Very well answered! acha likha gaya and for those light moments that we all need in this fastest life...
I thought to share something I tried, correct wherever u like, bahut gahaltiyaan hongi, phir bhi chotti si kosish...
yeh dharti hay un shayaron kee,
jahan sab ke sab deewanay hain
kuch jeevan jaach say dukhi huye,
kuch iski chaalon say sayaanay hain
in sab ke beech mein ik vb hain,
jin ko log na jaanein hain
haan! inki nazmon say lagta hay
ke kuch kuch jaanay pehchanay hain
gar insaan kee banayee haddon ko
ik saar karein tu lagta hay
shayarana see in baton mein
sab chall hain, sab bahanay hain
oh! ham arz karein kuch inkay liye
jis soorat kee yeh baat karein
woh kalpanic butt see moorat ke
ab na kuch bhi naam karein
ik kosish aur karna zara
kehna unhein sab maya hay

saat samandar ke paar kahan
kab koi zinda wapis aya hay
har naQsh us saanwlay chehray ka
kuch bayaan karay yeh yaQeen tu nahin
har shaks say usko chah ho koi
itni ameer woh zameen bhi nahin
isi aik wajah ko thaan
pataal mein ghar bana liya usnay
samandar kee rangeen basti mein gum
ik seep mein panah lee usnay
ab yeh thee baat us duniyan kee
jismein jana zara mushkil hay
kehna unsay ab hosh karein
kuch aur nahin wahan daldal hay
in masoom chehron pe na jayein
kuch tu ab wo hoshe karein
reh gaye chand saal jo jeevan ke
grehasthi mein parvesh kahein
yeh jeevan ka khel hi aisa hay
jisko koi samajh na paya hay
kissay kaho ya nazmein inhein
sab ki sab hee maya hay ...
