1984 Ek Dard Ka Samundar Hai ...."Khwahish"

by khwaish on May 06, 2013, 08:54:24 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4023 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
1984 Ek Aisa Saal Jab Insaniyat Ka Qatl-e-Aam Hua Tha
Jinke Haath Mein Satta Di gayi Thi Uss Waqt yeh Hukm Kiya Gaya Tha Ke SikhoN  Ko
Dhoond Dhoondh kar Maara jaaye...
Sarkaari Aakde 4000 Mein Aakar Rukh Gaye The Par 10,000 se
Zyaada SikhoN  Ko Zinda Jalaaya Gaya Tha Aur Alag-Alag Tareeko se
Maar Diya Gaya Tha....Shayad Main Iss Haqeeqat ka Zikr Kabhi Na Karta Par
30 Saal baad Jab Faisla Sunaane Ki Ghadi Aayi To Jo Insaan Iss  Qatl-E-Aam Mein Shaamil Tha
uss Shakhs Ko Baa-Izzat Riha  kar Diya Gaya Yeh Kehte Hue Ke
"There Is Lack Of Proof Against Him"

"Who have killed Roshan Singh and Bhaag singh, would get 1000 Rs. each &
whoever will kills A Sikhs would get 500 Rs. per killing"- Sajjan Kumar.
(Source-Nanavati Commission report, tabled in the parliament of India in 2005)

Main Sochta Hoon Unn Sab Par kya Nahi Beet Thi Hogi Jinhone Iss Haiwaaniyat mein
Kisi Apne Ko Kho Diya Hoga.... Iss Dard Ko Lafzon mein Likhna Chaahta Hoon...



Dard Seene meN Ashq Aankhon meN Jeene Ka Haal Nahi Hai
1984 Ek Dard Ka Samundar Hai,Mehaz Koi Saal Nahi Hai

Yuh Qatl-e-Aam Insaaniyat Ka,Main Puchta Hoon Aakhir Kyun
Hum Sab To  Ek The , Kya Humaara Khoon Laal Nahi Hai

Iss Desh ki Khaatir Shaheed Hone MeN Sabse Aage Rahe Hum
Hum "Sardar" Hain,Dil MeN Rakhte Kabhi Koi Malaal Nahi Hai

Aaj 30 Saal baad Faisla Sunaane Ke Baari Aayi To Sabut Gayab
Sab Jaante Hai Hum, Kya Yeh Sab Sarkaari Chaal Nahi Hai

Kabhi Unka Socho Jisne Apna Pariwaar Ko  Kho Diya Tha Uss Waqt
yeh Haqeeqat Hai Jisse Saaf Karlo Yeh Koi Ghar Ka Jaal Nahi Hai

Aaj bhi 'Sarabjeet' Pakistan Ki Jail meN Eento Se Maar Diya Gaya
Ab To Jaago, Kya Yeh Desh Ki Izzat-Aabroo  Ka Sawaal Nahi Hai

"Khwahish" Sach Ko LIkhne MeN Kabhi Koi Parhez Nahi Karta..!!!
Jo Sach Kehne Se Darre,Woh Guru Gobind Singh Ji Ka Laal Nahi Hai..


                ~~~~~Khwahish~~~~~





Logged
Shireen Hakani
Guest
«Reply #1 on: May 06, 2013, 09:13:23 PM »
Reply with quote
Wah Wah Khwahish Jee!!! Jitni Bhi Tareef Ki Jaaye Is Kalaam Ki Kam Hai. Aap Ne Haqiqat Ko Apne Andaz Mein Ba-Khubi Pesh Kiya Hai.

Jo Bhi Sikhon Ke Saath Hua Tha Bohat Hi Sharm Ki Baat Hai. Insaan Ki Pehchaan Insaniyat Se Hoti Hai Dharm Se Nahi..

Jab Is Baat Ko Humara Desh Yeh Samajh Jaayega, Hum Sab Hindustani Honge, Na Ki Hindu-Muslim, Sikh-Isaai.

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #2 on: May 06, 2013, 09:15:50 PM »
Reply with quote
Khwaish ji .Eik talkh haqeeqat aur tareekh ke siyaah dhabbe ko ap ne jis dardnak andaz mein likha hai who kisi bhi hassas Hindustani ko ashkbaar hone par majboor kar de. Yeh Hamaare qaanoon ki kamzori hai jo procedural delays aur proof beyond doubt ke chakkar mein mujrimon ko azaad chhor deta hai. Eik yahi nahi bahut se deegar hatyaare bhi clean chit paakar siyasat mein ghundagardi ki oonchi manzilon par faaiz hain aur us se oonchi ke khwab dekh rahe hain. aur bahut se masoom barson se baghair kisi gunaah ke jail kaat rahe hain. Farq sirf itna hai ki siyasatdaan khule ghoomta hai aur akhir mein begunaah sabit kar diya jata hai aur doosre masoom begunaah bina gunaah ke zindagi bhar jail mein kaat dete hain aur akhir mein pata chalta hai ki ye bilkul begunaah thhe.Aap ko is takhleeq par dili mubarakbaad ,main aapke is dard mein shareek hoon.HASAN
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 06, 2013, 09:31:22 PM »
Reply with quote
Ye Hindustaan Hai Bhai, Yahaan Sikhon Ko Maarne Waale Bari Ho Jaate Hain,.
Musalmaano Ko Maarne Waale, Prime Minister Banne Ka Khwaab Dekhte Hain,.

Lekin Insaaf Hoga, Zaroor Hoga, Jo Sabse Bada Court Hai, Jahaan Jhooti Gawaahi Nahi Di Jaati,.

Allah Ke Ghar Dair Hai, Andher Nahi Hai,.
Logged
asif faiz
Guest
«Reply #4 on: May 06, 2013, 10:20:48 PM »
Reply with quote
sikhon par huye ye atyachar ho..ya phir gujarat me maasumon  ka jo katl-e-aam hua...ye saaf zaahir karta hai..ye darinde koi aur nahi ye siyaasi log hain...badkismati hai hamare mulk ki ye..Gandhiji aur maulana Aazad jis desh me paida huye...us desh ko ye vahshi darinde chala rahe hain...par bade afsos ki baat to ye hai..sab kuch jaante huye b..aam aadmi ..in siyaasi logon k isharon par..aur inki baaton me aakar...ek doosre ko katne par utaaru hojaate hain...

khair....Khwahish ji aapne apni aur un sab logon ki taklif apne lafzon me bayaan ki hai....ummid karte hain un maasumon k gunahgaaron ko sazza zaroor mile...yahaan saza na bhi mile..tab b khuda in haiwaano ko nahi bakhshega...
Logged
laaiba
Guest
«Reply #5 on: May 06, 2013, 10:49:59 PM »
Reply with quote
nyc passions , mpressive,......
Logged
FARE
Guest
«Reply #6 on: May 06, 2013, 11:07:18 PM »
Reply with quote
bhuttt umda likha hai api g apne
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: May 06, 2013, 11:53:21 PM »
Reply with quote
ek kaduwee sachhaai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: May 07, 2013, 12:13:53 AM »
Reply with quote
Wah Wah Khwahish Jee!!! Jitni Bhi Tareef Ki Jaaye Is Kalaam Ki Kam Hai. Aap Ne Haqiqat Ko Apne Andaz Mein Ba-Khubi Pesh Kiya Hai.

Jo Bhi Sikhon Ke Saath Hua Tha Bohat Hi Sharm Ki Baat Hai. Insaan Ki Pehchaan Insaniyat Se Hoti Hai Dharm Se Nahi..

Jab Is Baat Ko Humara Desh Yeh Samajh Jaayega, Hum Sab Hindustani Honge, Na Ki Hindu-Muslim, Sikh-Isaai.

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



Thankssssss a Million Shireen...Yeh ghazal Ka Dard Samjhne ke Liye Aapka Bahut bahut Shukriya...Aaj Ke Daur mein Insaan Insaan Ban Kar Jee Le waheen bahut hai...Aur Ji Bilkul...Sahee Kahaa Aapne Sabse Pehle Hum Insaan Hai baad Mein Hindu,Muslim,Sikh,Isaai....
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #9 on: May 07, 2013, 12:26:56 AM »
Reply with quote
Bilkul sahi likha hai aapne Khwaish jee, 1984 atyaachaar aur darindagi ki misaal hai, Bhai bhai ka naaraa bhi lagaate haiN, aur phir jaan bhi lete haiN. Pata nahiN kya zaroorat padi thi inheiN begunaahoN ko maarne ki.

Aur agar ladne ka hi shauq hai to unse kyuN nahi ladte jo asli dushman haiN, Pakistan, China wagairah. Inse ladne ki to auqaat hi nahi hai. China ne aaj hamaare mulk meiN 18 kilometer andar tak qabza jama liya hai, wahaaN to kuch bol hi nahi rahe. Bas jo kamzor dikha uspe taaqat dikha li. Laa'nat hai aise logoN pe.
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 24 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #10 on: May 07, 2013, 12:33:35 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 07, 2013, 12:43:35 AM »
Reply with quote
Khwaish ji .Eik talkh haqeeqat aur tareekh ke siyaah dhabbe ko ap ne jis dardnak andaz mein likha hai who kisi bhi hassas Hindustani ko ashkbaar hone par majboor kar de. Yeh Hamaare qaanoon ki kamzori hai jo procedural delays aur proof beyond doubt ke chakkar mein mujrimon ko azaad chhor deta hai. Eik yahi nahi bahut se deegar hatyaare bhi clean chit paakar siyasat mein ghundagardi ki oonchi manzilon par faaiz hain aur us se oonchi ke khwab dekh rahe hain. aur bahut se masoom barson se baghair kisi gunaah ke jail kaat rahe hain. Farq sirf itna hai ki siyasatdaan khule ghoomta hai aur akhir mein begunaah sabit kar diya jata hai aur doosre masoom begunaah bina gunaah ke zindagi bhar jail mein kaat dete hain aur akhir mein pata chalta hai ki ye bilkul begunaah thhe.Aap ko is takhleeq par dili mubarakbaad ,main aapke is dard mein shareek hoon.HASAN


Ji Saheb Aapne Bilkul Sach kahaa..Mujhe Bhi Afsos hai ke Hum Akahir Bharat Ki tasveer Dekhna Chaahte Hai..Aur Iss Siyaasat Ne naa Jaane Kitno Ke Dil,Kitno Ke Ghar Tode Hai...Agar Hum sab Yeh samaj Jaaye To Yeh Siyaasat Karne Wale Humara Kuch Bhi Naa Bigaad Sakenge Par Agar Hum Abhi Naa Samjhe To Zindagi Bhar Hum Sab Ek Duje Se Ladte Hi Reh Jaayenge....

Aapne Apna Waqt diya..Aapka bahut bahut Shuktriya Saheb
Logged
irshad ahmed siddiqui
Guest
«Reply #12 on: May 07, 2013, 12:47:43 AM »
Reply with quote
Nihayat hi UMDAH...
Ek sachchai jise duniya kabhi faramosh nahi kar sakti.....
.............................KHWAHISH JI LAJAWAAAAAAAB....
Logged
aru12
Guest
«Reply #13 on: May 07, 2013, 01:43:52 AM »
Reply with quote
khwaish jee...bahut dard se bhari kaavish hai aapkh.,..aapne hame un sab ka dard mehsoos kara diya....dard se bhari is rachna pe aapko dheron daad..
Logged
sbechain
Guest
«Reply #14 on: May 07, 2013, 03:22:44 AM »
Reply with quote
1984 Ek Aisa Saal Jab Insaniyat Ka Qatl-e-Aam Hua Tha
Jinke Haath Mein Satta Di gayi Thi Uss Waqt yeh Hukm Kiya Gaya Tha Ke SikhoN  Ko
Dhoond Dhoondh kar Maara jaaye...
Sarkaari Aakde 4000 Mein Aakar Rukh Gaye The Par 10,000 se
Zyaada SikhoN  Ko Zinda Jalaaya Gaya Tha Aur Alag-Alag Tareeko se
Maar Diya Gaya Tha....Shayad Main Iss Haqeeqat ka Zikr Kabhi Na Karta Par
30 Saal baad Jab Faisla Sunaane Ki Ghadi Aayi To Jo Insaan Iss  Qatl-E-Aam Mein Shaamil Tha
uss Shakhs Ko Baa-Izzat Riha  kar Diya Gaya Yeh Kehte Hue Ke
"There Is Lack Of Proof Against Him"

"Who have killed Roshan Singh and Bhaag singh, would get 1000 Rs. each &
whoever will kills A Sikhs would get 500 Rs. per killing"- Sajjan Kumar.
(Source-Nanavati Commission report, tabled in the parliament of India in 2005)

Main Sochta Hoon Unn Sab Par kya Nahi Beet Thi Hogi Jinhone Iss Haiwaaniyat mein
Kisi Apne Ko Kho Diya Hoga.... Iss Dard Ko Lafzon mein Likhna Chaahta Hoon...



Dard Seene meN Ashq Aankhon meN Jeene Ka Haal Nahi Hai
1984 Ek Dard Ka Samundar Hai,Mehaz Koi Saal Nahi Hai

Yuh Qatl-e-Aam Insaaniyat Ka,Main Puchta Hoon Aakhir Kyun
Hum Sab To  Ek The , Kya Humaara Khoon Laal Nahi Hai

Iss Desh ki Khaatir Shaheed Hone MeN Sabse Aage Rahe Hum
Hum "Sardar" Hain,Dil MeN Rakhte Kabhi Koi Malaal Nahi Hai

Aaj 30 Saal baad Faisla Sunaane Ke Baari Aayi To Sabut Gayab
Sab Jaante Hai Hum, Kya Yeh Sab Sarkaari Chaal Nahi Hai

Kabhi Unka Socho Jisne Apna Pariwaar Ko  Kho Diya Tha Uss Waqt
yeh Haqeeqat Hai Jisse Saaf Karlo Yeh Koi Ghar Ka Jaal Nahi Hai

Aaj bhi 'Sarabjeet' Pakistan Ki Jail meN Eento Se Maar Diya Gaya
Ab To Jaago, Kya Yeh Desh Ki Izzat-Aabroo  Ka Sawaal Nahi Hai

"Khwahish" Sach Ko LIkhne MeN Kabhi Koi Parhez Nahi Karta..!!!
Jo Sach Kehne Se Darre,Woh Guru Gobind Singh Ji Ka Laal Nahi Hai..


                ~~~~~Khwahish~~~~~








my sympathy is with the sikh brothers. shivani told me a couple of days before about it....! tearyeyed tearyeyed tearyeyed tum ne bahut acha compose kiya hai matla mujhe bahut pasand aayaa
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 11:01:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer