Jhoothe Rishte

by Pooja on February 14, 2008, 07:22:42 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 16945 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Jhoothi khushio main ab wo ahsaas paaye nahi jaate
Hum se jhoothe rishte ab nibhaye nahi jaate

Badi umeendo se, karte rahe tera intzaar
Ab tere jhoothe milan se, dard ke saye nahi jaate

Umarbhar khati rahi dhoka, wafa ki umeend per
Ajj teri wafa per bhi, aitbaar-e-ahsaas laaye nahi jaate

Teri Najar dekhati hai mujhe, shayad main bhi kah du kuch
Chah kar bhi lubo per, wo purane geet laaye nahi jaate

Dooria bad gai itani ki khud ko bhi na chala pata
Lout kar unhi raho per, jazbaat laaye nahi jaate
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jhoothe waade by desikuri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
To All Politicians:Yeh Jhoothe Nakaab Kab Tak Rahenge by Devdas_online in Miscellaneous Shayri
jhoothe moothe chand sitaare by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
***Jhoothe Aansu*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
***Jhoothe Waade*** by AVTAR RAYAT in Share: Poetry of Pain
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: February 14, 2008, 07:55:42 PM »
Reply with quote
KABHI-KABHI JHOOTE RISHTE BHI
SACHE RISHTO SE GEHRE HO JAATE HAI

HUMNE DEKHI HAI DUNIYA INN AANKHON SE
REHTE HAI EK HI SAMUNDAR MEIN DO LEHREIN
PAR AAPAS MEIN NAHI MIL PAATE HAI...

DUNIYA DAARI ALAG BAAT HAI,
APNA FARZ  NIBHAANA BHI ALAG BAAT HAI
DO JISM MIL BHI JAAYE TO KYA
ROOH AAPAS MEIN  NAHI JUD PAATE HAI....

KISI KE LIYE NAZDEEKIYAN DOORIYAN BAN JAATI HAI
KISI KE LIYE DOORIYAN HI NAZDEEKIYAN BAN JAATI HAI
YEH GEHRI BAAT HAI,HAR KOI NAHI SAMAJ PAATE HAI....

JISSE AAP JHOOTA RISHTA KEHTE HO
USKI BAATEIN HI DIL BEHLAATE HAI...
VARNA AAPKE APNE BHI AAP KO AZMAATE HAI...

LAGTA HAI MAIN BAHUT KUCH KEH GAYA HOON
BEHTAR HAI AB HUM BHI CHUP HO JAATE HAI....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2008, 08:01:45 PM »
Reply with quote
Vishwaas hota hai jin rishto per, wo hi toot jaate hai
Bin bandhan ke rishte, phir kyun sath nibhate hai

Uljhan hai yah kaise, jise hum suljha nahi paate hai
Apno se toot kar kyun, ajnabi ke pass sakoon paate hai

Kalam likhate likhte ho jaati hai ab to khamosh
Apne hi shabdo se ajj kyun hum dhoka khate hai

Vishwaas hota hai jin rishto per, wo hi toot jaate hai
Bin bandhan ke rishte, phir kyun sath nibhate hai!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: February 14, 2008, 08:21:54 PM »
Reply with quote
RISHTE KUCH AISE BHI HOTE HAI
JISKA KOI NAAM NA HOTE HUE BHI DIL KO ACHA LAGTA HAI...

DARD KO DARD SE BAANTNE MEIN
KABHI-KABHI USKA DARD BH APNA SA LAGTA HAI...

JIS SHAKS SE BAHUT KAREEB HOTE HAI ASAL ZINDAGI MEIN
KABHI-KABHI USSI SHAKS SE BAHUT FAASLA SA LAGTA HAI...

RISHTA WAHI SACHA HOTA HAI ZINDAGI MEIN "POOJA"
JAHAN DIL SE DIL KA RAASTA LAGTA HAI...

ZIMMEDARIYON KO NIBHAATE-NIBHAATE KHUD KO KHO DETE HAI LOG
KABHI-KABHI YEH LOGON KO DEKH KAR KUCH AJEEB SA LAGTA HAI....

"KHWAISH" HAR BAAT KEH DETA USS SHAKS SE
AGAR USSE THODA BHI YEH RISHTA SACHA LAGTA HAI.....

Logged
zakhmola
Guest
«Reply #4 on: February 15, 2008, 05:47:39 AM »
Reply with quote
Jhoot ko dekhkar aksar mera dil kehta hai
iss duniya mein insaan itne jhoot ke saath kaise jee leita hai...

Log kehte hain ki
jhoot ke paon nahin hotey
hum heiraan hain aajtak
Insa ko Chalta Dekhkar
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: February 15, 2008, 05:26:49 PM »
Reply with quote
Nice lines Zakhmola ji.. good one khwaish ji!!

Jo dil ko acha lage wo dil ka rishta kahlwata hai
Koi naam na hote hue bhi dil mai jagah banata hai

Kahte hai us se sab sukh dukh
Jeevansathi sa banta chala jaata hai

Rishta sahi mayne main wo hi hota hai sucha
Magar kab dunia ko yah raas atta hai

Her ek ki apni ek dunia, her ki apni kahani
Waqat ke sath sath, Rishta wo bhi bichdta chala jaata hai

Rah jaati hai yaadein bas dil mai
Waqat ke sath her sathi bichard jaata hai !!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: February 15, 2008, 08:08:59 PM »
Reply with quote
JIS RISHTE KA KOI NAAM NAHI
WOH RISHTA IS DUNIYA MEIN KAHAN SAMBHAL PATA HAI...

HAR EK NAZAR MEIN WOH WOH RISHTA PAAP HAI
HAR RAAH PAR WOH SIRF THOKAR KHAATA HAI...

MAIN JAANTA HOON CHAHE KUCH BHI HO
PAR SUKOON IS DIL KO USS SHAKS SE HI AATA HAI...

SAB USS RISHTE KO EK HI NAZAR SE DEKHTE HAI
KHAYALAT ACHE HO TO HAR CHEEZ ACHI LAGTI HAI
PAR KAUN YAHAN SAMAJ PAATA HAI....


ISSE WAQT KI BERAHAMI SAMJHO YA WAQT KA USOOL
WAQT KE HAATH MEIN WOH RISHTA THIK NAHI PAATA HAI...

WOH BEBASI BHI DEKHO USS INSAAN KI "KHWAISH"
MITTI KE MEHAL BANATA HAI PHIR KHUD HI GIRATA HAI....


Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2008, 09:02:23 PM »
Reply with quote
Dunia ko sambhalo ya rishta sambhal lo
Apne dil ki dekhon, na kisi ki Islam do

Paap hai ya yah hai punye, kon  jaane isse
Dil se kisi ke dil ko tum tham lo

Sakoon hai jahan, wahi ghar basana e dost
Sirf itani si baat, tum khud ko samjha lo

Jo tik na paaye wo rishta tha hi nahi chalne ke liye
Aise rishte ko tum bhi dil se bhula do
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: February 15, 2008, 09:22:43 PM »
Reply with quote
kabhi ek tarfa to kabhi dono ki baat karte ho
Such kahiu to app bahoot uljhati hui baat karte ho

Rishta jo hai ek tarfa to itani takraat kyun
Karte hi jis se payar, usse se yah deewar kayun
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 19, 2008, 07:15:01 PM »
Reply with quote
jhoothe rishte ek din bol jaate hai
kuch bhi kare, magar zaher ghol jaate hai
kab tak dikha sakte hai banawati pyar wo
ek ne ek din, apna rang per aa jaate hai!!

dil dukhta hai aor hum dekhte rah jaate hai
apni vijay per wo kis tarah muskura jaate hai
dard dena unki fidrat hai maana pooja
per kyun tere zakham us se phir bhi dard liye jaate hai...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 19, 2008, 07:43:07 PM »
Reply with quote
jaanta hoon pooja,yeh aapka reply nahi hai..par phirbhi..

aaj inn aankhon se kuch aur hi manzar dikhai deta hai
jin nazro ki taraf kabhi dekhna bhi naa chaaha
aaj ussi nazron mein sirf mujhe pyaar dikhayi deta hai...

usne kaha tha ek baar ke kuch rishte aise hote hai
jahan peeche mud kar nahi dekh sakti main,
aise mein mujhe har gham door se aur nazdeek dikhai deta hai...

aaj kisi ne,ek shaks ki baaton ko lekar mera dil tod diya
kya karta main bhi,jab  woh shaks mujhe mera apna dikhai deta hai...

jiss shaks ke liye main ladta raha jahan se
uss shaks ko iss baat ka ilm tak nahi
aise mein mujhe mera ghar bhi
majbooriyon ka ghar dikhai deta hai....

mera gham se taaluk bahut purana hai
aise mein gham se mera ek gehra rishta dikhai deta hai...





Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: February 19, 2008, 07:55:38 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoon khwaish ji!! bahoot hi acha likha hai apne!!!

In ankhon mai rahti thi muhobaat
Ajj ansuo ka sath rahta hai
Intzaar karta tha yah dil besabri se
Ajj ek ajeeb sa dar rahta hai

Chah kar bhi pyar na hua mehsoos
Ajj ek tanhaai ka ahsaas rahta hai
Dekh rahi hu tera badta hua hath
Magar phir se tere kho jaane ka dar lagt ahai

Rishto per hui bahoot baatein
Magar kaha tera mera wo rishta rahta hai
Nazdeek jitna bhi karna chaha tujhe
Tere dhoko ka utna hi dar lagta hai

Ab dil toot.ta nahi, bas murjha sa jaata hai
Zakhmo ko ab kaha, koi sadma lagta hai
Apnapan jitna bhi wo ab dikhaye
Dil ko ek ajnabi sa lagta hai

Jis per kiya be-intihan vishwaas
Ajj apne hi us vishwaas se dar lagta hai
Mere ghar mai, mera hi saya
Mujhe bahoot bebas, lachaar lagta hai

Gumo se rishta mera kaya hai yah kabhi socha nahi
Magar her ek dard mujhe, behad apna sa lagta hai!!!

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 19, 2008, 08:14:30 PM »
Reply with quote
aapse door ho jaana is dil ko kabhi manzoor nahi tha
par kya karta,mere paas koi raasta bhi nahi tha

uski woh baat ke "khwaish, jo bhi kehte ho zara soch kar kehna"
kabhi bhool na paaya main iss baat ko,chup sa ho gaya tha
uss baat ke baad in aankhon mein aur koi manzar nahi tha...

jahan soch mile wahi dil milte hai,samajne wale sab samajte hai,
aaj jaakar jaana maine...aaj bhi kisi ke dil mein
ghar banaakar rehta hai "khwaish",
main kabhi beghar nahi tha...

meri jazbaaton ki kadar aaj hoti hai uske dil mein
shukar hai khuda ka,mere jazbaat ko woh samaj paaye
main unki nazar mein kabhi pathar nahi tha....

kisi ka do kadam saath dena bhi uss shaks ke saath rahe jaisa hi tha
kaise samjhau aapko, iss soch se badhkar 'KHWAISH" ke dil mein
kabhi kuch nahi tha....




Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 19, 2008, 08:17:00 PM »
Reply with quote
kisi ka do kadam saath dena bhi uss shaks ke saath rahe jaisa hi tha
kaise samjhau aapko, iss soch se badhkar 'KHWAISH" ke dil mein
kabhi kuch nahi tha....

wah kaya baat hai.. bahoot khoob khwaish ji!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: February 19, 2008, 08:24:16 PM »
Reply with quote
raste khud hi khud hai banaye jaate
shikayto se pyar nahi hai nibhaye jaate

soch kar khane ka arth ajj kaya bataye Pooja
dil ke dard bhari mehfil mai nahi hai sunaye jaate

ankhon mai jiske ajj bhi intzaar hai ek suchi nigah ka
aise nigaho se, dil ke haal nahi hai chupaye jaate

jahan mil jaaye soch wahan raahein nahi milati
Rub ke majak, is dil ko nahi hai samjhaye jaate

Ghar mera hi hua hai mujhse anjaana
Apne hi kamre mai ab aor apne gum nahi sunaye jaate

Jazbaat bhi ajj is had tak ro chuka Pooja
Dekh aaina ab aor ansoo, nahi bahaye jaate

Pathar dil se bhi ansoo nikalte hai e dost
Aise hi jharne, paharo per nahi paaye jaate

Kisi mai bhi jitna dhoond lo usko dost
Wo khayal, wo jazbaat, nahi laaye jaate
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 09:42:18 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.284 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer