Ishq he Apna kaam hai shayad

by karan q on April 23, 2005, 05:08:08 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 684 times)
karan q
Guest
Reply with quote
Ishq he apna kaam hai shayad


Ishq he apna kaam hai shaayad
Jism jalta makaan hai shaayad

Hizr ka waqt guzarta he nahi,
dariya-e-gum bhi utarta he nahi
Chain humko haraam hai shaayad
Jism jalta makaan hai shaayad

Hizr--- judaai,sapration

Prem he prem hain geeta ke vachan
Pyar he pyar hai bible ke sukhan
Ishq humko kuraan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Sukhan---- quote,couplets

Mujhse baaten kar magar aahista
Vaada ker milne ka magar aahista
Dewaaron ke bhee kaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Gir gaya wo to kaun utthayega
Umar bhar paas koi na aayega
Saari duniya viraan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Ek raah hai jhooth ki yaaron
Ek sach ki bhee raah hai yaaron
Zhooth ki raah asaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Ye bhee aata hai samaa jaata hai
Wo bhee aata hai samaa jaata hai
Dil mera aasmaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Dil ke rishton ko jaanta bhee nahi
Ruuh ke rishton ko maanta bhee nahi
Mard husn ka gulaam hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Zindgi phoolon ki sej lagti hai
Suraj thandi hawayen deta hai
Mujhko tera gumaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Din de daala tere khyaalon ko
Raat de daali tere khwabon ko
Zindgi tere naam hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Tujhse milker bhee tujhko na chuna
Tere hoker bhee tera na hona
Sabr ka imtehaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Aa mere qareeb or aa jal ja
Tu hai mera to mujhme he ghul ja
Ye shamaa ka bayaan hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Ye sabaa usske shahar se aayi hai
Saath barkhaa ki rut bhee laayi hai
Mausamo ka salaam hai shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad

Ishq lafzon ka khel nahi hota
sirf jismon ka mail nahi hota
ye nazar ki zubaan hai shayad
jism jalta makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

jaam-e-vaada me or gum de de
kuch dagaa or kuch sitam de de
baaki iss dil me jaan hai shayad
jism jalta makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

aadmi khud ko umr bhar beche
kaliyaa.n bhee apna baankpan beche
yaa.n khuda bhee nilaam hai shayad
jism jalta makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

yaa.n--- here,

qaidee hain julf ke,aankhon ke adaaon ke hum
premi hain sach ke,muhobbat ke, wafaaon ke,
dard humko inaam hai shayad
jism jalta makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

naa sahi paas tu , judaa he sahi
tu nahi to phir maikada he sahi
yehi apna kayaam hai shayad
jism jalta makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

kayaam-- ghar

phir se aayen hain usski baaton me
haath de daala usske haathon me
kaam apna tamaam hai shayad
jism jala makaan hai shayad
ishq he apna kaam hai shayad

Karan’chehre pe wo ronak na sahi
Jism Ab ruuh per bhee bojh sahi
Hasraten abhi jawaan hain shayad
Jism jalta makaan hai shayad
Ishq he apna kaam hai shayad


karan.q
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
YEH KAAM HAI... by Anushka in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Ja apna kaam kar! by mazHur in Ghazals
ishq kaam aaya by royal_jeet in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Ishq Naakaaam Sahii Phir Bhii Bahut Kaam Aayaa by ghayal_shayar in Urdu Poets
Kaam Main Ek Naya Ishq Me - Syed Iqtedar by Rustum Rangila in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:14:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer