raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile ... Zarraa

by zarraa on May 18, 2013, 06:26:08 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1404 times)
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
Reply with quote
raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile
koyee paighaam-e-bahaaraaN hi ik khizaaN meiN mile

(raNg-e-aariz = colour of cheeks, zulf-e-pareeshaaN = scattered hair)


lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

(imkaaN = possibility)


ye kh’moshee ki salaakheiN bhi kabhi tooteNgee
jab mile ankahi baatoN ke hi zindaaN meiN mile

(zindaaN =prison)


teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

(deeda-e-tar=wet eyes, lab-e-khandaaN = happy lips)


ek saaghar meiN hoN baadaaeiN mileeN do jaise
husn-e-jaanaaN ka tasavvur gham-e-jaanaaN meiN mile

(saaghar = cup, baadaaeiN = liquors)


hum-safar thei unheiN hum-dard samajh mat naadaaN
kaarvaaN meiN jo mile kab gham-e-dauraaN meiN mile

(gham-e-dauraaN = period of sorrow)


hum ne  to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


mere chehre se mera haal samajhne waaloN
kab hai khwaaboN ka pataa abroo-o-mizhgaaN meiN mile

(abroo = eyebrows, mizhgaaN = eyelashes)


barf se ho chuke hum-saayaa makeeN aur maalik
dhoop se teri haNsee sard is makaaN meiN mile

(hum-ssayaa = neighbour, makeeN = tenant)


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile


phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile

(naqsh-e-qadam = footprints, gor-e-gareebaaN = grave of the poor)


- ZARRAA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Anjaan Raaste Mein Woh Mile by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Mile unse ek kashmkash mein, by thegrimreaper in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Zindagi Mein Rahi To Bahut Mile.. Rishi by Rishi Agarwal in Shairi - E - Zindagi
Hasrat si dil mein hai, ki koi dilruba mile by livingbytheday in Ghazals
ZULF-E-PAREESHAAN .. ZARRAA by zarraa in Shayri for Dard -e- Judai
aqsh
Guest
«Reply #1 on: May 18, 2013, 07:08:05 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob. bahut achcha likhi ho zarraa ji. mujhe bahut pasand aayi aapki yeh ghazal. dheron daad..
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #2 on: May 18, 2013, 07:20:56 PM »
Reply with quote
raNg-e-aariz meiN mile zulf-e-pareeshaaN meiN mile
koyee paighaam-e-bahaaraaN to ab khizaaN meiN mile

(raNg-e-aariz = colour of cheeks, zulf-e-pareeshaaN = scattered hair)


lutf ye wo jo faqat mausam-e-hijraaN meiN mile
wasl se zyaada khushi wasl ke imkaaN meiN mile

(imkaaN = possibility)


ye kh’moshee ki salaakheiN bhi kabhi tooteNgee
jab mile ankahi baatoN ke hi zindaaN meiN mile

(zindaaN =prison)


teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile

(deeda-e-tar=wet eyes, lab-e-khandaaN = happy lips)


ek saaghar meiN hoN baadaaeiN mileeN do jaise
husn-e-jaanaaN ka tasavvur gham-e-jaanaaN meiN mile

(saaghar = cup, baadaaeiN = liquors)


hum-safar thei unheiN hum-dard samajh mat naadaaN
kaarvaaN meiN jo mile kab gham-e-dauraaN meiN mile

(gham-e-dauraaN = period of sorrow)


hum ne  to sair gulistaaN ki hai chhorhee kab se
mujh se milna ho jise aa ke bayaabaaN meiN mile


mere chehre se mera haal samajhne waaloN
kab hai khwaaboN ka pataa abroo-o-mizhgaaN meiN mile

(abroo = eyebrows, mizhgaaN = eyelashes)


barf se ho chuke hum-saayaa makeeN aur maalik
dhoop se teri haNsee sard is makaaN meiN mile

(hum-ssayaa = neighbour, makeeN = tenant)


zindagi naap ke aur tol ke ab kharch karooN
fikr jaaN ki meri aankhoN meiN meri jaaN ke mile


phir se jeene ki hai hasrat se uthee kyooN “zarraa”
us ke kya naqsh-e-qadam gor-e-gareebaaN meiN mile

(naqsh-e-qadam = footprints, gor-e-gareebaaN = grave of the poor)


- ZARRAA


gr88888888 ghazal,sir but too lengthy
Logged
mkv
Guest
«Reply #3 on: May 19, 2013, 01:02:41 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat ghazal
aapko padhne me bada lutf aata hai..
my favourite.
teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile
wah wah wah


Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 24 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #4 on: May 19, 2013, 10:31:02 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Bahut khoob.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: May 19, 2013, 11:18:06 AM »
Reply with quote
Bahut achhi ghazal hai,zarra sahib. Khuas taur se 2nd aur 4th sher
mujhe bahut achhe lage . Meri taraf se bahut bahut mubarakbaad aur
daad is khubsurat ghazal ke liye.HASAN
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #6 on: May 21, 2013, 01:40:46 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Bahut khoob. bahut achcha likhi ho zarraa ji. mujhe bahut pasand aayi aapki yeh ghazal. dheron daad..

Aqsh ji .... Tah e dil se shukrguzaar hoon
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #7 on: May 21, 2013, 01:42:07 AM »
Reply with quote
gr88888888 ghazal,sir but too lengthy
Thank you friend ... For your praise ..... And patience Usual Smile
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #8 on: May 21, 2013, 01:43:59 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoobsurat ghazal
aapko padhne me bada lutf aata hai..
my favourite.
teri jaanib se humeiN koyee ishaara mil jaaye
deeda-e-tar meiN mile ya lab-e-khandaaN meiN mile
wah wah wah




Mukesh ji .... Is pyaar bhari daad ka shukriya ada karne ke liye waqayee lafz naheen mere paas .... Bas ummeed hai apka saath yoon hi milta rahega !!!!
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #9 on: May 21, 2013, 01:44:42 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Wah Bahut khoob.

Bahaut bahaut shukriya Sudhir ji
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: May 21, 2013, 01:47:38 AM »
Reply with quote
Bahut achhi ghazal hai,zarra sahib. Khuas taur se 2nd aur 4th sher
mujhe bahut achhe lage . Meri taraf se bahut bahut mubarakbaad aur
daad is khubsurat ghazal ke liye.HASAN


Hassan sahab ... Waqt dene ka aur pasand karne bahaut bahaut shukriya .....Apki baat bahaut maayne rakhti hai ....
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #11 on: May 21, 2013, 06:43:03 PM »
Reply with quote
bahut khoob ek rau bhee qubool keejiye
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 21 minutes.
Posts: 2242
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #12 on: May 25, 2013, 02:01:12 AM »
Reply with quote
bahut khoob ek rau bhee qubool keejiye

Daad aur rau ka shukriya Saini sahab .... aapke saath ka behad shukrguzaar
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 04:33:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer