MAIN MUSAFIR HUN

by drpandey on April 24, 2010, 07:55:45 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3514 times)
vb
Guest
«Reply #15 on: April 26, 2010, 10:11:43 AM »
Reply with quote
buhat he achay...
khush rahiyay
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
....~~Musafir~~.... by HumTum in Shayri-E-Dard
>>>MuSaFir<<< by badnaam_shayar in Shayri-E-Dard
!!~~!! Ek Musafir!!~~!! by waheed_rose2004 in Miscellaneous Shayri
!!~~!! Ek Musafir!!~~!! by waheed_rose2004 in Miscellaneous Shayri
Do Pal Ka Musafir Main by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
riyaz106
Guest
«Reply #16 on: April 26, 2010, 12:59:34 PM »
Reply with quote
Waaaah Pandey ek nai qism ki ghazal nazar nawaaz hui. Padhne mein rawangi ka jawaab nahi. Takhayyulaat ki oonchi parwaz dekhte hi banti hai. Shandaar ghazal hai ye aapki. Marhaba.
                  GHAZAL
Main musafir hun sadaa sunke thahar Jaunga !
Raah roko na meri ruk ke bikhar Jaunga !
Kaun manzil hai kidhar kaisa thikana apna,
Waqt lejaye jahan bas main udhar Jaunga !
Hausley mere bhi toofaN se kisi kam to nahiN,
Aatishe-dariya mein bhi hanske utar Jaunga !
Tum bhi Aajao agar saath nibhana chaaho,
Hai akele ka safar jaaney kidhar Jaunga !
Kisko dikhlaun 'Adab' paanv ke chhaley apne,
Khud hi sahla ke sare-raah gujar Jaunga !


Dr HP Pandey


Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #17 on: April 26, 2010, 01:14:55 PM »
Reply with quote
wah pandey sahab kya kahene .. apki to baath hi khuch aur hai sahab .. 2nd ashar poori ghazal pe bhari hai .. bahoth qoob dad qubool kijiye ..


duwago

qadeertoopchi
Logged
drpandey
Guest
«Reply #18 on: April 26, 2010, 06:04:53 PM »
Reply with quote
buhat he achay...
khush rahiyay
My dear Guest (VB), Inayat aur hausla afzai ka shukriya...
Logged
drpandey
Guest
«Reply #19 on: April 26, 2010, 06:11:32 PM »
Reply with quote
wah pandey sahab kya kahene .. apki to baath hi khuch aur hai sahab .. 2nd ashar poori ghazal pe bhari hai .. bahoth qoob dad qubool kijiye ..
duwago
qadeertoopchi
Mere Dost Qqdeer Bhai, aapki nawazish aur hausla afzai ka behad shukriya.. aapki duwaon ka hamesha muntzir rahunga..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #20 on: April 26, 2010, 07:29:09 PM »
Reply with quote
Waaaah Pandey ek nai qism ki ghazal nazar nawaaz hui. Padhne mein rawangi ka jawaab nahi. Takhayyulaat ki oonchi parwaz dekhte hi banti hai. Shandaar ghazal hai ye aapki. Marhaba.
Riyaz Sahab adaab arz hai, aapki duwaon aur nawazishon ke liye aapka tahe-dil se shukrguzar hun...
Logged
drpandey
Guest
«Reply #21 on: April 26, 2010, 07:43:22 PM »
Reply with quote
Bhai Pandey Ji Aadab
Sabse Pahle To Mafi Chaunga Derri Ke Liye
Aur Umeed Karta Hun Aap Khariyat Se Honge...?
Aur Har Baar Ki Tarah Is Baar Bhi Hume Aapka
Ik Naya Andaz Dekhne Ko Mil Hai....
Bahut Hi Khoobsurat Ghazal Mehfil Ko Ata Ki Hai Aapne
Bahut Kuch Dekhne Ko Mila Aapki Is Peshkash Mein...
Bahut Hi Umda....Mubaraq Ho
Dad Hazir Hai Kabul Farmayen...!!!

Yun Hi Mehfil Ki Raunaq Afzaii Karte Rahiye...


Khush Rahiye...

~Shihab~

Shihab Bhai Aadab, mafi maang kar aap sharminda kyun kar rahe hai..doston ke darmyan ye lafz achha nahin lagta..!! Main khariyat se hun aur aapki khariyat ke liye Allah se duwa karta hun. Aapki himmat afzai se hamara hausla badhta hai..inayat aur nawazish ka bahot bahot Shukriya..Allah aapko khush rakhe..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #22 on: April 26, 2010, 08:11:54 PM »
Reply with quote
hmhm
Aagey Se Dhyan Rakhunga Pandey Bhai Ji Ki
In Lafzon Ka Dubara Istimal Na Ho...

Bahut Bahut Shukariya Dua,on Ke Liye...


Khush Rahiye...


~Shihab~

Shihab bhai main dosti ko ibadat aur insaan ke liye Khuda ka naayab tohfa manta hun..

Hamesha Khush Rahiye...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #23 on: April 28, 2010, 10:01:24 AM »
Reply with quote
bahut khoob pandey ji. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
drpandey
Guest
«Reply #24 on: April 29, 2010, 07:55:36 AM »
Reply with quote
Pandey Bhai Tohfe Wali Baat Bahut Sahi Farmayi Aapne
Par Ibdat Wali Baat Se Main Sehmat Nahi Hoon Kyun Ki
Meri Ibadat Sirf Khuda Hi Ke Liye Hai....

Khair

Khush Rahiye...


~Shihab~

Khuda ka har tohfa qabile-ibadat hai Shihab bhai..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #25 on: April 29, 2010, 07:57:11 AM »
Reply with quote
bahut khoob pandey ji. icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Bahut bahut Shukriya Suresh bhai..
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #26 on: April 27, 2013, 01:45:23 PM »
Reply with quote
Nice
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 12:49:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.345 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer