Bolta Sannataa.... manjum

by manjum on April 27, 2011, 05:07:59 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1580 times)
manjum
Guest
Reply with quote
Bolta Sannataa....

bahut roka,
mana kiya,
samjhaya, danta dapta...
     fir bhi na mana
     hamko satata raha
     jane kya kya
     yad dilata raha
     beete lamhon ke
     kisse dohrata raha....

chup kiya,
ruthhe,
naraz hu...
     fir bhi na mana
     shor machata raha
     hamko rulata raha
     dil par yadon ke
     nashtar chubhata raha...

pyar se samjhaya,
puchkara,
manaya...
     fir bhi na mana
     cheekhta chillata raha
     jeena mushkil banata raha
     ajeeb-o-gareeb se
     sapne dikhata raha....

haar kar
rakh lin hamne
apne kano par hathelian
aur koshish ki
na sun payen
kuchh aur
ek shabd bhi
         Uffff.........
         kitna bolta hai...
         ye sannata.........


manju ”mann”
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sannataa nahi tha !!! by sarfira in Miscellaneous Shayri
ULLOO TO RAAT KO BOLTA HAI ...... anjan by anmolarora in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
K paisa bolta hai...Raaj by Sunil Malhotra in Shairi - E - Zindagi
ITNAA SANNATAA KYON HAI BHHAEE!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! by qalb in Miscellaneous Shayri
Aina bhi jhoot bolta he......mazHur by mazHur in Miscellaneous Shayri
SkykiTears
Guest
«Reply #1 on: April 27, 2011, 05:22:58 AM »
Reply with quote
Wah kya baat hai.. Bht hi khob likha hai ap ne Manju ji..
Nice Creation.. Dil se daad..

[color/]

-SKY-
Logged
manjum
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2011, 05:24:48 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya... skyji.....
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: April 27, 2011, 05:25:42 AM »
Reply with quote
uff…
ye kaisa sannata…
are wo sannata nai
wo to mere dil ki awaz hai…

mast likha hai manju ji…
daad dil se
Logged
manjum
Guest
«Reply #4 on: April 27, 2011, 05:27:09 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya kbji.......

sath rahie....
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: April 27, 2011, 05:30:01 AM »
Reply with quote
Bolta Sannataa....

bahut roka,
mana kiya,
samjhaya, danta dapta...
     fir bhi na mana
     hamko satata raha
     jane kya kya
     yad dilata raha
     beete lamhon ke
     kisse dohrata raha....

chup kiya,
ruthhe,
naraz hu...
     fir bhi na mana
     shor machata raha
     hamko rulata raha
     dil par yadon ke
     nashtar chubhata raha...

pyar se samjhaya,
puchkara,
manaya...
     fir bhi na mana
     cheekhta chillata raha
     jeena mushkil banata raha
     ajeeb-o-gareeb se
     sapne dikhata raha....

haar kar
rakh lin hamne
apne kano par hathelian
aur koshish ki
na sun payen
kuchh aur
ek shabd bhi
         Uffff.........
         kitna bolta hai...
         ye sannata.........


manju ”mann”



waah waah waah waah kya khoob byaan kiya hai sannate ke baare mein manjum ji kya falsafa hai ek lajawaab tehreer. ek gehra ehsaas.khubsoorat lafzon mein piroya hua kalaam. great defination. main nahin samajhti kisi taarif ka mohtaaj hai. bahut khoob ji
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: April 27, 2011, 05:34:05 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya shebaji.....

likhte waqt socha nahin tha ki kya ban raha hai.. bs likh diya...

hame lagta hai ki diniyan ki kisi bhid main itna shor nahin hota jitna sannate main hota hai.. bs...

sath rahie......
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #7 on: April 27, 2011, 07:45:44 AM »
Reply with quote
accha wala sannata he ye to.........

aacha khayal he manju ji........aacha lag padkar........

aur ye bhi sahi he ki sabse jayda shor sanaate me hi hota he.....
Logged
manjum
Guest
«Reply #8 on: April 27, 2011, 08:52:54 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya matrixji...

hunn... sath rahie....
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #9 on: April 27, 2011, 01:07:59 PM »
Reply with quote
bht khoob manju ji...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 27, 2011, 01:46:27 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!

 Bahut Bahut Khoob Anju Ji..lajawaab!!!!

Aur Bilkul Sach kaha aapne Duniya Ki bheed mein Utna Shor nahi Hota Jitna 

Sanatte Ki Shor Mein Hota..Gehri baat Kahi Aapne..

Yuhi Likhte Rahiye.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #11 on: April 27, 2011, 06:22:17 PM »
Reply with quote
NICE ONE
Bolta Sannataa....

bahut roka,
mana kiya,
samjhaya, danta dapta...
     fir bhi na mana
     hamko satata raha
     jane kya kya
     yad dilata raha
     beete lamhon ke
     kisse dohrata raha....

chup kiya,
ruthhe,
naraz hu...
     fir bhi na mana
     shor machata raha
     hamko rulata raha
     dil par yadon ke
     nashtar chubhata raha...

pyar se samjhaya,
puchkara,
manaya...
     fir bhi na mana
     cheekhta chillata raha
     jeena mushkil banata raha
     ajeeb-o-gareeb se
     sapne dikhata raha....

haar kar
rakh lin hamne
apne kano par hathelian
aur koshish ki
na sun payen
kuchh aur
ek shabd bhi
         Uffff.........
         kitna bolta hai...
         ye sannata.........


manju ”mann”

Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: April 27, 2011, 08:11:13 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah..
San'nata..mere liye toh yeh ek lafz nahin balke aadat hai..
Aj yeh kalam ne woh sab bol diya jo main aksar mehsoos karta hoon..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
aur sahi gehri baat kahi..Bahaut shor hai iss khamosh
ehsaas main..!

Khush rahiye..!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: April 28, 2011, 01:03:05 AM »
Reply with quote
Manju jee ! sannate kee cheekheN sun paanaa aasaan naheeN........ye aisaa hai jaise kisee andhe gahare kuNae se aatee koi bedum see aawaaz...aap kaa ye kalaam aap kee gahree soch kaa muzaahiraa hai .......
ek sher isee soch kaa muzahiraa kartaa huaameri or se bhee...

khaamoshee ne sun lee hai tanhaai kee sab baateN
hai ishq bahut inme yaaree ye puraanee hai
Logged
kilbil
Guest
«Reply #14 on: April 28, 2011, 02:28:58 AM »
Reply with quote
hmm
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 07:41:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.208 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer