Ehsas

by Dhani on August 04, 2020, 07:55:32 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 322 times)
Dhani
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 hours and 23 minutes.
Posts: 82
Member Since: Jul 2020


View Profile
Reply with quote
Ehsas Sabki zindagi me behad khas hota hair,
khuda kasam iska to har rang nayab hota hai.

kis lamhe ke kis ehsas ko bayan karu maiin,
in madhosh dhadkano ko kabu me kaise karu mai,
un palo ki shokiyon se aj mera har pal mehkta hai,aur
un khushbuon ke har ehsas pe ye dil zoro se dhadkata hai.

ehsas har us lamhe ka jise us wakt mehsus nahi kar paye.
kitne nasamajh the jo us ehsas ko samajh nahi paye.
wakt to band muthhi se bhi ret ki tarah hi fisalta hai.
par aj unhe mesus kar ke ye dil bhi houle se muskarata hai.

ehsas us pehle dost ka jab dosti ki ibarat bhi pata nahi thi,
ek roz mehsus hua ke zindagi kitni masoom hua karti thi.
jante hai ham ke zindagi ke safar me har koi bichhadta hai.
par aj bhi un doston ko pane ko ye dil machalta hai.

ehsas us ehsas ka jab pehli baar ehsas hua kisi baat ka,
mehsus kia maza jab bekarar dil ne apne ap me hi kho jane ka.
band hothon ka khud hi khul jana kitna madhosh kiya karta tha,
kasam se ab to in hothon ki muskarahat se hi ye dil behlta hai.

ehsas us pehli mohabbat ka jisne jawani ka ehsas karaya,
ehsas har us lamhe ka jise maine apne dil se lagaya.
shukriya mere har us lamhe ka jo mujhe jeena sikhata hai.
ab to mera hi dil meri nadaniyon pe mujhe chhedta hai

khuda kasam ehsas zindagi me behad khas hota hai.
vakai me is ehsas ka har rang behad nayab hota hai.Ssss
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ehsas by sonusonal in Shayri-E-Dard
Ehsas by Sukhijamona in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ehsas...., by Dil Shah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Maa- ek ehsas by anath in Share Poetry You Like
EHSAS by Risk in Shayri for Khumar -e- Ishq
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: August 04, 2020, 01:42:07 PM »
Reply with quote
Ehsas Sabki zindagi me behad khas hota hair,
khuda kasam iska to har rang nayab hota hai.

kis lamhe ke kis ehsas ko bayan karu maiin,
in madhosh dhadkano ko kabu me kaise karu mai,
un palo ki shokiyon se aj mera har pal mehkta hai,aur
un khushbuon ke har ehsas pe ye dil zoro se dhadkata hai.

ehsas har us lamhe ka jise us wakt mehsus nahi kar paye.
kitne nasamajh the jo us ehsas ko samajh nahi paye.
wakt to band muthhi se bhi ret ki tarah hi fisalta hai.
par aj unhe mesus kar ke ye dil bhi houle se muskarata hai.

ehsas us pehle dost ka jab dosti ki ibarat bhi pata nahi thi,
ek roz mehsus hua ke zindagi kitni masoom hua karti thi.
jante hai ham ke zindagi ke safar me har koi bichhadta hai.
par aj bhi un doston ko pane ko ye dil machalta hai.

ehsas us ehsas ka jab pehli baar ehsas hua kisi baat ka,
mehsus kia maza jab bekarar dil ne apne ap me hi kho jane ka.
band hothon ka khud hi khul jana kitna madhosh kiya karta tha,
kasam se ab to in hothon ki muskarahat se hi ye dil behlta hai.

ehsas us pehli mohabbat ka jisne jawani ka ehsas karaya,
ehsas har us lamhe ka jise maine apne dil se lagaya.
shukriya mere har us lamhe ka jo mujhe jeena sikhata hai.
ab to mera hi dil meri nadaniyon pe mujhe chhedta hai

khuda kasam ehsas zindagi me behad khas hota hai.
vakai me is ehsas ka har rang behad nayab hota hai.Ssss
waah waah ati sundar, likhte rahiye.
 Applause Applause Applause Applause Applause
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Kaush Rohit
Aghaaz ae Shayar
*

Rau: 1
Offline Offline

Waqt Bitaya:
12 hours and 22 minutes.
Posts: 61
Member Since: Aug 2020


View Profile
«Reply #2 on: August 07, 2020, 06:12:20 PM »
Reply with quote
हृदय स्पर्शी कविता यार
U r super  Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 11:52:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer