mujhe aabad kiya jaye

by mamta bajpai on May 11, 2010, 01:23:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1266 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
HO GAYA BAHUT,BAS! AB KUCH AUR HI KIYA JAYE
CHALO NIZAM-E-HAAL-E-DIL KO DURUST KIYA JAYE

JHARANE LAGA HAI AB TO RANJ-O-GUM KA YE PALSTAR
PHULKARIYON SE DAR-O-DEEWAR KO RANGEEN KIYA JAYE

SOOKH CHUKI THI NADI JO BAHTI THI MANN KE ANDAR
HANSI- KHUSHI KE SAILAB SE USE PURAAB KIYA JAYE

KANDEEL ME CHIRAG JALNE LAGE HAI HAR SOO
ANDHERON KE IS HUJOOM KO BARBAD KIYA JAYE

PHOOTNE LAGE HAIN KAI CHASHME JO KHO GAYE THE
KHUSHIYON KE INHI FAVVARON KO SAREAAM KIYA JAYE

DARD-O-GAM KE KHANDAHAR DHAHANE LAGE HAIN AB
MAI JEENA CHAHTI HOON MUJHE AABAD KIYA JAYE


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya kiya jaye by yammy in Shayri-E-Dard
kya kiya jaye by yammy in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 5 »
- AAye hai .. To Kuck Humgama Kiya Jaye- by Tosha in Chit - Chat & General Discussion « 1 2  All »
...Na Karo Aabad Mujhe Tum... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Uski saAN MÊ AYSÄ KYÄ KÎYA JAYE.~...ma...~ by Asif samani jaunpuri in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2010, 01:30:42 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Mamta Ji
Logged
neelgold
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2010, 01:39:22 AM »
Reply with quote
Wahh KAmal ....

Bhut Hi khoob!!!!!!!!!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2010, 04:50:12 AM »
Reply with quote
THANKS RAJESHJI!!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: May 11, 2010, 04:55:37 AM »
Reply with quote
Bahot khoobsurat poem hai Mamta ji. Aapka likhne ka ek alag hi andaaz hai. Khas taur par Urdu ke alfaaz badi liyaqat ke saath istemaal karti hain aap. Aala soch aur takhayyul ki haamil ye takhleeq qabil-e-tareef hai.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #5 on: May 11, 2010, 07:36:06 AM »
Reply with quote
RIYAZ BHAI AAP KI JANIB SE JO DAAD KE SACHCHE OR SHAFFAQ MOTI HAMARI OR UCHALE JATE HAIN UNHEN PA KAR MAI FAKHRA MAHSOOS KARTI HOON .AAPKI SARAHNA MERE LIYE BAHUT AHMIYAT RAKHTT HAI .BAHUT BAHUT SHUKRIYA!!!
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: May 11, 2010, 09:55:27 AM »
Reply with quote
khoob !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: May 11, 2010, 12:59:12 PM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Mamta ji... bahut khoob...!!!
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #8 on: May 11, 2010, 01:07:30 PM »
Reply with quote
itni chaashni tere kalaam main aai kahaan se....
sochta hoon yehi bus sochta hoon yehi..........

umda likha aapne ne bahoot khoob ....
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: May 11, 2010, 01:53:52 PM »
Reply with quote
dhanyawad Klaskarji !!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: May 11, 2010, 02:02:04 PM »
Reply with quote
THANKS NAZAR BHI!!!AAP KA DAAD DENE KAYE ANDAZ HAME KHOOB BHAYA.

SAZISH-E-WAQT-O-TAQDEER NE JEENE KA HUNAR SIKHA DIYA
AUR US PAR TAJURBE NE KARELE KO NEEM CHADA BANA DIYA
Logged
cara
Guest
«Reply #11 on: May 11, 2010, 02:24:47 PM »
Reply with quote
Wah kya baat hai       MAMTA BAJPAI JI.....


BAHUT JEE LIYE GUM MAIN AB IS GUMKO DOOR FAINKA JAYE
CHALO KHUSHIYON KI AUR BADE IS DIL KO KUSH KIYA JAYE

BAHUT TAKLEEF HAI IS GULAMI KI ZANZEERON MAIN
KYUN NA KHUDKO ZANZEERON SE NIKAL KAR AAZAD KIYA JAYE

SUNA HAI MAUJ MASTIYAN BHI HOTI HAI JEEVAN MAIN
KYUN NA HAR RANG ME JEEKAR ZINDAGI APNI AABAD KIYA JAYE...


Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #12 on: May 11, 2010, 02:32:49 PM »
Reply with quote
CARAJI BAHUT HI ACHCHA LIKHA AAP NE .PADH KAR MUTASIR HUI.MERE KALAAM KE HAR SHER KI RANG-O-BOO KO AAP NE DIL SE MAHSOOS KIYA .AAPKI NASEEHATEN GOUR FARMANE WALI HAIN .EK BAAR PHIR SE AAP KE KALAAM KO DAAD DENA CHAHOONGI.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:29:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.702 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer