----- /// Meri Zindagi /// -----

by klaskar on August 16, 2010, 06:11:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1099 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
Reply with quote
tumhaari baaton se jaane kyun mujhe kuch yaad aa gaya,
likhte likhte kisi wajaah se main aaj ruk sa gaya,

bhulaake bhi shayad ab tak na bhula paaya hoon main tumhe,
kisi apne se baat karte waqt dil me tumhaara khayaal aa gaya,

ek waqt tha jab har baat se , har cheez se tum judi thi,
jaane kahaan ab kho gayi ho tum is duniya ki bheed me,
jaane kyun ab mere liye ye waqt kuch tham sa gaya,

baatein karo doston se to jaise baaton me aaj bhi tum ho,
ho nahi kareeb tum mere par mere dil me aaj bhi tum hi ho,
kyun neend khulne se pehle mera har sapna tut sa gaya,

wo baatein, wo mulaqaatein aaj bhi yaad aa jaati hain,
tumhaari har ek baat aaj jaane kyun mujhe tadpaati hai,
ab to aisa lagta hai is zindagi se main thak sa gaya,

haan main is sukhi veeran zindagi se pak sa gaya hoon,
apne hi tanhaayiyon ke ghere me main fas sa gaya hoon...

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Meri Zindagi** by yasir_sensitive in Shairi - E - Zindagi
~*~Meri zindagi~*~ by Muneeb2Good in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
MeRi ZinDaGi Hai Woh by asgher in Shairi - E - Zindagi
Meri Zindagi by Alam Qazi in Shairy-E-Watan
Meri Zindagi Hai Tu,.. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #1 on: August 16, 2010, 06:50:42 PM »
Reply with quote
bht khub likha hai kapil ji aapne ye zindagi kki kahani.....
kuch kehna hai par hume bhi...

thak kar zindagi se jo tum yun baith jaoge
batao bhala kiss tarah tum manzil ko apni paoge

kho gaya hai ek sathi kahin agar bich safar me
hath to badhao tum har ek kadam pe saathi kai paoge

dard k maare to hain yahan aur bhi bht se dil dost
bas lagate jao unke dil pe marhum tum unke ho jaoge

kuch to hai teri iss kahani me jojalta hai kahin
isi kahani se dekhna ek din roshan jahaan tum kar jaoge...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #2 on: August 17, 2010, 06:15:19 AM »
Reply with quote
shukriya Kasak ji... bas kuch yaadein taazi ho gayi aur main likhta chala gaya... aapka jawaab bahut hi pyaara hai aur bahut encouraging hai... yahi hota haui dosti ka matlab... sambhalna aur sambhaalna ek dusre ko... shukriya is khoobsurat jawaab ke liye...

kuch anjaana sa rishta tha mera tumse,
aaj bhi mujhe wo rishta yaad aata hai,
aaine me khudko dekhna chaahun to,
aaj bhi tumhaara chehra nazar aata hai,

waqt paani ki tarha behta chala gaya,
aur us bahaaw me main bhi beh gaya,
chhoot gaya mujhse tumhaara saath o saathi,
bas tumhaare yaadon ka sahaara reh gaya,

baarish me bheegta hoon ye sochke main,
ki dil se tumhaari yaadein dhul jaayengi,
na mit paaya ek bhi daag tumhaari yaadon ka,
shayaad ye umra bhar hi saath reh jaayengi,

kami nahi hai zindagi me mere doston ki,
kami to bas tumhaari hai mere jaana,
doston se badhke tumhe chaaha tha maine,
tumhi ko tha maine apni zindagi maana,

safar me zindagi ke chhod gaye tum mera haath,
jab chaaha tha maine tumse janam janam ka saath,
na sambhal paaya hoon ab tak main us chot se,
bas chaahta hoon tumhaare sang ek aur mulaaqaat...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: August 17, 2010, 07:04:46 AM »

 laughing4 laughing4 Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause Applause Applause Applause

bht khubsurat jawab klaskar ji......
aur kanha ji chahenge to aapki ye dua bhi kubul hogi.....
ye poem bhi sahej li maine....its very touching....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #4 on: August 17, 2010, 07:24:40 AM »
Reply with quote
Shukriya Kasak ji...

jaane kyun aap mere dard ko apna samajh lete hain,
mere har geet ko aap apne dil se lagaa lete hain,
ye to kuch yaadein hain jo mujhse judi hui hain,
jaane kyun in yaadon ko aap apna maan lete hain,

likhte hain hum taaki apna dard kam kar sake,
aap unko padhke bas bedard ker dete hain,
aapki taarif ke baare me aur hum kya kahen,
har taarif pe aapke hum bas muskura lete hain...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: August 17, 2010, 07:40:23 AM »
Reply with quote
Khoob-surat ehsaas....aap dono k's ke.... Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
ab teesri k kya kahe....koyal tou
Ganaa jaanti hai likhna nahi so....pesh hai ye gana khas-kar.....

Kalakaarji k liye.....jo Kasak-di k reply ki bhaavna wyakt karta hai...

chhod de sari duniya kisi ke liye
yeh munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

tann se tann ka milan ho na paaya to kya
mann se mann ka milan koi kam to nahin (2)
khushboo aati rahe door hi se sahi
saamne ho chaman koi kam to nahin (2)
chand milta nahin sabko sansaar mein
hai diya hi bahut roshni ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin (2)
ek duniya ujad hi gayi hai to kya
doosra tum jahan kyun basaate nahin
dil ne chaahe bhi to saath sansaar ke
chalna padta hai sab ki khushi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #6 on: August 17, 2010, 07:44:56 AM »
Reply with quote
Shukriya Kasak ji...

jaane kyun aap mere dard ko apna samajh lete hain,
mere har geet ko aap apne dil se lagaa lete hain,
ye to kuch yaadein hain jo mujhse judi hui hain,
jaane kyun in yaadon ko aap apna maan lete hain,

likhte hain hum taaki apna dard kam kar sake,
aap unko padhke bas bedard ker dete hain,
aapki taarif ke baare me aur hum kya kahen,
har taarif pe aapke hum bas muskura lete hain...

klaskar ji.....iska jawab aapko hum apni next post me denge.....
waise ye sunke mujhe bht achcha laga k bhale hi ek pal k liye main aapke chehre pe muskan to la pai...

agar main kisiko ek smile de sakun mere liye isse badi baat koi nahin.....

thnx for smiling ji....and keep smiling......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: August 17, 2010, 07:46:19 AM »
Reply with quote
Khoob-surat ehsaas....aap dono k's ke.... Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
ab teesri k kya kahe....koyal tou
Ganaa jaanti hai likhna nahi so....pesh hai ye gana khas-kar.....

Kalakaarji k liye.....

chhod de sari duniya kisi ke liye
yeh munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

tann se tann ka milan ho na paaya to kya
mann se mann ka milan koi kam to nahin (2)
khushboo aati rahe door hi se sahi
saamne ho chaman koi kam to nahin (2)
chand milta nahin sabko sansaar mein
hai diya hi bahut roshni ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin (2)
ek duniya ujad hi gayi hai to kya
doosra tum jahan kyun basaate nahin
dil ne chaahe bhi to saath sansaar ke
chalna padta hai sab ki khushi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

gudiiya rani mera song kahan hai...sab kalakaar ko hi dedicate karogi to mera kya hoga ..hmmm?
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #8 on: August 17, 2010, 07:51:00 AM »
Reply with quote
shukriya koyal ji... main aapka dil se shukriya adaa karta hoon... aur aapke gane ke liye bahut bahut shukriya...

waise ye baat aapki galat hai ki ye Koyal sirf gaana jaanti hai... humein jahaan tak maloom hai hamari Koyal ji gaati bhi bahut achcha hain aur likhti bhi bahut hi khoob hain... aapke posts padhta hoon main aur bahut achcha likhti hain aap... yunhi likhte rahiye... !!!

Khoob-surat ehsaas....aap dono k's ke.... Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley
ab teesri k kya kahe....koyal tou
Ganaa jaanti hai likhna nahi so....pesh hai ye gana khas-kar.....

Kalakaarji k liye.....

chhod de sari duniya kisi ke liye
yeh munaasib nahin aadmi ke liye
pyaar se bhi zaroori kayi kam hain
pyaar sab kuchh nahin zindagi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

tann se tann ka milan ho na paaya to kya
mann se mann ka milan koi kam to nahin (2)
khushboo aati rahe door hi se sahi
saamne ho chaman koi kam to nahin (2)
chand milta nahin sabko sansaar mein
hai diya hi bahut roshni ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

kitni hasrat se takti hain kaliyan tumhe
kyun bahaaron ko phir se bulaate nahin (2)
ek duniya ujad hi gayi hai to kya
doosra tum jahan kyun basaate nahin
dil ne chaahe bhi to saath sansaar ke
chalna padta hai sab ki khushi ke liye
chhod de sari duniya kisi ke liye

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: August 17, 2010, 07:53:03 AM »
Reply with quote
aapke agle post ka humein besabri se intezaar rahega Kasak ji... thanks a lot for being a reason for me to smile...!!!

klaskar ji.....iska jawab aapko hum apni next post me denge.....
waise ye sunke mujhe bht achcha laga k bhale hi ek pal k liye main aapke chehre pe muskan to la pai...

agar main kisiko ek smile de sakun mere liye isse badi baat koi nahin.....

thnx for smiling ji....and keep smiling......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2010, 09:58:24 AM »
Reply with quote
 Anamika di...bhaav aapke hi hain....Shabd lyrics writer k me ga rahi hoon...on your behalf.... icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
gudiiya rani mera song kahan hai...sab kalakaar ko hi dedicate karogi to mera kya hoga ..hmmm?
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2010, 12:44:20 PM »
Reply with quote

  Very Nice thought Kapil ji. Keep it up. Aur Kasak ji aapne bhi bahut achha saath diya hai. N koyal dear nice song. Aap sab yun hi achha achha likhte rahein.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #12 on: August 17, 2010, 01:21:43 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Tamanna ji...!!!

  Very Nice thought Kapil ji. Keep it up. Aur Kasak ji aapne bhi bahut achha saath diya hai. N koyal dear nice song. Aap sab yun hi achha achha likhte rahein.
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #13 on: August 17, 2010, 03:56:25 PM »
Reply with quote
Thanks Tamanna-di.....so sweet of you....... icon_flower icon_flower icon_flower

  Very Nice thought Kapil ji. Keep it up. Aur Kasak ji aapne bhi bahut achha saath diya hai. N koyal dear nice song. Aap sab yun hi achha achha likhte rahein.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:56:35 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer