Khud Aag Lagata Hai Apne Ghar Ko Basaakar..

by Dil Shah on August 26, 2011, 10:59:14 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1807 times)
Dil Shah
Guest
Reply with quote


Khhud Aag Lagata Hai Apne Ghar Ko Basaakar
Kya Paaoge Apni Hasti Ko Yuh Mitaakar

Muskuraoge To Yeh Duniya Saath Muskurayegi!!!
Kuch Nahi Milta Yahan Tanhai Mein Ashq Bahakaar

Jab Tak Saans Le rahe ho Yeh Duniya Yaad Rakhti Hai!!
varna,Kaun Yaad Rakhta Hai Kisi Ki Arthi Par Phool Chada Kar

Kuch Khwaishe, kuch Aarzuue Ko Dil mein Zinda Zaroor Rakhna!!!
Humne Dekha Hai,Mar Jaate Hai Log Khwaisho Ko Mann Mein Dabaakar

Jo Aaj Tere Paas Hai Woh Kal Kisi Aur ka Hoga....!!!!
Kya Hasil Hai Eh Dost Apne Hi Ghar mein Yeh Deewar Uthakar!!

Uski Bulandiyon Ko Yaad Karegi yeh Duniya,
Jo Chalta Tha Humesha Sar Apna Jhuka Kar!!!

Yahan kisi Se Kuch paane Ki umeed karna Chodd Bhi De "ajnabii"
Jo Maangna hai,Jaa Maang Sirf Uss Khuda Ke Darr Pe Jaakar.

nm
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #1 on: August 26, 2011, 11:14:50 AM »
Reply with quote
"Naa tujhe yaad karu, naa tere khwaab hi dekhu'n,
Zara soch to....... meri mushkilei'n hain kaesi "




 
Logged
sarfira
Guest
«Reply #2 on: August 27, 2011, 01:20:44 PM »
Reply with quote
nice sharing
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 29, 2011, 10:54:19 AM »
Reply with quote


Khhud Aag Lagata Hai Apne Ghar Ko Basaakar
Kya Paaoge Apni Hasti Ko Yuh Mitaakar

Muskuraoge To Yeh Duniya Saath Muskurayegi!!!
Kuch Nahi Milta Yahan Tanhai Mein Ashq Bahakaar

Jab Tak Saans Le rahe ho Yeh Duniya Yaad Rakhti Hai!!
varna,Kaun Yaad Rakhta Hai Kisi Ki Arthi Par Phool Chada Kar

Kuch Khwaishe, kuch Aarzuue Ko Dil mein Zinda Zaroor Rakhna!!!
Humne Dekha Hai,Mar Jaate Hai Log Khwaisho Ko Mann Mein Dabaakar

Jo Aaj Tere Paas Hai Woh Kal Kisi Aur ka Hoga....!!!!
Kya Hasil Hai Eh Dost Apne Hi Ghar mein Yeh Deewar Uthakar!!

Uski Bulandiyon Ko Yaad Karegi yeh Duniya,
Jo Chalta Tha Humesha Sar Apna Jhuka Kar!!!

Yahan kisi Se Kuch paane Ki umeed karna Chodd Bhi De "ajnabii"
Jo Maangna hai,Jaa Maang Sirf Uss Khuda Ke Darr Pe Jaakar.

nm

Dil Shah Ji Apni Hi Likhi Kalaam Par daad Dena Galat Hoga tongue3 Shukriya Aapne Humara Likha Share Kiya..Par Main Kya Sirf Itna Jaan Sakta Hoon Ke Aapni Yeh Kalaam Kis Site Mein padhi Thi Kyonki Likhne Wale ne yahan "Khwaish" Naam Ke takhaluuf Ko Hataakar "Ajnabi" Likh Gaya..

Jawab Zaroor Dijiyega..Shukriya
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #4 on: August 29, 2011, 11:06:24 AM »
Reply with quote
hume pata he ye apne likha he khwaishjiii. or muje ye bahut pasand he isliye mene firse post kiya or ha ye kalaam me ajnabii takhaluuf mene hi change kiya he, maaf kijyega agar apko bura laga ho to. hum naye he is commu me isliye ye word likha........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: August 29, 2011, 11:22:32 AM »
Reply with quote
hume pata he ye apne likha he khwaishjiii. or muje ye bahut pasand he isliye mene firse post kiya or ha ye kalaam me ajnabii takhaluuf mene hi change kiya he, maaf kijyega agar apko bura laga ho to. hum naye he is commu me isliye ye word likha........

Aisi Koi Baat nahi Dil Shah Ji Balki Mujhe Behad khushi Hui Hai yeh Jaankar ke aapko yeh Kalaam Itni Pasand Aayi Ke Aapne Khud Isse Share Kiya.Par Aap se sirf Ek Guzaarish hai ke kabhi kisi ki likhi kalaamo ko share karo to unka Takhaluuf Naa badlo,yeh baat sirf mere likhe kalaam ki liye Nahi hai balki har ek ke liye..Original Writers ko Woh Respect Milni Chahiye Jo Woh Deserve Karte hai..Umeed karta Hoon Aap bhi iss Baat Se Sehmat Honge..

Aapka Bahut bahut Shukriya Bhai icon_flower icon_flower
Logged
Dil Shah
Guest
«Reply #6 on: August 29, 2011, 11:26:09 AM »
Reply with quote
sukriya apka janaab apne hume maaf kiya...
age se dhyan rakhenge.....
ese hi lajawaaab kaalam likhte rahe jiii.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 46 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 29, 2011, 12:47:35 PM »
Reply with quote
sukriya apka janaab apne hume maaf kiya...
age se dhyan rakhenge.....
ese hi lajawaaab kaalam likhte rahe jiii.

Ji Shukriya..Aurt Aap Bhi Yuhi Humein Apna Waqt Dete Rahiyega icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:34:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer