RANG DO MUJH KO APNE PYAR KE RANG MEIN........

by ranjana on May 25, 2006, 03:04:26 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 13475 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
Holi ka rang bikhara hai charo aur........
aaj kuch aisi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi rango se mera singaar karo........
 
     
 
Raho mere dil ke pinjare mein,
  aur nazaro se mujhko pyaar karo..........
Do meri saanso ko apni dharkano ki laye......
   aaj fir kuch asi koi baat karo..........
 
 
Raho meri baho ki paridhi mein........
aur tut kar mujhko payar karo....
Aaj ' main --main "na rahu,aaj main "tum" ho jaun.......
  apne pyar se aisa mera singaar karo.........
 
 
likh do mere komal badan par..
 apne adhro se ek kavitaa........
jiske" shabd' bhi tum ho, aur 'arth" bhi tum ho.........
   bas aisa mujh par  upkaar  karo......
 
teri 'murli " ki dhun sun kar..........
man aaj kuch aisa bharmaye......
hirdyae ki peera, deh ki agani.
rango mein ghul jaye........
holi ka rang-rass aaj fir se "maharass ' ho jaye,
 rang do aaj mujhko apne pyar ke rang mein.......
priyatam aisi  rango ki barsaat karo..........
 
 
Holi ka rang bikhra hai charo aur........
aaj kuch asi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi pyar ke rango se aaj  fir tum mera singaar karo........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: May 25, 2006, 06:36:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
Holi ka rang bikhara hai charo aur........
aaj kuch aisi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi rango se mera singaar karo........
 
     
 
Raho mere dil ke pinjare mein,
  aur nazaro se mujhko pyaar karo..........
Do meri saanso ko apni dharkano ki laye......
   aaj fir kuch asi koi baat karo..........
 
 
Raho meri baho ki paridhi mein........
aur tut kar mujhko payar karo....
Aaj ' main --main "na rahu,aaj main "tum" ho jaun.......
  apne pyar se aisa mera singaar karo.........
 
 
likh do mere komal badan par..
 apne adhro se ek kavitaa........
jiske" shabd' bhi tum ho, aur 'arth" bhi tum ho.........
   bas aisa mujh par  upkaar  karo......
 
teri 'murli " ki dhun sun kar..........
man aaj kuch aisa bharmaye......
hirdyae ki peera, deh ki agani.
rango mein ghul jaye........
holi ka rang-rass aaj fir se "maharass ' ho jaye,
 rang do aaj mujhko apne pyar ke rang mein.......
priyatam aisi  rango ki barsaat karo..........
 
 
Holi ka rang bikhra hai charo aur........
aaj kuch asi baat karo......
rang do apne pyar ke rango se......
unhi pyar ke rango se aaj  fir tum mera singaar karo........


Rangeen rachna likhi hai Ranju.......LOVELY..... Usual Smile
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #2 on: May 25, 2006, 04:12:41 PM »
Reply with quote
really stupendous... ranjana... i have become absolutely dumb...

tere mere milne ke baad
kyon aise dekhte ho sajna...
chumbanon mein teri shingaar karke
bhare aankh se dekh leti hoon tumhe...

abhi abhi khila hua phool ho tum
is seene mein rakhkar tumhe
hone na doongi koi dard ka ehsas
bhare aankh se dekh leti hoon tumhe...

pyar kya hain aaj seekh liya tujhse
aur har shabd ka arth bhi
jab yeh teri badan hi ek sundar kavita hain
toh main kya likh paoon us par....

murli ka dhun sun ne chahte ho
ab is murli mein saans bharo tum
naad bankar main phail jaoon kan kan mein
kya barsaoon us madhur sangam se zyada...

holi ka rang bhikra hain charo oar...
hum pyar ka baat karne ki koshish mein,
aaj shingaar karna chahta hoon sajna
tumhe indradhanush ke rango se...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: May 25, 2006, 04:46:48 PM »
Reply with quote
shukriya Gaurav ji............and MK ji...........

Manjoo ji aapne bahut sundar likha............
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: May 25, 2006, 04:52:19 PM »
Reply with quote
bohot hi pyara likha hai ranjana ji... :D
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #5 on: May 25, 2006, 04:53:11 PM »
Reply with quote
pehle aapko shukriya ada karna hain ranjana...
ek koshish karne ki chance di humko...



Quote from: "ranjana"
shukriya Gaurav ji............and MK ji...........

Manjoo ji aapne bahut sundar likha............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: May 25, 2006, 05:17:19 PM »
Reply with quote
Rang de harr Khawaab mera.....
Jeevan yoon hee beet jayega......

Chali aayengi yaadein tera saath chorke......
Ek pal aur mujhse Rooth jayega......

Bheega ke tera Aanchal.....
Deewana tujhse Shabdo ko holi khel jayega......

Rang de harr Khawab mera.....
Jeevan yoon hee beet jayega.........!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: May 26, 2006, 03:43:42 AM »
Reply with quote
shukriya Manjoo ji n Meena ji ........... Usual Smile

bahut khub Gaurav........... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: May 26, 2006, 03:51:18 AM »
Reply with quote
meri jindagi ko rang gaya hai koi apne rango se
meri aankho mein bas gaya hai koi sunahara khawab ban ke

us se kya mera rishta hai yeh kaise batau main
uske pyar ke rango mein khud ko dubata paau main

meri bhi khawaish thee koi aaye mera ban ke
jo kabhi rahta thaa sirf mera saya ban ke
meri jindagi ko rango se saja de
meri jindagi ka geet hai adhuara ......
koi isko apne suro se gunguna de..............
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #9 on: May 26, 2006, 03:58:54 AM »
Reply with quote
gaao tum madhur gaayan jab tak hain shaareer
kaun jane kab vaapis le lega denewala???
uska preet nahin hain toh goonge honge hum sab
naman karo jo paya hain uske liye - janejana...



Quote from: "ranjana"
meri jindagi ko rang gaya hai koi apne rango se
meri aankho mein bas gaya hai koi sunahara khawab ban ke

us se kya mera rishta hai yeh kaise batau main
uske pyar ke rango mein khud ko dubata paau main

meri bhi khawaish thee koi aaye mera ban ke
jo kabhi rahta thaa sirf mera saya ban ke
meri jindagi ko rango se saja de
meri jindagi ka geet hai adhuara ......
koi isko apne suro se saja de..................
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #10 on: May 26, 2006, 04:22:02 AM »
Reply with quote
very nice wordings, Ranjana, Gaurav and Manjoo ji....bahut hi achha likha hai sab ney.


Saal main ek baar hi kyon, yeh holi har roz rahey...
pyar key rangon sey bhari, mehfil teri har roz rahey.

yu achhey lagtey ho tum, ro kar kisi ney kya paaya,
apni hi bojhal ki aankhen, apna hi hai dil dukhayaa...
aur naa ab koi dua hai, apney rab sey bas yeh chahu,
tery hothon par sazi yeh, muskaan teri har roz rahey...

phool ho pairon key neeche, chubhey naa tujhko kantey,
sath ho tere jeevan main, tanha naa ho lambi raatey...
sath raho tum apney saajan key, unki ankhon main bas ke,
ankhon main tery saajan key, tasveer teri har roz rahey....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: May 26, 2006, 07:10:34 AM »
Reply with quote
nice Shikha..............

mere pass aa mere sanam,
chalak raha hai rango ka mosam
dhuan dhuan sa fail raha hai
sara chaman mehak raha hai

payas bujha na paaye yeh bhare bahre se badal
aaj machi hai jane kaise dil mein mere ek ajab si halchal

tere pyar ke rango mein , main kuch asi kho jaau
aaj tujhko apna bana ke sukh sapano mein kho jaaun

rang pyar ka chare yeh aisa jo fir kabhi na choote
tu aur main ek ho jaaye yeh saath kabhi na tute
Logged
RamSagar
Guest
«Reply #12 on: May 26, 2006, 09:39:31 AM »
Reply with quote
bahot nashila sab ne likha   .....jii...

baras raha hai pani rango ka mujme...
ye badal hai pyasa baras raha tujme..
ek bund to pila de ..ek halchalsi macha de..
pyarse pyar mila de..tu aaj muj me sama de..

bujane de tanahayi..barasne de pyar
aa ban ke ek lahar tu mujme sama de...
singar tera karunga...rangose me...
badanpe likha de..sansoke shabd...
ye shabdonko tu aapna bana de..
aaa aab tu muj me sama de...

aa mila doon holi ka ranga tujme..
mohhaabat ki ek lahar..udane de tujme..
mai badal tera jamin to meri...
ek rooh ka nasha tu pani se pila de...
na tu tu rahe na mai mai rahoo...
aaaj tu muze sagar se mila de....

ban ja tu saagar ki pyaas aaj..
kinara muze bana de..
likhunga shabd tere komal badanpe..
duriya tu aab meri khudse mita de..

barasaat karoo tujme  un rango ki aaaj....
koi holi ke rang usmee mila de..
barasonse milata aaya hoon tuje priyatama...
taan tu murali aaj muzebhi suna de..
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #13 on: May 26, 2006, 10:17:55 AM »
Reply with quote
ban ker teri jogan jhumu mai gali gali.....
rang de mujhko aapne h rang me ......
mai kali hu tere pyar k sawan me khili.....
nam lu tera mai bus teri hi pooja karu....
tu jab awaz mujhko de mai tere labo ko chu.....
bn ker teri joban jhumu mai gali gali....
rang de mujhko apne hi rang me .......
rang de rang de rang de.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #14 on: May 26, 2006, 10:32:34 AM »
Reply with quote
very nice Tushar and Ramsagar ji.............

RANG moh pe piya ka aisa chada
mera tan man piya ke rang mein ranga
bhul gayi mein apni sudbudh.....
dil mein preet ka taap hai jaga
main jogan ban  ke bahatku gali gali
mujhe apne piya ki gali na mili
aaj toh kuch aisa rang dikha de
mohe apne piya se aaj mila de
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:15:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.158 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer