Ab kuch baaqi nahin ......... !!!!!!!!!!!!!!!!

by Talat on July 24, 2005, 10:55:54 AM
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21]
ReplyPrint
Author  (Read 18385 times)
Talat
Guest
«Reply #300 on: October 22, 2008, 09:57:54 PM »
Reply with quote







Waada kiya tha aapse Sanjeev, ki ek ek sher ka reply karenge...aaj ye waada poora kar rahe hain, deri ke liye ma'af kijiyega !!



mujhe samajh nahi aa raha ki aap logo ki tarif me kya kahun :?:  par haan sab ek se bad kar ek hai, karni to nahi chahiye par
mai bhi jurrat kar raha hun
kahin pe jam hai saki nahi, kahi pe saki he aur jam nahi,
dard sabke hisse me aaya hai, doston isase koi baki nahi


Jaam bhi hai, hai saaqi bhi
Bas ab pyaas wo baaqi nahin !!

har baar ki tarah is bar bhi dhal jayegi,
gam ki ye rat bhi ab jyada der baqi nahi


Mere dil ke andheron ko jo mita sake
Nayi subah main wo roshni baaqi nahin

jis chand ko pakarke, dekho chandani ithalayi thi,
chandani ab bhi wahi hai,chand par baaqi nahi,

Chaand tanha aasmaan main safar karta raha
Kho gaya andheron main, chandni baaqi nahin

tum the tumhari mohbbat thi, ek hasti hamri bhi hua karati thi,
na mohabbat rahi,na tum rahe, aur mera bhi vazud baaqi nahi,

Bikhar gayi aansuon main, dhoondne jaayen kahan,
Dil main basne waali wo pyaar ki murat baaqi nahin

kai jaruri kaam the, jo kal karenge sochaa tha,
aaj to hum kho hi chuke the, aur kal baaqi nahi

Khwahishain bhi reh gayi, reh gaye armaan bhi
Khatam hone ko chali ab hayaat ye baaqi nahin


"patthar ke sanam" bas nam suna tha, ab dekha to batlate hain,
patthar hi patthar yahan hai, momdil baaqi nahi

Pathar ke seene main bhi sheesha hota hai kabhi
Koi samajhne waala iske dard ko, baaqi nahin


na mango dua mere liye, mujhe haal pe MERE chod do,
jisaki dua mujhako lage, ab hath wo "BAAQI NAHI"

sab jante hai matlabi jahan me, pyar ishq fizul hai,
har shakhs galati kar raha hai, koi bhi "BAAQI NAHI"

Wo aasmaan hai ooncha, hoon main bohot door
Pahunche aasmaan tak jo, dua koi baaqi nahin

Dosti ke naam pe khaaya kiye hain zakhm kai
Doston ne di na ho, koi chot ab baaqi nahin !

TERA KARAM HAI TU JANE, PAR ITANA TO SAMJHA DE TU,
KYUN SIRF YAHAN INSAAN BACHE HAIN, INSANIYAT "BAAQI NAHI"

Insaaniyat ki baatain karte ho aise daur main
Pathar log baste hain, insaan ab baaqi nahin

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch toot gaye kuch baaqi hain!!!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ ///***((( KUCH BHI TU NAHIN )))***///~~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
KUCH BHI TU NAHIN by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES
Sirf aahen hain aur kuch nahin .... !!!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
Talat
Guest
«Reply #301 on: October 22, 2008, 09:59:11 PM »
Reply with quote
Hi Talat,
I was surprised and happy to see this thread back. I kept writing in this thread not because
you are my very good friend but I liked this thread very much.
 I can not believe, today I have written here after 2 years and 5 months.

I would like to tell everybody who has written in this thread that all have written extremely good.
It seems like everybody has written in this thread from his/her bottom of the heart.



Hello Bharat,

Thank You so much for writing in this thread again notworthy...This thread indeed is very close to my heart  ...Very Nice Bharat
  Applause

Khamoshiyan kuch aur badh gayin mere aas paas
Aankhon se aankhon ki woh guftugu baaqi nahin

Bejaan sa dil liye, khud ko samete baithe hain
Bujh chuki har ummeed koi justuju baaqi nahin

Logged
Rajbir
Guest
«Reply #302 on: October 22, 2008, 10:02:01 PM »
Reply with quote
Good work everyone Thumbs UP

Lage raho Winking
Logged
Pooja
Guest
«Reply #303 on: October 22, 2008, 11:08:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Good work All..

Logged
Talat
Guest
«Reply #304 on: October 24, 2008, 08:58:43 AM »
Reply with quote
Shukriya, Rajbir, Pooja  notworthy notworthy
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #305 on: October 24, 2008, 10:41:44 AM »
Reply with quote







Waada kiya tha aapse Sanjeev, ki ek ek sher ka reply karenge...aaj ye waada poora kar rahe hain, deri ke liye ma'af kijiyega !!



Jaam bhi hai, hai saaqi bhi
Bas ab pyaas wo baaqi nahin !!


Mere dil ke andheron ko jo mita sake
Nayi subah main wo roshni baaqi nahin

Chaand tanha aasmaan main safar karta raha
Kho gaya andheron main, chandni baaqi nahin

Bikhar gayi aansuon main, dhoondne jaayen kahan,
Dil main basne waali wo pyaar ki murat baaqi nahin

Khwahishain bhi reh gayi, reh gaye armaan bhi
Khatam hone ko chali ab hayaat ye baaqi nahin


Pathar ke seene main bhi sheesha hota hai kabhi
Koi samajhne waala iske dard ko, baaqi nahin


Wo aasmaan hai ooncha, hoon main bohot door
Pahunche aasmaan tak jo, dua koi baaqi nahin

Dosti ke naam pe khaaya kiye hain zakhm kai
Doston ne di na ho, koi chot ab baaqi nahin !

Insaaniyat ki baatain karte ho aise daur main
Pathar log baste hain, insaan ab baaqi nahin

 Applause Applause Applause Applause
bahoot khoob talat...waada nibhane ka ye andaaz bahoot achcha laga Usual Smile

Logged
Talat
Guest
«Reply #306 on: November 08, 2008, 01:43:56 PM »
Reply with quote
Shukriya Sanjeev Usual Smile
Logged
Intezar
Guest
«Reply #307 on: October 24, 2010, 07:31:02 AM »
Reply with quote
talat ji bahut khoob... !

Intezar !
Logged
Pages: 1 ... 17 18 19 20 [21]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:01:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer