lagi to Anika oose hairat se uske pagalpan ko dekhne lagi, uske haath mein banduk thi Anika koi bhi chaal chalti to wo sidha uspar goli chala deti, berehaal wo usse kisi bhi tarah wo gun jhatakna chahti thi
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #20 on: March 23, 2024, 08:10:49 AM »
Udhar us aakhri aadmi ko maarkar Asif uske haath se phone ko purja purja kar todte huye waha se nikala usne paas rakhke behte pipe se apne upar paani daala wohi paas latke tauliye se apne chehre aur badan ko pocha shirt jaha rakhka tha waha se uthaaya aur waha se bahar nikalta main road par pahucha usne waha se pco se pcr par phone lagaya aur unhein Anika ke thikaane ka pata batata gumnaam call kiye waha se nikla usne taxi thaami aur dhaka border ki taraf rawana ho gaya, wo janta tha anika ke aadmiyo ki gaadi fauran pehchan li jaati aur wo wohi geraftar ho jata isliye usne taxi le li thi..

                               ----------

Niha us waqt chowdhury sahab ke paas mauzud thi, wo us waqt behoshi ki haalat mein aankhe munde pade they, ek aas liye baithi thi ki kaash wo apni aankhe khol paate par doctor ne kaha ki 3-4 mahine tak unke hosh mein aane ki koi umeed nahi thi sar pe us gehri chot ki wajah se, niha ro rokar subak rahi thi tabhi oose apne baap ke ungli mein harqat hoti mehsus huyi wo chaukte huye us ungli ko thaame apne Abba ko hosh mein laane ke liye unhe awaz dene lagi,

Itne mein doctor waha pahucha jise usne bataya ki chowdhury sahab hosh mein aa rahe they pehle doctor ne padtal kiya fhir stethoscope se unke chaatiyo ki dhadkan dekhi fhir unke aankho ko khol torch maara,

"Lagta hai inhe hosh aa jayega lekin dheere dheere aise mein inhe zyada hosh mein laane ke liye kuch karna theek nahi hoga it would send a major shock to his nerves"

"Par inhe hosh mein aana zaruri hai mujhe inse baat karni hai".....niha ne fariyaad bhari nazaro se kaha

Niha ke saath khada chowdhury sahab ka khaas aadmi oose shaant karne laga, doctor ne oose filhal icu se jaane kaha taaki patient aaram kar paata, niha nirash hoti aansu ponchti waha se bahar aayi to itne mein usne saamne Sam ko aate paaya, Sam ne mahoul ka jayeza liya to niha ke sath khade chowdhury sahab ke khaas aadmi ne oose sabkuch bataya, usne niha ko apne sath Ghar chalne kaha jispar niha ne uska haath jhatak diya Sam samajh nahi paaya ki niha ne aisa harqat kyu kiya tha?,

"Dekho niha chowdhury sahab ko kuch dair ke liye akela chodh do aur mere sath chalo tum yahi ruko".....usne Chowdhury sahab ke khaas aadmi ko waha teherne kehta niha ko apne saath chalne ke liye mana liya

Dono gaadi mein sawaar huye to sam ne gaadi sadak par sidha mor di, "kya baat hai?  Niha tum mujhse kuch chupa Rahi ho?"

"Maine kya chupaya?"

"Mere aadmiyo ne bataya ki tum saheli se milane akele drive pe chali gayi jabki tum janti ho ki abhi ek haadsa hoke hata hai apne dushmano ke paas kayi mauke hai tumhare father ke absent mein wo tumhe nuqsan pahucha sakte hai anyway tum gaadi se utarkar beech raaste mein bus pakde kahan gayi thi?"

Sam ko ek ek baat aise malum thi jaise wohi uska picha kar raha tha, wo janti thi wo aadmi uske nahi Islam ke they aur oosi ke kehne pe wo uske piche they, tabhi oose ahesas hua ki gaadi ghar ki taraf nahi jaakar dusri or jaa rahi thi,

"Y..ye tum mujhe kahan le jaa rahe ho?"......niha ne chillaya par Sam ne jaise suna hi nahi wo sidha gadi chala raha tha

"Maine kaha stop the car here I said stop the car"

Sam ne gaadi ko roka nahi balki dusre haath ka thappad niha ko maara niha chehra pakde oose ghurrne lagi is baar wo Sam ka badla roop tha wo behad gusse mein oose ghurr raha tha, "mujhe kya bewakuf samjhti ho? tum kuch chupa Rahi ho? Jawab do kahan gayi thi?"

"Tumhari ye himmat ki tum mujhe maaro".....tabhi oose gaadi ke darwaje lock hote mehsus huye sam oose ghurr raha tha

"Main janti hoo ki Asif nahi tum mysterious ho balki dhokebaaz ho jo Islam ke haatho bika hua hai aur tumhari ye Pol mere aage bahut pehle hi khul chuki thi"

"Acha aur kya jaana mere baare mein?"

"Janne ko aur bacha kya hai? Tumko ek phuti kaudi bhi meri daulat se nahi milegi dhandhe ke saare bhed tum Islam ko bechte ho aur uske liye kaam karte ho mere baap ne tumhe kya kami de rakhi thi? Kameene tumne hi Asif ko thikaane lagaya hai main jaan chuki hoo aur ab tumhara ye khel tikne nahi wala Abba nahi hai to kya hua? Main toh hoo na mere aadmi tumhe jaan se maarkar tukde tukde kar denge"

"Hahahaha bol liya huhh"....usne kasske niha ka jabda dabocha

"Tu Aisa kuch nahi karegi kyunki main aisa hone nahi dunga tu jaan gayi toh kya hua? Main Darr Gaya arre ab tu dekh miss niha chowdhury ki main teri daulat kaise hadapta hun Islam ke liye main kaam nahi apne fayde ke liye uske sath hu aur ek baar Tera baap raaste se hat jaaye fhir dekhna ab jo dhamki bhara samjhauta usne mere boss ke sath kiya tha wo to hone se raha kyunki Shah Alam ka empire gir chuka hai ab wo chahke bhi mere boss ka kuch nahi bigaad sakta rahi baat Asif ki toh Haan Maine uska sauda kiya uske hone se Mera rasta saaf nahi tha, aur mujhe pata hai tu usse zarur mili hogi khair ab jabtak main nahi chahunga tu mere mutthi se Azad nahi hogi Darr mat maarunga nahi tujhe tere jeete jee hi tere nazaro ke saamne tere Abba ko maarunga fhir unki daulat paake tujhe hahaha"

Sam ye nahi janta tha ki uski kahi baat wo record kar rahi thi usne Sam se nazare bachaaye us recording ko jitna lamba ho sakta tha utna lamba kheecha

"Islam ke ishare pe tumne ye sab kiya na?"

"Haan pehle main oosi ke liye hi kaam karta tha meri jaan ab tumhe jab sab pata chal hi chuka hai toh main tumhein khuli hawa mein Azad chodhna afford nahi kar sakta tu tabtak mere paas kaid rahegi jabtak tere baap ko main thikaane nahi laga deta uske baad Tera karobar daulat sab paakar tujhe raaste se hataunga"

"Mere aadmi mujhe dhundh nikaalenge tu nahi bachega"

"Hahaha kaun thaamega mujhe? Main toh unhi ke giroh mein unka leader hoo saara ilzam toh Asif par hoga Islam ka khaas aadmi Asif hahahaha bechara na chahte huye bhi wo mere bahut kaam aaya"

"Tum mujhe kahan le jaa rahe ho?"

"Khud pata chal jayega fikar mat karo"

"Ye to sheher se dur koi ujaad jagah hai"

"Hahaha Islam ka ek adda hai yeh hum apne dushmano ko bandi banane yahi laate hai unhe khallas karne se pehle"

Niha ne fauran wo recording WhatsApp se Asif fhir chowdhury sahab ke khaas aadmi ko bheji, tatkal uski nazar niha ke phone par padi usne jhapatkar niha se phone Chinna chaha lekin niha kamyab nahi ho paayi, tabhi usne steering ghuma di aur accelerator par pao de maara gaadi ko eka ek breaks lage aur gaadi sidha baayi taraf diwar se jaa takrayi,

Niha ko bheeshan chot lagi aur wo dum saade wohi sar pakde behosh ho gayi sam ko bhi chot aayi wo gaadi se bahar utara usne niha ke phone ko check kiya qeher bhari nazaro se niha ko ghura fhir us recording ko jannewalo ke paas bheja hua paaya usne fauran un recordings ko delete maara fhir phone ko wohi chaar tukda kar tod diya fhir gaadi mein sawaar hua aur gaadi ko sadak par sidha karta sidha Islam ke adde ki taraf ghuma liya,

                               ----------

Asif dhaka border pahuchkar bus mein sawaar hua uski manzil pehle niha se milane ko thi, usne phone check kiya to paaya niha ka ek voice recording uske paas aaya huya tha ganimat thi ki internet on rehne se wo message us tak pahuch chuka tha raste mein hi uski nazar us file par padi thi jise usne fauran save kar liya tha, usne wo downloaded voice recording suni to jaise uske hosh ud gaye, usmein niha ki sihamti awaz thi sam ka confession tha, yaani ki niha ne jaanbhujkar oose ye recording bheji thi wo Sam ke Geraft mein thi, usne Asif ki bahut madad ki thi ab Asif ki baari thi,

Usne Chowdhury sahab ke khaas aadmi ko phone kiya, Asif ki itne dino baad awaz sun wo saqte mein aa gaya...."niha is waqt kahan hai?"

"Sam ke saath wo unhein yaha se leke Gaya"

"Bataya kahan gaya?"

"Kahan gaya hoga? Ghar leke Gaya hoga"

"Chowdhury sahab kaise hai? Unki Jaan ko khatra ho sakta hai"

"Apun saara din yahi hota hai yaha koi bhi nahi aaya par tu tha kahan? Aur tu niha aapa ke baarein mein kyu puch raha hai?"

"Kyunki niha musibat mein hai Sam Islam se
mila hua hai uske liye kaam karta hai, wo tum logo ko bhaut waqt se dhoka de raha tha, uska nishana chowdhury sahab ki daulat aur karobaar hai jise wo hadapna chahta tha ab unke baad wo niha ko agwa kar le gaya hai kyunki niha sacchai jaan chuki hai aur isi wajah se sam ne mujhe pehle hi raste se hatane ki koshish ki"

Chowdhury sahab ka aadmi dehshat mein pad gaya wo samajh nahi paa raha tha ki wo kya kahe? Behrehaal Asif ne tamam aadmiyo ko ikhatta karne kaha hathyar band hokar Islam ke aadmiyo ke tamam adde talashne kaha wo khud niha ko bachane waha ja raha tha jaha niha ho sakti thi,

Asif ne fauran bus se utarkar ek jagah ek taxi pakdi aur niha ke bheje huye us last location ka malumat karne laga wo location sheher se thodi dur par padta tha wo highway main road tha, usne fhir chowdhury ke aadmiyo ko phone kar pucha ki us jagah ke aas paas Islam ke kitne adde they uske aadmiyo se pata karo,

Chowdhury ke aadmi sheher mein Islam ke aadmiyo ko dhundhkar unhe maarte huye unse tamam addo ki puchtach karne lage, haalat gangwar jaisa hone wala tha, udhar sam ki phone location bhi chowdhury ke aadmi pata kar rahe they jo ab band aa raha tha, Asif us jagah pahucha jaha niha aur Sam ki gaadi ka accident hua tha, tabhi uska phone Baja chowdhury ke aadmi ne bataya ki Islam ka ek thikana waha ke kis taraf padta tha? Wo log wohi pahuch rahe they hathyarband ke sath, Asif bhi us taraf badha,

                            ---------

"Tujhe kya lagta hai safa? ki wo abtak yaha kyu nahi aaya?"

Anika baithi safa ki apne taraf Tani huyi gun ko dekh uske besavre chehre ko dekh boli, "wo kabhi nahi aane wala kabhi nahi kyunki jab wo meri di huyi daulat shouhrat ko thukraye oose nahi bhula toh Teri kya aukwad?"

"Aye munh sambhalke baat kar"

"Kyu? Sacchai kadwi lagti hai oose aana hota to kabka yaha aa jata? Usne jhoot kaha ki wo aayega"

"Wo zarur ayega tujhe maarne aayega kameeni"

"Hahahaa u f'king bitch he is not coming anyday"

"Lagta hai marrne ki jaldi hai tujhe no problem main ye kaam aasan kar deti hoo"

Safa tilmilate huye uske taraf aayi usne trigger ko halka sa kheechna shuru kiya jo Anika ke ghurti nazaro ke upar maathe pe sata tha, "tu janti hai wo kahan gaya is waqt? Dhaka sheher jaha uski mehbooba rehti hai jise mujhe waqt rehte hi maar dena chahiye tha abhi agar mere aadmi police ki Geraft mein na hote to wohi bhej deti oose maarne"

"Mujhe kuch nahi sunna wo aata hi hoga"

"Agar na aaya toh?"

Tabhi safa ne goli jaise hi chalayi Anika ne uske kalai ghuma di goli pani mein jaa lagi, Anika ne ek laat uske pait par maara aur ulte haath ka ghusa uske chehre pe de maara, safa ke haath se gun fisalkar gir gayi, oose kisi bhi keemat mein oose dusra mauka nahi dena tha tabhi safa ne furati se sar uske chaati par maarte huye oose thaame puri taqat se ship ke kinaare lage railing se ja takrayi Anika ne kohni uske peeth par maara aur oose khud se dur dhakela,

Tabhi waha siren bajti police ki gaadiya mauke par pahuchi wo log kinaare aaye aur ship paani mein hone ki wajah se thoda duri par tha jis wajah se wo log us tak pahuch nahi paa rahe they, anika ne furati se banduk uthate huye apne haath mein kar li aur fhir giri safa ki taraf taan di tabhi kahi se motorboat ki awaz paas aati oose sunai dene lagi usne mudkar dekha
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #21 on: March 23, 2024, 08:13:07 AM »
Tabhi safa neemandhere ka aur police ke aagman se Anika ka dhyan bhatakne se fayda uthaati, furti se ludakte sarakte huye ship ki railing par chadhkar waise hi ulti taraf Pani mein chalang lagati ja giri, isse Anika hadbadayi tabtalak charo taraf se roshni uske ship par maari ja chuki thi police motorboat par sawar dono taraf se ship ko ghairne lagi, usne fauran saamne aati motorboats par gun taan di "Anika tumhe dekh liya gaya hai apne aapko kanoon ke hawale kar do tumhara khel khatam hai Anika"......kisi ne mic par chillate huye oose kaha

"Hargiz nahi aisa koi paida nahi hua jo Anika shah ko apni Geraft mein le sake, agar yahi meri aakhirat hai toh main khud ko khatam karti hoo".....usne chillate gun taane huye unhe aage badhne se agaah kiya

Wo samajh chuki thi ki Asif ne kya chaal khela tha? Usne apni aankhe band ki aur apne kanpatti par banduk lagate huye muskuraya, oose afsos tha ki wo Asif se badla nahi le payi thi uska guroor tut chuka tha, uski daulat shouhrat aur ab zindagi usse Cheeni jaa chuki thi, zinda bachti to uska moqaam uske Abba ke tarah jail hi hota jaha umarkaid ya fhir faasi ki oose saza milane wali thi, uski band aankho se aansu beh nikle, ungli trigger pe dabav banane lagi,

Tamam police ke chillane ke bawjud wo thami nahi aur usne trigger kheech diya, ek zor ki awaz mahoul mein huyi aur dekhte hi dekhte tamam logo ke saamne uske sar ke aar par goli nikal gayi khoon ki bauchar ship ke farsh par bikhri aur uska shareer larkharaya woh baahein failaaye aasman ki taraf adhbhuji nigaho se dekhti farsh par dham se gir padi, jab police waale waha pahuchkar uske paas aaye to unhone uski ukhadti saason ko chalte paaya, fauran uske shareer ko kinaare laaya gaya ambulance mein rakhte rakhte uska ek haath latak gaya jise dekhte hi ek ne uske nabz tatoli nabz gayab thi, Anika shah ne wohi dum tod diya tha, ek ne uske adhbhuje pathrayi aankho ko band kar diya,

Police is baat se bekhabar thi ki kuch ghadi pehle ship par safa mauzud thi, safa ek baar fhir unhe chakma Dene mein kamyab ho chuki thi, oose gehre paani mein tairna aata tha kayi dair tak saas roke wo tairte huye kinare ke dusri taraf pahuchi usne jhaadiyo ki ot se ambulance aur police ko waha se ruksat hote paaya oose malum chal chuka tha ki Anika uske aur asif ke beech ab nahi rahi thi, ab uska rasta aur bhi saaf tha lekin majhra tha ki wo Asif tak ab kaise pahuche? Tabhi oose khyal Aya Anika ne aakhri baar oose kya kaha tha ki wo Dhaka apni mehbooba se milane jaa raha hoga aakhir mein safa ne yahi thaana ki oose waapis Dhaka chale jaana chahiye tha,

                               --------

Us thikaane par Asif pahuch chuka tha usne gaadi ki speed waha dheeme karne driver ko kahi fhir headlights off karne, halaki waha kaafi neemandhera tha, tabhi oose baayi sadak se aati kayi gaadi dikhai di wo ek pal ke liye taxi ko thama to wo gaadiya bhi ooske paas aakar ruk gayi, wo chowdhury ka khaas aadmi aur baaki log they, Asif gaadi se utarkar kiraya chukaaye taxi ko wapis bhej unke paas aaya,

"Adam?"

"Haan main ab ye mat puchna ki main itne din se kahan gayab tha? Kaafi lambi kahani hai jise fursat mein baithkar sunaunga filhal kaam ki baat kar le"

"Haan Islam ke kuch aadmiyo se yaha ke thikane ka malumat chala hai"

"Tab to Thikana yahi ho sakta hai? Niha ko leke sam aur uska aadmi is waqt yahi honge"

"Lekin adam agar unhe malum chal gaya toh"

"Malum to chal hi jayega hatyar laaye ho?"

Chowdhury ne piche dikki kholkar oose tamaam wo hathyar dikhaaye jo ek Jung ke liye kaafi they, waha pakka gangwar hone wala tha lekin asif janta tha ki sam ko yahi lagega ki tamaam WhatsApp se niha ke messages ko delete kar us tak koi pahuch nahi payega, wo oose isi galatfehmi mein rakhke rehna chahta tha, usne tatkal hathyar uthaaye aur apni jeb mein rakhna shuru kiya tatkal sabhi ke paas rifle aur gun thi, Asif khud hathyarband ho chuka tha uske paas us ghadi machine colt gun thi jismein grenade launcher fit tha, wo gun ek diwaar tak udaa sakti thi, aur tamaam ek sath Kayi logo ko goliyon se challi bhi kar sakti thi,

"Chowdhury sahab ko aspatal mein akela mat chodhna Islam unhe kabhi bhi jaan se maarne ki koshish kar sakta hai"

"Mere aadmi wohi mauzud hai aur wo bhi hathyarband hai kuch bahar pehra de rahe hai Islam ki majal nahi ho sakti"

"Jaise haalat hai kuch bhi ho sakta hai"

Wo aage badhte huye phunk phunk kar kadam rakhte us thikaane tak pahuchne lage, wohi dusri taraf oosi adde mein sam apne kuch Islam ke aadmiyo ke sath mauzud Islam se phone par lagaa hua tha, usne islam ko saaf ishara diya ki wo chowdhury sahab ko marwa de jise sunkar niha fariyadi nazaro se chatpatane lagi, lekin uske haath kursiyo se bandhe huye they, aur munh par patti bandhi huyi thi, sam ne apne khaas aadmi salman ko bahar ka ek baar jaayeza lene bheja wo furati se bahar chala gaya,

Udhar Asif jhaadiyo mein tamam dalbal ke sath saamne ke us 2 manjila ujaad imarat ko dekhne laga aisa lagta nahi tha waha koi hoga par wo janta tha wo Islam ka pakka adda tha, aas paas jungle aur sunsaaniyat ke kuch bhi nahi tha, tabhi oose ek aadmi bahar nikalte aata dikha chowdhury ke aadmi ne uska naam bataya wo Sam ka khas Banda salman Hashmi tha,

Uske chauksi karte rehne se wo aage nahi badh sakte they wo fhir ulte pao wapis andhere mein pret ki tarah us ujaad imarat mein dakhil ho gaya, Asif ne aadmiyo ko charo taraf fail jaane kaha taaki agar koi imarat ke kisi bhi pehlu se nikle oose goli maar di jaaye, wo Sam ko ghairkar pakadna chahta tha, wo furati se jhukte baithte ujad imarat ke diwaar par pahucha uske saath saath tamam aadmi bhi andar ghuse waha ek lamba galiyara tha jiske aakhri sirhe par sidiya upar jaati thi, Asif sidiyo se upar pao rakhkar jaane hi laga tabhi oose kisi ki aahat mili usne fauran tabadtod goliya sidiyo par chala di ek ghutti cheekh gunzi aur ek aadmi zakhmi haalat mein sidiyo se niche girta unke kareeb pahucha, wo log uski laash ko fhaand kar upar aaye to lohe ka fatak tha, apne aadmi ki cheekh aur goli ki awaz sunkar sab chauknne ho gaye Sam hadbadaya sab ne banduk us uche band lohe ki fatak ki taraf taan di,

Asif ne sabko piche ho jaane kaha aur sidha grenade launcher ka ek firing kiya wo itna bheeshan tha ki Asif ka pura badan hil gaya ek zor ka dhamaka hua charo taraf dhua hi dhua ho gaya aur samne ka lohe ka fatak itni zordar tarike se charmarata zameen pe gira ki uske aas paas mauzud sam ke aadmi us dhamake se urkar dur Jaa gire, sam aur baakiyo ne andhadhund goliya barsani shuru kar di, dhuye mein kuch malum nahi chal paa raha tha,

Asif aur baaki aadmi chupte chupaate tatkal firing shuru kiye Asif ki machine gun aur baakiyo ki ak-47 jab chali to jaise wo log hadbadaaye, sam ko iski umeed nahi thi ki wo log itne zyada hathyarband honge us waqt uske paas aadmi Kam they,

Asif ne aansu gas kheechkar andar faikha jiske dhuye charo taraf failne lage, Sam ulte pao dusri taraf bhaaga, Asif apne aadmiyo ke saath andar pahucha aur usne goliya barsani shuru ki jo bhi uske saamne aaya wo oose goliyo se bhunne laga, salman chupkar unpar goliya daagne laga ek aad chowdhury ke aadmiyo ko goli lag gai, tamam upar ki taraf se bhi unpar goliya chalaye jaane lagi,

Chowdhury ka khaas aadmi ne upar khade logo par firing ki wo log goli khaake sidha niche aa gire, sam is Muthbhair se hadbadata hua goliyo se bachte kamre ka darwaja lagaye kursi par bandhi niha ke bagal se guzarta bahar dekhne laga fire escape ki wo sidiya niche Jaa Rahi thi sam ne darwaja khola to paaya ki bahar bhi kuch log mauzud they sam ne fauran unpar goliya chalai, jispar kuch goli khaake wohi dhair ho gaye aur kuch chupte jawabi hamla karne lage, sam ko waha se kisi bhi surat mein niha ko liye bahar nikalna tha lekin ab uski khud ki jaan pe aa bani thi, usne islam ko phone lagaya toh ek goli sansanati uske chehre se guzari phone zameen pe girke band ho gaya aur wo ghabraya banduk nikaale tuti lakdi ke piche ja chipa, niha kursi par bandhi darr se chatpatane lagi,

Bahar Asif aur uske aadmi Islam ke bache kuche aadmiyo par kabu paane ki nakam koshish kar rahe they, salman ne mauka paakar uske gardan par fire karna chaha toh Asif ne oose dekhte hi goli maar di, gun uske haath se chuta aur woh bhaagta dusre sirhe se bahar ki or jaane laga, chowdhury ke aadmi bhi goli khaate wohi dhair ho rahe they, Asif ne fauran goli sidha tubelights par maari jisse pure hall mein andhera chaa gaya firing kuch hadtak kam ho gayi, Asif ne wo dabiya nikaala jo usne Kasaipaada se uthaya tha,

Wo baagh ki tarah un dhundhte goli thaame sam ke aadmiyo ke paas aaya tabhi kisi ko aahat lagte hi jaise un sabne piche mudkar dekha to Asif ne dabiya se unpar vaar kar diya, ek ke baad ek waha cheekhe gunzne lagi Asif ne ek ek kar tamam sam ke aadmiyo ko dabiye se kaant daala wo awaze sam bhi sun sakta tha, sidiyo par chadhta Asif pahucha aur usne furati se us aadmi ko goli chalane se pehle hi Gardan par dabiye ka vaar kar sidha niche faikh diya, wo upar uthkar aaya to itne mein oose apne baazu pe goli chalti mehsus huyi wo wohi gir pada,

Wo aadmi uska jayeza lene jaise hi paas aaya Asif ne ghumaakar dabiya uske pao mein jaangh mein de ghusaya wo dard se bilbila utha toh Asif ne dabiya waapis bahar kheecha aur khoon se tar wo dabiya uske gardan par chala diya, uska sar dhadh se alag hokar gir pada, idhar chowdhury ke aadmi apne saamne aate Sam ke kayi aadmiyo ko maarne mein kamyab ho chuke they, salman sidiyo se upar chatt ki taraf bhaag rahaa tha ki itne mein uske saamne Asif khada ho gaya, oose apne saamne maut naachti dikhne lagi uska banduk kaanpne laga,

"Sam kahan hai?"

Usne niche ke ek cabin ke baarein mein bataya, Asif ne usse banduk li aur dabiye ka vaar uske seene pe kiya wo Seena thaame wohi dard se tadapne laga, Asif ne uske jism ko puri taqat se uthaya aur sidiyo par bane us sheeshe par de maara kaanch tutte huye uska jism imarat se bahar Jaa gira, Asif sidiya utarta wapis andar pahucha jaha chowdhury ke aadmiyo ne morcha sambhaal liya tha,

Asif cabin ke paas pahucha aur usne us band darwaje ko ek hi laat mein Tod diya achanak us par jawabi firing huyi wo sambhala aur ek aad mein jaa chupa lekin chowdhury ke khaas aadmi ko goli lag gayi sam ne furati se niha ko cover kar rakha tha uske kanpatti pe banduk taane wo tamam chehro ki taraf ghur raha tha na chahte huye bhi chowdhury ke aadmi uspar goli nahi chala paa rahe they,

Asif ne uthkar oose dekha wo niha ko liye tute fatak se bahar sidiyo ke paas pahucha aur unpar gun taanta fhir niha ko daboche uske maathe pe gun lagata waha se jaane laga, Asif ne chowdhury ke khaas aadmi ka jayeza liya usne tamam aadmiyo ko oose niji doctor ke paas le jaane kaha wo khud goli khaaya hua tha par oose parwah nahi thi,

Sam bahar jaise hi pahucha uspar goliya chali to sam ne niha ko un aadmiyo ko dikhaate huye unhe ruk jaane pe mazbur kiya usne niha ko abhi gaadi ke paas laya hi tha ki usne fauran un aadmiyo ko palak jahapkte shoot kar diya, tabhi Asif machine gun liye bahar pahucha oose dekh Sam thithak gaya usne gun niha ke maathe par thaami,

Asif ne paaya ki niha ke maathe pe ghumadh bana tha uska chehra ek taraf se suja hua tha aur honth kate huye they shayad oose nirday sam ne bahut maara tha, haath bandhe they aur honth par patti bandhi thi uske nazaro mein aansu they, Asif ne khoon khaulti nazaro se sam ko dekha jo ektak oose ghur raha tha, "banduk faikh do put down that gun Asif"

Asif ne sehmati mein sar hilaate huye niha ko dekha sam ne oose koi bhi hoshiyari karne se agaah kiya par niha janti thi jaha usne banduk rakhki sam oose goli maar Dene wala tha, Asif niche ko gun rakhne jhuka ki tabhi niha ne apne heels ki ek bharpur thokar sam ke pao par maari nok chubne ki aseem dard se wo hadbadaya tatkal niha se uski pakad dheeli huyi to niha ne oose furati se apne se dur dhakela isse pehle wo niha pe goli chala paata,

"Nihaa dur ho jao".......itna kehte hi Asif sidha hua niha jaise Sam se dur hati Asif ne machine gun sidha uske pair aur goli thaame haath par maari sam dard se karhaata wohi gir pada

Asif ne machine gun faikhi aur uske kareeb badha sam ghayal hokar oose dekhne laga, wo langdata ek pao se bhaagne ko hua tabhi Asif ne ghumakar ek laat uske goli lage zakhmbhari taang par maari, wo dahadhta dard se wohi gir pada Asif ne oose ek pair par uthaya aur uska gerebaan thaame uske pait par aur sidha munh par ghuso ki bauchar kar di, usne uske baalo ko kasske jakada uska sar thaamkar sidha usi ki gaadi ke sheeshe pe de mara kaanch tutta hua uska sar gaadi ke andar ja ghusa,Asif ne oose gardan se kheechte huye wapis gaadi se bahar nikala uske pure khubsurat chehre pe kaanch dhasa hua tha aur wo khoon se tar tha, Asif ne ulte haath ka ek prachand ghusa uske naak aur munh par maarte huye oose zameen pe gira diya, uske munh aur nak se khoon behane laga, wo larkharata zameen se uthne ki nakam koshish karne laga,

Asif niha ke paas aaya aur uski pattiya aur hatho ki rassiya kholne laga, fhir usne uske haath mein wo banduk thamai, niha ne sard nazaro se fhir sam ki taraf dekha uske aankho mein aansu they, wo fariyad muzrim nazaro se niha ko dekhne laga, wo dheere dheere zakhmi bhare halat mein ladkharaye ek pair par utha, to niha ne tatkal uski taraf gun taan di uska Nishana uske mathe ki taraf tha, Asif oose to kabhi niha ko ghur raha tha, sam ne jaise hi ek kadam piche hatna chaha toh niha usse ek kadam kareeb aayi

"Gudbye sam ur story is over may ur soul roast in hell forever"

Kehte huye un aakhri shabdo ko, niha ne firing kar di, ek goli sansanati sam ke maathe mein ched karti dhas gai aur dusri goli uske chaati mein kaleje mein ched karti dhas gayi uski aankhe ulat gayi aur wo wohi zameen pe dhair ho gaya, niha ne rote huye oose dekha fhir Asif ki taraf ghumkar oose dekhte huye wo uske gale lag gayi, tabtalak waha chowdhury ke baaki aadmi pahuch chuke they, Asif ne niha ko unke saath jaane kaha aur agaah kiya ki chowdhury sahab ki jaan ko ab bhi Islam se khatra ho sakta tha, tamam log waha se ruksat huye saath mein wo bhi,

                                  --------

Islam us waqt sone ki tayyari kar raha tha ki tabhi uska phone baj utha wo bistar ke sirhane baitha aur usne cradle uthaakar phone apne kaan se lagaya, us taraf jo badhawas zakhmi ghabrayi awaz sunai di wo uske aadmi ki thi jo maransej par tha uski baat sun wo gambhir hokar sidha baith gaya,

"Kya? Chowdhury ke aadmiyo ne thikana dhundh nikaala Asif bhi tha waha us..ne s..am aur mere baaki aadmiyo ko maar giraya niha ko bhi churaake le gaya damn u bastard marr kyu nahi gaye us waqt ye manhus khabar sunane phone kiya damn it"

Usne phone cradle samait uthaakar zameen par patak diya uske gusse ki inteha nahi rahi thi, usne socha tha yaha niha ko sam maar dega aur waha behoshi mein pade chowdhury ko uske aadmi maar denge aur fhir wo akela apne dhandhe ka badshah hoga lekin ab paansa ulta pad chuka tha usne socha nahi tha ki Asif zinda lautkar aa jayega usne Sam ko kaha tha ki wo oose jaan se hi maar de lekin wo apne khel ke chakkar mein uska bana banaya plan bigaad gaya, ab uska daaya hath zinda nahi tha aur niha aur chowdhury ke aadmi jaan chuke they ki sam kiske ishare pe aajtak itna kuch kar raha tha, ab agar chowdhury hosh mein aa jata toh malum chalte hi wo uspar chadh daudta, in sabke piche us ladke ka haath tha jisne beech mein aakar saara khel bigaada tha, sam se wo uski kahani se ab waqif tha, ab uske paas aakhri Zariya yahi tha ki wo khud Asif ka kaam tamaam kar de lekin uske liye oose uski dubti rag thaamni thi jo oose pata tha kaun si thi?

                          ----------

Goli nikaal dene ke baad Asif khatre se mehfuz tha doctor ne tamam chowdhury ke aadmiyo ki marham Patti kar di thi, is gangwar se chowdhury ke kayi aadmi maare gaye they, uska khaas aadmi jise sam ne goli mari thi wo abtak zindagi aur maut se jhunjh raha tha aur uska bach pana mushkil tha, sunkar Asif ko behad afsos hua kyunki waqt rehte wo uske behad kaam aaya tha,

Wo waha se jaane hi laga tha ki itne mein niha ne oose roka toh usne muskurakar Neha se kaha

"Meri fikar se zyada chowdhury sahab ka khyal rakho ab saara darmodaar tumhare haath mein hai"

"Par tum kahan jaa rahe ho?"

"Malum nahi ki aage zindagi rahegi ki nahi ek dafa apne bichade apno ko dekhne Jaa Raha hoo jinki khairiyat bhi janna zaruri hai"

"Oosi ke paas jaa rahe ho na?".....niha ne muskurakar usse pucha to Asif ne zazbat bhari nazaro se sehmati mein muskuraya

Niha ne oose fhir toka nahi Asif waha se ruksat paaye ek gaadi liye waha se nikla, niha khidki par khadi oose jaate huye dekh rahi thi, aaj agar wo na hota to shayad sam aur Islam ke aadmiyo ke haatho wo aur uska parivar kabka khatam ho chuka hota?

Asif ki gaadi jaise hi chowdhury bari ke fatak ko paar kar bahar nikalte huye sadak par guzari kayi fasle dur wo saaya bhi gaadi mein sawar hota engine start kiye uske piche ho liya, is baat se Asif anjaan tha ki ek anjaan saaya uske piche lag chuka tha,

To be continued...
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #22 on: March 23, 2024, 08:15:46 AM »
Asif dhaka ke us ilaake pahucha jaha oose malum tha ki arnisha ka sasural tha, wo pehli dafa uske waha pahucha tha, jabki shadi ke waqt uski bidai ke samay wo uske maayke waalo ke yaha hi ruka tha, ek wo waqt tha aur ek aaj ye waqt jab wo arnisha ke itna kareeb tha, tamam pichli dastan jaise uske saamne ghumne lagi, wo cheekh wo arnisha ko lagi goli wo digonto ke liye uska pyaar, wo Asif ko zakhmi haalat mein uthaati uske jaan bachaane ke liye fariyad karti wo awaze, Asif ka apne cousin Bhai mortuz ko goli maarna sabkuch uske zehan mein ek baar ke liye ghum Gaya,

Wo hataash gaadi se utara aur jaise Haqeeqat mein lauta us waqt raat gehri thi, wo digonto ka rihayash talashta uske ghar ke saamne aa khada hua usne bell bajayi, tatkal upar waale kamre ki batti jali kisi ne sliding door wala darwaja khola balcony mein oose ek jaani pehchaani Surat dikhi us shaks ne bhi chashma pehente neend se uthte Asif ko dekha, wo hadbadaya aur asif oose dekh itne saalo baad aansu ghule nazaro se muskurane laga,

"Asif tum yaha par itni raat gaye itne waqt se tum kahan they ruko wohi main niche aata hu?"

Itna kehte huye Asif wohi dhadhakte dil par kaabu kiye khada raha wo arnisha ki ek jhalak dekhne ke liye betaab tha, wo aalishan main gate khula aur digonto uske samne aa khada hua, jitna Asif oose dekhke khush tha wohi oose dekh digonto hairan tha, fhir wo usse bagalgeer hokar mila itne mein andar se Asif ko uske gharwalo ki awaz aati mehsus huyi jise sunkar digonto ne andar jaakar unhe bataya ki uska koi jannewala tha wo wapis lauta,

"Kaise ho Asif? Kahan they itne waqt tak? Mujhe laga ki tum wapis apne watan chale gaye"

"Hahaha".....Asif khokhli hassi hasa fhir usne bataya "nahi bhai main chahkar bhi wapis nahi jaa sakta lekin sach pucho toh itne saalo mein ek baar bhi tum logo ko main bhul nahi paaya maanfi chahunga ki main itni raat gaye yaha pahucha"

"Andar chalo"

"Nahi filhal jaldi mein hoo tumhe kuch batane hi itne waqt baad lauta hoo tum nahi jaante main tum dono ke liye kitna fikarmand tha? Tum nahi jante main kis musibat mein fass gaya tha, jaha mere saath tum logo ki jaan bhi khatre mein pad jaati aur main aisa hone nahi de sakta tha"

"K.kya matlab? Kya hua tha?"

Asif ne oose batana shuru kiya ki kaise uske humshakal chehre ki wajah se wo Shah Alam aur beti ke nazaro mein aa gaya? Kis tarah wo sheher ke mafia logo ke nazaro mein dushman ban gaya? Uska ateet jankar kaise uske dushman ooske saath saath uske jannewale logo ko bhi nuqsan pahucha sakte they, isliye fikarmand hota wo unke paas pahucha tha, sab sunne aur samajhne ke baad digonto kafi zyada fikarmand dikhne laga,

"Anyway arnisha kaisi hai?"......Asif ne muskurakar pucha

"Woh"....digonto se kehte na bana

"Acha so rahi hai koi baat nahi oose kehna main aaya tha! Aur mujhe kuch nahi hua main yahi isi sheher mein hoo"

"Asif I am sorry to say but we are no more together"

Is baat ko sunkar shocked Asif digonto ke udaas chehre ko dekhne laga, wo ekdum pareshan ho gaya sawalato se digonto ko ghurta wo samajh nahi paaya

"K..kya matlab? Wo tumhare sath nahi!"

"Hamara talaaq ho gaya hai asif aur wo bhi shadi ke ek saal baad hi"

"P..par kaise? Kyu? Kya wajah thi? Tum log to eksath khush they na?"

"Hmm lekin kehte hai na jo taqdeer mein likha ho wohi hota hai arnisha aur mere beech aksar misunderstandings ki wajah se jhagde hone lage they mere gharwale tum to jante ho oose pehle pasand nahi karte they wo to meri raazikhushi se mere saath they lekin jo kuch uske sath ghata us baat ko leke wo aksar uske aage charcha karte they jo oose nagawar guzarta tha, main dekh sakta tha ki wo mere saath khush nahi reh Rahi thi, tumhare jaane ke baad wo to jaise hamesha khud ko doshi tehraati thi ki tumne uske liye itna kuch kiya? Par usne tumhe akela chodh diya, lekin sach pucho mere liye uske andar wo waali feelings nahi thi jo pehle Hoya karti thi, galti meri hi thi main oosse na alag hota na hi wo hindustan jaati Naa hi waha uske sath itna kuch ghatta"

"Lekin maine uski nazaro mein tumhare liye pyar saaf dekha tha jab uske father ne mere aage proposal rakha tha tab bhi maine tumhare liye uske dil mein feelings saaf dekhi thi"

"Shayad us waqt tak oose laga ki hum ek ho sakte hai lekin sach pucho toh hamare rishte mein wo dum nahi raha tha, maine oose pyaar karne ki bhi koshish ki lekin uske dil mein jaise main hokar bhi nahi tha"

Kya wo wajah Asif tha? Ye baat Asif manne ko tayyar nahi tha, jitne waqt usne arnisha ke sath guzaare they us harwaqt mein usne arnisha ke andar apne liye sirf parwah aur dosti dekhi thi, wo samajh nahi paa raha tha ki Aisa kyu hua tha?

"Meri family is baat ko notice karne lagi aur unhone mujhe oose talaq dene kaha maine oose talaq isliye nahi diya ki hamare jhagde hote they balki isliye diya ki wo mujhse khush nahi thi main darrta kahi wo akeli na ho jaaye lekin usne khud mujhse ek din talaaq maangkar apna rasta alag karne kaha kyunki wo chahti nahi thi ki uski wajah se main zindagi bhar pachtau aur oosme mere liye wo feelings na ho jiski mujhe hamesha talash hoti usne meri zindagi savarne ke liye mujhse talaq le liya hamare is faisle se uske gharwale na khush they, lekin fhir bhi arnisha nahi maani aur usne apna rasta alag kar liya"

"Abhi wo kahan hai apne maayke?"

"Nahi 2 saal pehle maine suna ki apne parivar se aaziz aakar unke taano se bachne ke liye usne dusri shaadi kar li thi aur apne naye husband ke saath dhaka ke uttara mein hi kahi wo rehti hai, main itna hi janta hun ki wo ab apne vyavahik zindagi mein mashgul hai"

Wo baat bijli ki tarah Asif par padi, kya kahi na kahi wohi in sabka zimmedar tha? Usne digonto se uska pata pucha to digonto ne oose pata bata to Diya par ye zarur kaha ki uske shouhar ke saamne jaane se kahi uske vyavahik zindagi mein koi khalal na aa jaaye jispar Asif chup ho gaya,

"Wo tumhare sath hoti to main nischint tha lekin wo jiske sath bhi hai mujhe janna hoga ki wo mehfuz hai ki nahi main nahi janta kab kaun si aafat hamare saamne aa jaye main chalta hoo digonto apna dhyan rakhna aur khairiyat se rehna wada karta hu na tumhe aur na arnisha ko kuch hone dunga"

Digonto ne khokle Mann se uski taraf dekhkar sehmati mein sar hilaaya, "apna khyal rakhna dost khuda Hafiz".....digonto ne uske jaate jaate piche se kaha

"Khuda Hafiz".....usne mudkar gulabi nazaro se digonto ki taraf dekhkar aakhri baar Vida lete muskuraya

Apne gaadi ke rear view mirror se wo saaya Asif ko digonto se dur hota apni gaadi mein baithta dekhne laga, gaadi aage badhi to wo bhi gadi start kiye u turn maarta uske piche dobara saaye ki tarah lag gaya,

                               --------

Hospital mein icu ki ward room mein laita chowdhury achanak se apni aankhe khol chuka tha aisa laga jaise wo kisi lambi neend se jaaga tha oxyzen mask uske munh par laga hua tha aur uske kalaiyon mein lagi bandages mein manspeshiyo mein dhasi suyi ke zariye judi pipe mein bagal ke sirhane mein latki glucose aur vitamins uski naso mein jaa rahi thi unhone apne charo taraf ka jayeza liya fhir paas unhone uthne ki koshish mein apna haath uthaya to wo sirhane ke table pe rakhkhi cheezon se ja laga ek glass khanaak se tuta toh hadbadata uska ek aadmi andar aaya usne Chowdhury ko aankh khole hosh mein uthte dekha to oose waapis laitaane laga chowdhury oose kuch kehna chahta tha,

Tabhi waha doctor aur nurse pahuchkar unhe shaant hone bole jispar unhone apna oxygen masak munh se alag karte saans kheechte byaan darz karne ki baat kahi, oxygen mask unke chehre se hata diya gaya tha,

"Niha ko bulao fauran".....unhone apni beti ko bulane ki baat kari

Niha aanan fanan us ghadi raat gaye waha pahuchi toh usne apne baap ko hosh mein laita dekha wo uske seene se lagkar rone lagi unhe sabkuch bataane lagi ki unke accident hone ke baad kya kya ghata tha? Tamaam baat sunkar chowdhury jaise gusse mein ubal pada sam ne itna bada oose dhoka diya tha? Wo soch bhi nahi sakta tha, Islam ke chaal aur tamam baat ko sun wo apni beti ko salamat dekh bahut sukoon mehsus kar raha tha,

"Mujhe yakeen nahi hota ki mere jaate hi itna kuch ghat gaya pehli baar aadmi pehchanne mein bhul huyi agar wo ladka Asif nahi rehta to shayad main to marrta hi tujhe bhi kho deta lekin ab aur nahi Islam ko uske kiye ki saza main dilwake rahunga itna bara chaal khela usne mere saath"

"Par daddy aap kya karenge?"

"Sir Abhi aapka bedrest lena bahut zaruri hai"

Usne gusse se doctor ko dekha toh doctor siham utha wo achi tarah usse waqif tha isliye wo fauran khamosh ho gaya, chowdhury ne apne aadmi ko unke jannewale police adhikari ko video call karne bola,

Jab bahut dair baad wo line par aaya to chowdhury usse mukhatib hua, "bolo chowdhury kya kehna chahte ho?"

"Khulasa karna chahta hu mujhe aur meri beti ko maarne ka haath Islam ka tha".....halaki niha janti thi wo accident hadsa tha lekin chowdhury ne bakhubi us ghatna ko istemal kiya tha

"Wo to hum jante hai ki aayedin tum dono ki dushmani se gangwar hota aa raha hai"

"Main Manta hu wo aur main gair kanooni dhandha karte hai lekin mujhse zyada bura aur gunahgar wo hai main uske khilaf tamam sabut tumhe bhejna chahta hu kahan uska adda hai aur kaun kaun uska client hai?"

"Tum jante ho isse tum bhi musibat mein aa jaoge"

"Apun ka friend hai na bacha lega apun ko sochna koi gumnam tip diya tumhe"

"Hahaha matlab tandoor mein Islam ko jhokna chahte ho aag mein aur khud ke haath bhi bachana chahte ho"

"Tum bolo utna tumhe bhait chadhaata hai na? Darro mat yaha apne hi log hai"

"Theek hai uske khilaaf tamam sabut aur addo ka pata tamam information mujhe apne aadmiyo ke zariye bhejo aur apna wada bhul mat jaana"

Chowdhury ne sehmati mein muskuraya, usne phone rakh diya fhir apne aadmi ko police headquarter tamam information aur Islam ke khilaf sabut bhejne ka bandobas karne bola wo janta tha uske haath mein aala afsar tha aur uske kaale dhandho ko sarkar se cover rakhne ke liye bhaari rishwat leta tha aksar uska uthna baithna chowdhury ke sath hota tha, niha fikarmand apne baap ke paas baithi unka baazu thaame unse puchi,

"Par daddy agar usne aapko kuch!"

"Jab neta ki kursi cheen jayegi aur tamam dhandhe pakade jaayenge to kya wo geraftar nahi hoga? Uska marrna Tay hai ya to mere haatho ya to police ke"

                              ----------

Islam us raat soya nahi tha neend aati bhi kaise oose? Aisi buri khabar jo sunne mili thi, ek hi raat mein kahani ulti pad gayi thi, uska daaya haath Sam uska khaas admi maara gaya tha chowdhury ko maarne mein waqt nikal gaya tha, uske thikaane mein kayi uske aadmi bhait chadh Gaye they, har taraf dushman jeet raha tha, tabhi uska phone Baja usne phone receive Kiya, tatkal uske chehre pe raunak aayi wo tahaka lagata bhuji huyi cigarette ko zameen pe faikkar jute se raundta fauran phone kaan mein lagaya

"Main pahuchta hoo abhi"

Itna kehkar wo tayyar hua apna banduk ek baar check kiya aur fhir jeb ke hawale karta sidiyo se utarkar apna chashma pehne apne bungalow se gaadi mein baithkar nikal gaya, wo is baat se bekhabar tha ki dusri taraf chowdhury hosh mein aakar uske khilaaf police ko sabut aur gawahi bhej chuka tha

                             --------

Asif saare raaste un tamam baato ko soch raha tha jo digonto ne oose bataya tha, wo arnisha ka chehra wo tamam ghatna wo uske saath guzare pal uske zehan mein ghum rahe they, aisa kaise ho sakta tha? Na jaane kyu arnisha ne digonto ka saath chodh diya? Kya chal raha tha uske Mann mein?

Raasta kata aur wo digonto ke bataye arnisha ke naye rihaysh ke paas pahucha, wo jagah uske liye nayi thi, Asif ne aage badha toh oose ek ghar ke bahar bheedh dikhi, Asif kuch samjha nahi itni raat gaye waha kya hua tha? Asif hadbadakar pehle paas aaya us ghar ke nameplate ko ghura wo digonto ka bataya wohi ghar tha aatank se phat padti uski nazare liye wo us ghar mein pahucha logo ki bheedh hatata jab wo saamne aaya to usne dekha ki ghar mein goliya chali thi saaman tuta pada tha diwaar par goliyon ke ched they aur andar teen laashe mauzud thi pura Ghar buri haalat mein tha,

Asif ne ghar ka jayeza lena chaha par waha tabtalak police pahuch chuki thi, Asif unki nazaro se bachta kaanpte huye fauran bahar aaya usne bheedh mein pucha ki aakhir hua kya tha? To usne bataya ki wo padosi tha usne goli ki awaz suni fhir parivarwalo ki cheekh usne apne balcony se  dekha ki kuch naqabposh ek ladki ko zabran thaame apne sath gaadi mein bithaaye waha se nikal gaye, jab log waha pahuche to unhe mili to parivar waalo ki laash unki Bahu gayab thi, Shayad wo log oose hi agwa karke le gaye they,

Is baat ko sunkar Asif ke dil ki dehshat aur badh gayi oose kuch accha nahi lag raha tha, wo ladki koi aur nahi zarur! Tabhi uska phone Baja wo bheedh se dur hota apni gaadi mein aakar baitha,

"Hello kya hua? Abtak to shayad malum chal hi Gaya hoga ki tumhari Jaan is waqt mere paas hai maine kya kiya ye to dekh liya hoga? Kaho to live video bheju uska bhi"

Asif janta tha waha koi Islam ka khabri tha jo uske aane ke intejar mein wohi tehra hua tha, jo uspar barabar nazar rakhke huye tha wo bheedh ki taraf dekhta fhir phone se lag gaya,

"Islam tumhari dushmani mujhse hai oose jaane do"

Islam gandi hasi hasaa usne minnat karte Asif pe banawati taras khaaya fhir oose sanjida hokar kehna shuru kiya,

"Main janta tha tu apne apno tak zarur pahuchega, Aur wo ladki teri jaan hai wo nahi to tu nahi, main teri tamam story sam se pehle hi sun chuka tha is mauqe ke din tha ki tujhe kab apni Geraft mein kar saku aur apne aadmiyo ke khoon aur apne insult ka badla le saku"

"Tum jo kahoge wohi karunga"

"Purane Dhaka ke river port par aaja aur sun akele aana koi chaal nahi warna jabtak tu aayega uski laash wohi tairte payega wo bhi bilkul nangi haalat mein"

Asif ki mutthiya bheech gayi usne islam ko agaah kiya ki agar oose kuch bhi hua to wo uski zindagi mein aag laga dega, uske laachari par hassta Islam ne bina kuch kahe phone kaant diya wo Asif ko ghutno pe gidgidata minnate karta dekhna chahta tha, Asif samjh nahi paa raha tha wo kya kare? Ek pal ko us parivar ki laasho par uski nigah uthi aur uske jism ke raungte khade hone lage, wo waha ruka nahi usne fauran gaadi start ki aur waha se nikal gaya Islam ke bataye uske thikane ki taraf...

To be continued
Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #23 on: March 23, 2024, 08:35:35 AM »
Dhaka river port purane Dhaka ka mashoor Nadi ka bandargaah tha jaha kayi Qataro mein tarah tarah ki boat kinaare par lagi huyi thi, aur beech se nadi jaa rahi thi jo kayi  dur tak faili huyi aage jaakar samundra se jaa milti thi, us ghadi raat ke 2 baj chuke they aur mahoul sunsaaniyat mein duba tha bas aas paas ke aabadi se roshan ho rahi wo jagah thi haalaki beech ki nadi aur kinaara pura neem andhera mein duba hua tha,

Asif ki gaadi port ke kinaare chalti boat ki Qataro se guzarti ek pier ke paas aa pahuchi usne gaadi roki kyunki kisi ne uski taraf haath dikhaya tha wo chauknna tha wo ahetiyat se gaadi se utara ho sakta tha oose wohi shoot kar diya jata lekin Islam ke aadmi ne aisa kiya nahi, wo ek sadharan sa dikhne wala kad kath ka patla dubla aadmi tha usne Asif ke paas aakar uski talashi ki uski gun cheeni aur oosi ki kamar pe chubata oose apne saath chalne kaha, fhir ungli dikhakar oose khamosh rehne ka ishara kiya,

Wohi Durbin se dekhta nadi ke beech apne cabin se bahar nikalkar islam uspar nazar gadaaye huye hass raha tha, uski har harqat note kar raha tha, Asif samajh nahi paa raha tha ki wo kya kare? Usne sabki madad ki lekin aaj wo khud bebas tha, wo pier ki lakdi par chadhta ek boat par utara waha bhi ek aadmi mauzud tha boat par baithte hi chappu se chalata Naavwala dur baitha raha, Asif dono aadmiyo ke beech baitha andhere mein Islam ka thikana dhundh raha tha, tabhi oose kahi horn sunai di koi steamerboat dur Jaa Rahi thi, boat ulti taraf mudi aur fhir kuch dair baad ek steamerboat ke paas tairti aakar thamaayi gayi, wo dono khade huye fhir upar se kisi ne sidiya faikhi wo sidiya lakdi ki nahi wire aur aluminium ki thi, pehle uspar ek aadmi chadha fhir dusre aadmi ne Asif ko dhakelte huye uspar chadh ne bola wo teeno upar pahuche jaise hi Asif upar pahucha to usne paaya ki waha Islam ke kayi aadmi khade they wo tahaka lagake hassne lage ek ne piche se Asif ko Dhakka Diya to wo sidha farsh par gira oose kisi ke pao apni taraf aakar khade hote dikhe,

Wo uthkar oos aadmi ko dekhne laga, wo islam tha baddhi si hassi hassta wo Asif ko ghurr raha tha piche wo dono admi uske aazu bazu khade ho gaye,

"Kya hua? Aaj chowdhury sahab nahi aayenge tujhe bachaane bara tune unhe dhaal bana rakha tha? Agar tu oosi raat mere aadmiyo ke haatho marr jata jis raat tune chowdhury ke aadmi ko bachaya tha to shayad aaj ki raat tujhe dekhni nahi padti"

Asif khamosh khada uski baat sun raha tha, "kya mila? Chowdhury ke liye kaam karke kya mila? Wo to hospitalised hai usne toh ulte mere saath samjhauta kar liya socha mujhe Shah Alam ki dhamki deke wo mujhe kaabu kar lega hahaha aur maine oosi ka patta kaant diya Sam ko uska khaas banakar lekin tu beech mein aa gaya aur tu ne Naa hi sirf mere mansubo ko balki mere khaas aadmi ko aur mere kayi aadmiyo ko khatam kar diya teri wajah se aaj main chowdhury ko maar nahi paaya, mera plan uske aadmiyo ke aage khul gaya galti Teri nahi hai Sam ki hai oose to Shah Alam se sauda karke tujhe bakashna nahi sidha kaant dena chahiye tha"

"Dekh Islam main tere saamne hoo tujhe jo dushmani hai mujhse nikaal lekin pls jise bhi tune uthaya hai oose Jane de uska koi kasoor nahi hai"

"Hahahaha".....Islam sabke sath tahaka lagaye hassne laga fhir piche mudkar Asif ki taraf dekhne laga

"Aise nahi ghutno mein baithkar juto mein naak ragadkar ye baat keh haath bhi jodhna soch ki main hi Tera khuda hoo to shayad main kuch rehem kar du"

Eka ek uske chehre pe hinsak bhaav aaye usne Asif ke chehre ke kareeb aakar daant peeste kaha "tu janta nahi hai tune kisse panga liya hai? Main apne dushman aur uske sath pushto ko maut ke ghaat utaar deta hu aur waise bhi wo kahawat to suni hogi gehun ke sath ghun bhi pis jata hai"

"Tu mujhe akele bulata to main tab bhi aata dushman ke kamzori ko dhaal banakar oose maarne wala kisi namard se kam nahi hota"

Islam ne kheechkar ek thappad Asif ke chehre pe maara Asif jhukkar utha to uske honth ke koro se khoon nikalne laga, "abhi jagah jagah se katega tujhe aise maarunga ki tu fariyad karega bas maut mil hi jaaye lekin maut nahi milegi tujhe"

Wo piche hatne laga Asif ki nazare uske taraf badhte kayi admiyo ki taraf huyi wo ek sath tamam un logo se nipat nahi sakta tha, wo nihatta tha ek ek ne apne haath mein kaanch ka botal todkar uska tukda le liya, Asif Islam ki taraf muda jo cabin ke paas jaakar khada ho gaya,

"Arnisha kahan hai? Islam"

"Itni jaldi bhi kya hai barkhurdar pehle in logo se to nipat lo aye munh kya dekh rahe ho maar maarke adhmara kar do is saale ko"

Uska hukam paate hi wo gunde fauran asif par tut pade, Asif ne furati se dayaa ghusa apne pas aate gunde pe maara fhir dusra laat dusre gunde pe jamaya lekin jaise wo ek bachav karta dusra hamla ek saath hota, kisi ne uske piche se kaanch ka vaar uske peeth par kiya kapda phatte huye aseem dard ko bardasht kar Asif ne ulte kohni ka uspar vaar kiya to kisi ne samne se uske jaangh par kanch ka wo tukda de maara, Asif wohi dum saade baith gaya ek ke baad ek kayi hamlo ka wo nishana bana wo log oose maarne lage koi piche se koi aage se kayi baar kaanch ke tukdo se wo uske shareer ke har hisse par maarte huye oose zakhmi kar rahe they aur har hamle se wo dard se tadap uth raha tha,  fhir kayi thokar oose apne upar padte mehsus huye fhir oose ek aadmi pao par uthaakar ek tukda uske pait mein ghusaane jaa hi raha tha ki Islam ne roka,

Unhone oose apne boss ke aage faikh diya wo girta khoon se lathpath zakhmi haalat mein uthne ki nakam koshish kar raha tha, wo jaise taise apne pairo pe khada hua to islam ne puri taqat se uske seene pe laat maari wo hawa se baat karta sidha charo haath pao faile farsh pe gira fhir wo uth nahi paaya, uske chehre se khoon beh raha tha, Islam aage badha to uska phone baj utha

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #24 on: March 23, 2024, 08:36:07 AM »
Islam ne number dekha fhir usne tamam logo ko shaant hone ka ishara kiya, phone uthtaate hi uske ek aadmi ki ghabrayi awaz thi, "boss gazab ho gaya police tumhare tamam jagaho par raid maar rahi hai aur yahi nahi unhe sab malum chal chuka hai ki tum netagiri ki ot mein smuggling aur illegal arms trafficking aur supari lene ka dhandha karte ho, na jaane police ko kaise sabut mil gaya hai? Police tumhare ghar tumhe arrest karne aayi to waha bhi chaapemaari huyi wo log tumhe har taraf ab dhundh rahe hai"

"No wayyy".....gusse mein aata Islam phone dur uchaal faika jo sidha paani mein jaa gira

Uska chehra maare gusse mein tha aur uska pura shareer kaanp uth raha tha, "ye zarur chowdhury ki chaal hogi aur is ladke ki"

Tabhi furati se Asif dahadhta utha Islam oose dekh ghurrne laga wo daudta hua teji se jhukta apna sar uske pait se takrata oose bhar paanje thaame uske peeth se sidha cabin ke darwaje se takrata andar le jaake gira, islam sidha table se ja takraya aur wohi dohra ho gaya, Asif ne ghumkar ek laat ghuste aadmi ke chehre pe maara aur darwaja andar se lock kar liya baaki islam ke aadmi darwaja todne lage, Asif ne daaya ghusa uthte Islam ke chehre pe de mara wo table se takrakar sidha aundhe munh farsh par gira, paas rakhka stool uthaaye Asif ne puri taqat se uske peeth par de maara stool tut gaya aur Islam dard se bilbilata wohi chatpatane laga,

Islam ke aadmi lagbhag darwaja Tod chuke they, Asif ne aage badhkar waha bar bane cabin par rakhki tamam botale uthaayi aur sidha ek ke baad waha diwaro par farsh par faikkar todni shuru ki ek botal lekar usne uthte Islam ke gardan par de maari khanaak ki awaz se kaanch aur sharab bikhara aur wo apna gardan pakde wohi dard se tadapne laga,

"Bol haramzaade arnisha kahan hai bata?"....Asif ne uske zakhm bane gardan ko kasskar dabaya to islam pagalo ki tarah chatpatane laga usne khoon sane haath se baayi room ki taraf ishara kiya, idhar uske aadmi darwaje pe goli chalane lage they, darwaja kabhi bhi Tut sakta tha

Asif ne fauran us kamre ka darwaja khola to oose andar ghabrayi aur sihamti arnisha ki jhalak mili wo arnisha jise wo pure 7 saal baad dekh raha tha, apne saamne itne barso baad Asif ko dekhkar arnisha chaunk uthi, Asif wohi teher gaya wo salamat thi uske haath pao bandhe huye they aur wo wohi zameen pe padi thi, Asif ne paaya ki wo bilkul badli nahi thi bas chehre pe halka sa badlav aaya tha, wo us waqt ghar ke kapdo mein thi, Asif furati se uske paas jhuka aur rassiya kholne laga fhir uske hontho se kapra phaadkar usne utaar diya, wo arnisha ka chehra haatho mein thaame rone rone par ho gaya aur arnisha oose dekhkar ooske gale lagkar rone lagi, wo uski peeth sehlaake oose chup kar raha tha,

"Don't worry sab theek ho jayega"

"Kahan they tum? Tum nahi jaante in logo ne!".......arnisha rote huye kehne lagi

"Tum aaj meri wajah se is musibat mein ho aur ab main hi tumhe is musibat se nikaalunga"...Asif usse alag hota uske aansu ponchta oose gulabi nazaro se ghurta usse vaada karte huye bolne laga

Wo utha toh fauran Islam uspar baagh ki tarah jhapta arnisha khauff se aankh nikaale ek taraf khadi ho gayi, Islam uske gale ko apne dono haatho se dabane ki koshish kar raha tha, Asif ne puri taqat se oose apne upar se pachadte huye dusri taraf gira diya, wo utha aur usne bahar nikalte huye tamam botalo ko todkar sharaab charo taraf bikher diya, usne paas rakhke lighter ko liya aur fauran us Sharab sane pure cabin mein faikh diya pura cabin ne aag pakad liya Asif arnisha ko piche kiye khada raha tabhi darwaja tuta to aag ki lapato mein andar girte do gunde aa gaye baaki log bahar hi khade rreh gaye Asif ne furati se botal unke munh par faikhi aur ek ke baad ek wo botal unpar faikke maar raha tha, sharab padne se aag aur badhak uthi aur aag ki lapatein bahar aane lagi andar unka boss mauzud tha jis wajah se wo log kuch nahi kar paa rahe they Asif ne apna coat arnisha ko odhaya, wo kaise waha se bhaag sakta tha? Cabin mein aag thi aur bahar gunde khade they wo aag ki lapate ab andar fail rahi thi,

Tabhi achanak oose bahar nazdeek aati horn sunaai di, usne arnisha ko apne peeth par thaama aur aag ki lapato ko fhaandta hua andar ke ek room mein aaya usne ek kursi uthaayi aur sidha sheesha pe de maara sheesha tuta, aur sofey pe chadhta wo arnisha ko liye bahar nikla us taraf aane ka koi zariya nahi tha tabhi ek goli oose apne baaye kandhe ko cheerti mehsus huyi wo dum saade arnisha ko liye wohi farsh par lait gaya shayad piche se kisi ne goli chalayi thi,

Wo gunde ek ke baad ek andar dakhil hone lage aag ki lapate ek gunde par giri to wohi wohi dhair ho gaya, steamerboat ke aage ki taraf aag puri tarah pakad chuki thi, arnishaa Asif ke chehre ko thaame oose himmat de rahi thi,

"Hamare paas waqt nahi hai steamerboat se kudna hoga"

"Lekin hum dub sakte hai"

"Inke haatho marrne se to behtar hai"

Wo dono bhaage tabtalak tuti khidki par islam gun taanta arnisha ki or nishana kar trigger kheech chuka tha wo goli sidha arnisha ke haath par lagi jisse wo cheekh uthi, Asif ne Islam ko dekha aur fauran oose dusri goli chalane se pehle hi uske aadhe latke bahar jism ko apne baazuyo mein jakadkar apne Geraft mein le chuka tha usse goli Cheenta Asif ne uske aankho ko buri tarah se noch liya, Asif ne oose piche dhakela kayi goliya piche se gundo ne uspar chalayi agar wo mauke pe hatta nahi to oose goli lag jaati, wo girta padta arnisha ke goli lage haatho ko dekhta oose kandhe par uthaaye sidha steamboat se niche paani mein kud gaya,

Islam ke aadmi jab waha pahuche to unhe paani mein khoon tairta dikha unhone paani mein firing shuru kar di, Asif dubti arnisha ko aseem dard mein thaama tairta hua saas roke steamerboat ke saath tairne laga wo upar Pani se bahar agar arnisha ko leke aata to ho sakta tha goli kahi se bhi unpar daag di jaati, Islam ke aadmi jhankte huye unhe paani mein charo taraf dhundh rahe they steamerboat par aag badhti jaa rahi thi,

Itne mein Asif arnisha ko liye paani se gardan tak bahar nikla to steamerboat oose kaafi aage jaati mehsus huyi neemandhera ki wajah se wo Bach nikla tha, tabhi oose wohi horn sunai di ek motorboat piche se uski taraf badhte huye aayi to oose motorboat chalati ek aurat dikhi jise wo pehchan nahi paya par safa ne oose pehchan liya tha, jisne Asif ko muskurake dekha "jaldi baitho fauran"...uske kehte hi asif ne puri taqat se zakhmi bheegi arnisha ko boat par uthaake laita diya aur khud boat par chadhta paani se nikalkar sawar hua itne mein oose goliyo ki awaz sunai di, safa ne motorboat teji se dauda di aur Asif ko niche rakhke motorboat par wo banduk uthane kaha

"Ye banduk?"

"Baat karne ka waqt nahi hai jaldi banduk uthao main boat ko tej karti hoo"

Asif ne fauran banduk uthaayi aur to wo ak-47 rifle jaisi thi, usne piche palatkar dhadhadhadh nishaana saadhte steamerboat par maarna shuru kiya railing pe khade kai Islam ke aadmi wohi goli khaakar paani mein girne lage, motorboat tej karti safa ne u turn lete huye aur teji se motorboat steamerboat ke aage se guzaari Asif arnisha aur safa ko cover karta unpar goliya daagne laga wo log bhi jawabi hamla karne lage, safa ne fauran motorboat chalate paas pade ek dynamite ko uthaye us ke palite mein aag lagayi aur motorboat ko kaafi kareeb aag lagti steamerboat ke samane se le jaate huye Asif ko wo dynamite deti jaldi se steamerboat par faikne ko kahi, Asif ne us bomb ko hairani se dekha aur furati se steamerboat pe de uchaala safa ne motorboat jitna dur ho saka paani mein steamerboat se utna dur le  jane ki koshish ki, tabhi Islam ke paas wo dynamite jalta hua gira, uski aakhe dehshat se phat gayi uske aadmi aur wo ulte pao bhaage hi they ki ek zor daar dhamaka hua pure nadi mein jaise jaljala sa aa gaya, puri steamerboat ke parkhacche ud gaye, aag ki ek bhaari aatish huyi andheri raat ko raushan karti aasman mein kayi ft ucha dhua uthne laga, kayi dur hawa mein udte wo steamerboat ke jalte malbe ek ke baad ek dobara nadi mein aa gire,

"Ab yaha rukna theek nahi fauran yaha se bhaagna hoga"

"Meri dost ko goli lagi hai uske haath se goli nikaalna hoga"

"Wo kaam hum raaste mein bhi kar sakte hai"

"Par aap hai kaun?"

Safa ne oose dekh bas katilana muskuraya, motorboat tej raftar se nadi ko cheerti sheher se dur Jaa Rahi thi, Asif samajh nahi paa raha tha ki kinaare mein jaane ke bajay wo anjaan aurat oose kahan liye jaa rahi thi, wo arnisha ke paas aaya jo behosh padi thi, uske haath se khoon beh raha tha usne phaadke apne kapre se ek tukda nikaala uske goli lage zakhmi haath mein bandh diya,

Kayi dair ho gaye lekin safa nadi mein hi motorboat na jaane ki or liye jaa rahi thi, is baat ko bhaanpte huye usne sawali nigaho se charo taraf dekha waha dur dur tak koi kinara nahi tha, fhir wo safa ki taraf muda jo motorboat ko dakshta se paani mein taira rahi thi,

"Aap ye kahan le ja rahi hai motorboat ko? Dekhiye meri dost ko goli lagi hai pls kinaare ki taraf mudiye waha meri gaadi mauzud hai"

Safa ne jaise suna hi nahi wo aur teji se motorboat waha se aur dur le jaane lagi, Asif is baar bhauklaaya oose kuch gadbad lagne lagi, wo ekdum se utha aur safa ke kareeb jaakar oospar chillane laga

"Kaun hai aap? Kahan le ja rahi hai aap humhe? Mujhe nahi lagta ki aapke iraade humhari madad karne ke hai? Motorboat rokiye maine kaha motorboat rokiye"

Tabhi oose ahesas hone laga ki wo sheher ke paar ho chuka tha, aur motorboat jis taraf badh rahi thi wo dusra sheher tha, wo jagah uski jaani pehchani thi us jagah ka naam usne aksar apne marhum dost adam se suna tha aksar baat karta wo kehta tha ki uski kahani wohi se judi thi, jab wo pehli baar waha aaya tha aur Malik sahab ke under kaam karne laga tha, wohi Malik sahab jiski beti safa thi ek zamana tha jab wo log yaha ke badshah hote they, adam ne bataya tha ki kaise apne damad ke qatl ki raat police unhe dhar dabocha tha uske baad hi uski jaan us saansad se chuti thi,

Achanak Asif ko us din ki baat yaad aayi jis din adam ki maut huyi thi, wo dara hua tha ghabraya hua bhaag Raha tha aur safa ka naam le raha tha, apne hi aap Asif ki nazar khyalo se nikalte safa ki or uthi, safa ne jab paaya ki wo jaan chuka tha ki wo kaun thi? Toh usne oose muskurakar dekha, Asif jaise aasman se gira khatra abhi tala nahi tha, tabhi uski surat oose kyu itni jaani pehchani lagi thi? Us raat jab wo gam mein duba ghar laut raha tha oose bus stop par wohi saji dhaji nashe mein mili thi, jo baar baar oose apna Adam keh rahi thi, Asif ko uspe Shaq hua par wo khud nashe mein tha usne oose pagal samjha tha aur is naam ko itefaq maana tha, wo oose uske motel mein chodhne gaya tha aur waha na chahte huye bhi uske sath humbistar hua tha, us baat se Asif aur zyada yakeen na kar pa raha tha, yaani wo koi aur nahi uske marhum dost adam ki psychopath lover Malik sahab ki beti thi,

"Tum?"

"Haan main"......kehte huye wo dobara motorboat ko us khule nadi ke beech roki jaha se saamne ki taraf Bengal ki khadi ka rasta khulta tha

"Tum safa ho mujhe pehle samajh Jana chahiye tha kyu kar Rahi ho ye sab? Kya adam ko maarkar tumhare kaleje ko thandak nahi pahuchi"

"Maine adam ko nahi maara main to oose paana chahti thi wohi mujhse darrkar dur bhaag Raha tha aur tabhi waha anika ke aadmi pahuch gaye maine oose rokna chaha par wo truck ke saamne aa gaya"

Safa roya hua sa chehra banaye oose dekhne lagi, fhir uske chehre ne rang badla wo pagalo ki tarah Asif ke chehre pe haath rakhne lagi to Asif ne oose khud se dur dhakela,

"Khabardar mujhe chuna mat tumhari chalte mere marhum dost ki jaan gayi ab mujhse kya chahti ho? Agar mujhe pata hota ki tum waha thi toh tumhe bhi maar deta"

"Marr to main oosi din gayi thi jis din wo marr gaya lekin dekho uparwale ne kudrat ka kya khela hai? Ek nahi pure teen chehre ek Anika ka husband ek Mera adam aur ek tum, ab jab tum mujhe mil gaye ho toh main tumme oose dhundh lungi"

"Pagal ho tum, na tumhara main kabhi ho sakta hu aur na adam kabhi tumhara tha, lekin tumhe malum kaise chala ki tumhare adam ki tarah koi teesra bhi mauzud tha"

"Jis tarah mujhe Arif ka malumat chala oosi tarah ittefaq se us raat tum mujhe mile, sach pucho toh Arif ko maarkar tumne Mera badla pura kiya warna wo Zinda hota to main oose bhi nahi bakashti Anika ko laga ki main uske shouhar ko apna Adam samajhkar oose hathya lungi lekin main to oose apne adam ke liye qatil hi maanti, yaad karo wo raat jab tum aur main ek huye they"

"Shut up safa wo galti thi, mujhe laga ki tum jaanbhujkar mere saath lipat rahi ho jo bhi hua uska mujhe ahesas hai aur main uske liye maafi bhi maangta hoo lekin ab aur mujhme taqat nahi isse pehle ki main bhul jau ki tumne meri kuch dair pehle madad ki motorboat wapis dhaka le chalo"

"Hahaha ab to Aisa nahi ho sakta? Tumhare piche saaye ki tarah dhaka se padi hoo socha mauka paakar tumhe agwa hi kar lungi lekin tumhe to maine Islam ke aadmiyo laddte dekha to main samajh gayi ki wo log tumhe jaan se maare Bina nahi chodhenge isliye tamam hathyar ke saath pahuchi tumhari madad karne taaki tum unse nijaat pao aur fhir main tumhe liye waha se nikal saku"

Asif munh baaye oose dekh raha tha aur safa gunguna rahi thi usne ek udti nazar piche behosh padi arnisha ki taraf dekha, aur fhir zakhmi Asif ki taraf fhir wo aansu ghule nazaro se charo taraf dekhne lagi

"Jante ho ye mere Abba ka purana adda hoya karta tha yaha hum apne dushman ko maarke faikh dete they taaki zinda piranha machliya unhe khaa sake ab main tumhe yaha kyu laayi hoo? Wo bhi bata deti hoo".....usne ungli ka ishara arnisha pe kiya Asif ne oose aankh dikhaate huye uske kareeb bhi jaane se roka

"Anika to marr chuki tumhare dushman bhi saare maare gaye hai, ab agar koi bacha hai to wo hai tumhari ye mehbooba tumhari aur iski kahani maine suni hai bahut tragic love story hai lekin ise tragic hi rehne do kyunki is kahani mein climax yahi hai ki main tumhari ho jau aur tum mere aur ye hamare raste se hat jaaye kyunki jabtak ye hai tabtak mera aur tumhara Milana nahi ho payega"

"Main hargiz tumhari koi baat nahi mannewala dekho uske haath mein goli lagi hai zeher pure body mein fail sakta hai pls kam se kam mujhe uski goli nikaalne do"

"Ek hi shart par agar tum meri baat maanoge"

Na chahte huye bhi Asif ne haan mein sar hilaya jise dekh safa tahaka lagane lagi, fizayo mein paani ki leher ke sath uski awaz ka shor bhi charo taraf sannate mein gunz raha tha

Logged
ASIF
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
21 hours and 1 minutes.
Posts: 164
Member Since: Feb 2021


View Profile
«Reply #25 on: March 23, 2024, 08:50:46 AM »
Safa se kaafi minnat ke baad usne bataya ki wo janti thi ki aisa kuch ghat sakta tha isliye motorboat par oosne ek first aid box rakha tha, Asif ne jhukkar wo baksa uthaya aur behosh padi arnisha ke paas aaya uske haath pe bandha kapra khoon se laal ho chuka tha khoon zyada beh raha tha, wo aankhe munde padi thi,

Asif ne kapra phaada fhir bakse mein ek antiseptic sheeshi nikaali fhir cotton, Patti aur usmein pada ek chaaku utha liya usne paaya ki usmein ek fire starter aur lakdi bhi thi, wo sawali nazaro se safa ko dekhne laga, wo masumiyat se muskurati oose dekh rahi thi,

Asif ne pehle arnisha ke sar ko sahara diye uthaya ek kapra se uske munh ko baandha aur oose apne kareeb kheechte huye usne wo haath apne goad mein rakh liya wo goli nikaalna janta tha kahi dafa wo ye kaam kar chuka tha, usne lakdi pe aag lagayi us chaaku ko us aag mein dhipaaya aur fhir uske laal hote hi apne aansu bahata arnisha se maanfi maangta us ghav mein dhasi goli mein usne wo chaku ek hi baar mein ghusakar us goli ko phati maaspeshiyo se bahar kheechke nikaal diya, arnisha itni zor se haath pao maarti chillayi ki ek pal ko asif bhi sihar utha, wo rota uske maathe ko thaame chaku bahar nikaal chuka tha fhir usne us ghaav mein fauran dawai se bheega cotton daala toh jaise wo bin paani ki machli ki tarah tadapti rone lagi lekin wo Asif ki pakad se alag na ho paayi usne kasske Asif ke baazu ko pakad liya jabki uske aankho se maare jalan zakhm par hone se betahasha aansu beh rahe they, uski ye haalat Asif dekh nahi paaya aur subakne laga aaj wohi uske haalat ka zimmedar tha,

Kuch dair baad arnisha ke haath ki marham Patti kar tamam khoon se Sani cotton jali lakdi ko paani mein faikta Asif ne apne kandhe pe lage ghaav ko bhi poncha aur uspar dawai lagakar jalan ko sehan karte huye khud se Patti ki to safa ne aage badhkar uski madad karni chahi to Asif ne oose gulabi nazaro se wohi teherne kaha safa pehlu badalti wohi khadi ho gayi,

Asif fhir apne pair par utha usne waapis apne tamam zakhm ko tatola aur fhir safa ki taraf dekhne laga, arnisha badhawas padi huyi thi uske munh se kapra Asif nikaal chuka tha,

"Manna padega uff itna khyal itna parwah itni mohabbat kitni kismatwali hai ye? Aur ek adam tha meri asliyat jankar mujhse dur bhaagta rehta tha lekin koi baat nahi jo kaam main uske sath na kar paayi tumhare sath karungi"

"Dekho safa main tumhare haath jodta hu humhe jaane do humne tumhara kuch nahi bigaada"

"Chup ekdum chup tabse samjhaane ki koshish kar rahi hoo samajh nahi aata ye charo taraf paani ko dekh rahe ho na ye paani nahi maut ki nadi hai"

Asif ne leher maarte motorboat ko hichkole khaate mehsus kiya us paani mein waqayi khatarnak piranhna machliya ho sakti thi,

"Waise bhi iske haath par ab bhi khoon hai nadi mein girte hi piranha khoon ki mehek se bhadhakne lagegi aur fhir tum jante ho wo kaise apne shikar ki botiya tak nahi chodhti"

Uske iraade ko bhaanpte huye Asif uske aage haath jodne laga arnisha ke liye wo fariyad karne laga, "tum Aisa kuch nahi karogi tum jo chahogi so hoga but pls ise jaane do"

"Hahahaha"......pagalo ki tarah safa hassti minnat karte Asif ko dekhne lagi

"Agar ye zinda rahi to tab bhi tum iske chahat mein pagal rahoge lekin agar ye nahi rahi tabhi tumhe main haasil kar paungi"

"Zabardasti se koi mohabbat nahi hota safa tumne khud kayi jaane li hai isi obsession mein aakar kya mila? Kya tumhe adam naseeb hua? Tumhari isi pagalpan ki wajah se wo tumse dur bhaagta raha tumne uski hasti khelti zindagi ko Cheena hi saath mein uski bachi kuchi zindagi bhi Anika ke sath milkar cheen li"

"Main pagal nahi hoo Asif I warn you aur agar tumne mujhe fhir aisa kuch kaha then I swear I m gonaa kill this bitch"

Usne chaku uthaaye arnisha ki taraf aane ki koshish ki Asif uske aade aa gaya lekin safa ne aage badhkar motorboat par padi wohi banduk utha li thi jo usne Asif ko Islam ke aadmiyo ko maarne ke liye di thi, Asif sambhal gaya usne Asif ko raaste se hat jaane kaha Asif na chahte huye bhi raaste se hat gaya aur motorboat ke dusre pehlu mein aake baith gaya, safa ab uske aur arnisha ke beech thi raat ke us ghadi waha dur dur tak koi nahi tha, arnisha ab bhi behosh thi usne uske jism par banduk ki naal se oose tatola jispar Asif oose mana karne laga,

"Tum nahi karoge to main ye kaam karungi ise khud nadi mein faikungi isse kaam aasan ho jayega mujhe goli chalane ki bhi zarurat nahi hai ye piranha machliya mera kaam aasan kar degi"

Asif tarqeeb soch raha tha ki wo aisa kya kare? Ki arnisha uske Geraft se azaad ho paaye lekin wo uske beech khadi thi, uske sar par khoon sawaar tha,

"Haan ya na"

"Tum Aisa kuch nahi karogi safa pls"

"I am asking u one last time"...itna kehte hi jaise wo kuch aur keh pati achanak uski aankhe bahar nikalne ko ho gayi

Asif thithakte huye us naumeed ghatna ko dekhne laga safa dard se karhaati bari bari aankho se piche larkharayi ghumi usne paaya ki arnisha hosh mein aa chuki thi aur usne wohi chaaku jo kuch dair pehle safa ne banduk thaamte waqt motorboat par faika tha oose uthaaye usne uska vaar safa ki peeth par kar diya tha chaku ki muth bahar thi jabki chaku kayi inch andar safa ki peeth mein ghopa hua tha, us muth ko nikaalne ki nakam koshish mein safa saas kheechti larkharayi arnisha ke taraf aane ko huyi arnisha fauran raste se hatte huye dusri taraf ja hati safa ka pao muda chakkar khaati wo bagal ki taraf aaundhe munh ke bal giri aur uska shareer sidha boat ke kone se takrata paani mein jaa gira, motorboat par paani ke cheete udkar pade aur asif ne aage badhkar kasske arnisha ko thaam liya, safa ki peeth se nikalta khoon paani mein jaise behane laga tamam piranha machliya uspar jaise Tut padi, fizaayo mein safa ki bhayanak dardnaak cheekh gunzne lagi, wo roti chatpatati cheekhti chilla rahi thi, Asif uski madad karna chahta tha lekin arnisha ne oose aisa karne se mana kiya, safa tadapte khoon behte paani mein haath maarti dubne lagi uska pura jism piranha apne daanton se kaant rahi thi, us manzar ko asif dekh nahi paaya aur usne arnisha ke chehre ko apne seene mein chupa liya, Asif ne palbhar mein motorboat waha se dur bhaga li jabki piche safa chikhti chillati khoon aur zakhm se lathpath dubti reh gayi, kuch ghadi baad dono ne mehsus kiya ki cheekhe aani band ho chuki thi shayad machliya safa ke laash ko apne saath paani ke bheetar le ja chuki thi, us haulnaak manzar se siharte Asif aur arnisha waapis Dhaka sheher ki taraf jaane lage,

"Oose uske kiye ki khudai saza mil chuki thi, adam aaj tujhe insaf mil gaya".....usne aasman ki taraf nam aankho se dekhte huye kaha arnisha uske bagal mein baithi aansuyon ko ponchne lagi

Fhir arnisha ko thaame usne uske patti lage haatho ko chuma jispar arnisha ne koi aitraaz nahi kiya, wo muskura rahi thi wo log tamam aafato se nijaat pa chuke they aur ekdusre ke sath mehfuz they,

"Socha nahi tha aise dobara mulaqat hogi"

"Maine umeed chodh di thi"

"Mujhe afsos hai ki meri wajah se tumhe itna kuch jhelna pada arnisha"

"Nahi main zyada kasoorwar hoo jo kuch mere sath hua wo mere kiye ka phal tha asif na main tumhe beech raah par chodhti aur na tumhe ye din aaj dekhna padta"

"Ek baat kahu aaj sacche dil se keh raha hoo pichli baar keh na paaya tha main janta hoo meri wajah se tumne apna shouhar khoya parivar khoya"

"Aisa mat kaho"

"Kya tum mere sath Umarbhar rahogi? Main janta hu mera koi bhavishya nahi hai mera koi kal nahi hai, main abtak yaa toh thokhare  khaata raha ya fhir Bhai logo ke liye kaam karta raha lekin sach pucho maine tumhara wada toda tumne mujhe achi zindagi guzarne kaha tha lekin dekho taqdeer ko usne mujhe ek baar fhir oosi gunaah ke daldal mein dhakel diya"

"Asif khud ko dosh mat do taqdeer ke aage kisi ki nahi chalti aaj agar hum saath hai to shayad ye koi Karishma hai warna na main aaj zinda hoti na hum dobara mil paate dekho itna kuch ghat gaya fhir bhi hum ek saath hai ye khushnaseebi nahi hamari to aur kya hai? Kal kisne dekha hai sach kahu to maine chahkar shaadi nahi ki thi, haan tumhare jaane ke baad digonto se maine talaq le liya kyunki main uski zindagi kharab nahi karna chahti thi, mere dil mein uske liye na jane kyu wo feelings nahi aati thi? Jo!"

Kehte kehte arnisha chup ho gayi, Asif ne uske chehre ko apne haatho se thaama aur apni taraf moda apne liye uske nazaro mein aseem mohabbat dekh arnisha kuch keh na paayi,

"Kya hum ek ho sakte hai?"....us baat se arnisha ne Asif ke dono haatho par apna haath rakhka jo uske chehre ko thaame huye tha usne gaur se Asif ki nazaro mein dekha

Arnisha ne kuch nahi kaha par muskura diya, dekhte hi dekhte Asif aur arnisha ke honth ekdusre se Jud gaye aur is qadar wo ekdusre se lipat gaye jaise aakhirat hi unhe alag kar sakti thi, arnisha ko apni baahon mein thaame Asif uski nazaro ko dekhta raha jabki arnisha ne bhi Asif ko kasskar bhar paanje thaam liya, savera ho raha tha aasman se kaale ghere chatt rahe they, Suraj purab se aise nikal raha tha jaise nadiyon ke beech se nikal raha ho, motorboat apne tej raftar se apne manzil pahuch rahi thi, dono ke honth jab ekdusre se alag huye toh samundri hawao se arnisha ki udti zulfo ko samaitta asif dekh sakta tha ki wo apni manzil ke kuch hi duri par they, arnisha uske seene se lag gayi aur oose apni baahon mein thaame Asif muskurata oose motorboat par laitte huye aasman ki taraf dekhne laga,

Kuch sham dhale jab hum mile,
Na din dhale na raat ho,

Ye aarzoo din raat ho,
Ye zindagi bas tere hi saath ho
✍️

THE END
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:39:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.23 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer