dreamgirl1
Guest
|
«Reply #15 on: May 02, 2012, 11:39:44 AM » |
|
Ek duaa hai wo, Meri zindgi ka Khuda hai wo, Dil ki Dhadkan hai wo, Ruh ki tadpan hai wo, Dhadkano ki awaaz hai wo, Bhut hi azeez or khash hai wo, Hare bhare Kheto ki haryali hai wo, Uss Haryali me khilta Sunehraa Phool hai wo, Pangat ka meetha pani hai wo, Iss jeevan ki kahani hai wo, Aankhon ka nasha hai wo, Jeene ki Wajah hai wo, Khubsurti ka jahan hai wo Dhadkano ki bechaini hai wo, Ek khubsurat mahak hai wo, Fiza me mahakti Shaam hai wo, Pyaar ka chalakta Jaam hai wo, Meri humdum hai wo, Har ruh me basti hai wo, Nashili ankhon ki masti hai wo Sath chalta Saaya hai wo, Khwabo ki shahzaadi hai wo, Suraj ki khilti Dhoop hai wo, Chandi raat me Chand ka roop hai wo,. Meri zindgi hai wo, Jeevan ki har khusi hai wo, Phoolon ki saadgi hai wo, Pariyo ki raani hai wo, kisi ki kahani hai wo, Kaliyo ka chaman hai wo, Pavitra or Paawan hai wo, ab kisi ki dulhan bhi hai wo, Is pagal dil ki Chubhan hai wo, Ek dard hai wo, Ek zakhm hai wo, Behta hua Jharna hai wo, Ek ladki ki Saadgi hai wo Chidiyo ki Chahchahat hai wo, Baarish ki pehli boond hai wo Sharad ki purnima hai wo, Mallah ki raagni hai wo Bhor ki thandi hawaa hai wo, Meri kaamyaabi ka jahan hai wo kisika to Sansaar hai Sapnaa
or Mera ……..Khoobsurat……… sa ……….pyaar hai ……….Wo……………..
|