Pasand Ghayel Ki........(NM Shers)

by sajid_ghayel on March 20, 2009, 11:57:25 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2129 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Unke dekhe se jo aajaati hai moonh par raunaq
Woh samajhte hai bimaar ka haal achha hai

-Ghalib-

------------------------------------------------------------

Aiye Chashm-e-tar na ashq baha unke samne
Moti mila ke khak mein be aabroo na ho
 
- 'Qawi Amrohwi'

Aaise Jeene se to hai doob ke marna behtar
Aabroo jis ki na ho woh koi insaan hi nahin

Aah nikli hi thi honton se ke woh aa pahonche
Dekh li meri duaon ne asar ki soorat
 
- 'Zakir Dehlvi'
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
few shers by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
**** Funny Shers, Have A Look On It **** by Devdas_online in SMS , mobile & JOKES
Some Shers Of my Choice by lamhay_terbin in Shairi - E - Zindagi
Meri pasand by deepika_divya in Songs & Lyrics
MOVED: Pasand ho aap by Shikha12 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: March 20, 2009, 12:03:15 PM »
Reply with quote
Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho
Tumhaare husn ka paida jawaab kardega
 
- 'Bekhud Dehlvi'

------------------------------------------------------------

Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh
Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho
 
- 'Nizam Raampuri'

Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo
Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo
 
- 'Meer Hasan'

Aashiq ki bekasi ka aalam na poochhiye
Majnu pe jo guzar gayee sahraa gawah hai
 
- 'Hafiz Jaunpuri'

-----------------------------------------------------------

Teri is bewafai par fida hoti hai jaan apni
khuda jaane agar tujhmein wafa hoti to kya hota
 
- 'Zafar'

-----------------------------------------------------------

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: March 20, 2009, 12:11:46 PM »
Reply with quote
Huyiee muddat ke chaman chhoot gaya
Ab hamein kya jo bahaar aayiee hai
 
- 'Zalil Manikpuri'

-------------------------------------------------------------

Yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
Ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayiee apni
 
- 'Maahirul Qaadri'

Banda parwar ! Main woh banda hoon ke bahr-e-bandagi
Jis ke aage sar jhuka doonga khuda ho jaayega
 
- 'Azad Ansaari'
 
--------------------------------------------------------------

Na but khaane ko jaate hain na ka'abe mein bhatak-te hain
Jahan tum paaon rakhte ho wahan hum sar patakte hain
 
- 'Ashq Azeemabadi'

Waqt do mujh par kathin guzre hain saari u'mr mein
Ek tere aane se pehle ek tere jaane ke ba'ad
 
- 'Daag'

Hum ko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaante wafa kya hai
 
- 'Ghalib'

Kal tak to aashna the magar aaj ghair ho
Do din mein yeh mizaaj hai aage to khair ho
 
- 'Daag'

--------------------------------------------------------------

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: March 20, 2009, 12:34:39 PM »
Reply with quote
Hamein to kaatni hai sham-e-gham mein zindagi apni
Jahan woh hain wahin aiye chaand le jaa chaandni apni
 
- 'Shairi Bhopali'

---------------------------------------------------------------

Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar
Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang
 
- 'Azad Ansari'

Laakhon mein intekhaab ke qaabil bana diya
Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya
 
- 'Jigar'

Doston se is qadar sadme uthaey jaan par
Dil se dushman ki 'adawat ka gilah jaata raha
 
- 'Aatish'
 
----------------------------------------------------------------

Tum apne baam se faryaad ki ijaazat do
Yahan se to nahin sunta hai aasmaan meri
 
- 'Riyaz Khairabadi'

-----------------------------------------------------------------

Tadapkar shaan-e-karimi ne le liya bosa
Kaha jo sar ko jhukakar gunaah gaar hoon main
 
- 'Allamah Iqbal'
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: March 20, 2009, 12:49:26 PM »
Reply with quote
Mere gunaah zyaada hain ya teri rahmat
Kareem tu hi bataa de hisaab kar ke mujhe
 
- 'Muztar Khairabadi'

-----------------------------------------------------------------

Haan aap ko dekha tha mohabbat se hami ne
Ji saare zamaane ke gunaahgaar hami the
 
- 'Ahsaan Daanish'

Us marz ko marz-e-ishq kaha karte hain
Na dawa hoti hai jis ki na dua hoti hai
 
- 'Shafaq Rizvi'

Kya jaaniye kya hai tere bimaar ki haalat
Isa bhi yeh kehte hain ke hai waqt dua ka
 
- 'Amir Meenai'

---------------------------------------------------------------

Be ma'ni hai woh ishq ke jis mein kashish na ho
Dilchasp ho na husn to soorat haraam hai
 
- 'Aatish'

---------------------------------------------------------------

Aye abr-e-bahaar aaj zara tham ke barasna
Aa jaaye mera yaar to phir jam ke barasna
 
- 'Qateel Shifaai'
 
--------------------------------------------------------------

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #5 on: March 20, 2009, 12:53:39 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut khoob...Ek Se Ek Sher Share Kar rahe hai aap Sajid Bhai..Great Work Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #6 on: March 29, 2009, 02:26:21 PM »
Reply with quote
Hum jiss pe mar rahen hain woh hai bat hi kuch aur
aalam mein tujh se lakh sahi, tu magar kahan

-Khwaja Altaaf Hussein Haali -

--------------------------------------------------------

Li hosh mein aane ki jo saki se izaazat
farmaya khabardaar ke nazuk hai zamana

-Khwaja Altaaf Hussein Haali-

Darya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam,
kashti kisi ki paar ho, ya darmiyan rahe

Jo dil pe guzarti hai kya tujh ko khabar naseeh
kuch hum se suna hota, fir tu ne kaha hota

Talat
Guest
«Reply #7 on: March 31, 2009, 10:58:38 AM »
Reply with quote
Unke dekhe se jo aajaati hai moonh par raunaq
Woh samajhte hai bimaar ka haal achha hai

-Ghalib-

------------------------------------------------------------

Aiye Chashm-e-tar na ashq baha unke samne
Moti mila ke khak mein be aabroo na ho
 
- 'Qawi Amrohwi'

------------------------------------------------------------

Aaise Jeene se to hai doob ke marna behtar
Aabroo jis ki na ho woh koi insaan hi nahin

------------------------------------------------------------

Aah nikli hi thi honton se ke woh aa pahonche
Dekh li meri duaon ne asar ki soorat
 
- 'Zakir Dehlvi'

Bohot Khoob.... !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 31, 2009, 10:59:17 AM »
Reply with quote
Na Dekhna kabhi aaina bhool kar dekho
Tumhaare husn ka paida jawaab kardega
 
- 'Bekhud Dehlvi'

------------------------------------------------------------

Andaaz apna dekhte hain aaine mein woh
Aur yeh bhi dekhte hain ke koi dekhta na ho
 
- 'Nizam Raampuri'

------------------------------------------------------------

Mujhko aashiq kahke uske roo baroo mat kijiyo
Dostaan ! Gar dost ho to yeh kabho mat kijiyo
 
- 'Meer Hasan'

------------------------------------------------------------

Aashiq ki bekasi ka aalam na poochhiye
Majnu pe jo guzar gayee sahraa gawah hai
 
- 'Hafiz Jaunpuri'

-----------------------------------------------------------

Teri is bewafai par fida hoti hai jaan apni
khuda jaane agar tujhmein wafa hoti to kya hota
 
- 'Zafar'

-----------------------------------------------------------

Ye bhi pasand aaye !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #9 on: March 31, 2009, 11:00:03 AM »
Reply with quote
Huyiee muddat ke chaman chhoot gaya
Ab hamein kya jo bahaar aayiee hai
 
- 'Zalil Manikpuri'

-------------------------------------------------------------

Yahi hai zindagi apni yahi hai bandagi apni
Ke unka naam aaya aur gardan jhuk gayiee apni
 
- 'Maahirul Qaadri'

-------------------------------------------------------------

Banda parwar ! Main woh banda hoon ke bahr-e-bandagi
Jis ke aage sar jhuka doonga khuda ho jaayega
 
- 'Azad Ansaari'
 
--------------------------------------------------------------

Na but khaane ko jaate hain na ka'abe mein bhatak-te hain
Jahan tum paaon rakhte ho wahan hum sar patakte hain
 
- 'Ashq Azeemabadi'

--------------------------------------------------------------

Waqt do mujh par kathin guzre hain saari u'mr mein
Ek tere aane se pehle ek tere jaane ke ba'ad
 
- 'Daag'

--------------------------------------------------------------

Hum ko unse wafa ki hai ummeed
Jo nahi jaante wafa kya hai
 
- 'Ghalib'

--------------------------------------------------------------

Kal tak to aashna the magar aaj ghair ho
Do din mein yeh mizaaj hai aage to khair ho
 
- 'Daag'

--------------------------------------------------------------

Waah....bohot achche !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2009, 11:00:52 AM »
Reply with quote
Hamein to kaatni hai sham-e-gham mein zindagi apni
Jahan woh hain wahin aiye chaand le jaa chaandni apni
 
- 'Shairi Bhopali'

---------------------------------------------------------------

Deedaar ki talab ke tareeqon se be khabar
Deedaar ki talab hai to pahle nigah maang
 
- 'Azad Ansari'

---------------------------------------------------------------

Laakhon mein intekhaab ke qaabil bana diya
Jis dil ko tumne dekh liya dil bana diya
 
- 'Jigar'

---------------------------------------------------------------

Doston se is qadar sadme uthaey jaan par
Dil se dushman ki 'adawat ka gilah jaata raha
 
- 'Aatish'
 
----------------------------------------------------------------

Tum apne baam se faryaad ki ijaazat do
Yahan se to nahin sunta hai aasmaan meri
 
- 'Riyaz Khairabadi'

-----------------------------------------------------------------

Tadapkar shaan-e-karimi ne le liya bosa
Kaha jo sar ko jhukakar gunaah gaar hoon main
 
- 'Allamah Iqbal'

Really nice ones.
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: March 31, 2009, 11:01:35 AM »
Reply with quote
Mere gunaah zyaada hain ya teri rahmat
Kareem tu hi bataa de hisaab kar ke mujhe
 
- 'Muztar Khairabadi'

-----------------------------------------------------------------

Haan aap ko dekha tha mohabbat se hami ne
Ji saare zamaane ke gunaahgaar hami the
 
- 'Ahsaan Daanish'

-----------------------------------------------------------------

Us marz ko marz-e-ishq kaha karte hain
Na dawa hoti hai jis ki na dua hoti hai
 
- 'Shafaq Rizvi'

-----------------------------------------------------------------

Kya jaaniye kya hai tere bimaar ki haalat
Isa bhi yeh kehte hain ke hai waqt dua ka
 
- 'Amir Meenai'

---------------------------------------------------------------

Be ma'ni hai woh ishq ke jis mein kashish na ho
Dilchasp ho na husn to soorat haraam hai
 
- 'Aatish'

---------------------------------------------------------------

Aye abr-e-bahaar aaj zara tham ke barasna
Aa jaaye mera yaar to phir jam ke barasna
 
- 'Qateel Shifaai'
 
--------------------------------------------------------------

Bohot Khoob !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: March 31, 2009, 11:02:38 AM »
Reply with quote
Hum jiss pe mar rahen hain woh hai bat hi kuch aur
aalam mein tujh se lakh sahi, tu magar kahan

-Khwaja Altaaf Hussein Haali -

--------------------------------------------------------

Li hosh mein aane ki jo saki se izaazat
farmaya khabardaar ke nazuk hai zamana

-Khwaja Altaaf Hussein Haali-

--------------------------------------------------------

Darya ko apni mauj ki tughyaniyon se kaam,
kashti kisi ki paar ho, ya darmiyan rahe

-Khwaja Altaaf Hussein Haali -

--------------------------------------------------------

Jo dil pe guzarti hai kya tujh ko khabar naseeh
kuch hum se suna hota, fir tu ne kaha hota

-Khwaja Altaaf Hussein Haali-

--------------------------------------------------------

Beautiful !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: March 31, 2009, 11:03:14 AM »
Reply with quote
Sajid Ji, bohot achch laga aapka ye thread...... Bohot Khoob !!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: April 04, 2009, 03:39:03 AM »
Reply with quote
Sholaa-e-aah ko bijli ki tarah chamakaauu
Par mujhe Dar hai, ki vo dekh kar Dar jaayege

'Zauq' jo madarase ke bigde hue hain mullaah
Unko maiKhaane me le aao savar jaayege

-Ibrahim Zauq-

----------------------------------------------------------------

Zaahid sharaab pine se kaafir huaa main kyu
kyaa DeDh chulluu pani me imaan beh gayaa

-Ibrahim Zauq-

-----------------------------------------------------------------

Laa_ii hayaat aaye qazaa le chali chale
Na apni Khushii aaye na apanii khushii chale

-Ibrahim Zauq-

-----------------------------------------------------------------

Jo dil ne kahi lab pe kaha aa_ii hai dekho
Ab mehfil-e-yaaraa.N me bhi tanhaa_ii hai dekho

Gam apne hii ashko ka Khariidaar huaa hai
Dil apnii hi haalet kaa tamaashaa_ii hai dekho

-Zahra Nigaah-

----------------------------------------------------------------

Haath meraa ai merii parachhaa_ii.n tuu hii thaam le
Ek muddat se mujhe to suujhataa kuchh bhii nahii.n

Vo bhii shaayad ro pa.De viiraan kaaGaz dekh kar
Maine us ko aaKhirii Khat me.n likhaa kuchh bhii nahii.n

-Zahoor Nazar-

-----------------------------------------------------------------

Madad kii tum se tavaqqo to Khair kyaa hogii
Gariib-e-shahar-e-sitam huu.N meraa pataa rakhanaa

[madad=help; tavaqqo=expectation]

Mare.nge aur hamaare sivaa bhii tum pe bahut
Ye jurm hai to phir is jurm kii sazaa rakhanaa

Naye safar pe ravaanaa huaa hai az-sar-e-nau
Jab aa_uu.Ngaa to meraa naam bhii nayaa rakhanaa

[az-sar-e-nau=a fresh start]

-Zafar Iqbal-

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 05:24:26 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.175 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer