shayri dil ki jubaa.n hoti hai

by karan q on April 24, 2005, 04:26:12 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 690 times)
karan q
Guest
Reply with quote
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

shaam Ke waqt jab din ke ujiyare ke baad,suraj pighalta jaata hai or rang bannker aasmaan me bikhar jaata hai,teri yaad ke panchi vapas thikane per pahunchne lagte hain,Raat ke benoor andhiyare me,kuch lafz sitare bann ker Zehan ke aasmaan me timtimane lagte hain,Teri yaad ke panchi jab vapas dil tak
Aa pahunchte hain,Ek silsila shuru hota hai Sham-e-tanhai,lazzat-e-gum ka
or mai shayri likha karta houn


Shayri dil ki jubaa.n hoti hai
lazzat-e-gum ka nasha hoti hai
Shayri dil ki jubaa.n hoti hai

shayri rishton ka sabab hoti hai
bayaan-e-aarzoo ki adaa hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

ishq juda nahi rehta shayri se
khushbu kab phulon se juda hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

hizr ke rang me jab shaam jawaa.n hoti hai
shayri mehfil ka mazaa hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

hizr--judaai

jo hum keh de.n to jhooth kehte hain
Jo na bolen to khataa hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai
 
shayri zindgi ka safar kehti hai
toote hue dil ki sadaa hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

sadaa--voice

shukr hai likh lete ho karan varna
ab to baaten bhee kahaan hoti hai
shayri dil ki jubaa.n hoti hai

karan.q
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
shayri..!!! by Delicate_Doll in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Shayri by diljala in Shayri for Khumar -e- Ishq
AANKHO KI JUBAA by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tum hoti to aisa hota,tum hoti to waisa hota by waheed_rose2004 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 7 8 »
Jubaa-e-Khandhar by Pramod singh in Share:Miscellaneous Shayari
pandit
Guest
«Reply #1 on: April 24, 2005, 04:36:57 PM »
Reply with quote
nice karan............................................ ...........................
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: May 03, 2005, 04:07:54 PM »
Reply with quote
amazing karan:)
.........................
..........................
Logged
pandit
Guest
«Reply #3 on: May 03, 2005, 04:25:32 PM »
Reply with quote
kuch tabiyat hi mili thi aisi ki kabhi chain se jeene ki surat hi nahi hui,
jinko chaha unko apnaa nahi sake aur jo mile unse mohabbat hi nahi hui.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: May 03, 2005, 05:31:18 PM »
Reply with quote
bahut acche pandit
..........................
..........................
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 10:58:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.184 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer