Khud Ko Chhal Rahe Ho Tum

by riyaz106 on April 30, 2010, 03:00:55 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2860 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: May 01, 2010, 01:28:52 PM »
Reply with quote
Kapil ji pasand farmane ke liye aapka hardik dhanyawaad.
bahut khoobsurat Ghazal likhi hai aapne Riyaz ji aur last ki do lines mujhe best lage... bahut khoob likha hai aapne...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khud Se Chhupa Chhupi Khel Rahe Hain by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
KHUD KO KHUD SE JUDA KARTI CHALI GAI by deepika_divya in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
haal chhal by daljeet jeet in Love Poetry in Punjabi
Khud k liye saza mangte rahe... by brokenbyluv in SMS , mobile & JOKES « 1 2  All »
khud ko hasa rahe hain by nirala in Miscellaneous Shayri
riyaz106
Guest
«Reply #16 on: May 01, 2010, 06:25:32 PM »
Reply with quote
Madhu didi aapka dil se shukriya ke aapne ghazal ko pasand kiya aur hausla afzaai bhi ki. Karam, nawazish.
Wah wah Riyaz bhai ek ek shabd mein sachai nazar aa rahi hai.too good great creation.Suresh ji aapne bhi bahut khoob likha hai Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: May 02, 2010, 02:33:07 AM »
Reply with quote
Tahe dil se bahot bahot shukria Talat ji. Apni masrufiyaat mein se waqt nikal kar aapne tawajjo se padha, samjha aur saraaha, ye zarranawazi hai aapki.
Mashallah bohot khoobsurat ghazal hai Riyaz Ji..aapki ghazlon main yahi khoobsurti hoti ki simple words hote hain aur gehre maayene...Bohot khoob !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #18 on: May 02, 2010, 02:41:11 AM »
Reply with quote
Waah Waah Kya khoob Kahi hai aapne Riyaaz ji.. Bahoot Sachai hai aapki ghazal mea... Bahoot Khoob!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #19 on: May 02, 2010, 11:10:14 AM »
Reply with quote
Tamanna ji aapka tahe dil se shukriya adaa karta hun. Aapne ghazal ko pasand kiya aur hausala afzaai bhi ki.
  Haqeeqat ko bahut khoobsoorti se lafzon me dhaala hai riyaz ji. Bahut achha likha hai.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: May 02, 2010, 11:39:25 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya Junaid bhai. Jitni tareef aapne ki hai us qaabil meri ye ghazal nahi hai , magar aapki zarra nawazi hai. Phir se shukriya. Khush rahiye..
wah riyaz sahab ,, kya kahene janab wah ...tareef karna suraj ko diya dikhane wali baath hai ,, bahoth qoob riyaz sahab ..kya tanz hai wah ..allah apko hamesha khush rakhe ..

duwa go

qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: May 02, 2010, 04:56:08 PM »
Reply with quote
Shihab bhai aap bhi Junaid bhai ki baton mein aa gaye. Maine aisa kahan likha ke wo misali ban jaaye. Khair ye aapki inaayat hai, karam  hai aur muhabbat hai. Apka behad shukria. Hamesha Khush Rahiye. 
Wah Wah Riyaz Bhai Kya Kehne Qadeer Bhai Ne Sahi Farmaya Ki
Tareef Karna Suraj Ko Diya Dikhane Wali Baat Hai....
Waqai Mein Ek Behatreen Peshkash Hai....
Badi Hi Khoobsurti Aur Sagdi Se Lafzon Ko Piroya Hai
Dil Baagh Baagh Ho Gaya Parhke...Aafreen Aafreen

ALLAH Pak Aapko Har Ranj o Gham Se Mehfooz Rakhe Aameen

Yun Hi Apne Pyaar Bhare Andaz Se Mehfil Ko Roshan Karte Rahiye


Khush Rahiye...


~Shihab~


Logged
riyaz106
Guest
«Reply #22 on: May 03, 2010, 04:54:30 AM »
Reply with quote
Rajesh ji aapka tahe-dil se shukriya ke aapne ghazal ko pasand kiya.
Bahut Khoob Riyaz Ji
Umda peshkash hai aap ki
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: May 03, 2010, 10:24:58 AM »
Reply with quote
Neel ji aapka behad shukriya ke aapne meri ghazal ko pasand kiya, saraaha, hausla afazaai ki aur iske meaning ko samjha. Thanks a lot.
Vry Vry GUD Riyaz ji .....

Aap ne sachai biyan ki hai ..........]
Moral of d story is "Be HAppy Alwyz & let make othr ppl happy also

Bhut acha likha hai .......
Vry vll said ..
THNXXXXXXXXXXXXxxxx
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 2 hours and 24 minutes.

always smile

Posts: 15214
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #24 on: May 03, 2010, 10:39:41 AM »
Reply with quote
GHAZAL
Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum
Ghaur se agar socho, khud ko chhal rahe ho tum
Ek haath se taali, baj saki hai kab bolo
Dosh apna bhi dekho, kyon ubal rahe ho tum
Waqt ke badalne mein, der khuchh nahi lagti
Mil gai jo kuchh daulat, kyon uchhal rahe to tum
Jaisa tumne boya tha, vaisa hi to kaata hai
Ab udaas hokar kyon, haath mal rahe ho tum
Ab to bas ye nishchit hai, tum bhatak hi jaaoge
jaante nahi rasta, aur chal rahe ho tum
Jisne jag rachaa saara, yaad usko bhi rakhna
Uski mehrbani se hi to pal rahe ho tum

Riyaz Ashna


badhiya likha hai Riyaz ji ... bahut hi umda poem hai
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #25 on: May 03, 2010, 11:03:07 AM »
Reply with quote
Sonia ji aapka tah-e-dil se bahot bahot shukriya ke aapne meri lines ko pasand kiya.
Nice lines Riyaz jee Usual Smile
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #26 on: May 03, 2010, 03:05:14 PM »
Reply with quote
Bahaut bahut shukriya Cara ji. Aapne bahot achhi lines likhi hain.
Wah kya baat hai          Riyaz106 ji.....

dekh usko aasmaa chutey
tu kyun jal raha hai
gar tujhko bhi chuna hai aasman
to kyun nahi chal raha hai.....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: May 04, 2010, 07:36:17 AM »
Reply with quote
Sophi ji aapka tah-e-dil se dher saara shukriya ghazal ko pasand farmane ke liye. Lekin aap hain kahan. Kabhi kabhi thodi der ko aapka aana hota hai jaise koi jhaank kar chala gaya ho. Phir se shukriya.
Waah Waah Kya khoob Kahi hai aapne Riyaaz ji.. Bahoot Sachai hai aapki ghazal mea... Bahoot Khoob!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: May 04, 2010, 12:54:36 PM »
Reply with quote
Samnoj ji aapka tahe dil se bahot bahot shukriya ke aapne ghazal pasand ki aur hausla afazzai ki.
badhiya likha hai Riyaz ji ... bahut hi umda poem hai
Logged
aaina
Guest
«Reply #29 on: May 04, 2010, 09:33:23 PM »
Reply with quote
GHAZAL
Auron ki khushi se kyon, aise jal rahe ho tum
Ghaur se agar socho, khud ko chhal rahe ho tum
Ek haath se taali, baj saki hai kab bolo
Dosh apna bhi dekho, kyon ubal rahe ho tum
Waqt ke badalne mein, der khuchh nahi lagti
Mil gai jo kuchh daulat, kyon uchhal rahe to tum
Jaisa tumne boya tha, vaisa hi to kaata hai
Ab udaas hokar kyon, haath mal rahe ho tum
Ab to bas ye nishchit hai, tum bhatak hi jaaoge
jaante nahi rasta, aur chal rahe ho tum
Jisne jag rachaa saara, yaad usko bhi rakhna
Uski mehrbani se hi to pal rahe ho tum

Riyaz Ashna


Riyaz sahab achi takleeq par daad hazir hai qubool keejiye


aslam
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 07:42:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer