Gale Laga Lega Dushman--(Riyaz)

by riyaz106 on June 01, 2010, 12:26:09 PM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3284 times)
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #30 on: June 13, 2010, 06:32:16 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob Riyaz Bhai
Bohat Khoobsurat Ghazal Nazar Ki Hai Aapne

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe Ameen.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
gham ko gale se laga liya by SHONA in Shayri-E-Dard
Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon by majid in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
tu gale se laga na sake by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
<>*GALE LAGA LO AB TO*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
bubli rani
Guest
«Reply #31 on: June 17, 2010, 09:57:58 AM »
Reply with quote
 :tearyeyed:mhbt karnay walay aisay he hotay hain.sab se alag
Logged
bubli rani
Guest
«Reply #32 on: June 17, 2010, 10:01:44 AM »
Reply with quote
kitni masum ho haseen ho hamakat na karo barha tum se kaha tha k mhbt na karo:( tearyeyed
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #33 on: June 17, 2010, 10:40:29 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Hum_Dum ji ke aapko meri kawish achhi lagi. Der se reply ke liye mafikhwah hun.
Bohat Khoob Riyaz Bhai
Bohat Khoobsurat Ghazal Nazar Ki Hai Aapne

ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe Ameen.

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #34 on: June 17, 2010, 10:44:24 AM »
Reply with quote
Wah Bubli ji bahot achha likha hai, bahot khoob.
kitni masum ho haseen ho hamakat na karo barha tum se kaha tha k mhbt na karo:( tearyeyed
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #35 on: June 18, 2010, 08:50:45 AM »
Reply with quote
Wah Janaab Riyaz Aashna Saheb! Kamaal karte haiN janaab aap. Behad haseen ghazal se nawaaza hai aapne. BaRe saleeque se ehsaas-o-jazbaat ko alfaazoN meiN dhaala hai. Aik meaari ghazal ka namoona agar koi dekhna chaahe to aapko paRh le. HazaroN daad qubul kijiye is aik sher k saath:

Pata hai tumheiN tum se kya chaahiye
Ghazal hi ghazal har dafa chaahiye

(Waquif Ansari)

Dosto ek arsey ke baad aapki khidmat mein ek nai ghazal pesh kar raha hun. Ummeed hai pasand aayegi.
GHAZAL
Mujhe saath har dam tera chahiye
Tu mil jaaye to aur kya chahiye
Paresha.n hain sab shahr ke shor se
Muhabbat bhari ek sada chahiye
Gale se laga lega dushman tujhe
Magar tujh mein aisi ada chahiye
Fasadon ko bhadkana mushkil nahi
Unhen to bas ek mud-da-aa chahiye
Wo har ek buraai se muh mod lein
Jinhen bhi khuda ki raza chahiye


Riyaz Ashna

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #36 on: July 03, 2010, 05:57:05 AM »
Reply with quote
Janab muhtaram Waqif sahab ghazal ko padhne, pasand farmane ke liye aapka tah-e-dil se shukriya. Aap se guzarish hai ke koi ghazal, nazm is bazm ko ataa farmayen, ek muddat hui aapki takhleqaat se mehroom hain.
Wah Janaab Riyaz Aashna Saheb! Kamaal karte haiN janaab aap. Behad haseen ghazal se nawaaza hai aapne. BaRe saleeque se ehsaas-o-jazbaat ko alfaazoN meiN dhaala hai. Aik meaari ghazal ka namoona agar koi dekhna chaahe to aapko paRh le. HazaroN daad qubul kijiye is aik sher k saath:

Pata hai tumheiN tum se kya chaahiye
Ghazal hi ghazal har dafa chaahiye

(Waquif Ansari)

Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #37 on: July 05, 2010, 06:09:38 PM »
Reply with quote
Dosto ek arsey ke baad aapki khidmat mein ek nai ghazal pesh kar raha hun. Ummeed hai pasand aayegi.
GHAZAL
Mujhe saath har dam tera chahiye
Tu mil jaaye to aur kya chahiye
Paresha.n hain sab shahr ke shor se
Muhabbat bhari ek sada chahiye
Gale se laga lega dushman tujhe
Magar tujh mein aisi ada chahiye
Fasadon ko bhadkana mushkil nahi
Unhen to bas ek mud-da-aa chahiye
Wo har ek buraai se muh mod lein
Jinhen bhi khuda ki raza chahiye


Riyaz Ashna

MoHtaram Rayaz Ashna Saahib Salaam Alaikum !
Aap ki ye kaavish bohot pur kashish aur pur matlab hai.
Aap ne jis andaaz se kalaam ko manzile kamaal tak pahuNchaya hai wo aap ki hunar mandiaur qaabiliyyat ki daleel hai.
 Is qeemati kaavish par meri taraf se daad ke saath mubarakbaad bhi qubool farmaiye.
Agar is ghazal ki beHr ka wazn mujhe bata deN to mere liye aap ki ye kaavish aur bhi qaabil e qadr hogi.
  Mukhlis : Haider
Logged
khair khwah
Guest
«Reply #38 on: July 07, 2010, 10:27:28 AM »
Reply with quote
MoHtaram Rayaz Ashna Saahib Salaam Alaikum !
Aap ki ye kaavish bohot pur kashish aur pur matlab hai.
Aap ne jis andaaz se kalaam ko manzile kamaal tak pahuNchaya hai wo aap ki hunar mandiaur qaabiliyyat ki daleel hai.
 Is qeemati kaavish par meri taraf se daad ke saath mubarakbaad bhi qubool farmaiye.
Agar is ghazal ki beHr ka wazn mujhe bata deN to mere liye aap ki ye kaavish aur bhi qaabil e qadr hogi.
  Mukhlis : Haider
janab-e-mann "Haider sahib"jis andaaz se aap ne iss kalaam ki pezari ki hai isske liye "shayer" shukriya kehdein to haqq pura ada nahi hoga,aapka andaz-e-daad bahot umda hai. mera jahaan tak khayal hai aap fann-e-shayeri se waqif hote hoe bhi riyaz sahib se baher ke wazan ki jo maang kar rahe hain siwae tanqeed ke pehlo ke kuch nahi,aap itne "kam ilm aur nadaan nahi ke aap ko riyaz sahib ka kalaam padhne ke baad baher ki qism ka ilm na howa hoga,,hosakta hai aap qabiliyat ke aitebaar se ek muqaam rakhte honge lekin andaz-e-daad se yeh zahir hogaya ke aap khud ko sirf khud ko "fann-e-shayeri ke "bahut mahir samajhte hain,yeh ananiyat,yeh tassavurr,yeh apne ilm pe nazaa'n hona siwae ek himaqat ke kuch nahi,kuch riwaeti baatein karlene se ya phir laghwai alfaaz ko istemaal karlene se fann-e- shayeri ke ustaad nahi banjaate,aap ki posts ko padh chuka hoon mein,ek naya unwaan de ke apni baat pe ardhe rehna tumhari ananiyat ki daleel hai,har jagah "mera khayal sub se juda hai likhna,"kya hai yeh janaab?..mei yeh kehta hoon khayal alag nahi aap ka khayal galat hai".kuch likhana zabardasti apne jazbaat ko qubool karwana wah janab...apni fikr aur andaaz ko badaliye..yoindia pe ek raat baith kar likhna ,aur yeh soch kar likhana har koi pasand karega bahot daad milegi ,,kya hai yeh? tum shuru se abtak ek muamma ho..ajeeb zahen saazi hoi hai aap ki ,badal lo iss main koi faiyeda nahi hai...apni khudnumai karna ..kya hai yeh?har post main siwaae khud ko badha chardhane ke dosra kaam aap ne kiya hi nahi..riyaz sahib aap ko waqt mile to haider sahib ka jawaab dein.
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #39 on: July 07, 2010, 03:07:09 PM »
Reply with quote
Janab Haider sb. jahan tak mujhe ilm hai is ghazal ki behr ye hai:

fauulun-fauulun-fauulun-faul

Janab Waqif sb ne bhi apne coment jo matla likha hai, isi bahr me hai. Ek filmy  ghazal bhi dekhen jo isi  bahr me hai :

dikhaai diye yu ke bekhud kiya
hame aapse bhi juda kar chale
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #40 on: July 07, 2010, 03:29:38 PM »
Reply with quote
janab-e-mann "Haider sahib"jis andaaz se aap ne iss kalaam ki pezari ki hai isske liye "shayer" shukriya kehdein to haqq pura ada nahi hoga,aapka andaz-e-daad bahot umda hai. mera jahaan tak khayal hai aap fann-e-shayeri se waqif hote hoe bhi riyaz sahib se baher ke wazan ki jo maang kar rahe hain siwae tanqeed ke pehlo ke kuch nahi,aap itne "kam ilm aur nadaan nahi ke aap ko riyaz sahib ka kalaam padhne ke baad baher ki qism ka ilm na howa hoga,,hosakta hai aap qabiliyat ke aitebaar se ek muqaam rakhte honge lekin andaz-e-daad se yeh zahir hogaya ke aap khud ko sirf khud ko "fann-e-shayeri ke "bahut mahir samajhte hain,yeh ananiyat,yeh tassavurr,yeh apne ilm pe nazaa'n hona siwae ek himaqat ke kuch nahi,kuch riwaeti baatein karlene se ya phir laghwai alfaaz ko istemaal karlene se fann-e- shayeri ke ustaad nahi banjaate,aap ki posts ko padh chuka hoon mein,ek naya unwaan de ke apni baat pe ardhe rehna tumhari ananiyat ki daleel hai,har jagah "mera khayal sub se juda hai likhna,"kya hai yeh janaab?..mei yeh kehta hoon khayal alag nahi aap ka khayal galat hai".kuch likhana zabardasti apne jazbaat ko qubool karwana wah janab...apni fikr aur andaaz ko badaliye..yoindia pe ek raat baith kar likhna ,aur yeh soch kar likhana har koi pasand karega bahot daad milegi ,,kya hai yeh? tum shuru se abtak ek muamma ho..ajeeb zahen saazi hoi hai aap ki ,badal lo iss main koi faiyeda nahi hai...apni khudnumai karna ..kya hai yeh?har post main siwaae khud ko badha chardhane ke dosra kaam aap ne kiya hi nahi..riyaz sahib aap ko waqt mile to haider sahib ka jawaab dein.
Mere a'zeez dost aur Yoindia ke mehmaan, tasleemaat.
buzurg Aap mer baare meN jo khayaalaat rakhte haiN, wo kaafi hadd tak haqeeqat aur waaqieyyat ke khilaaf haiN.
Jo talkh aur shadeed lehja aap ne mere liye ikhtiyaar kiya hai us se aap ke mizaaj ka hi nahiN balke aap ki zehniyyat ka bhi andaaza ho raha hai. Aap mere baare meN jo khayaalaat rakhte haiN wo o'mooman be buniyaad hi nahiN, balke sara sar  ilzaamaat haiN.
Kya aap ne kahiN ye nahiN dekha ke maiN ne kisi ko daad bhi di ho.
Khair jaise zehn ka insaan hota hai use nazar bhi waisa hi aata hai. Aik ahm baat apne baare meN ye bata doN ke maiN shohrat pasand insaan nahiN hoN, Haq pasand hoN. Aap ne mujhe kya 2 nahiN kaha woh bhi soch leN aur kaheN....maiN aap ki insaaniyyat aur insaaf pasandi ki daad deta hoN.
Riaz bhai mere a'zeez dost haiN, mujhe un se kis liye hasad hoga?
Kya kisi par tanqeed kar dene ka matlab ye akhz kiya jata hai jo aap ne kiya hai. Aik shayer doosre shayer ke liye kya hota hai, ye aap kya samjhenge. chaliye aap ke liye maiN aik mua'mma hi sahi, kuchh to samjhe aap is naa cheez ko.
akheeran maiN itna hi kehna munaasib samjhoNga ke shayer hone ki haisiyyat se jo mera farz banta tha wo maiN ne anjaam diya. Aap ke khayaalaat meN tabdeeli lana mera farz nahiN hai, ye aap ka kaam hai. Aur jo haqq hai wo Riaz bhai khud tasleem karNge
Unke behtar jawaab ka mujhe bhi intizaar hai.
Meri E-mail ID ye hai aap ko jo bhi mujh se shikaayat ho tafseel se message kar dena.
"haider_your_friend@yahoo.com"
yahaN par mazeed zaati taveel baateN munaasib nahiN haiN.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #41 on: July 07, 2010, 03:42:36 PM »
Reply with quote
Bohot 2 shukriya mehmaan ka ke unhoNne meri raahnumaayi kar di.
nizaa' ki koi soorat hi nahiN hai. ksi ka suwaal karna hamesha uska ia'tiraaz nahiN samjha jata.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #42 on: July 07, 2010, 04:01:54 PM »
Reply with quote
Haqeeqat yeh hai ke riyaaz bhi ne is ghazal meN haalaat ko bohot khoobsoorati se bayaan kiya hai.
Jis se unki fikri aur i'lmi salaahiyyat ka andaaza hota hai.
MaiN na jaane kis tarah ghazal paRhte waqt doosre shea'r ke pehle misrea' ke lafz "Presha.n" ko mukammal noon (ن) ke saath kheeNch kar paRh gaya aur mujhe shea'r behr se khaarij laga. jo ke meri ghalati thi.
jab maiN ne dobara ghaur kiya to khud hi samajh gaya ke noon mukhaffaf paRha jaayega. aur agar maiN is baat ki taraf mutavajjeh na hota to yaqeena is qeemati ghazal ki wo qadr na kar paata jo meri nazar meN ab hai.
Har shayer ye jaanta hai ke agar misra' behr se khaarij ho ya use kisi vajah se aisa lage to, us ka zehn pareeshaan ho jaata hai. Leki maere suwaal par ia'tiraaz karn waale se mera suwaal hai ki-
Kya kisi se koi suwaal karna is web par jurm ya gunaah hai?
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 06:20:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.199 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer