Dosto , Holi ke mouqe par sab ko bahut mubarakbaad ke sath
pesh hain kuch phutkar Mazahia ashaar aur Dohe .
.....................
Aansoo tere Moti jaise , inko mat kar bekaar
Jis Paapi ne rulaya tujhko uske Munh par phatkaar
.
Saj ke , Sanwar ke , Gori Darpan mein nihaare Roop
Saajan bechaare Dwaar khade , jheleiN kadi Dhoop
.
Desh ke Neta , Mote - Mote , Moti - Moti Tond
Kursi chipak aise baithhe , jaise Seat lagi Gond
.
Mujh ko Aadaab - e - Mohabbat na sikhaao Jaanam
MaiN ne pahle bhi kai baar Mohabbat ki hai
.
Nain kateele , Hont raseele , Man ko mere tadpaate haiN
Husn ke Maalik aise chalein , Hum thaam jigar rah jaate haiN
.
Hote - Hote mera ArmaaN aaj poora rah gaya
Jhaank leen Amma teri , aur Khwaab adhoora rah gaya
.
Jaise Munh mein hon phanse Uble huay Do Anday
Ghusse meiN tobda yooN usne phula rakhha hai
....................
आंसू तेरे मोती जैसे,इनको मत कर बेकार
जिस पापी ने तुझे रुलाया ,उसके मुंह पर फटकार
.
सज के संवर के गोरी दर्पण में निहारे रूप
साजन बेचारे द्वार खड़े झेलें कड़ी धुप
.
देश के नेता मोटे- मोटे ,मोटी- मोटी तोंद
कुर्सी चिपक ऐसे बैठे जैसे सीट लगी गोंद
.
मुझ को आदाबे मोहब्बत न सिखाओ जानम
मैं ने पहले भी कई बार मोहब्बत की है
.
नैन कटीले , होंट रसीले , मन को मेरे तड़पाते हैं
हुस्न के मालिक ऐसे चलें हम थाम जिगर रह जाते हैं
.
होते होते मेरा अरमां आज पूरा रह गया
झांक लीं अम्मां तेरी और ख़वाब अधूरा रह गया
.
जैसे मुंह में हों फंसे उबले हुए दो अंडे
ग़ुस्से में तोबड़ा यूँ उस ने फुला रक्खा है
