~*~ 'Khamosh' ghabraya nahin ~*~ by Rahim

by dead heart on June 14, 2011, 03:45:38 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1879 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Yeh nazm maine uss daur kay liye likhi hai jab mere paas bhi paisa ajaega..Ek kalpana samjhiyega isse.. Yeh nazm unpe apply kar jaegi jo muflisi kay daur se nikal kar amiri main aye hai..Logon ka bartav apke prati kitna badal jata hai, yeh darshane ki koshish hai meri..

Aisa shayad hi koi morr ho jab zindagi ne mujhe sataya nahin,
Bas apne ansuon ko maine sabko dikhaya nahin..

Bhool jaya karte hai log dokha dene wale ko mager main nahin,
Akhir bhoolane kay liye toh maine us’se dil lagaya nahin..

Mujhe yunhi gurur nahin apne kirdar par ae dost,
Sitam karne walon ko bhi maine rulaya nahin..

Aj do paise hai toh sab poochte hai haal mera yahan,
Muflisi kay daur main kisi ne mujhe apne paas bithaya nahin..

Log aksar kehte hai mujhe ‘doulat hai isiliye sukun main ho’,
Yeh jante nahin kay andhiyon main bhi ‘Khamosh’ ghabraya nahin..

Bewaffaon kay liye yahan aksar bas bad’duaein hi nikalti hai dil se,
Who yaad main roye meri; aisa khayal tak mere mann main aya nahin..

Mujhe muskurate dekh sabko apne ghum bade nazar ane lage,
Sahi hi hai; har raah chalte ko maine apni nazmein parraya nahin..

Aj paise ki lalach main jism bechne wale toh kayi hai meri paasm
Paisa chorr do phir bhi saath dungi tumhara main ‘Khamosh’,
Aisa kehke kisi ne apna haath mere haath main thamaya nahin..

Khuda pe be-inteha bharosa rakhta hai 'Khamosh',
Isiliye toh yaaron, andhiyon main bhi main ghabraya nahin..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Khamosh kisi ka samaan nahin~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh jazbaat ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh ehsaas ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~ 'Khamosh' saya-daar hogaya ~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: June 14, 2011, 04:05:59 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!!

Bahut bahut Khoob Mere Bhai..Apne jazbaaton ko Bahkoobi lafz Diye Hai Aapne..Bahut Khoooooob Bhai Rahim...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek Ghazal main bahut Suuna Karta Hoon..Aapki yeh nazm Padhte-Padhte Woh ghazal Zehan Mein Aa gayi..


Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Guzarte Waqt Ki hai mauj Tehar jaayegi

Yeh Chand Beete Zamaane Ka Aaena Hoga
Bhatakti Abr mein Chehra Koi Bana Hoga

Udaas Raah Koi Dastaan Sunayegi
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #2 on: June 14, 2011, 05:04:54 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI
Yeh nazm maine uss daur kay liye likhi hai jab mere paas bhi paisa ajaega..Ek kalpana samjhiyega isse.. Yeh nazm unpe apply kar jaegi jo muflisi kay daur se nikal kar amiri main aye hai..Logon ka bartav apke prati kitna badal jata hai, yeh darshane ki koshish hai meri..

Aisa shayad hi koi morr ho jab zindagi ne mujhe sataya nahin,
Bas apne ansuon ko maine sabko dikhaya nahin..

Bhool jaya karte hai log dokha dene wale ko mager main nahin,
Akhir bhoolane kay liye toh maine us’se dil lagaya nahin..

Mujhe yunhi gurur nahin apne kirdar par ae dost,
Sitam karne walon ko bhi maine rulaya nahin..

Aj do paise hai toh sab poochte hai haal mera yahan,
Muflisi kay daur main kisi ne mujhe apne paas bithaya nahin..

Log aksar kehte hai mujhe ‘doulat hai isiliye sukun main ho’,
Yeh jante nahin kay andhiyon main bhi ‘Khamosh’ ghabraya nahin..

Bewaffaon kay liye yahan aksar bas bad’duaein hi nikalti hai dil se,
Who yaad main roye meri; aisa khayal tak mere mann main aya nahin..

Mujhe muskurate dekh sabko apne ghum bade nazar ane lage,
Sahi hi hai; har raah chalte ko maine apni nazmein parraya nahin..

Aj paise ki lalach main jism bechne wale toh kayi hai meri paasm
Paisa chorr do phir bhi saath dungi tumhara main ‘Khamosh’,
Aisa kehke kisi ne apna haath mere haath main thamaya nahin..

Khuda pe be-inteha bharosa rakhta hai 'Khamosh',
Isiliye toh yaaron, andhiyon main bhi main ghabraya nahin..


~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: June 14, 2011, 06:15:17 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!!

Bahut bahut Khoob Mere Bhai..Apne jazbaaton ko Bahkoobi lafz Diye Hai Aapne..Bahut Khoooooob Bhai Rahim...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Ek Ghazal main bahut Suuna Karta Hoon..Aapki yeh nazm Padhte-Padhte Woh ghazal Zehan Mein Aa gayi..


Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi
Guzarte Waqt Ki hai mauj Tehar jaayegi

Yeh Chand Beete Zamaane Ka Aaena Hoga
Bhatakti Abr mein Chehra Koi Bana Hoga

Udaas Raah Koi Dastaan Sunayegi
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi


Teh teh dil se shukriya Khwaish dost..
Aur kya ghazal share ki hai apne..
MashAllah..ager mauka mile, toh yeh ghazal ka link bhejiyega..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 14, 2011, 06:16:08 PM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI
Teh teh dil se shukriya Manoj jee..
Khush rahiye..!
Logged
manjum
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2011, 04:49:42 AM »
Reply with quote
rahimji.... aapki nazm ka ek ek lafz, ek ek ehasas, ek ek baat, dil mai utar hui hai.... ye sab kuchh dubara jee lia aisa mahsus hua aapki nazm padte padte..... dard ki kahani umra se bhi lambi hai....

bahut bahut khub.....  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SkykiTears
Guest
«Reply #6 on: June 15, 2011, 05:28:49 AM »
Reply with quote
[Color=brown} Rahim Ji.. Bht Khoob.. Koi Lafz Nahi hai Bayaan Karne.. Aap ki Har Lafz wa Ehsaas Dil Pe Utar Jata Hai.. Mashallah Bht Khoob Likha Hai Har Baar Ki Tarah.. [/color]

-SKY-
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: June 15, 2011, 09:30:13 AM »
Reply with quote
rahimji.... aapki nazm ka ek ek lafz, ek ek ehasas, ek ek baat, dil mai utar hui hai.... ye sab kuchh dubara jee lia aisa mahsus hua aapki nazm padte padte..... dard ki kahani umra se bhi lambi hai....

bahut bahut khub.....  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Apka teh teh dil se shukriya Manju jee..
Dil see daad di apne aur dil tak ponch gayi..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: June 15, 2011, 09:36:38 AM »
Reply with quote
[Color=brown} Rahim Ji.. Bht Khoob.. Koi Lafz Nahi hai Bayaan Karne.. Aap ki Har Lafz wa Ehsaas Dil Pe Utar Jata Hai.. Mashallah Bht Khoob Likha Hai Har Baar Ki Tarah.. [/color]

-SKY-
Apka teh teh dil se shukriya Sky jee..
Bas yunhi saath dete rahiyega..
Khush rahiye..!
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #9 on: June 15, 2011, 10:16:24 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim Ji
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: June 15, 2011, 11:04:53 AM »
Reply with quote
2,3,4,5 bejod he bhaiiii...bahut bahut khooob...lakhon daaad..



he kareeb ab wo yaar mera jinse pehle naata na tha
me to badla nahi dost shayad mera 'naam' badal gaya
itni ijjat nahin thi unki nazar me jab khali haath tha
ab bhi hath me kuchh anhi dost shayad "Abhi" ka maqaam badal gaya~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: June 15, 2011, 11:14:48 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim Ji
Teh teh dil se shukriya Rajesh jee..
Khush rahiye.!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: June 15, 2011, 11:17:14 AM »
Reply with quote
2,3,4,5 bejod he bhaiiii...bahut bahut khooob...lakhon daaad..



he kareeb ab wo yaar mera jinse pehle naata na tha
me to badla nahi dost shayad mera 'naam' badal gaya
itni ijjat nahin thi unki nazar me jab khali haath tha
ab bhi hath me kuchh anhi dost shayad "Abhi" ka maqaam badal gaya~
Bahaut dinn baad nazar aye ho Abhi bhai..
Teh teh dil se shukriya..
Aur kya kehne.. "Abhi ka maqaam badal gaya"
Kya baat hai bhai..
Applause Applause
Dil se daad..
Khush rahiye..!

Uski ankhon main bhi ashkon ka silab agaya tha uss dinn Rahim,
Mehfil main kisi ne wafa ka zikr jo cherr diya tha..!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #13 on: June 15, 2011, 11:20:44 AM »
Reply with quote
Bahaut dinn baad nazar aye ho Abhi bhai..
Teh teh dil se shukriya..
Aur kya kehne.. "Abhi ka maqaam badal gaya"
Kya baat hai bhai..
Applause Applause
Dil se daad..
Khush rahiye..!

Uski ankhon main bhi ashkon ka silab agaya tha uss dinn Rahim,
Mehfil main kisi ne wafa ka zikr jo cherr diya tha..!

bahut badhiya dost...
der ke liye maafi chahta hun ...kuchh kam hi aisa he ..waqt kam hota hai...par msg chhod diya karo meri prof par...jab bhi auga ek achha kalam padhne to milega..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: June 15, 2011, 11:25:04 AM »
Reply with quote
bahut badhiya dost...
der ke liye maafi chahta hun ...kuchh kam hi aisa he ..waqt kam hota hai...par msg chhod diya karo meri prof par...jab bhi auga ek achha kalam padhne to milega..

Shukriya dost..
Apka likha pade kayi arse hogaye..ager kuch likha ho toh bilkul post kijiyega..
aur jee yeh toh mohobat hai kay ap itni importance dete hai mujhe..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:48:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer