Pal jo zindagi mein aate hai, jaate hai.............................Nikhaar

by Nikhaar on October 09, 2011, 05:26:08 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3735 times)
Nikhaar
Guest
Reply with quote
Kaafi waqt baad aaj khuch likhne ki koshish ki hai...aur iss koshish ko kamyaabi bhi mil jaayegi gar aap sab mera saath de...mai iss kavita ko ant nahi de paayi...ummid hai aap sab inn palon ko pura karne mein mera saath zarur dege... Usual Smile


Khuch pal jo zindagi mein aate hai , jaate hai
Reh-rehkar hamien apni har pal ye yaad dilate hai

Wo pal jinme insaan toot jaaye
Wo pal jinme zindagi bhi chhut_ti nazar aaye
Lekar ashq aankhon mein aise mein,hum kha tak jaate hai
Tanhayi ko apna kar zindagi ka shok manate hai
Khuch pal zindagi mein aate hai, jaate hai

Wo pal yaad jinhe na dil rakhna chahe
Wo pal rooh tak ko jo zakhmi kar jaaye
Apne aks se bhi phir hum ghabraate hai
Ye pal jab zindagi ka kadwa sach kehlaate hai
Khuch pal zindagi mein aate hai, jaate hai

Uss pal mein jaakar kaise ho ek nayi shuruaat
Jis pal ne kiya ho har pal vishwaasghaat
Suna hai pal aksar apni gaatha dohraate hai
Zindagi ko puraani raahon par le jaate hai
Khuch pal zindagi mein aate hai, jaate hai

Shayad behtar hai aise mein, uss pal se door ho jana
Aur man mein ek nayi aas jagana
.................................


Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: October 09, 2011, 05:32:53 PM »
Reply with quote
boht khoob .

Woh pal hum chahkar bhi bhulate nahi .

Khayal woh aapbeeti ke dil se jate nahi
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 09, 2011, 07:00:28 PM »
Reply with quote
Nikhar Jee Aadaab!

   Shayad aapko paheli martaba padha hai humne..
Bahut sahiN kaha aapne.. pal jo zindagi meiN aate hai jaate haiN..
Aur behad achche lamhaat bayaaN kiye hai aapne.. humari daad kabul
kijiye... Usual Smile

Par kia zindagi meiN dard ke lamhaat hi aate jaate hai ... Huh?
In dard bhare lamhaat ko bhulne ke liye un chaNd khushnuma lamhoN
ko yaad kijiyeNga.. Jo zindagi ke haseen lamhe the.. yakeenan aap
in dard bhare lamhoN ko bhul jayeNge... Usual Smile

Wel aapki is koshish par phir se aik baar daad .. Likhate rahiye..
Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile       

         
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: October 09, 2011, 08:22:21 PM »
Reply with quote
Di,
Wah Wah Wah..
Yeh hui na dil ki baat..
Kitna khubsoorat likha hai..
Mera dil kuch yunhi chalte chalte bol parra,
so woh likh raha hoon..Apne apni nazm adhoori rakhi hai,
so wahin se continue karunga..


Shayad behtar hai aise main uss pal se dhoor hojana,
Aur mann main ek nayi aas jagana,
Kyun ki khushi kay pal aksar ghum chorr jaate hai,
Hume apne apnon se dhoor kar jate hai,
Kuch pal zindagi main aate hai, jaate hai..

'Khamosh' kehta hai dil na lagao inn palon se,
Kyun ki pal zindagi main ek yaad banke rehjate,
Barson tak phir yeh hume rulate hai,
Kya ghum ko hum hi nazar ate hai,
Kuch pal zindagi main aate hai, jaate hai..


Ek baar phir daad..Dil se likhi apki kalam,
maine dil se parri hai..
 Applause Applause Applause Applause
Khush rahiye..!
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: October 10, 2011, 01:53:44 AM »
Reply with quote
bahoot ache Nikhaar ji --

Parwaaz ji ne bhi sahi kaha
kya sirf dard bhare pal hi aate hain zindgi me!!

aksar hum khushiyon ke paloN ko bhul jaate hain--

nazariya badalne se kbi kbi zindgi badal jati hai Usual Smile

aapki iss khoob khayalat aur nagme par
dil se daad Usual Smile

muskurate rahie
khus rahie
Usual Smile
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #5 on: October 10, 2011, 03:02:24 AM »
Reply with quote
Nikhaar Ji Aapko Ist Time Pada BAhut Accha Likhti HAi Aap Hum padte [adte kahi kho gaye Aapki Kalam humeh aapne  Khyaloo ke Bahut Hi KAreeb Lagi Dil Se Daad Applause Applause

Na caha KAr bhi wo pal Yaad Reh Jatte Hai
Jin Me Kuch Aapnoo Se Mile Zakham Reh Jatte HAi
Ye Nahi Ki Khushi Nahi Hoti In Ke Saath
Khushi Yaad Aati HAi tabi to Dard Ke LAmeh LAut Aate HAi
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: October 10, 2011, 10:19:47 AM »
Reply with quote
Nikhaar ji
aadaab
Bahut behatrin tarike se pesh kiya hai apne. Dil se nikli daad kubool kare.
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #7 on: October 10, 2011, 12:35:58 PM »
Reply with quote
bht khoob nikhar ji...
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #8 on: October 10, 2011, 04:50:46 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut khoob Nikhar Ji...

Parwaaz sahab aur Rahim Bhai aap logo ne bhi kya khoob ish nazm me jaan daal di aur ise poora kiya..

bahut khoob sabhi k liye...
khush rahe...  Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: October 10, 2011, 10:17:51 PM »
Reply with quote

Bahut Bahut khoob Nikhar Ji...

Parwaaz sahab aur Rahim Bhai aap logo ne bhi kya khoob ish nazm me jaan daal di aur ise poora kiya..

bahut khoob sabhi k liye...
khush rahe...  Applause Applause Applause Applause

Touhid jee,
teh teh dil se shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: October 11, 2011, 03:31:30 AM »
Reply with quote
boht khoob .

Woh pal hum chahkar bhi bhulate nahi .

Khayal woh aapbeeti ke dil se jate nahi
nice lines....shukriya saahil ji...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #11 on: October 11, 2011, 03:39:16 AM »
Reply with quote
Nikhar Jee Aadaab!

   Shayad aapko paheli martaba padha hai humne..
Bahut sahiN kaha aapne.. pal jo zindagi meiN aate hai jaate haiN..
Aur behad achche lamhaat bayaaN kiye hai aapne.. humari daad kabul
kijiye... Usual Smile

Par kia zindagi meiN dard ke lamhaat hi aate jaate hai ... Huh?
In dard bhare lamhaat ko bhulne ke liye un chaNd khushnuma lamhoN
ko yaad kijiyeNga.. Jo zindagi ke haseen lamhe the.. yakeenan aap
in dard bhare lamhoN ko bhul jayeNge... Usual Smile

Wel aapki is koshish par phir se aik baar daad .. Likhate rahiye..
Aate rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Khuda Hafez.. Usual Smile       

         

bahut bahut khushi hui aapke comments padhkar Parwaaz ji...aur bilkul sahi samjhaya aapne aur jaisia kash ji ne kha gham k lamhe khushi k lamho k saath yaad aa hi jaate hai.... Usual Smile...
Aapne hamein padha aur saraha....dil se shukriya...ummid hai yu hi aapki seekh milti rahegi... Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #12 on: October 11, 2011, 03:50:09 AM »
Reply with quote
Di,
Wah Wah Wah..
Yeh hui na dil ki baat..
Kitna khubsoorat likha hai..
Mera dil kuch yunhi chalte chalte bol parra,
so woh likh raha hoon..Apne apni nazm adhoori rakhi hai,
so wahin se continue karunga..


Shayad behtar hai aise main uss pal se dhoor hojana,
Aur mann main ek nayi aas jagana,
Kyun ki khushi kay pal aksar ghum chorr jaate hai,
Hume apne apnon se dhoor kar jate hai,
Kuch pal zindagi main aate hai, jaate hai..

'Khamosh' kehta hai dil na lagao inn palon se,
Kyun ki pal zindagi main ek yaad banke rehjate,
Barson tak phir yeh hume rulate hai,
Kya ghum ko hum hi nazar ate hai,
Kuch pal zindagi main aate hai, jaate hai..


Ek baar phir daad..Dil se likhi apki kalam,
maine dil se parri hai..
 Applause Applause Applause Applause
Khush rahiye..!
waah ji waah..mja aa gya padhkar.... bahut bahut bahut shukriya Rahim ji.....bahut pyara likha hai aapne....
jaise jaan aa gayi ho inn palon mein...dil se likhi kalam ko dil se padha aur dil se iss kalam ko pura kiya hai aapne.... notworthy  Usual Smile
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #13 on: October 11, 2011, 04:09:02 AM »
Reply with quote
Nikhaar Ji Aapko Ist Time Pada BAhut Accha Likhti HAi Aap Hum padte [adte kahi kho gaye Aapki Kalam humeh aapne  Khyaloo ke Bahut Hi KAreeb Lagi Dil Se Daad Applause Applause

Na caha KAr bhi wo pal Yaad Reh Jatte Hai
Jin Me Kuch Aapnoo Se Mile Zakham Reh Jatte HAi
Ye Nahi Ki Khushi Nahi Hoti In Ke Saath
Khushi Yaad Aati HAi tabi to Dard Ke LAmeh LAut Aate HAi


Dil se shukriya Kaash ji.accha lga jaan kar hum aapke khyalon k kareeb kalam likh paaye  Usual Smile..khoob kha aapne...khushi yaad aaati aur dard k lamhe bhi laut aate hai....bahut bahut bahut shukrana... happy3
yu hi saath dete rahiyega... happy3 happy3
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: October 11, 2011, 12:02:07 PM »
Reply with quote
waah ji waah..mja aa gya padhkar.... bahut bahut bahut shukriya Rahim ji.....bahut pyara likha hai aapne....
jaise jaan aa gayi ho inn palon mein...dil se likhi kalam ko dil se padha aur dil se iss kalam ko pura kiya hai aapne.... notworthy  Usual Smile
Teh teh dil se shukriya di..
Bas yunhi behgaya tha lavzon main aur likh gaya..
Saath kay liye shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:25:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.269 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer