Andvishwaas...Say No To Blind Faith "Khwahish"

by khwaish on September 26, 2014, 08:32:20 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2500 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Jis Desh Mein Maanglik Ki Shaadi Nahi Hoti,
Amavasya Ko Kaam Talte Hai, Ussi Desh Ke "Scientist" Ne
Amavasya Ke Din Mangal Par Vijay Paaya
Aur Woh Bhi Shraad Ke Mahine Mein.......

Aaj Se Kuch Din Pehle Ki Baat Hai Main Nayi Gaadi Lene Showroom
Jaa Raha Tha, To Mere Kisi Kareebi Dost Ne Kahaa Ke Abhi Rukh Jaa
Din Acche Nahi Hai...Maine Pucha Acche Aur Buure Din Kya Hote Hai??
To Woh Dost Mujhe Woh Baatein kehne Laga Jo Main Bahut Saal Pehle Se Suunte
Aaya Hoon..Maine Usse Phir Roka Aur kahaa Ke Jo Hum Suunta Aaye Hai Woh Naa Keh
Apni Taraf se Sirf Itna Bata De Ke Acche Din Aa Gaye Hain,Buure Din Chale Gaye Hain
,Kaise Pata Chalta hai Woh Mujhe Kehne Laga "Jaao..Shayar Saheb" Jo Karna Hai Karo..
Kya Main Yeh Andhvishwaas Mein Naa Jaa Kar Galat Hoon?? Mujhe Nahi Lagta..Andhviswaas ne Hum Sab Ko Yuh Jakad Ke Rakha Hai Ke Aisa Naa Karo,Yeh Rang Naa pehno,Yeh Mahina Accha Nahi,Yeh Din Accha Nahi Naa Jaane Kya Kya.....

Saaton Din Bhagwaan Ke Kya Mangal Kya Peer
Jis Din Soye Der Tak Bhooka Rahe Faqeer...

Meri yeh Kavita Har uss Shakhs Ko Simarpit Hai
Jo Iss Andhvishwaas ke Jaal Mein Fasse Hai
Aur Nikalne Ki Chaah Bhi Nahi Rakhte..



Logon Ke Mann Mein Jo Baith Jaaye Ek Baat
Phir Uss Baat Ko Mitaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aankhein Khuli Hai Par Phir Bhi Dekh Nahi Sakta
Aise Shakhs Ko Kuch Dikhaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aaj Ke Daur MeN Andhvishwaas Har jagah Faila Hai
Kisi MeN Phir Vishwaas Jagaana Mushkil Ho Jaata Hai

Paisa Kamaane Ke Liye Thagi Aur Makaari Karte HaiN Log
Dharm Ko Inn Chorro Se Bachaana Mushkil Ho Jaata Hai

Naa Jaane Kya Kya Upaaye Sochte Hain Yeh Kuch Log..!!!!!
Inn Logon Se Kabhi Khud Ko Chupaana Mushkil Ho Jaata Hai

Jo Reet YugoN Se Chalti Aayi Hai Kya Woh Mit Nahi Sakti?
Jisse Parampara Ka Naam Diya Jaye,Usse Hataana Mushkil Ho Jaata Hai

Kaali Billi Raasta Kaat Jaaye To Bura Waqt Aaa Sakta Hai..!!!!!
Aise Mein Rukhe Hue Musafir Ko Phir Chalaana Mushkil Ho Jaata Hai

Yeh Disha Woh Disha,Yeh Rang,yeh Din,Woh Mahina..Na Jaane Kya Kya..
Jo Samajhna Hi Nahi Chaahta Phir Usse Samjhaana Mushkil Ho Jaata Hai

"Khwahish" Asaan Hai Sirf Meethi Meethi Baatein Likhna Aur Chal Dena
Kisi Ko Sacchi Baatein, LafzoN Mein Sunaana Mushkil Ho Jaata Hai


             ~~~~~Khwahish~~~~~~

Say No To Blind Faith....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: September 26, 2014, 11:02:33 AM »
Reply with quote

Khawahish jee Aadaab ...1


Kia kahne janab aik aik khayaal tajurbe ki kasauti par khara utra hai ...
Bahut umda janab bahut umda ...

Par janab aap usko aNdhvishwaas kah rahe haiN jisko aapne kabhi feel nahi kiya ...
Agar aapne kabhi meri tarha feel kiya hota toH yeH kahte ...

Maasum se such ko bhi fasaana bana deta hai
Har shaks jo mirch masala lagaa ke bolta hai

Janab agar maiN bhi is aNdhvishwaas ki baat par do chaar baateN kah deta jo suni sunayi hai ... Kasam se kuch toH logoN ke zaheN meiN meri kahi baat bhi aNdhvishwasi ka ghar kar jaati ...

Bahut bahut mubbarak janab is umda topic ko ujagar karne keliye ....
Aur is khoob kalaam par humari dheroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye ...

Likhte rahiye ... bazm ko roshan karte rahiye ...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ...
Logged
Saavan
Guest
«Reply #2 on: September 26, 2014, 11:27:10 AM »
Reply with quote
I am agree with you..
Khwaish sb..
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #3 on: September 26, 2014, 02:23:14 PM »
Reply with quote
Logon Ke Mann Mein Jo Baith Jaaye Ek Baat
Phir Uss Baat Ko Mitaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aankhein Khuli Hai Par Phir Bhi Dekh Nahi Sakta
Aise Shakhs Ko Kuch Dikhaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aaj Ke Daur MeN Andhvishwaas Har jagah Faila Hai
Kisi MeN Phir Vishwaas Jagaana Mushkil Ho Jaata Hai

Paisa Kamaane Ke Liye Thagi Aur Makaari Karte HaiN Log
Dharm Ko Inn Chorro Se Bachaana Mushkil Ho Jaata Hai

Naa Jaane Kya Kya Upaaye Sochte Hain Yeh Kuch Log..!!!!!
Inn Logon Se Kabhi Khud Ko Chupaana Mushkil Ho Jaata Hai

Jo Reet YugoN Se Chalti Aayi Hai Kya Woh Mit Nahi Sakti?
Jisse Parampara Ka Naam Diya Jaye,Usse Hataana Mushkil Ho Jaata Hai

Kaali Billi Raasta Kaat Jaaye To Bura Waqt Aaa Sakta Hai..!!!!!
Aise Mein Rukhe Hue Musafir Ko Phir Chalaana Mushkil Ho Jaata Hai

Yeh Disha Woh Disha,Yeh Rang,yeh Din,Woh Mahina..Na Jaane Kya Kya..
Jo Samajhna Hi Nahi Chaahta Phir Usse Samjhaana Mushkil Ho Jaata Hai

"Khwahish" Asaan Hai Sirf Meethi Meethi Baatein Likhna Aur Chal Dena
Kisi Ko Sacchi Baatein, LafzoN Mein Sunaana Mushkil Ho Jaata Hai


Waah waaaaaaaah Janaab Khwahish Sahib bahut umdah likhaa hai aapne, dheron daad. Magar yeh jo aapne likhaa hai yeh to sirf tip of the iceberg hee hai, please aur likhte rahiye iss subject pe. Log dhayaan to bahut kam dete hain magar kaun jaane aap kaa likhaa kab rang laaye.
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2014, 04:26:55 AM »
Reply with quote
बहुत खूब.....

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2014, 05:52:56 AM »
Reply with quote
Khwahish ji , meaningful poetry aapki pahchaan ban gai hai . Hum sab radeef qaafiyon ke jaal mein phanse rahte hain ya mahez  tukbandi ki Shayari karte hain , lekin aapki Shayari radeef o qafye ki pabandi  ke Applause Applause baghair zyadatar kisi  maqsad ke tahat hoti hai aur eik khubsurat message chhod jaati hai , kuch food for thought deti hai . Aaj jis andhvishwas par aap ne likha hai aur jo MOM ki kamyabi aur Woh bhi ashubh din tareekh mein ki missal di hai , iske baad andhvishwas ki logic nahi rahti . Dekhna hai kitne ise yaad rakhye hain aur kitne phir Billi ke rasta kaatne par  apna rasta badal dete hain . Aapko is takhleeq par tahe dil se mubarakbad.
 Applause  Applause Applause Applause Applause
 Thumbs UP  Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #6 on: September 27, 2014, 11:10:39 AM »
Reply with quote
laajawaab peshkash kittu veer ji alfaaz nahi mere paas bas dherooooo daaaddddd or rau hai kabool kijiye
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: September 29, 2014, 01:31:20 PM »
Reply with quote
BRAVOE I LOVE IT
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 12 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #8 on: September 29, 2014, 05:46:19 PM »
Reply with quote
Jis Desh Mein Maanglik Ki Shaadi Nahi Hoti,
Amavasya Ko Kaam Talte Hai, Ussi Desh Ke "Scientist" Ne
Amavasya Ke Din Mangal Par Vijay Paaya
Aur Woh Bhi Shraad Ke Mahine Mein.......

Aaj Se Kuch Din Pehle Ki Baat Hai Main Nayi Gaadi Lene Showroom
Jaa Raha Tha, To Mere Kisi Kareebi Dost Ne Kahaa Ke Abhi Rukh Jaa
Din Acche Nahi Hai...Maine Pucha Acche Aur Buure Din Kya Hote Hai??
To Woh Dost Mujhe Woh Baatein kehne Laga Jo Main Bahut Saal Pehle Se Suunte
Aaya Hoon..Maine Usse Phir Roka Aur kahaa Ke Jo Hum Suunta Aaye Hai Woh Naa Keh
Apni Taraf se Sirf Itna Bata De Ke Acche Din Aa Gaye Hain,Buure Din Chale Gaye Hain
,Kaise Pata Chalta hai Woh Mujhe Kehne Laga "Jaao..Shayar Saheb" Jo Karna Hai Karo..
Kya Main Yeh Andhvishwaas Mein Naa Jaa Kar Galat Hoon?? Mujhe Nahi Lagta..Andhviswaas ne Hum Sab Ko Yuh Jakad Ke Rakha Hai Ke Aisa Naa Karo,Yeh Rang Naa pehno,Yeh Mahina Accha Nahi,Yeh Din Accha Nahi Naa Jaane Kya Kya.....

Saaton Din Bhagwaan Ke Kya Mangal Kya Peer
Jis Din Soye Der Tak Bhooka Rahe Faqeer...

Meri yeh Kavita Har uss Shakhs Ko Simarpit Hai
Jo Iss Andhvishwaas ke Jaal Mein Fasse Hai
Aur Nikalne Ki Chaah Bhi Nahi Rakhte..



Logon Ke Mann Mein Jo Baith Jaaye Ek Baat
Phir Uss Baat Ko Mitaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aankhein Khuli Hai Par Phir Bhi Dekh Nahi Sakta
Aise Shakhs Ko Kuch Dikhaana Mushkil Ho Jaata Hai

Aaj Ke Daur MeN Andhvishwaas Har jagah Faila Hai
Kisi MeN Phir Vishwaas Jagaana Mushkil Ho Jaata Hai

Paisa Kamaane Ke Liye Thagi Aur Makaari Karte HaiN Log
Dharm Ko Inn Chorro Se Bachaana Mushkil Ho Jaata Hai

Naa Jaane Kya Kya Upaaye Sochte Hain Yeh Kuch Log..!!!!!
Inn Logon Se Kabhi Khud Ko Chupaana Mushkil Ho Jaata Hai

Jo Reet YugoN Se Chalti Aayi Hai Kya Woh Mit Nahi Sakti?
Jisse Parampara Ka Naam Diya Jaye,Usse Hataana Mushkil Ho Jaata Hai

Kaali Billi Raasta Kaat Jaaye To Bura Waqt Aaa Sakta Hai..!!!!!
Aise Mein Rukhe Hue Musafir Ko Phir Chalaana Mushkil Ho Jaata Hai

Yeh Disha Woh Disha,Yeh Rang,yeh Din,Woh Mahina..Na Jaane Kya Kya..
Jo Samajhna Hi Nahi Chaahta Phir Usse Samjhaana Mushkil Ho Jaata Hai

"Khwahish" Asaan Hai Sirf Meethi Meethi Baatein Likhna Aur Chal Dena
Kisi Ko Sacchi Baatein, LafzoN Mein Sunaana Mushkil Ho Jaata Hai


             ~~~~~Khwahish~~~~~~

Say No To Blind Faith....



waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah aur waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
allah aap ko aise hi salaahiyt de ke aap istarh ki baaton per likhte rahein.
har din allah ka hai.bus itna hi kahoon gaa. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause



Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 01:38:18 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer