...~~Meri Begum Aur Saas Sasur~~...

by HumTum on May 28, 2005, 01:52:39 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 7765 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
badle hain na badlein ge kabhi halaat mere
na ho dushman ke bhi saath kabhi jo huwa saath mere

Qisa tujh ko sunata hoon main apna
Biwi laaya hoon main jab se huwa mera kabada

roz outing roz hoteling ke bahane dhoonde
Biwi meri kitchen se Jaan churaane ke bahane dhoonde

khush kia main ne us se us ne mujhe maqrooz kia
hosh bholaye mere haar daam mujhe confuse kia

yaad aata hai yaaron aazadi ka zamana mujh ko
aish hi aish thi na tha koi gham mujh ko

main aur meri tanhayee ab aksar yeh batein karte hain
pachtate hain sab hi kia jo marzi se shaadi karte hain


Saas Aur Susar Kia Kehte Hain

kaha tha tujhe aaye beta na kar apni maan mani
pachtaai ga agar laaye ga parhi likhi zanani

teri Biwi to hamare liye bala-o-jaan bani
laaya to bana ke dulhaan jaise woh mehmaan bani

dair se uthte hi Bed -Tea ka order de
na ho baat puri lagaye bethe ho kisi border pe

chekhti hai chilati hai khoob jagharti hai
ham to kia cheez woh tujh se bhi akkarti hai

sehna hai tujhe suni thi tune dil ki pukar
roka tha tujhe magar khud hi kaha tha aa bail mujhe maar

khush huwa tha saja kar to apne aarmaanon ki baraat
4 din ki chandni thi ab hai aandheri raat

kia soche hain to ab kyun girata hai apni sehat
ab pachtaye kia ho jab chirriyaan chug gain khait


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
SAAS BHI KABHI BAHOO THI by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
....~~Saas aur bahu~~.... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 9 10 »
...~~Meri Begum~~... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
...~~saas bhi rukney lagi~~... by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
meri (almost sabki) begum by shakeel_saif in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
tushar_4u_im
Guest
«Reply #1 on: May 28, 2005, 01:59:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
badle hain na badlein ge kabhi halaat mere
na ho dushman ke bhi saath kabhi jo huwa saath mere

Qisa tujh ko sunata hoon main apna
Biwi laaya hoon main jab se huwa mera kabada

roz outing roz hoteling ke bahane dhoonde
Biwi meri kitchen se Jaan churaane ke bahane dhoonde

khush kia main ne us se us ne mujhe maqrooz kia
hosh bholaye mere haar daam mujhe confuse kia

yaad aata hai yaaron aazadi ka zamana mujh ko
aish hi aish thi na tha koi gham mujh ko

main aur meri tanhayee ab aksar yeh batein karte hain
pachtate hain sab hi kia jo marzi se shaadi karte hain

HumTum


yaar mai to pak gaya hu ,.. mai to pak gaya hu ,...

teri bivi k chaker me mai to thak gaya hu,...

aabhi to nahi hui shadi to tere me itna gam hai,......

phir to shayad muje bhi ghar bulaker kahega ,...

arre tushar bhai bartan dho,.......

 Shocked  Shocked  Shocked  Shocked  :cry:  :cry:  :cry:  :cry:
Logged
HumTum
Guest
«Reply #2 on: May 28, 2005, 05:48:53 PM »
Reply with quote
hota hai tushaar bahi hoita hai .. hass lo hass lo .. aap ki bhi barri aayigi  !!!! sad5  
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: May 28, 2005, 06:05:26 PM »
Reply with quote
are Hum tum ..kya hua??? ....aapki yeh haalat..tauba tuaba............................................ .................
Logged
HumTum
Guest
«Reply #4 on: May 28, 2005, 06:11:15 PM »
Reply with quote
ab kya batlaye nikki ji ........ bahut burey hallat mein hai hum to sad5 ..... !!!!  
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: May 28, 2005, 06:17:54 PM »
Reply with quote
aapki to abhi shaadi nahi hui...to burre halaat kahan se aye.................Huh???
Logged
HumTum
Guest
«Reply #6 on: May 28, 2005, 06:24:42 PM »
Reply with quote
Nikki ji sapna sapna .. sapney se yeh haalt hai meri to shaadi ke baad kya hoga !! sad5
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: May 28, 2005, 06:26:28 PM »
Reply with quote
Nice post Humtum !! ...............................................
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: May 28, 2005, 06:28:52 PM »
Reply with quote
Hope for the best...leave to god the rest..

ache dream dekha karo....Well.. acha likha hai aapne
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: May 29, 2005, 07:58:44 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Nice post Humtum !! ...............................................


Shukriya Talat ji.....  mein kuch aur bhi likhta hoon !!

kassi yeh aafaat mere galey hai padi
meri begum hai mujh se badi

roz khilata usko chicken tandoori
aur khud kahta hoon basi kadi sad5

Logged
nikki
Guest
«Reply #10 on: May 29, 2005, 08:33:27 AM »
Reply with quote
:lol:  Shocked  :lol:

hailla kha-kha kar basi kadi
teri to haalat ho gayi hai kharaab badi

kaisi begum tere palle hai padi
lagti hai woh bahut nakchadi

teri shayari mein lag gaye hain 4 chand
jab se teri bolti hui hai band..lolzzzz
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #11 on: May 29, 2005, 08:40:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
:lol:  Shocked  :lol:

hailla kha-kha kar basi kadi
teri to haalat ho gayi hai kharaab badi

kaisi begum tere palle hai padi
lagti hai woh bahut nakchadi

teri shayari mein lag gaye hain 4 chand
jab se teri bolti hui hai band..lolzzzz


lhalai hai sabko basi kadi,.....

iska to ek hi iilaj hai desi kuri,.....

kaisi begam tere palle padi,.....
lagta hai wo hai desi kuri,....

teri shayri me lag gaye hai char chand ,...
jab se hui teri shadi sang desi kuri,....
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: May 29, 2005, 09:55:02 AM »
Reply with quote
hahahahaha humtum  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  par....

kyu karte ho shadi ke life ki itni ruswayi,
woh din door nahin jab milegi biwi ki tujhe badayi,

abhi se ek aur naukri doondna shuru kar do,
ke sabse pehle pocha jayega tujhe kitni karte ho tum kamayi,

agar thoda bhi tum pad gaye dhile,
to ban jaoge umar bar ke lyie ghar jamai!!!!

 
:D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: May 29, 2005, 11:25:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
:lol:  Shocked  :lol:

hailla kha-kha kar basi kadi
teri to haalat ho gayi hai kharaab badi

kaisi begum tere palle hai padi
lagti hai woh bahut nakchadi

teri shayari mein lag gaye hain 4 chand
jab se teri bolti hui hai band..lolzzzz


Nikki ji ... mat hasiye meri halaat pe sad5     :lol:
yeh suniye ...

us ki Amma ne yeh kya kiya
Kis Janam ka Mujse Badlaa Liya
Choti Beti ki Photo Dhika kar
Badi Beti se Shadi karee
Mari Begum hai Mujse Badeee !!  sad5

Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: May 29, 2005, 11:28:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
hahahahaha humtum  :lol:  :lol:  :lol:  :lol:  par....

kyu karte ho shadi ke life ki itni ruswayi,
woh din door nahin jab milegi biwi ki tujhe badayi,

abhi se ek aur naukri doondna shuru kar do,
ke sabse pehle pocha jayega tujhe kitni karte ho tum kamayi,

agar thoda bhi tum pad gaye dhile,
to ban jaoge umar bar ke lyie ghar jamai!!!!

 
:D


hasiye Meena ji aap bhi hasiye ......  waseey ghar jamai wala idia mujhey bda hi pasand aaya !!  khiar.... yeh suniye !!

shadi se pahlay main Sher(lion) tha
shadi ke baad main khargoosh hogaya

kal shab begum ne itna peeta
ke main behosh hogaya

batoon batoon mainay aap ne padosan ko darling Kahgaya
bus yahi begum ke nazar main khusoor hogaya
phir begum ne itna peeta ke main laal peela hogaya sad5
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 04:48:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer