Gyaan ki praapti me ahankaar sabse bada baadhak hai

by @Kaash on September 21, 2013, 01:30:43 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1005 times)
@Kaash
Guest
Ye katha hume ye bataati hai ki ek to gyaan ke liye ahankaar sabse bada baadhak hai doosra hame nirmal man se santon se milna chahiye kyunki usme bhi hit hamara hi hota hai. Sant maan-apmaan ninda-stuti daulat-shohrat dharm-jaati in saansarik prapanchon se bahut upar hote hain. Unka ek hi swarth hota hai niswarth bhaav se logon ka hit karna. Ek baar ek raaja Pipa bhraman ko nikla tha, tabhi usne dekha ki door se sant Raidaas aa rahe hain. Raaja ye jaanta tha ki ye sant brahmgyaani hain kyunki unki khyaati door door tak phaili hui thi. Raaja ghode se neeche utar gaya aur sant ko namaskaar kia. Sant ne swabhaavanusaar uska wandan sweekaara. Sant Raidaas ji chamde ki ek benti jisme paani bhara jaata hai liye hue the aur raaja ko pyaasa jaanke bole ki lo paani pi lo. Raaja ko halaanki pyaas lagi thi lekin use yaad aaya ki Raidas to shoodra athart chamaar hain aur wo to raaja hai, inke haath se kaise kuch grahan kar sakta hai. Parantu sant ko mana bhi nahi kia ja sakta isliye dikhaane ke liye usne haath jod liye paani peene ke liye. Sant is baat se anjaan benti se paani giraane lage aur raaja ne peene ka naatak kiya aur saara paani gira dia ,kuch paani uske kurte ki baanh me bhi lag gaya.  Raaja chala gaya aur hamesha ki tarah uske kapde dhobi ke yahan dhone ko gaye. Dhobi ko kuch kaam tha to uski ladki ne raaja ke kapde saaf kiye parantu  raaja ke kurte ki baanhi me laga daagh na jaaye. Usne kurte ke daagh ko munh se chooske saaf kiya. Thodi der baad uske ghar ke aaspaas bheed lag gayi kyunki wo brahmgyaan ki baat kar rahi thi. Raaja ke paas khabar pahunchi to wo bhaaga 2 sant Raidaas ke paas pahuncha ki thoda paani pila den. Lekin usne dekha ki benti to khaali ho chuki thi. Ab wo sant se maafi maangne laga. Sant ne use naamdan dia athart prabhu bhakti aur aaj Gurugranth me raaja Pipa ki waani bhi sangrahit hai.  
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2013, 01:44:57 AM »

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Nice Creation @Kaashji.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #2 on: September 21, 2013, 07:56:43 AM »
very nice
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #3 on: September 21, 2013, 08:52:57 AM »
good
Logged
aqsh
Guest
«Reply #4 on: September 21, 2013, 01:51:32 PM »
Goood oneeee kaash ji...
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:06:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer