yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?

by Delicate_Doll on November 28, 2004, 12:56:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 998 times)
Delicate_Doll
Guest
Reply with quote



yeh document, yeh meetings, yeh features ki duniya,
yeh insaan ke dushman, cursors ki duniya
yeh deadlines ke bhooke, management ki duniya;
yeh Product agar ban bhi jaaye to kya hai?

Yahaan ek khilona hai programmer ki hasti
ye basti hai murda bug-fixers ki basti
yahaan par to raises hai, inflation se sasti
yeh Review agar ho bhi jaaye to kya hai?


har ek keyboard ghayal, har ek login pyaasi
excel mein uljhan, winword mein udaasi
yeh office hai ya aalame microsoft ki
yeh Release agar ho bhi jaaye to kya hai?


jalaa do ise, phoonk daalo yeh monitor
mere saamne se hataa daalo yeh modem
tumhaara hai tumhi sambhaalo yeh computer
yeh Product agar chal bhi jaaye to kya hai?
(n/m)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: November 28, 2004, 01:03:09 PM »
Reply with quote
:lol:  very nice salma.....................
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #2 on: November 28, 2004, 01:30:41 PM »
Reply with quote
:lol: heheh waheed... acha ab ek aur ...:lol:

==================

"jaane kyun log flurt kertay hain
jaane kyun woh affairs chalatay hain
jaane kyun...jaane kyun.....
jaane kyun jaane kyun^jaane kyun Huh???

affair bin jeenay main rakha kiya hai
affair jiska nahin woh tanha hai
affair soo rang leker aata hai
affair he zindagi sajaata hai
Log chup chup ker affair chalatay hain,
Aur sab k saamnay friends ban jaatay hain!
jaane kyun...jaane kyun....
jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun ?

affair best-friends main larai kerata hai
affair main banda pagal hojaata hai
affair na chahtay huway bhi chal jaata hai
affair bohat badnaami kerata hai....
Akhir affair her larai ki BASE ban jaata hai!
jaane kyun....jaane kyun....
jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun^ ?

Laikin^kabhi-kabhi affair pyaar main convert hojaata hai
jhoota her such aur sucha her jhoot hojaata hai
zindagi ko bhi ek naya start mil jaata hai
Aur pyaar ki gari main 4th gear lag jaata hai
Aur Yehe Affair Zindagi^Ka^Safar^Ban^Jaata^Hai
Jaane kyun.....jaane kyun...
Jaane kyun^jaane kyun^jaane kyun
(n/m)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: November 28, 2004, 02:27:27 PM »
Reply with quote
bahot khoob.........salma.........sab kuch jaan na hai to tum kisi se affair karlo.........sab kuch jaan jaogi........  :lol:
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: November 28, 2004, 02:38:28 PM »
Reply with quote
lol salma
Logged
sufyan
Guest
«Reply #5 on: November 28, 2004, 05:38:45 PM »
Reply with quote
very nice salma
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: November 30, 2004, 11:32:43 AM »
Reply with quote
:lol: shukriya ab ek aur..:lol:

---------------------------------

 Requirements hai to design hai
  Design hai to Development hai
  Development hai to Testing hai
 Testing hai to Defects hai
Defects hai to Fixing hai
 Fixing hai to More Defects hai .
 More Defects hai to CCN hai
 CCN hai to Analysis hai
  Analysis hai to Requirements hai
Requirements hai to Design hai
Design hai to Development hai
 Matlab Project Gol Gol hai
 Bus ghumnewala chahiye..:lol:

(n/m)
Logged
nikama
Guest
«Reply #7 on: November 30, 2004, 11:34:53 AM »
Reply with quote
SALMA TERA BAIJA TO THEEK KAAM KER RAHA HAI NA
KYA LIKH RAHI HAI LAGTA HAI TU FAIL HOGAYI HAI
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #8 on: November 30, 2004, 11:41:29 AM »
Reply with quote
oyeeeeeeee nikaame zyaada tain tain kiya naam likh doongi tera..:lol:

lolzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzzz
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: November 30, 2004, 01:25:20 PM »
Reply with quote
Kaash mein tere haseen Desktop ka Icon hota
Too barre pyar barre chao barre maan ke saath
mujh ko dheerey se Double Click kia karti
Aur Window 98 ke Cool Task Bar par
Jab kabhi mujh ko Add karaya karti
mein tere ehsaan taley dab sa jaata
Jab kabhi mood mein aa kar
Aisey hi mujhey Select kia karti
Mein terey Click ki waja se neela sa ho jata
Jab bhi too meri Properties dekha karti
Mein aik Window ke sahaarey tujh se kai baatein karta
Teri zulfoon ko terey chehrey ko takta rehta
Gar too kabhi jo mujhey Recycle Bin mein daalti
Mein apni bechaari kismat par aanso bahata
Mein terey Desktop pe Drag hota rahta
Kabhi Line Up kabhi Auto Arrange hota rahta
Kuchh nahin to Recycle Bin ka hi Icon hota
Kaash mein terey haseen Desktop ka Icon hota
n/m
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: November 30, 2004, 02:58:36 PM »
Reply with quote
bahut khoob salma
Logged
nikama
Guest
«Reply #11 on: November 30, 2004, 03:04:31 PM »
Reply with quote
oyeeeeeeeeeeeeeee salma
dhamki to na dey yara
tu to sab se achi hai soni
teri jitni bi tareef ki jaye kum hai

salma teri ankhein sola sall ki
tere ball sola sal ke
tere haath sola salll ke
teri chall sola sall ki
yeh sab jamaa ker ke bataoo tum kitni purani ho :wink:
Logged
sufyan
Guest
«Reply #12 on: November 30, 2004, 03:20:52 PM »
Reply with quote
kyun bhai nikamme salma ki umar bataon kitni purani hai.or tujhe maths bhi nahin aata hai or tujhe bahut kuch sikhna hai beta na kar yun nadaniyan or mat sata salma ko
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 06:28:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer