Kyu Hu Mai Paraayi Maa......

by Nikhaar on September 28, 2010, 04:17:25 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 14622 times)
Nikhaar
Guest
Reply with quote
Sab kehte hai beti paraayi hoti hai.....lekin beti kaise paraayi ho sakti hai....
sirf isliye qunki usse dusre ghar jaana hota hai....lekin hoti toh wo maa ki apni hi hai....sahi mayno mein parayi woh tab hoti hai jab usse ye mehsoos hone lage k wo paraayi ho chuki hai......aise hi khuch zazbaaton ko lekar khuch likhne ki koshish ki hai.....aap sab k vichaaron ka intzaar rahega....chahugi k aap sab iss baarein mein apni rai zarur de.......

Na maana tha ab tak k mai paraayi hu maa
Tera hi toh saaya hu mai, teri hi parchhaayi hu Maa

Nanhe nanhe kadam mere jab bhi ladkhadaaye hai
Teri ungli thaam hi toh aage chal paayi hu Maa

Pyaar mila jo mujhe teri mamta ki chhav mein
Uske hi toh har pal mai muskurayi hu Maa

Kar k kanya-daan, jis pal vidaa kiya tune mujhe
Tera hi aashish le apni nayi duniya mein aayi hu Maa

Phir aaj kyu hua khuch aisa,
k khud ko mehsoos kar rahi hu paraayi mai Maa
Kyu aaj aansu mere tum dekh na paayi Maa

Kyu aaj fark tum bete-beti mein kar gayi Maa
Aaj kaise apni beti ko paraya tum kar gayi Maa

Gar tum mujhe samjhati toh kya mai na samajh paati Maa
Kyu apni beti ko paraya tum kar gayi Maa..... tearyeyed
 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #1 on: September 28, 2010, 05:04:45 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne pooja ji... apne dil ke ek aise dard ko aapne apni rachna me pesh kiya hai jo aksar kai ladkiyon ke dil me aa jaata hai.. par ye sach nahi hai... aisa namumkin hai ki maa apne bachchon se pyaar na kare.. beta ho ya beti maa k liye dono samaan hai... aisa aapko shayad isliye mehsoos ho raha hoga q ki aap unse abhi bahut duur reh rahi hai... par unke dil me hameshaa aapki hi baatein rehti hongi.. har pal har ghadi wo aapko yaad karti honge... maa ke liye bachche hi unki khushi hote hain.. aisa kaise ho sakta hai ki wo apne khushi se pyaar na kare.... wo bahut yaad karti hongi aapko...

bhooli nahi hai ek pal ke liye tujhe,
tujhe aaj bhi yaad karti hai teri maa,

bahut dur usse duje ghar me hai tu aaj,
tere deedaar to tarasti hai teri maa,

paraaya nahi samajhti hai wo tujhe,
tere liye bahut tadapti hai teri maa,

kyun bhool jaati hai tu uske pyaar ko,
tere liye hi to jeeti aayi hai teri maa,

kyun tere dil me jaane ye khayaal aaya,
ki tujhse pyaar nahi karti hai teri maa...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #2 on: September 28, 2010, 05:34:42 PM »

ek komal ehsaas ko bht hi khubsurat andaaz me pesh kiya hai aapne pooja ji......dil me bht gehre utar gaye aapke shabd aur feelings....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: September 28, 2010, 05:37:18 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne pooja ji... apne dil ke ek aise dard ko aapne apni rachna me pesh kiya hai jo aksar kai ladkiyon ke dil me aa jaata hai.. par ye sach nahi hai... aisa namumkin hai ki maa apne bachchon se pyaar na kare.. beta ho ya beti maa k liye dono samaan hai... aisa aapko shayad isliye mehsoos ho raha hoga q ki aap unse abhi bahut duur reh rahi hai... par unke dil me hameshaa aapki hi baatein rehti hongi.. har pal har ghadi wo aapko yaad karti honge... maa ke liye bachche hi unki khushi hote hain.. aisa kaise ho sakta hai ki wo apne khushi se pyaar na kare.... wo bahut yaad karti hongi aapko...

bhooli nahi hai ek pal ke liye tujhe,
tujhe aaj bhi yaad karti hai teri maa,

bahut dur usse duje ghar me hai tu aaj,
tere deedaar to tarasti hai teri maa,

paraaya nahi samajhti hai wo tujhe,
tere liye bahut tadapti hai teri maa,

kyun bhool jaati hai tu uske pyaar ko,
tere liye hi to jeeti aayi hai teri maa,

kyun tere dil me jaane ye khayaal aaya,
ki tujhse pyaar nahi karti hai teri maa...

beautiful reply Hriday ji...bht hi achcha likha hai aapne ek maa k dard ko....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #4 on: September 28, 2010, 05:42:37 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji...!!!

beautiful reply Hriday ji...bht hi achcha likha hai aapne ek maa k dard ko....

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #5 on: September 29, 2010, 01:55:16 PM »
Reply with quote
Sab kehte hai beti paraayi hoti hai.....lekin beti kaise paraayi ho sakti hai....
sirf isliye qunki usse dusre ghar jaana hota hai....lekin hoti toh wo maa ki apni hi hai....sahi mayno mein parayi woh tab hoti hai jab usse ye mehsoos hone lage k wo paraayi ho chuki hai......aise hi khuch zazbaaton ko lekar khuch likhne ki koshish ki hai.....aap sab k vichaaron ka intzaar rahega....chahugi k aap sab iss baarein mein apni rai zarur de.......

Na maana tha ab tak k mai paraayi hu maa
Tera hi toh saaya hu mai, teri hi parchhaayi hu Maa

Nanhe nanhe kadam mere jab bhi ladkhadaaye hai
Teri ungli thaam hi toh aage chal paayi hu Maa

Pyaar mila jo mujhe teri mamta ki chhav mein
Uske hi toh har pal mai muskurayi hu Maa

Kar k kanya-daan, jis pal vidaa kiya tune mujhe
Tera hi aashish le apni nayi duniya mein aayi hu Maa

Phir aaj kyu hua khuch aisa,
k khud ko mehsoos kar rahi hu paraayi mai Maa
Kyu aaj aansu mere tum dekh na paayi Maa

Kyu aaj fark tum bete-beti mein kar gayi Maa
Aaj kaise apni beti ko paraya tum kar gayi Maa

Gar tum mujhe samjhati toh kya mai na samajh paati Maa
Kyu apni beti ko paraya tum kar gayi Maa..... tearyeyed
 
Pooja..bahut Hi sahej Tareeke se Aapne Iss Topic par Apne Dil ki baatein ki hai..Ek Maa Aur ek Beti ka Rishta Hi kuch Aisa Hai Ke Beti Jab Badi hoti hai Woh Dost ban Jaati hai..Aaj Bhi Apne didi Ko Mama Ko gahnte Phone par Baat karte dekhta Hoon jaise Koi do Dost Baat kar rahe Hai..Aur Pooja Jahan tak main jaanta Hoon vida Hote Waqt har Beti ko yeh Mehssos zaroor hota Hai ke Woh Apno Se Bichad kar Naye Log,naye Maahol mein Jaa Rahi hai..Par Sache dil Se Kehta Hoon Pooja, Ek Maa Ke Liye Beti kabhi parai Nahi Ho Sakti..

Agar Aapki Izzazat Ho To Kuch Maa Ke dil Ki Baatein kavita Ke zariye Kehna Chaahunga..Par ABhi ke Liye..Bahut Khoobsurat Jazbaat Ek beti ke.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
cara
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2010, 02:13:11 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI        NIKHAAR JI......

KYUN HUI MAI PARAAYI MAA..?
KYUN HUI MERI VIDAI MAA
SHYAD AB NAHI SAMAJH PAAUNGI MAA
JAB BANUGI KHUD MAI MAA
JAB APNI JIGAR KO KARUNGI MAI VIDA MAA
TAB MAI SAMAJH PAAUNGI MAA
"KYUN HUI MAI PARAAYI MAA"....
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2010, 03:34:45 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne pooja ji... apne dil ke ek aise dard ko aapne apni rachna me pesh kiya hai jo aksar kai ladkiyon ke dil me aa jaata hai.. par ye sach nahi hai... aisa namumkin hai ki maa apne bachchon se pyaar na kare.. beta ho ya beti maa k liye dono samaan hai... aisa aapko shayad isliye mehsoos ho raha hoga q ki aap unse abhi bahut duur reh rahi hai... par unke dil me hameshaa aapki hi baatein rehti hongi.. har pal har ghadi wo aapko yaad karti honge... maa ke liye bachche hi unki khushi hote hain.. aisa kaise ho sakta hai ki wo apne khushi se pyaar na kare.... wo bahut yaad karti hongi aapko...

bhooli nahi hai ek pal ke liye tujhe,
tujhe aaj bhi yaad karti hai teri maa,

bahut dur usse duje ghar me hai tu aaj,
tere deedaar to tarasti hai teri maa,

paraaya nahi samajhti hai wo tujhe,
tere liye bahut tadapti hai teri maa,

kyun bhool jaati hai tu uske pyaar ko,
tere liye hi to jeeti aayi hai teri maa,

kyun tere dil me jaane ye khayaal aaya,
ki tujhse pyaar nahi karti hai teri maa...

Teh dil se shukriya Hriday ji....bahut hi accha lga aapke vichaar padhkar...aur khoob pehchana aapne iss dard ko....vidaayi ka dard toh mai abhi jaanti nahi qunki abhi meri shaadi nahi hui......ye dard toh mere ek apne ka hai jisse maine lafjon ka roop diya hai....qunki khuch baatein mai bhi nahi samajh pa rahi hu.....bahut pyara reply dekar mujhe samjhaya hai aapne....bas kabhi kabhi choti choti baatein bhi bada asar dikhati hai.....bahut bahut shukriya aapka Hriday ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #8 on: September 29, 2010, 04:40:41 PM »
Reply with quote
U are welcome Pooja ji...!!!

Teh dil se shukriya Hriday ji....bahut hi accha lga aapke vichaar padhkar...aur khoob pehchana aapne iss dard ko....vidaayi ka dard toh mai abhi jaanti nahi qunki abhi meri shaadi nahi hui......ye dard toh mere ek apne ka hai jisse maine lafjon ka roop diya hai....qunki khuch baatein mai bhi nahi samajh pa rahi hu.....bahut pyara reply dekar mujhe samjhaya hai aapne....bas kabhi kabhi choti choti baatein bhi bada asar dikhati hai.....bahut bahut shukriya aapka Hriday ji

Logged
poppoetry
Guest
«Reply #9 on: September 29, 2010, 04:54:34 PM »
Reply with quote
Pooja..bahut Hi sahej Tareeke se Aapne Iss Topic par Apne Dil ki baatein ki hai..Ek Maa Aur ek Beti ka Rishta Hi kuch Aisa Hai Ke Beti Jab Badi hoti hai Woh Dost ban Jaati hai..Aaj Bhi Apne didi Ko Mama Ko gahnte Phone par Baat karte dekhta Hoon jaise Koi do Dost Baat kar rahe Hai..Aur Pooja Jahan tak main jaanta Hoon vida Hote Waqt har Beti ko yeh Mehssos zaroor hota Hai ke Woh Apno Se Bichad kar Naye Log,naye Maahol mein Jaa Rahi hai..Par Sache dil Se Kehta Hoon Pooja, Ek Maa Ke Liye Beti kabhi parai Nahi Ho Sakti..

Agar Aapki Izzazat Ho To Kuch Maa Ke dil Ki Baatein kavita Ke zariye Kehna Chaahunga..Par ABhi ke Liye..Bahut Khoobsurat Jazbaat Ek beti ke.

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Sahi kha aapne khwaish ji...beti kabhi praayi nahi hoti....bas yahi swaal mere man mein hai k beti ko uss waqt kya karna chahiye jab wo khud ko praaya mehsos karne lage.....aapki kavita ka intzaar rahega iss aasha k saath ki aap iss sawal ke jwaab ka zikr jarur karenge apni kavita mein.......shukriya
Logged
Gargi Mishra
Guest
«Reply #10 on: September 30, 2010, 03:43:22 PM »
Reply with quote
 :clap:is tarha se mere har gunah ko dho deti hai,maa gusse mai hoti hai toh roo deti hai....... wah kya khub likha hai apne,maa beti ka rishta hota hi aisa Applause Applause
Logged
Anwar Bawany
Guest
«Reply #11 on: October 13, 2010, 04:58:58 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob likha hai aapne pooja ji... apne dil ke ek aise dard ko aapne apni rachna me pesh kiya hai jo aksar kai ladkiyon ke dil me aa jaata hai.. par ye sach nahi hai... aisa namumkin hai ki maa apne bachchon se pyaar na kare.. beta ho ya beti maa k liye dono samaan hai... aisa aapko shayad isliye mehsoos ho raha hoga q ki aap unse abhi bahut duur reh rahi hai... par unke dil me hameshaa aapki hi baatein rehti hongi.. har pal har ghadi wo aapko yaad karti honge... maa ke liye bachche hi unki khushi hote hain.. aisa kaise ho sakta hai ki wo apne khushi se pyaar na kare.... wo bahut yaad karti hongi aapko...

bhooli nahi hai ek pal ke liye tujhe,
tujhe aaj bhi yaad karti hai teri maa,

bahut dur usse duje ghar me hai tu aaj,
tere deedaar to tarasti hai teri maa,

paraaya nahi samajhti hai wo tujhe,
tere liye bahut tadapti hai teri maa,

kyun bhool jaati hai tu uske pyaar ko,
tere liye hi to jeeti aayi hai teri maa,

kyun tere dil me jaane ye khayaal aaya,
ki tujhse pyaar nahi karti hai teri maa...
Bahut bahut khoob likha hai aapne pooja ji... apne dil ke ek aise dard ko aapne apni rachna me pesh kiya hai jo aksar kai ladkiyon ke dil me aa jaata hai.. par ye sach nahi hai... aisa namumkin hai ki maa apne bachchon se pyaar na kare.. beta ho ya beti maa k liye dono samaan hai... aisa aapko shayad isliye mehsoos ho raha hoga q ki aap unse abhi bahut duur reh rahi hai... par unke dil me hameshaa aapki hi baatein rehti hongi.. har pal har ghadi wo aapko yaad karti honge... maa ke liye bachche hi unki khushi hote hain.. aisa kaise ho sakta hai ki wo apne khushi se pyaar na kare.... wo bahut yaad karti hongi aapko...

bhooli nahi hai ek pal ke liye tujhe,
tujhe aaj bhi yaad karti hai teri maa,

bahut dur usse duje ghar me hai tu aaj,
tere deedaar to tarasti hai teri maa,

paraaya nahi samajhti hai wo tujhe,
tere liye bahut tadapti hai teri maa,

kyun bhool jaati hai tu uske pyaar ko,
tere liye hi to jeeti aayi hai teri maa,

kyun tere dil me jaane ye khayaal aaya,
ki tujhse pyaar nahi karti hai teri maa...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 12:33:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer