ambuj
Guest
|
Kash hume phir se mil jaye din o apne bachapan ka Kaha gaye o din jab hum bhi gate the muskate the? Kaha gayi o rate jab lori sunke so jate the? Sath me chhote bachcho sang sadko pe khelne jate the, Na dar tha kisi chij ka ulte logo ko hum darate the, Kuch yad hai o jab dadi ma pariyo ki kahani sunati thi, Pariya sapno me ati thi jannat ki sair karati thi, O pyari thapkiya mammi ki o pyar ka rista godi ka, Kaha gaye o dular jo humse dukh sare le jaate the, O rat ka so jana jaldi o din ka jagna der se, Chain bhari o neend dur duniya dari k pher se, Na kisi k liye tension na risto ka koi bandhan tha, Kash hume phir se mil jaye din o apne ‘BACHPAN’ ka, Kash bade na hote to a sari bate na hoti, Na bina chain hota a din ye gam ki rate na hoti, Apne hi karmo se apne ap hi se saram lagne lagi, O daant hume papa ki ab kanto ki chubhan si lagne lagi, Julfo ki chhao us ladki ki jannat ki sair karati hai, Aur ma ki o pyari godi sanso ki ghutan si lagne lagi, G1 k is chhote se safar me kitna kuchh hai badal gaya, Hum wahi rahe sab wahi raha insan o apna nikal gaya, Ma tab bhi roti thi jab hum bin khaye hi so jate the, Ma ab bhi roti hai jab hum usko hi bhookha sulate hai, Wiwi ki godi me to bas pal bhar ka maja ata hoga, Bechaini dil me rahti hogi loriyan kaun gata hoga, O ma hi thi jo rote tum to palke bicha deti apne, Ab log rulate 1 padao tha bas achchhe risto k sangam ka, Kash………………kash……………kash………………… kash hume phir se mil jaye din o apne‘BACHAPAN’ka;;;;;; BY-Ambuj Pandey
|