*****JAANE KYU*****

by kaushikbhawna008 on December 26, 2008, 06:21:38 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1445 times)
kaushikbhawna008
Guest
Reply with quote
Na bure ham hain na gunehgaar wo kehtaa hai mujhe
Par Jane kyu najar khud se ham mila nahi paate

Aise to bohut se gam chup chaap hain hamne seh liye
Bas aaansuon ko ab aur pee nahi paate

Jane kyaa nasha tha unki baton mei jisme khud ko hai bhula diya
Warna koi bhi baat ho, ham bhula nahi paatei

Wo hai saath fir bhi adhurapan sa kyu hai lagta
Jane kyu dil ko uske hone ka ehsaas bata nahi paatei

Sochte hain kahin gujar na jaayei wo raat ka khwaab bankar
Bas ek isi darr se ham raaton ko ab so nahi paatei
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kya jaane..? by amrita in Shayri-E-Dard
Na jaane... by qayda in Miscellaneous Shayri
Na Jaane Kya Hai Yeh.....!!!!!!! by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
Na jaane kya hai yeh??? by ranjana in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
-.Na Jaane q.- by Tosha in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
k.shael
Guest
«Reply #1 on: December 26, 2008, 06:30:05 AM »
Reply with quote
Na bure ham hain na gunehgaar wo kehtaa hai mujhe
Par Jane kyu najar khud se ham mila nahi paate

Aise to bohut se gam chup chaap hain hamne seh liye
Bas aaansuon ko ab aur pee nahi paate

Jane kyaa nasha tha unki baton mei jisme khud ko hai bhula diya
Warna koi bhi baat ho, ham bhula nahi paatei

Wo hai saath fir bhi adhurapan sa kyu hai lagta
Jane kyu dil ko uske hone ka ehsaas bata nahi paatei

Sochte hain kahin gujar na jaayei wo raat ka khwaab bankar
Bas ek isi darr se ham raaton ko ab so nahi paatei



 Applause  Applause  Applause
Bahut Khoob Likha Hai Kaushik,

Kaushik yoindia pe bahut saare shayro ke saath likha hai,
aaj tumhare saath likhne ki iltaza hai, agar manzoor ho to
reply zaroor dena inn lines ka...


U to har lamhe me ham jeete the zindagi ko,
jab se gaye ho tum ham mout ko bhula nahi paate,

Aadat na thi hame gamo ko baatne ki jab se gaye
ho tum dil ke gamo ko chupa nahi paate,

Aankho me masti aur sharart rakhte the ham jab se
gaye ho tum ham aankhon se aansoo hata nahi paate,

Log kehte the ham pitte pilaate bahut hai mehfil me,
jab se gaye ho tum ham sharaab ka nasha khud par chada
nahi paate...

Shally.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 26, 2008, 06:44:49 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob bhawna and shally... bsahoot he axcha likha hai dono ne
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: December 26, 2008, 06:46:57 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob bhawna and shally... bsahoot he axcha likha hai dono ne

Shukriya Pooja Didi,

Shally.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: December 26, 2008, 06:49:11 AM »
Reply with quote
thnks a lot lot shally
bohut acha likha hai tumne bhi last 2 lines bohut achi lagi hamei

reply mei kuch likh rahe hain umeed hai aapko bhi pasand aayga

khushnasib hain wo jo sharaab to pee lete hain
badnasib to ham hain jise peene k liye aansu bhi naseeb nahi
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #5 on: December 26, 2008, 06:50:42 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob bhawna and shally... bsahoot he axcha likha hai dono ne


shukriya pooja ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #6 on: December 26, 2008, 06:53:24 AM »
Reply with quote
thnks a lot lot shally
bohut acha likha hai tumne bhi last 2 lines bohut achi lagi hamei

reply mei kuch likh rahe hain umeed hai aapko bhi pasand aayga

khushnasib hain wo jo sharaab to pee lete hain
badnasib to ham hain jise peene k liye aansu bhi naseeb nahi


Aacha hua ki tere hisse me aansoo aaye,
Sharaab ne tassali di raat bhar ke liye subah ham bhi
aansoo ke liye taraste paaye.

Shally.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: December 26, 2008, 07:02:23 AM »
Reply with quote
Aacha hua ki tere hisse me aansoo aaye,
Sharaab ne tassali di raat bhar ke liye subah ham bhi
aansoo ke liye taraste paaye.

Shally.

thnks
again nice reply by ur side

mat sanjo daaman ko aansuon se tu apne
ek din saath tere ye bhi chod jaayenge
mila denge har yaad ko khaak mei fir bhi
ye dil ko tadpaate hue hamesha paayenge
Logged
k.shael
Guest
«Reply #8 on: December 26, 2008, 07:06:53 AM »
Reply with quote
thnks
again nice reply by ur side

mat sanjo daaman ko aansuon se tu apne
ek din saath tere ye bhi chod jaayenge
mila denge har yaad ko khaak mei fir bhi
ye dil ko tadpaate hue hamesha paayenge


Thnx &
Nice reply Kaushik,

Chod jaana tha jise wo chala gaya, aab ye uske diye gamm chod
ke na jayenge,
Mila gaye wo khaak me jinke ham apne the, aab ye begane
gamm hame kya khaak tadpaayenge,

Shally.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: December 26, 2008, 07:14:35 AM »
Reply with quote
Thnx &
Nice reply Kaushik,

Chod jaana tha jise wo chala gaya, aab ye uske diye gamm chod
ke na jayenge,
Mila gaye wo khaak me jinke ham apne the, aab ye begane
gamm hame kya khaak tadpaayenge,

Shally.

nice one shally

mila tujhko ek gam hai to mein bhi kaha aabad hoon
jise sunta nahi khuda bhi mein aisi ansuni fariyaad hoon
Logged
k.shael
Guest
«Reply #10 on: December 26, 2008, 07:30:22 AM »
Reply with quote
nice one shally

mila tujhko ek gam hai to mein bhi kaha aabad hoon
jise sunta nahi khuda bhi mein aisi ansuni fariyaad hoon


Thnx Kuahik & Nice One From Ur Side,

Ek gamm mila hota to hass ke seh lete ham,
yaha har roz gammo ke baadal dil pe utarte hai.

Shally.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: December 26, 2008, 10:15:27 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bhawna and Shally Ji
Logged
k.shael
Guest
«Reply #12 on: December 26, 2008, 10:19:09 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Bhawna and Shally Ji

Shukriya Rajesh Ji,

Shally.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #13 on: December 26, 2008, 10:23:38 AM »
Reply with quote
nice one shally

mila tujhko ek gam hai to mein bhi kaha aabad hoon
jise sunta nahi khuda bhi mein aisi ansuni fariyaad hoon


wah, bahut khoob Bhavna


SAB KI FARIYAAD RABB SUNTA HAI,
DIL SEY TOH KARO
DIL USEY DEH KEY BAITHEY HO
FARIYAAD KAHA SEY KARO ?


JASBIR SINGH
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #14 on: December 26, 2008, 10:27:07 AM »
Reply with quote
Thnx Kuahik & Nice One From Ur Side,

Ek gamm mila hota to hass ke seh lete ham,
yaha har roz gammo ke baadal dil pe utarte hai.

Shally.

wah, sahi kaha aap neh SHALLY


GAMOH SEY ABB TOH RISHTA JUDD GAYA HAI
DUKHO SEY ABB TOH DIL BHAR GAYA HAI
NA JANEY KAB DOOR HONGI YEH SAJAYEH
JITEY JIH YEH ISHQ MARR GAYA HAI




JASBIR SINGH
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:01:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.177 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer