"Hoke zameen ki khaq aasmaan ki chaah kyo karoon
Main tujhko paane ki tamanna kyo karoon
mujhko khabar hai judaai tadpaaegi tujhe har pal
isi liye bataade main tujhse wafa kyo karoon
Iman ko mere chot lagegi gar tu na mila mujhe
tujhe apna banaane ki phir duaa kyo karoon
teri masoomiyat ko rab ne banaaya hai mohabbat ke liye
Tujhe na chahne ki phir main khata kyo karoon
farishtey bhi tadap jaate hain jub teri ankh se ashk chhalakte hain
Yeh dard tujhe dekar main koi gunaah kyo karoon
Teri meri qismat ki raahein hain judaa judaa
Main phir teri banjaane ki aarzoo kyo karoon
Meri haathon ki lakeeron mein nahi hai naam tera
Main tera naam apne naam se milaane ki justajoo kyo karoon
Meri baatein tere dil mein hameshaa bas jaati hain
Is baat ki khabar rakh kar main koi guftagoo kyo karoon
Baaton Baaton mein benaam fasaane banjaate hain
Aur aisi adhoori kahaani ko main shoru kyo karoon
Jo bhi jazbaat hai dil mein dil tak mehfooz hai
Yeh bataao ke main unka zikr roobaroo kyo karoon
Maana ke mohabbat bhari nazar dil par gehraa asar karti hai
Usse pyaar se dekh kar us par koi jaadoo kyo karoon
Mere liye yeh mumkin nahi ke main teri banjaaon kabhi
Lekin main tujhse mohabbat ka subse izhaar kyo karoon
Itna dukhaaya dil ko tune mere, itna rulaaya hai mujhe
sub kuch sahoon phir bhi tujhse beintehaa pyaar kyo karoon
nm
:eek1: :eek1: :eek1: