Noor Bitiya Funny (Dakhni Zabaan Mein)

by Abul Asad on December 06, 2011, 07:31:57 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2365 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 days, 23 hours and 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
I live in Los Angeles, Meri family Hyderabad mein rehti hai, maine 3 saal se meri bitiya Noor ko nahin dekha, woh 1 saal ki thi jab usse chodkar, yanhaan ayaa tha, Uski batain phone par sunleta hoon, aur uski pictures daikh leta hoon. Badi yaad aati hai meri bitiya.
Issi ke liye yeh Nazm likhi thi, kaafi logon ko pasand aayi hai. Shayad aapko bhi aajae.
Issay aap dakhni zubaan ke lehje mein hi pardhe to mazaa dugnaa aaye ga.


NOOR (Dakhni zabaan mein)

Dhan Dhan-Dhan Dhan, jo awaaz aai dekho
To Meri Nooru betiya, school say aai dekho

Jo shor aur pukara mehellay me chaya
Aik toofan jaisay building main aya dekho

Dastak dena uska kia bolon dekho
Darwaza jaisay ab toota, jabku toota dekho

Amma uskay bataan ittay lambe
Suntay suntay horain safed baalan dekho

Mithay mithay bataan sab ko karke
Adaon se apni phasa ti so dekho

Jawaaban sunkay dil mein muskurataon
Chehray pe magar bal daal taon dekho

Amma re uski bakwa iti bhotsi dekho
sunnay usko bheja alag hona aik khali dekho

Uskay nakhron ko to pocho nakko
Aik Aik adaa se puray ghar ko fida kar-ri dekho

Nani naana ko tu ungliyon pe nachati
Ghar mein ammi ko khoob cheekha ti dekho

Abbu uskay waaray jaatain so dekho
Faqr se meri beti bolko kitta muskurarain dekho

Iskool ko jaake kiya tamashay karti ki
Ghar main to sab ko teacharon ke jaisa daanti dekho

Meri Laddu bolkay usko bulaya to
Mereko kaddu dikha ke jaati dekho

Kudd ti, gaati, naachti aur khoob khelti
bhot bholi hai, pyaar ussay sab kartain dekho

Dil ki dhadkan jab tumhari bolay
Dhan Dhan Dhan Dhan seena bolay

Phir bi Chehray pe jab muskurahat khelay
Meri Nooru khareeb main hoingi dekho        Abul Asad
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: December 07, 2011, 04:44:07 AM »
Reply with quote
baht masoom aur pyare ehsaas bayan kie janaab--

ek funny mood me bitiya ki masumiyat ki kya khoob bayani ki aapne--aur ye language--lajawaab.

bht bht pyara sa ehsaas hua--very touchy--

dil chhu lia aapne

thanx janaab--
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 days, 23 hours and 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 07, 2011, 06:17:13 AM »
Reply with quote
Sarfira Saheb,

Bahut shukriya aap ke naik alfaazon ka, aap ka bada mamnoon hoon,
yeh silsila humkalaami ka jaari rakhen. Younhi aapse rabta qayaam rakhenge.
Mulaqaaten jaari rakhen.

Mashkur Aapka

Abul Asad
Logged
Asra Muscati
Guest
«Reply #3 on: December 08, 2011, 07:47:58 AM »
Reply with quote
Asak abul asad sahab aap ki nazm padh kar aankh mein aansu aagaye very nice
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 08, 2011, 08:06:24 AM »
Reply with quote
I live in Los Angeles, Meri family Hyderabad mein rehti hai, maine 3 saal se meri bitiya Noor ko nahin dekha, woh 1 saal ki thi jab usse chodkar, yanhaan ayaa tha, Uski batain phone par sunleta hoon, aur uski pictures daikh leta hoon. Badi yaad aati hai meri bitiya.
Issi ke liye yeh Nazm likhi thi, kaafi logon ko pasand aayi hai. Shayad aapko bhi aajae.
Issay aap dakhni zubaan ke lehje mein hi pardhe to mazaa dugnaa aaye ga.


NOOR (Dakhni zabaan mein)

Dhan Dhan-Dhan Dhan, jo awaaz aai dekho
To Meri Nooru betiya, school say aai dekho

Jo shor aur pukara mehellay me chaya
Aik toofan jaisay building main aya dekho

Dastak dena uska kia bolon dekho
Darwaza jaisay ab toota, jabku toota dekho

Amma uskay bataan ittay lambe
Suntay suntay horain safed baalan dekho

Mithay mithay bataan sab ko karke
Adaon se apni phasa ti so dekho

Jawaaban sunkay dil mein muskurataon
Chehray pe magar bal daal taon dekho

Amma re uski bakwa iti bhotsi dekho
sunnay usko bheja alag hona aik khali dekho

Uskay nakhron ko to pocho nakko
Aik Aik adaa se puray ghar ko fida kar-ri dekho

Nani naana ko tu ungliyon pe nachati
Ghar mein ammi ko khoob cheekha ti dekho

Abbu uskay waaray jaatain so dekho
Faqr se meri beti bolko kitta muskurarain dekho

Iskool ko jaake kiya tamashay karti ki
Ghar main to sab ko teacharon ke jaisa daanti dekho

Meri Laddu bolkay usko bulaya to
Mereko kaddu dikha ke jaati dekho

Kudd ti, gaati, naachti aur khoob khelti
bhot bholi hai, pyaar ussay sab kartain dekho

Dil ki dhadkan jab tumhari bolay
Dhan Dhan Dhan Dhan seena bolay

Phir bi Chehray pe jab muskurahat khelay
Meri Nooru khareeb main hoingi dekho        Abul Asad


Bahut Bahut Khooooob Asad Ji..

Bahut Hi Khoobsurti se Aapne Apni Inn Ehsaaso Ko Lafzon Mein Baadha Hai,

Ghazal Ki Daad Ek Jagah Hai Aur Inn Ehsaaso Ki Daad Ek jagah

Bahut Ache  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: December 08, 2011, 09:09:35 AM »
Reply with quote
Abul Asad saheb,Mazaah ke rang mein aapki jazbaat nigaari daad ki mustaheq hai.Waqai bachon se duur rah kar aise hi shafqat ke jazbaat ubharte hain.Aapki pyaari se beti ko mera bhi pyaar...Hasan
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 days, 23 hours and 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #6 on: December 10, 2011, 02:56:52 AM »
Reply with quote
khwaish aur Hasan Saheb,
Mashkur huye aap dono ki dad aur muhabbat ki, apke alfazon mein
chupe huvey khulus ko salaam.

InshAllah aap se rabta rahega, yeh silsila e muhabbat jaari rahe gi.

Dua goo
Abul Asad
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
6 days, 23 hours and 50 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #7 on: February 04, 2012, 05:33:45 AM »
Reply with quote
Asak abul asad sahab aap ki nazm padh kar aankh mein aansu aagaye very nice

Muafi Talab aapse,

Ham aapke comment par shukrana na pesh karsake
to ab khubool kijeye.

Aap ke jazbaat dekh kar is nazm ke liye
Bahut hi acha laga
Abul Asad
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:02:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer