Gurbat

by Jaanasheen on August 26, 2010, 12:16:42 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2400 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
AS salaam Walaikum, Bohat Dino Baad Kuch Likh Raha Hoon Is Forum Pe, Kuch Zindagi ke Haadse jo Dekhe Hain, aur kuch Haadson se khud meri aazmaaish Rahi Hai,.

Yun To ise main Zindagi KaTajruba kehta, Magar Abhi Mukammal Zindagi Ka chehra maine dekha nahi, isliye is ghazal ko haadson se bhari ghazal kehna chahoonga, Is Ghazal Mein Maine Aam aadmi aur aam aadmi se hattke jo Gurbat guzaar rahe hain ya gurbat waali zindagi dekhke hain, unke dil ko choone koshish ki hai, Umeed Hai aap sath denge,.


Is Zindagi Se, To Mujhe Maut Pyaari Hai,.
Ke Bade Faaqon Se Ye Zindagi Guzaari Hai,.

Soch Ke Jis Mahaul Ko Log Panah Maangte Hain,.
Us Mahaul Mein Basi Duniya Hamaari Hai,.

Kamzor Baap Bhi Jahaan Rozi Ki Talaash Kare,.
Budhi Maayi Chupaaye Sabse, Ke Use Kya Bimaari Hai,.

Kyun Beach Rahe Ho Is Shehar Mein Khilone Tum,.
Bachchon Ne Umr Yahan Bhooke Pait Guzaari Hai,.

Unka Rutba Bard Gaya Yahan Oonchi Imarat Banaake,.
Is Jagaah Pe Dafan Hamari Khushiyaan Saari Hai,.

Daulat Ka Libaaz Pehanke Wo Maghroor Hogaya,.
Gurbat ne Achche Achchon Ki Langaut Utaari Hai,.

Dekh Tujhe Gurbat Ne Gale Lagaa Liya "Azeem,.
Daulat Ki To Fitrat Mein Hi Dhoka Hai Gaddaari Hai,.

 -Azeem
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apni Gurbat Ka..... by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 26, 2010, 12:19:38 PM »
Reply with quote
har ek lafz sidhe dil me utar gaya Azeem ......
har ek sher jaise tasveer bana gaya aankhon me....

bht bht bhtbbht hi badhiya peshkash hai ye aapki.....

dil me utarti hui.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 26, 2010, 01:28:41 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne....!!!!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2010, 04:05:37 PM »
Reply with quote
kya kahe Ajeem ji......bahut mushkil hota hai aise haadson par likhna....
jha jubaan ko lafj hi nahi milte....hats off to u Ajeem ji....
 Applause Applause Applause Applause Applause......... Applause
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: August 26, 2010, 05:17:35 PM »
Reply with quote
har ek lafz sidhe dil me utar gaya Azeem ......
har ek sher jaise tasveer bana gaya aankhon me....

bht bht bhtbbht hi badhiya peshkash hai ye aapki.....

dil me utarti hui.....

Shukriya Kasak Ji,.

Daad ke saath Duaa Ki Darkhwast,
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: August 26, 2010, 05:19:08 PM »
Reply with quote
Shukriya Kasak Ji,.

Daad ke saath Duaa Ki Darkhwast,

tumhare liye dua main roz karti hun azeem....
ye waada hai mera kisi se...
aur ek bahen apne bhai k liye hamesha dua hi karti hai...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 26, 2010, 07:04:23 PM »
Reply with quote
bahut khoob likha hai aapne....!!!!!

shukriya klaskar ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: August 26, 2010, 07:51:07 PM »
Reply with quote
Badi khubsoorat ghazal likhi hai Azeem bhaijan..
Daad kay saath bahaut sari duaein..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: August 26, 2010, 09:27:23 PM »
Reply with quote
Azeem sahab Aadaab!

Behad khoob kalaam se nawaaza hai aapne... Bahut dil ko lagne wale sher kahe hai janab... dil se tis uth gayi....         





Is Zindagi Se, To Mujhe Maut Pyaari Hai,.
Ke Bade Faaqon Se Ye Zindagi Guzaari Hai,.

Matla achcah bana hai ... Per baat Khass nahi lagi....


Soch Ke Jis Mahaul Ko Log Panah Maangte Hain,.
Us Mahaul Mein Basi Duniya Hamaari Hai,.

Bahut umdaa raha yeh sher Daad         


Kamzor Baap Bhi Jahaan Rozi Ki Talaash Kare,.
Budhi Maayi Chupaaye Sabse, Ke Use Kya Bimaari Hai,.

Dil cheer diya janab... bahut bariki hai khayaal meiN.. Allah Raham farmayeN         


Kyun Beach Rahe Ho Is Shehar Mein Khilone Tum,.
Bachchon Ne Umr Yahan Bhooke Pait Guzaari Hai,.

Kia baat hai janaab bahut jyada umdaa... Aapne is sher maiN ek umdaa shayar hone ka saboot diya hai... DheroN daad Janab         


Unka Rutba Bard Gaya Yahan Oonchi Imarat Banaake,.
Is Jagaah Pe Dafan Hamari Khushiyaan Saari Hai,.

Achcha sher hai.... baat kabristaan se hai yaa... basti se ... yeh samjh nahi paye...


Daulat Ka Libaaz Pehanke Wo Maghroor Hogaya,.
Gurbat ne Achche Achchon Ki Langaut Utaari Hai,.

Bahut khoob..... Daad         


Dekh Tujhe Gurbat Ne Gale Lagaa Liya "Azeem,.
Daulat Ki To Fitrat Mein Hi Dhoka Hai Gaddaari Hai,.

Kia baat hai bahut umdaa.... Daad         


 -Azeem

Bahut achchi kalaam rahi Azeem sahab bahut khoob..... Dil se daad janab... Allah un tamam logoN ki maslihat ko aasaan kare, aameen.

Likhate rahiye.....
Khush rahiye.....       
Khuda Hafez   

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: August 27, 2010, 02:41:21 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
behad umda peshkash ke liye aapko hazaron daad. dost....
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Online Online

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #10 on: August 30, 2010, 05:37:45 AM »
Reply with quote
This made me cry...

What else can I say? A true artist is one who holds the capability of stirring emotion in those who read his or her work. Each time, MA you prove, how truely talented you are. And that's why I have made you mine.


This may be your best work in describung reality yet. I absolutely loved it! Truely mind blowing, love.

Subhan-Allah!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 30, 2010, 01:54:55 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Aur bahut Khoob Azeem!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

i definetely feel,this is one of your best work..

har Ek Sher Apne aap mein itne Gehra hai ke Kya Kahoon!!

Bahuttttttttt Ache icon_flower
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: August 31, 2010, 01:12:38 AM »
Reply with quote
AS salaam Walaikum, Bohat Dino Baad Kuch Likh Raha Hoon Is Forum Pe, Kuch Zindagi ke Haadse jo Dekhe Hain, aur kuch Haadson se khud meri aazmaaish Rahi Hai,.

Yun To ise main Zindagi KaTajruba kehta, Magar Abhi Mukammal Zindagi Ka chehra maine dekha nahi, isliye is ghazal ko haadson se bhari ghazal kehna chahoonga, Is Ghazal Mein Maine Aam aadmi aur aam aadmi se hattke jo Gurbat guzaar rahe hain ya gurbat waali zindagi dekhke hain, unke dil ko choone koshish ki hai, Umeed Hai aap sath denge,.


Is Zindagi Se, To Mujhe Maut Pyaari Hai,.
Ke Bade Faaqon Se Ye Zindagi Guzaari Hai,.

Soch Ke Jis Mahaul Ko Log Panah Maangte Hain,.
Us Mahaul Mein Basi Duniya Hamaari Hai,.

Kamzor Baap Bhi Jahaan Rozi Ki Talaash Kare,.
Budhi Maayi Chupaaye Sabse, Ke Use Kya Bimaari Hai,.

Kyun Beach Rahe Ho Is Shehar Mein Khilone Tum,.
Bachchon Ne Umr Yahan Bhooke Pait Guzaari Hai,.

Unka Rutba Bard Gaya Yahan Oonchi Imarat Banaake,.
Is Jagaah Pe Dafan Hamari Khushiyaan Saari Hai,.

Daulat Ka Libaaz Pehanke Wo Maghroor Hogaya,.
Gurbat ne Achche Achchon Ki Langaut Utaari Hai,.

Dekh Tujhe Gurbat Ne Gale Lagaa Liya "Azeem,.
Daulat Ki To Fitrat Mein Hi Dhoka Hai Gaddaari Hai,.

 -Azeem

Bahut khoob Chote Bhai
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 04:47:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.192 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer